हमारे बीच शायद ही कोई ऐसा होगा जिसके चेहरे पर कभी पिंपल्स न हुआ हों। हमें सभी लोगों को चेहर पर कभी ना कभी पिंपल्स तो जरूर हुआ होगा। आज बाजार में मुंहासों को दूर करने के लिए हजारों दवाएं उपलब्ध हैं, इन दवाओं की कीमत एक सौ से हजारों रुपये तक है। हजारों रूपये खर्च करने के बाद भी चेहरे से पिंपल्स नही जाते हैं। कई घरेलू उपाय करने के बाद भी चेहरे से मुंहासे जल्दी खत्म नहीं होते हैं।
लेकिन आज हम ऐसे घरेलू नुस्खों के बारे में बताने जा रहे हैं जो बहुत कम लोगों के लिए मामूली होते हैं। यह घरेलू उपाय न सिर्फ चेहरे से मुंहासों को दूर करता है बल्कि चेहरे पर एक अलग तरह की चमक भी लाता है। जो आपको सौ लोगों के बीच भी एक अलग पहचान बनाता है। इस घरेलू नुस्खे के बारे में जानने के लिए इस लेख को अंत तक पढ़ें।
Chehre se Pimples Hatane ke Upay: Gore face par agar koi daag dhabba ya nishan ho jaye to ye chehre ki sundarta bigad dete hai. Chehre par pimples aur keel muhase nikalna aajkal normal ho gya hai, jadatar pimples oily skin par nikalte hai aur ye samasya nojawano mein adhik hoti hai. Agar pimples ko haath se fod de tab chehre par iske nishaan reh jaate hai.
Khane ki galat aadto ki wajah se shareer ki garmi kai baar muhaso ke jariye bahar nikalti hai. Skin ko hydrate karne wali cheeje khaye aur junk food se door rahe to ye samsaya nahi hoti. Paani, fruits aur hari sabjiya skin ko healthy rakhne mein madad karte hai. Is leekh mein hum pimples aur daag dhabbe se bachne aur unka upchar karne ke kuch gharelu nuskhe(home remedies) bata rahe hai, aaiye jane pimples ka ilaj in hindi.
Keel Muhase ke Kaaran
Contents
Chehre par pimples hone ke bahut se kaaran ho sakte hai.
- Harmon imbalance
- Cosmetic beauty products ke side effects
- Kisi cheej se allergy hone par
- Pet ki bimariya hone par
- Jada tala hua aur oily khana khane se
- Oily skin hone ki wajah se
Pimples se Bachne ke Parhej
Khaane ki aadto ko sudhar kar aur kuch parheej kar ke hum pimples ki is samsaya se bach sakte hai. Ice cream, refined, coffee, tea, cold drink, junk food jesi cheejo se door rahe. Iske ilava agar aapki twacha oily hai to uska bhi upay kare.
Chehre se Pimples hatane ke Gharelu Upay: 15 Home remedies
Chehre se pimples, daag dhabbe aur jhuriya hatane ke liye hum bhut se cosmetic products isteemaal karne lagte hai jo mehnge to hote hi hai aur agar ye beauty products aapki skin ko suit na kare to side effect bhi ho sakte hai, kyuki inme chemicals hote hai. Aap ghar par hi kuch gharelu nuskhe isteemaal karke face pack bana sakte hai jo na to mehnge honge aur na hi unka koi side effect hota hai.
1. Bhaap (Steam): Chehre se kil muhase nikalne ke liye sab se pahle jaruri hai face se dhool mitti ke kan bahar nikale. Iske liye aap garam paani se face ko bhaap de sakte hai. Agar garam paani mein thoda nembu ka ras mila kar bhaap lenge to aur bhi fayda milega.
2. Neem: Oily skin ke liye neem ke patto ko paani mein ubaal kar us paani se chehre ko dhoye aur ubali hui pattiyo ko pees kar ek leep banaye aur face par lagaye. Neem ke sabun ke istemaal se bhi oily skin se nijaat milti hai.
3. Aloevera: Aloevera skin ko healthy aur fresh rakhne mein bahut kaargar hai. Aap aloevera gel ko chehre par laga sakte hai, aloevera juice bhi fayda karta hai. Agar kahi aloevera ka podha mil jaye to iske patte ko beech se kaat kar chehre par male, is upay se chehre ki gandagi saaf hoti hai aur skin healthy rehti hai.
4. Gulab Jal: Gulab jal chehre ko saaf karne mein kaafi asardaar hai. Kaali mirch ke 15 se 20 daane pees kar gulab jal mein mila le aur raat ko sone se pahle chehre par lagaye aur subh face ko garm paani se dho le. Is upay se chehre par glow aata hai aur keel munhase saaf hote hai. Gulab jal mein nimbu mila kar chehre par lagane se chehre ki gandagi saaf hoti hai.
5. Amla: Raat ko sone se pahle aawle ke churan ko bhigo kar rakhe aur subh apne chehre par halke haatho se masle. 10 se 15 minute baad apne chehre ko paani se dho le. Ye upaay karne se chehre se jhuriya saaf hoti hai aur chehra chamakne lagta hai aur nikhaar aata hai.
6. Chandan: Chehre se pimples, daag dhabe aur jhuriya dur rakhne mein chandan bhut hi upyogi hai. Chandan mein haldi ka powder aur doodh mila kar ek paste bana le. Is paste ko chehre par lagane se keel muhase aur skin ki jalan se nijaat milti hai.
7. Besan: 3 se 4 chamach besan mein thoda sa kapoor, haldi powder aur nembu ka ras mila kar paste bana le aur face par lagaye. Jab ye paste sukh jaaye tab thande paani se chehre ko dho le. Besan ko dahi ya lassi mein mila kar chehre par lagane se bhi keel munhase aur jhaiya se chutkara milta hai.
8. Pudeena: Pimples ko haath se fodne par daag dhabbe reh jaate hai. Chehre ke daag dhabbe aur pimples ke nishan saaf karne ke liye pudeene ko pees kar leep bana le aur isse har roj apne chehre par lagaye. Ek mahine tak is nuskho ko aajmaane se chehra saaf aur sunder ho jata hai.
9. Nembu: Oily skin par nembu ko malne se chehre ki chiknayi gayab ho jaati hai aur keel muhase saaf ho jaate hai. Neembu mein shahad mila kar leep banaye aur chehre par lagaye. 15 se 20 minute baad chehre ko dho le. Is upay se chehre mein jami dhool mitti bahar niklti hai, chehre mein glow aata hai aur pimples door hote hai.
10. Tulsi: Tulsi ke taaja patto ko sukha kar pees le. Ab isme thoda sa paani mila kar ek leep banaye aur chehre par lagaye. Tulsi ke is leep se pimples aur jhuriya gayab hone lagti hai. Is upay ko 15 se 20 din lagatar karne par aapko farak dikhne lagega.
11. Kapoor: Kapoor ko nariyal ke tel mein mila kar pimples aur daag dhabbo par lagaye. 10 se 15 minute tak ye leep lagane ke baad chehre ko saaf paani se dho le. Ise 8 se 10 din tak karne par keel muhase, jhuriya aur pimples ke nishan gayab ho ujaate hai.
12. Pyaaj: Pyaaj kaat kar tel mein paka le aur thanda hone par kisi saaf kapde mein bandh kar chehre par ragde.
13. Makhan: Tilo ko pees kar makhan mein ache se mila le aur ek paste bana le. Har roj is leep ko chehre par lagane se chehre mein nikhaar aata hai aur daag dhabbe bhi saaf ho jate hai.
14. Karela: Agar aap ko bar bar keel muhase hote hai to 1 se 2 karele kaat kar paani mein ubaal le. Ab karele ke is paani ko piye. Isse pimples ka nikalna band ho jayega.
15. Multani Mitti ka Face Pack: Multanni mitti chehre ke liye raamban ilaj hai. chehre par pimples, blackheads, jhuriya, daag shabbe ya koi nishan ho multani mitti ka face pack bana kar kuch dino tak chehre par lagane se sab saaf ho jayenge.
Pimples se Bachne ke Important Tips in Hindi
- Skin ko hydrate aur healthy rakhne ke liye din mein 3 se 4 litre paani piye.
- Fast food aur bazaar mein milne wali cheejo se parhee kare.
- Fruits aur salad jada khaye.
- Chehre ko baar baar hath na lagaye.
- Din mein 2 se 3 baar chehre ko paani se dhoye taaki face par dhool mitti ke kan jama na ho paaye.
- Chemical wale beauty products ka isteemaal kam kare.
Kai baar hame kisi shadi ya function mein jana hota hai aur chehre par pimples hone ki wajah se hum bahar nahi jate. Is samasya se bachne ke liye aap makeup ka sahara le sakte hai. Kuch beauty products aese hai jo aapke keel muhase aur daag dhabbe chupa dete hai.
Lehsun mein powerful anti aging tatav hote hai, iske ilava lehsun natural steroid ka kaam bhi karta hai. Rojana lehsun ki kachi kaliya chba kar khaye aur upar se paani piye. Is upay se skin, aant aur saans ke infection door hote hai aur skin hydrate hoti hai.
- Chehre se Til aur Masse Hatane ke Best Tarike
- Face Se Daag Dhabbe Door Karne Ke Gharelu Upay
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe in Hindi
Dosto Chehre se Pimples Hatane ke Gharelu Upay: Home Remedies in Hindi ka ye leekh aap ko kaisa laga hame bataye or agar aapke pass face ke kil muhase ka ilaj ke desi nuskhe ya fir beautiful aur glowing skin paane ke koi sujhaav ya anubhav hai to hmare saath share kare, aapke dwara share ki gayi information se dusro ko bhi fayda mil sakta hai.
Chre par adik pimple h
Prathviraj aap is article mein bataye hue upay kare pimples thik ho jayenge.
Kya shaafi pi sakte hai.
Arjun saafi ke paryog ke liye aap doctor ki salah le.
Pimples and dag dhabe
Ajay is article mein jo tips bataye hai unhe follow kare fayda milega.
Kya sare tricks use kr sakte hai ?
Koi problem to nhi hoga n ?
Rahul agar aap ek upay bhi sahi tarike se kar lo to sabhi karne ki jarurat nahi, aapko ek se hi fayda mil jayega bas dekh le kon sa upay aap aasani se kar sakte hai.
Muje abhi pimples hone suru hue he use kese baschu
Ishan aap kisi bhi cosmetic beauty product ke paryog se bache aur yha bataye hue upay kare aapko fayda milga.
bai mne storid khaya ta 3 sal phle to tb se continue acne chal ri hai bahut dwa khali bahut facewash us krlia kya kru m bahut pain hota jb b face ko face wash s saf kru utni hi jyada pimpls hoti h
Vishu aap yha btaye hue nuskhe apnaye aap ko aaram milega.
Kitne din me thik ho jaega ye nuske se
Anup ye to aap par hai ki kitne sahi tarike se nuskhe karte hai.
Gulab jal me kali mirch nembu ke sath kapur tulsi or podina ka use kar sakte hai
Rahul vese ye remedies skin ke liye achi hoti hai par jada experiments na karte hue agar aap yha bataye gaye upayo ko sahi tarike se follow kar lenge tab bhi aap ko fayda mil jayega.
hi mere bahut Dino SE pimples ho rhe h 1 sal SE unke daag nhi ja rhe h pls aap btaiye me konsa upay kru
Pooja jesa is article mein bataya gya hai unhealthy khaane se parhej kare, tarah tarah ke beauty products ka istemal na kare aur jis cheej se skin ko allergy ho usse door rahe. Aap yha btaye hue upay bhi kare aapko fayda milega.
Sir mere 4 saal s pimples ho rahe h ab to sar p b hone lag gye h kya karun…m to multani mitti v rao laga rha hun.
Mohit aap yha btaye hue upay regularly kare aapko fayda milega, iske sath body ko detox karne wale foods bhi khaye iske bare mein yha detail se padhe :: https://sehatdoctor.com/body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/
aasan tips, thanks
sir pichhale month se mere face pe bhot jyade pimples nikal aaye h. bhot kosis Ki khatm hi nhi ho RHA h.
kya are sir, jisase Ki ye presani dur ho jaye.
Satyam pareshan mat hoiye, chehre ko dhul mitti se bachaye rakhe, healthy diet le aur is article mein bataye hue nuskhe apnaye aapko fayda milega.
Sir mera chehra kafi jayada oily rehta he… Plz upay bataye…
Mahesh oily skin se chutkara pane aur bejan chehre mein jaan dalne ke liye aap is articles mein bataye hue upay kare :: https://sehatdoctor.com/ayurvedic-face-pack-30-minute-me-apne-chehre-ko-nikhare/
Sir mera naam raj hain mere face par acne hota Ja raha hain thik hi nahi hota Sab kuch try kiya plz koi upay batay.
Jai aap ye lekh padhe aur bataye hue upay kare :: https://sehatdoctor.com/blackheads-hatane-ke-upay-tips-to-remove-naturally-in-hindi/
Namaste sir mera naam raashid he sir kuch moth se mere face pr pimpals ho gaye he kafi gharelu upaye bhi kiye he thik nhi ho rahe ap kuch bataye…
Raashid aap agar koi beauty product isteemal kar rhe hai to use band kare, khane mein poshtik aahar le taki tavacha ko poshan mil sake aur sath hi bataye hue nuskhe sahi tarike se regularly follow kare aapko fayda milega.
Mera naam Manish Mishra hai mujhe koi cream mere chare ko infection ho gaya hai kya kar kya lagye please jaldi batye
Sir Mujhe 2 year se pimple ho rahe h …or skin b kaafi oily h …meri age 16 h
Deepak pimples hone ke bahut se karan ho sakte hai jese ki tavacha ko jaruri poshan na milna, khoon saaf na hona ya fir khoon kam hona, fast food jada khana ya kisi par ke cosmetic product se side effect hona. Agar inme se koi bhi cheej aapke sath ho rhi hai to usme sudhar kare aur upar bataye hue upayo ko sahi tarike se apnaye aapko fayda milega. Deepak aap ye articles bhi padhe.
Sharir mein khoon ki kami kaise puri kare :: https://sehatdoctor.com/khoon-ki-kami-anemia-ka-ilaj-kaise-kare-blood-hemoglobin-badhane-ke-upay-hindi/
Sharir se gandagi kaise bahar nikale :: https://sehatdoctor.com/body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/
hello sir mere face pw bahut pimple nikal rhw hai and kuch ko maine pakne k baad nikal bhi diya and nikalne k bad uske daag nhi jw rhe koi ek raambaan upay btao jis se mere pimple niklne bnd ho jaye aur daag bhi na rhw nd rang gora ho jaye
Ammy tala hua aur masaledar khana khane se parhej kare aur khane mein healthy diet le taki skin ko nutritions mil sake. Chehre se nishan saaf karne ke liye aap ye article padhe aur bataye hue upay kare :: https://sehatdoctor.com/face-se-daag-dhabe-door-karne-ke-gharelu-nuskhe-in-hindi/
Iske sath khane mein aese foods add kare jo sharir se gandagi bahar nikalne mein madad kare aur khoon saaf ho sake :: https://sehatdoctor.com/body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/
Sir mere pimpls kuch hi din pehle nikal aye or dag dhabbe bhi hai aap iska koi ilaj batao to apki bahut mehrbani hogi
Vikas aap ye article padhe aur jo nuskha aasan lage vo kare.
Pimple hore ha bhot or daag bhi & kaala hora hu treatment btao
Rakoo aap ye sabhi articles padhe aur upay kare :: https://sehatdoctor.com/topics/skin/
sir main sirf chandan lagau to chalega na use mere pimple aur dag thik ho jayenge
Sunil aap bataye hue tarike apnaye fayda milega.
Sir mera Naam Kundan Hai Mai 16 years ka Hun sir mere face pr 2 Sal se pimples ho raha hai pimples ko Kisi bhi tarah se hatate hai aur 4-5 din ke bad phir aa jata hai Mai bahut paresan hun is pimples se me bahut rupya kharch kar chuka hun pimples hatane me par pimples hatne ka naam hi nahi le raha hai please sir. Help me
Kundan aap agar koi cosmetic beauty product paryog karte hai to use band kar de. Sirf chehre par lep lagane se baat nahi banegi, skin ko healthy banane ke liye khane pine ki aadto mein sudhar kare, healthy khana khaye taki skin ko poshan mil sake. Iske sath upar bataye hue upay kare aap ko benefit milega.
Dost kai baar sharir mein eharile padarth bhar jane ke karan ye samasya ho jati hai, aese mein body ko detox karne ki jarurat hoti hai.
Sharir se gandagi bahar kaise nikale :: https://sehatdoctor.com/body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/
Bro Aap Kaun si Seo Plugin Use karte ho. Agar Sirf SiteMap plugin use karte ho to kaun si Please batao?
Haider google sitemap, yoast aur google analytic main plugin use kiye hai.
mere chere pr two manth se kheel muhase ho rahe he .in ke liye me kya upaye kru koi gharelu nukse btay
Sandhya aap is lekh mein bataye hue nuskhe padhe aur sabhi comments bhi padhe aapko solution mil jayega.
Mere face abi kuch Dino se pani Vale pimples ho gye h…kya kre uske liye gle p or kndho p vhi pani Vale pimple ho rhe h ….
Deepak aap aesi cheejo ke istemal se door rahe jisse aapko allergy ho, upar bataye hue tips kare aaram milega.
Sir amla,gulab jal,tulsi ,kapoor ko yek saath kar sakte hai kya
Dilip ye sab remedies chehre ke liye behtar hai par jaruri hai ki inka paryog sahi tarike se ho. Aap lekh mein bataye hue tarike apna sakte hai.
hello sir, chehre par bade bade pimple aate hai iske liye chandan haldi powder milk kargar upay ho sakta hair aur iska istemal kitne din tak karna hoga
Sada ye sab cheeje skin ke liye achi hai par inka paryog sahi tarike se karna jaruri hai, aap article mein bataye hue tarike aapnaye fayda hoga.
mere pimple ka elaj kariye koi
Sachin ilaj upar likh hua hai aap inhe padhe aur shuru kare.
Sir mere pure sarir ka rang gora hai lekin chehre aur hand ka thodasa savla hai.sir mera chera bahut tired jaisa hota yani boar to mai kya karu
Santosh aap ye article padhe aur upay kare :: https://sehatdoctor.com/rang-gora-kaise-kare-aur-uske-upay-in-hindi/
Kya apke pass eye sight dik krne ka koi easy or cm cost ka nushka hai Kya ppls btaye sir Meri eyes sight into week hai dur or pass ki or Kya apke dimaag tej krne ka nushka hai Jo jyada Mehga b Ni ho dono ka btay Dono k nushka.
Neha eye sight badhane ke liye aap is article mein bataye hue nuskhe padheaur follow kare, dimag tej karne ke liye ye article padhe aur bataye hue upay kare :: https://sehatdoctor.com/yaddasht-badhane-ke-upay-memory-power-increase-tips-in-hindi/
nimbu se fayda Ho rha hai…
Isme pimple aur dag dhabbo k lie sabse achha upay kon sa hai
Shivam upay sabhi ache hai aapko jo aasan lage kare.
Sir main khane ne parhej bhi karta hu kisi prakar ki cream use ni karta hu
Multani mitti 3 month se laga raha hu
Pimples mit jate hai
But
3 to 4 days me dobara ajate hai
Sahan aap healthy food khaye aur paani adhik piye. Iske sath sharir se jehrile padrth bahar nikalne ke liye ye upay padhe :: https://sehatdoctor.com/body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/
Sir mera name dhiraj h mere chehre me 1 saal se jhaiya h kuchh upay bataiye n
Dhiraj jhaiya door karne ke upay hum jald hi dalenge, aap beauty tips ke ye gharelu nuskhe bhi padhe :: https://sehatdoctor.com/topics/skin/
sir muje bahut dino she gaat vale pimpel ho rage he or skin be oile rahte he me Kay karu
Dost aap khane pine ki galat aadto ko badlo, healthy food khao, jada paani piyo aur upar bataye hue upay karo.
hello sir,
I am a type–diabetic.
last 3 year se pimples and keels nikalna start hue,abhi bhi nikal rhe hai. kafi tretment kia but bilkul bhi fayda nhi hua.Ab to pura face khrab dikhta hai,dark spote and pimples dono hi hai.
doctors bolte hai ki diabetes ke karan sahi nhi ho rhe.sir plz koi upay ho to bta dijiye.
Balwant ji ho diabetes ke karan ghavo ko bharne mein bahut samay lagta hai aur yahi pimples ke case mein bhi ho sakta hai, par esa nhi hai ki inhe thik nahi kiya ja sakta. Aap sugar ko control mein rakhne ke liye ye upay kare :: https://sehatdoctor.com/sugar-kam-kaise-kare-control-diabetes-in-hindi/ sath hi aese khane pine se door rahe jinke karan pimples nikalte hai. Agar aap koi chemical yukt beauty product istemal kar rhe hai to use bhi band kare aur upar bataye hue nuskhe kare. Paani bhi jada piye.
sir mera nam rahul hai. mujhe 4 year se pimples hai. mere chehrepar dag hai aur chehra red
ho gaya hai plz upay batavo
Rahul is article mein likhe hue tips padhe, sath hi yha likhe hue sabhi comments bhi padhe aur bataye hue nuskhe apnaye.
bahi govind tu doctar h ke
Dost main doctor nahi hu, is website par hamara maksad hai bimariyo ka ilaj karne ke liye ayurvedic nuskhe ke bare mein logo ko jagruk kare
Sir mere face pr or mathe pr chote chote dane h keel type plss koi upaye bataiye or or upaye kru tho kon sa best h…???
Arti aap homemade beauty tips ke ye sabhi articles padhe aur jo upay karna aasan lage use kare :: https://sehatdoctor.com/topics/skin/
.. sir
my name is milonjyoti , so how to remove pimples from my face , sir plz give me any way,,,
Milonjyoti ji plz read article, we have written some natural tips that helps to remove pimples and make skin glowing.
Sir maine ulta savin kar liya tha aur uske bad mere chehre pe dana-dana sa pinpal nikal gya hai ulta saving karne se infection ho gya hai kya kare ki achha hoga koi upaye bataye.
Ranvir ye thode samay mein thik ho jayenge aap paani adhik piye aur healthy cheeje khaye.
Es se 100% pimple jayege na
Kuldip yha likhe upay pimples remove karne ke liye hai ab inse kitne percent result milega ye aap par birbhar karta hai.
karele ka ras kite bar pina hai
Din mein 1 bar piye kafi h.
pir kis time pr pina hai ese
Subh khali pet piye acha hai, aur agar din mein pite hai to pine se adha ghanta pahle aur bad mein kuch khaye piye nahi.
jo ap ne upay bataye hai…kya mai saare upay use kar sakta hu…iska koi side effect toh nhi hoga na….pls tell
Sunny sabhi upay nahi karne hai, aap ko jon aasan lage vo kare. Ayurvedic nuskhe ke side effect nahi hote hai agar aap ko kuch pblm lage to dusra nuskha apnaye.
meri oily skin k liye ye upaye kaam kar paye ge kyu ki meri skin bhot jyada oily hai jab main subha uth ta hu to pura face oil se bhara hota hai plz koi upaye batao oily skin khtam krne k liye bhot pimples hote hai esi vajha se
Govind ji aap ye lekh padhe aur bataye hue upay kare, oily skin se chutkara mil jayega :: https://sehatdoctor.com/oily-dry-skin-care-tips-gharelu-nuskhe-upay-in-hindi/
Sir mere face pe 3 4 saal se pimple hai..face bilkul bhdda sa hogya hai..mai,cosmetict medicine le rha hu ..but us se se koi frk nhi pd ta ..muje bhut tensn hoti hai..meri age only 19 hai..ap bray kya kru mai..pimple bhut hi mote hai..kya apke btaye nukso se pimple thik ho jayenge..ye nukse sare krne pdenge kya..?
Deepak agar aap apni medicine ko continue rakhna chahte hai to rakh sakte hai, aur sath mein yha bataye hue nuskhe kare. Dost aap ko sabhi upay nahi karne hai 1 ya 2 karo par sahi dhang se karo fayda milega. Is sab ke sath apne khane pine par bhi dhyan de, healthy food khaye aur paani adhik matra mein piye. Aap ye dono articles bhi padhe :: https://sehatdoctor.com/body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/ https://sehatdoctor.com/khoon-ki-kami-anemia-ka-ilaj-kaise-kare-blood-hemoglobin-badhane-ke-upay-hindi/
Sir mai 4 saal se pareshaan hu mere face me bahut pimple hai jo door nhi hote hai plezz kuchh bata dijiye
Aman aap upar likhe hue nuskhe padhe aur yha likhe hue comments ke rply bhi padhe aur tips ko regulary follow kare.
sir mere chehre me bahut pimple niklte h ek thik hota h dusra nikal ata h mai bahut lreshan hu sir plzzz ap hme btaeye mere liye esme lkoun sa upay accha rhega
Sonu upay sabhi behtar hai aapko jo aasan lage use kare. Iske ilava khane pine ka bhi dhyan rakhe tla hua masaledar fast food khane se parhej kare aur paani jada piye.
hello sir mujhe ye jannaa ki Lehsun mein powerful anti aging tatav hote hai kya main ese khaa sakta hu daily.. lehsun ki tehsel to garam hoti hai kya eska seven karne se body main grmi k karan pimples to ni ho jye ge???
Govind ji lehsun ek natural antibiotic hai aap ise kha sakte hai.
2 sal ho gye h mere chehre pr pimples ho rhe h kbi kbi chehra saph ho jata h phir kuch dino k bad vapis hone lgte h rang b savla hone LGA h
Dost aksar problem ka solution hone ke baad hum laparwah ho jate hai, aap aesa na kare. Khane pine mein healthy cheeje khaye aur paani ki maatra adhik le taki sharir ki gandagi peshab ke raste bahar nikal jaye. Iske sath yha bataye hue nuskhe kare fayda hoga.
Mere chehre pe dane he kaise theek ho aur choto choto chend bhi he upay btaye
Asif ye lekh aur yha likhe hue comments padhe aur tips ko regularly follow kare.
Ye sbb try kiya…abhi b pimples aate h…kya karu??
Simran aap apne khane pine ka dhyan rakhe aur paani adhik piye. Sirf upay karna kaafi nahi tavacha ko health rakhne ke liye jaruri poshan bhi chahiye.
Neem face wash karne se kuch problm hai kya
Titu ji neem to face ke liye acha hota hai, par agar ye aap ke chehre ko suit nahi kar rha to mat kare.
are mera pimples thik ho jane Ke baad phir se nikal jate h aur daag v bhuttt ho jate h aur avi v bhuttt sara pimples aur daag h plzzzz mujhe esse thik hone ka upaye btaiye??????
Suraj jitna jaruri sharir ko bahar sesundar dikhana hota hai utna hi jaruri sharir ko andar se swasth rakhna bhi hai. Healthy food khaye aur jada paani piye taki sharir mein jma vishale padarth bahar nikal sake, inke sath upar likhe hue nuskhe bhi kare fayda hoga.
Jo ap Na neem wali tip btai ha ya rozana karna ho ga
Dost hafte mein 2 se 3 din bhi karenge to bahut hai.
mere 2 saal se pimples ho rhe h bo bhi black bale jisse white color me kuch nikalta h
me kya kru
Shashi aap ye lekh aur yha likhe hue sabhi comments padhe aapko solution milega, ise nirantar follow kare fayda hoga.
Meray face pay acne horai hai treatment say b faida nai horha koi solution btadein.sirf galon pr horai hai
Yamna aap ye sabhi articles padhe :: https://sehatdoctor.com/topics/skin/
Mera rang fair h mere maathe pe pehli baar daane nikal gye jo acche ni lag rhe plz sir koi tarika btaiye
Sushil aap mye article padhe aur likhe hue upay kare.
sir mere aakho ke samne kale dhabe he hum kya kre
Twinkal ye dark circles hai to kuch cheejo ka dhyaan dena jaruri hai, jese achi neend lena, jada paani pina, healthy food khana. Iske ilava dark circles se chutkara paane ke gharelu upay hum jaldi hi post karenge aap unhe bhi kar sakti hai.
Sir mere face me pimple aate jate rhate h kbhi jyada ho jate h to kbhi 1bhi n rhte kya karn se esa hota hoga.. And iske upay btaeye..
Akash aap ko jarurat hai body ko andar se swasth rakhne ki, aap ye article padhe :: https://sehatdoctor.com/body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/
Sir chhati aur peeth ke daano kaa upay batayen
Shani chati aur peeth par aksar ghamoriya aur pit nikalti hai, agar aap ko bhi wahi samasya hai to uske upay kare aur agar aap ko lagta hai ye dane bhi chehre ke dano jese hi h to yha bataye hue upay kare.
sir neem ke pani se chehra dona or uska lep vala jo upay h kya use roj krna hoga ……
Sonu is upay ko hafte mein 1 ya 2 baar kare.
mere face par whiteheads bdhte ja rahe hai…nikalne pr b clean nahi hote
Kirat aap ye article padhe blackheads ho ya whiteheads aapko dono mmein madad milegi :: https://sehatdoctor.com/blackheads-hatane-ke-upay-tips-to-remove-naturally-in-hindi/
Sir yaha nimbu garam pani ke sath kaha hi to
Garam kare ya regular pani ke sath
normal hi paryog kare.
Mare face PR muhase nikl rhe h sir ap eska koi elag btado
Harsh yha sabhi upay likhe hue hai aap padhe aur apnaye.
sir…Mera Nam Rupesh h…mane aapke bataye huye tarike use kar raja hu magar mere pimples kam nahi ho rahe he…is liye me kya karu aap bataye…..please.
Rupesh aap ko sabhi upay nahi karne hai 1 ya 2 hi kare aur sahi tarike se follow kare.
sir mere chehre pr kafi salose pimpals h,, mane 2,3 doctor se elaj bhi kraya lekin thik nhi huye sir,, plz ab ap hi kuch bataiye sir,, ki jaldise thik ho jaye.. 2 mahine k bad meri shadi hone wali h,, plz khuch bataiye sir….
Pooja aap yha likhe hue nuskhe apnaye aap ko fayda milega, iske sath khane mein healthy chije khaye aur bharpur paani piye taki skin ko jaruri nutritions mile.
sir..mere face PR Dane..kafi nikalte hai…can u help me sir about how to stop this…
Mayank plz read articla and comments written here, you will get solution.
Sir sabun lagane se koi problam to n he
Asif sabun se skin dry hone lagti hai, agar chehre par pimples hai to aap gharelu cheeje istemal karke bhi muh dho sakte hai, aur agar sabun paryog karna hai to koi herbal kare.
sair mere bhahut jada pimples he
Dost ye article padho aur likhe hue upay kaare.
Sir… Mujhe 4-5 mnth se pimples ho rahe hai aur bich bich me thik bhi ho jate h fir waps hote hai mene multani mitti bhi try ki hai par asar nahi hua to mujhe sirf yahi janna he ke pet ki garmi ke wajhse bhi pimples ho sakte hai aur agr hote hai to pet ko garmi kese dur kare i mean kis typ ki chize khani chhahiye mujhe
Nagma healthy food khaye, paani adhik piye aur tale hue masaledar chijo ke sevan se psrhej kare.
mere chehre pe 3 seal se daane bhare hue hai mera age 15 yrs hai koi tips bataye
Satya aap ye article padhe aur upay kare, sath hi tala hua masaledar khane se parhej kare.
mera naam Bijendra Singh h or mere face pr four months se pimple h or ye thik ho jaate h but new ho jaate h plz give me best solution
Bijendra ji aap apne khan paan mein sudhar kare healthy cheeje khaye, adhik paani piye, tale aur masaledar cheejo se parhejj kare aur sath hi upar bataye hue nuskhe apnaye.
sir mujhe bahut pimpel aata hai maine skin shine lagaya to mera pimple wala jagah red ho gaya koi upaye bataie jis se ye thik ho jaae
Aftab aap kisi product ki bajay upar bataye gye gharelu upay kare fayda hoga.
Thanks govind sir
Govind sir kitne dino me pimpel nikalna band ho jaayega
Dost aap upay sahi tarike se karne kuch hi dino mein farak dikhne lagega.
Mujhe bahut pimple ho gaya use chhutkara pane ke liye kon sa upay behtar rahega
Vijay aap ye lekh padhe aur jo upay aasan lage vo kare.
Govind ji mrre face per bhoot pimples h or mne ye nuske bi ker k dekh liye lakin kuch din thik hoti h fir ho jati h ir jab thik hoti h to rang kala ho jata h m kya kru konsa face wash use kru
Ajaya aap tale hue aur masaledar bhojan se parhej kare, jada paani piye aur upar likhe hue upay kare.
Sir muge 3 saal se pimples a rahe hai bohat upay kiya lekin kuch asar nahi hota sir rang kala aur daag dabhe bi hogai hai kush logo ne kaha ke kuch mat karo kud calgae ge lekin har din 3,4 niKal a ate hai sir batao kya karoo
Sameer aap ko jarurat hai body ko andar se detox karne ki taki sharir ki gandagi bahar nikal sake, aap ye article padhe aur upay kare :: https://sehatdoctor.com/body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/
Sir mere mathe se kil jati hi nhi 4 5 year se h kya kru m
Rahul aap yha likhe upay kare.
bhai poree face pa pimple ha aur skin ka ander bhi ha chote chote aur aubhar rahe ha.. doctor ki medicin se kuch nhi hora hai.
Hitesh aap yha likhe gharelu upay kare aur khane pine mein healthy food khaye.
sir mere face per 3 saal se pure face per pimple hogya hai or pimple k daag or gaada gaada hogya hai katam hi nhi hota sir aap hi kuch bataiye
Gaurav aap yha likhe hue upay kare fayda hoga.
Pimple’s kaise hataye our Daag Dhabbe Kaise Hataye and Oily scean saaf kaise kare.
Vishal pimples hatane ke liye aap upar likhe hue upay kare aur oily skin ke liye ye lekh padhe aur upay kare :: https://sehatdoctor.com/oily-dry-skin-care-tips-gharelu-nuskhe-upay-in-hindi/
Thanks I m very happy for solving my problem.
You are welcome, share this site with your friends too.
Sir mera bahut safed dana hai kya karoo
Agar ye pimples hi hai to upar likhe hue upay kare.
sir maine wo neem vala upay abhi tk kr rha hu bt ko aram hi nhi mil rha h kya kru sir kuch btaeye
Sonu yha aur bhi upay likhe hai aap unhe kar sakte hai.
mere pimples bhtt ho ri h waise to mai chandan lga ri hu par agar ap ur kch upay btaye kyuki khtm to hte h par phir nikl aa ri h plzzz hlp m mera pura face p uske daag bhi pad ri h
Aleeena ji aap yha likhe hue upay kare aur khane pine mein healthy food khaye.
Kya kare bahut face was uz kiye koi fayeda nhi ho raha hai bahut pimples hogi hai
Anshu aap upar likhe upay kare fayda milega.
mere face me pimpal ho gya hai ky kre jo 10 din ke andar thik ho jaye plzzz kuch tips dijiye anda khane se hua tha abhi tk thik nhi hua
Ravi aap upar likhe hue upay kare kuch hi dino mein farak dikhne lagega, par puri tarah thik hone mein kitna samay lagega ye samasya ke karano aur upay paryog karne ke tarike par depend karta hai.
Sir mera chehra puri tarah s muhasoo s bhar gaya h kafi medical ilaz bi karaya pr fayda nhi ho rha .sir in upayo m s jo best ho vo mujhe bataye kyoki ye bahut sare h .ek sath sb kaise ho paiynge.
Shivam aap ko sab upay nahi karne hai aap ko jo karna aasan lage vo kare.
Govind sir nmskar mera chehra itna kharsb ho RHA h ki mere chehra bilkul kharab ho gya
Sir inse koi side effects to nhi hoga na
Meena ji ayurverda upay se side effects na ke brabar hi hote hai aap fir bhi upay karne se pahle apni skin par dusri jagah lga kar check kare agar koi problem na ho to ise kare.
Sir chayya bohat h uska koi upaye bataye
Huzafah chayya kya hai koi dura naam bataye plz.
sir kya tulsi ki.pattiyo se bhi muhase thik ho jate h
Sonu aap ye lekh padhe isme sab jankari milegi.
Mere chehra puri tarh pimpls bad gaye he aur dag nahi ja rahe me patnjali ka lep lagata hu magar Kuch nahi huva aap Kuch batye ki mere pimpls thik ho jaye
Vinay aap is lekh mein likhe hue upay kare fayda milegaa.
hello sir mere chare par pimpals kabhi to pure saf ho jate h to kabhi bahut se pimpals ho jate h iske liye kuch upay btaiye ………
Rohit aap apne khane pine mein healthy food shamil kare, pani adhik piye aur tale hue masaledar cheejo se parhej kare, iske sath upar likhe hue upay bhi kare fayda milega.
Mere chare par 7-8 mahine se pimpal Ho raha hai aor oil bhi Ata hai par mere pimpal kabhi bade bade hi hate hai aor dard bhi Karta hai to bataiye may keya Karun please may bahut paresan hun
Adarsh upar likhe hue upayo mein se jo aasan lage use niyamit roop se kare aur apne khane pine mein fast food se parhej kare.
Hello govind sir me 15 year ka hu mere face per 3 month se muhase nikal rahe hai aap mujhe bata do ki mujhe konsa nuska use karna hai
Manish jo nuskhe aap ko aasan lage aap vo kare.
Plz tell me one creame and face wash also
Promila you can use any herbal aur ayurvedic face wash aur creame of good brand.
This all tips are very nice and it saves our money also thanku you
Mere chehre or til ho gya that mene uspr lehsun ki kali ragdi til to hat gya h but skin jal gai h ab skin vha se nikal gyi h or red red ho gyi h so is Nisan ko kese htaye plzzzz reply……
Alkesh aapm is lekh ko padhe aur upay kare :: https://sehatdoctor.com/face-se-masse-aur-til-hatane-ke-upay-in-hindi/
Sir mere ko 7 sal se pimples ho rahe h or unke bhot sare dag dhabbe face par gehre gehre gadde bhi ho gye or meri skin oily h.. Sir me bhot kuch kar chuka 7 sal se natural ayurvedic sab kuch but kuch result ni mila.kuch ram ban treatment btao sir
Sampreet ji aap yha likhe nuskhe niyamit roop se kare aap ko fayda milega.
safed daane ki kaise hataye?
Agar ye whiteheads hai to aap is article ko padhe aur upay kare :: https://sehatdoctor.com/blackheads-hatane-ke-upay-tips-to-remove-naturally-in-hindi/
Mera face gora hai but face me Thora Thora daag hai agr mai Kapur ur narial tail ko face me lagau to thik ho jayega
Shubham aap ye upay kar sakte hai par iske paryog se pahle kisi aur jagah lga kar jarur dekhe.
hello
sal bhar SE mere face per pimple ho rahe hai
kafi dag bhi pad gaye hai Mene kafi doctors ki salah Lee lekin theek nahi huye me kya karu
please
Kailash ji aap yha btaye hue tips padhe aur regularly follow kare aapko fayda milega.
sir mere face pr small-2 pimple hai kya kru ..
Raj aap upar likhe hue upay kare pimples thik ho jayenge.
Mere chere par bhut mote muhase ho Rahe hai. Bhut khun niklta hai.. Ganthe Ban jati hai kya kru….?