More

    दांत में दर्द सड़न खून और कीड़े का इलाज -Dant mein dard ke 5 आसान उपाय इन हिंदी

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेदांत में दर्द सड़न खून और कीड़े का इलाज -Dant mein dard ke 5 आसान उपाय इन हिंदी

    Dant mein dard sadan aur kide ka ilaj: Danto ki sahi tarike se dekhbhal na karne se dant sadna, danto se khoon nikalna aur dant mein kida lagne jesi pareshani aane lagti hai jis se danto mein dard aur payriya jese rog aksar pareshan karte rehte hai. Kuch log danto ki sadan, kide, khoon rokne aur dant dard ka ilaj ke liye dawa (medicine) lete hai, par hum gharelu upay, ayurvedic dawa aur desi nuskhe se danto ki samasya ka upchar aasani se kar sakte hai. Aaiye jane natural home remedies for teeth pain treatment in hindi.

    Dant ka dard kai bar itna tej hota hai ki dawa lene ke baad bhi kam nahi hota aur aese mein rogi dard se jaldi chutkara pane ke liye dant hi nikalwa deta hai. Is samasya se bachne ke liye jaruri hai ki danto ki saaf safai ka khayal rakhe. Dant sadne, danto mein se badbu aana aur kida lagne ki shikayat baccho aur bado kisi ko bhi kisi bhi umar mein ho sakti hai. Ayurveda mein kehte hai ilaj se behtar hai bachne ke upay kare, fir bhi kisi wajah se agar teeth problem ho jati hai to bina medicine ke kuch gharelu tarike apna kar bhi danto ki sadan, dard, sujan dur ki ja sakti hai.

    Dant mein Dard Sadan Kide aur Khoon ka ilaj

    Gharelu Nuskhe for Teeth Problem in Hindi

    1. Dant ki koi bhi samasya ho pyaj ka pryog ramban ilaj hai. Dant mein dard, sadan aur kide se chutkara pane ke liye pyaaj mein maujood antiseptic gun kafi upyogi hai. Agar kida lagne ki wajah se danto mein dard ho rha hai to pyaaj ko kaccha chba chba kar khaye ya fir pyaj ke ras ko dard wali jagah aur kide wale dant par lagaye.

    2. Dard tej ho to dard wali jagah par laung ka tel lagaye, ye jaldi asar dikhayega. Danto ki samasya ke ilaj ke liye laung ya laung ka tel paryog kare.

    3. Dant dard jaldi dur karne ke liye adarak ka ek chota tukda le aur dant par rakh kar muh band kar le aur adarak ka ras chooste rahe.

    4. Lehsun dant ke kide ko khatam karne me kargar upay hai. Lehsun me antibiotic gun hote hai jo teeths ko infection se bachata hai. Lehsun ki 2 se 3 kaliya chba kar har roj khane se dant ki koi samasya nahi hoti.

    5. Hing ke paryog se bhi teeth pain se jaldi rahat milti hai. Mausami ke ras me hing dubo kar dard wale dant par rakhe. Mausami na mile to nimbu ka pryog bhi kar sakte hai. Nimbu ke ras se da t ke kide khatam karne me bhi mdad milti hai.

    Dant dard kida aur sadan ke ayurvedic nuskhe in hindi

    • Jamfal ke patte chba kar uska ras muh mein charo aur ghumaye aur thodi der baad thuk de. Dard chahe kida lagne se ho ya fir dant ki sadan se har tarah ke dard mein ye upay ayurvedic dawa ka kaam karta hai. Iske ilava jamfal ki chaal ko paani me ubaal kar usae kulla karne par bhi dard dur hota hai.
    • Dant me kida lagne se pain ho rha hai to amrud ke patto ka kadha banaye aur kulla kare. Danto mein tees uth rhi ho ya tej dard ho rha ho is upay se jaldi rahat milti hai.
    • Baba ramdev dant dard kide aur sadan ke ilaj ke liye btate hai ki pyaj ka tukda tave par garam kar le aur 10 minute tak danto ke bich dabaye rakhe. Pyaaj ki laar ko muh me ghuma kar bahar thook de.
    • Ek chutki haldi aur ek chutki namak me 3 se 4 boonde sarson ke tel ki mila kar har roj danto par manjan karne se danto ki har tarah ki samasya jad se khatam hogi hai. Is upay ko har roj karne se danto ki sadan dur hoti hai, danto ka peelapan saaf hota hai aur dant safed hote hai. Jane peele dant safed karne ke upay.
    • Dant me dard kida lagne se ho to jada meetha khane se parhej kare.
    • Neem ka datun pryog karne se dant majboot hote hai, muh se badboo aani band hoti hai aur danto me kida nahi lagta.

    Dant dard sadan aur kida khatam karne aur ilaj ke liye agar aap medicine le rahe hai to upar btaye hue upay aur desi nuskhe padhe. Iske ilava aap patanjali se dard niwarak ayurvedic dawa bhi le sakte hai.

    Dosto Danto mein Dard Sadan Kide aur Khoon ka ilaj, Gharelu Nuskhe for Teeth Pain in Hindi ka ye article aapko kaisa lga hame bataye. Agar aapke pass dant ki samasya ke upay se jude anubhav ya koi sujhav hai to hamare sath sanja kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles