More

    Kale hoth gulabi karne ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    UncategorizedKale hoth gulabi karne ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Kale hoth gulabi karne ke upay in hindi: Kale honth sundar chehre ki khubsurati bhi bigad dete hai. Ladkiyo ke hoth agar kale ho to ve lipstick ki mdad se use chupa sakti hai par agar ladko ke hoth kale ho to ve kya kare. Hotho ka kalapan door karne ke liye kuch log to tarah tarah ki beauty cream, lip baam paryog karte hai par ye products kuch samay ke liye to hotho ko gulabi aur lal bna dete hai par lambe samay mein inse nuksan bhi ho sakta hai. Hotho ki laali (pink lips) wapis lane ke liye hum ghar par bhi kuch upay kar sakte hai. Aaj is lekh mein hum janenge gharelu upay aur nuskhe kar ke hotho ka kalapan kaise dur kare, natural homemade lip care tips in hindi.

    Hoth kale hone ke karan : Causes of Lips Blackness

    • Chai coffee ka adhik sevan karna.
    • Smoking karna, tambacco khana.
    • Jada der tak tej dhoop mein ghumna.
    • Kisi beauty product ka side effect hona.

    Kale hoth gulabi karne ke Upay

    Gharelu Nuskhe for Pink Lips in Hindi

    1. Hontho ka kalapan dur karne mein gulab ki pankhudiya kaafi faydemand hai. Is gharelu nuskhe ko karne ke liye sabse pahle gulab ki pankhudiyo ko pees le aur isme thodi glycerin mila kar paste bna le. Ab is paste ko rojana raat sone se pahle apne hotho par lagaye aur subah dhoye.

    2. Kale hotho ka gharelu ilaj nimbu se bhi kar sakte hai, nimbu ka ras din mein 2 baar hotho par lagaye. Iske ilava thoda sa nimbu ka ras, shahad aur glycerin mein mila kar raat ko sote samay apne lips par lagaye. Kuch din lagatar ye ilaj karne se aapko farak dikhne lagega.

    3. Kaccha doodh le aur isme kesar pees kar black lips par halki massage kare. Lips ka kalapan door karne ke sath sath is upay se aapke hoth pahle se bhi jada sundar dikhen lagenge.

    4. Honth gulabi aur mulayam banane ke liye hum doodh ki malai ka bhi paryog kar sakte hai. Doodh ki thodi si malai le kar usme ek chutki haldi milaye aur halke hatho se hotho ki massage kare. Kuch din ye upay lagatar karne se gulabi honth hone ke sath sath hontho ka rukhapan bhi dur hota hai.

    5. Chakundar (beetroot) khane se ya fir iska juice pine se body mein khoon ki kami puri karne mein mdad milti hai iske ilava chakundar hotho ko gulabi banane mein bhi mdadgar hai. Chakundar ke slice kaat kar lips par malne se lips pink aur beautiful hote hai.

    6. Lips pink karne mein aanar ka ras bhi upyogi hai. Kale hoth gulabi karne ke liye aanar ke ras mein thoda gajar ka ras milakar hotho par lagaye. Is upay se hotho ka rukhapan bhi door hone lagta hai.

    7. Olive oil (jaitun ka tel) lips ko soft aur sundar banane mein upyogi hai. Olive oil ki kuch boonde hotho par lagaye aur malish kare.

    8. Santra (orange) ko apne lips par male. Santre ke ras se back dark lips mulayam aur sundar dikhne lagte hai.

    9. Din mein 2 baar shahad se apne hotho ki malish kare, kuch dino mein aapke hoth soft aur pink hone lagenge. Thoda gulab jal (rose water) bhi shahad mein mila kar paryog karne se hotho ki laali wapis aane lagti hai.

    10. Khire ka ras, nariyal paani aur nimbu ka ras mila kar hotho par lagane se bhi hotho gulabi hote hai.

    Lip care tips in hindi

    • Smoking karne aur tambaco khane se parhej kare. Inse lips jaldi kale hote hai.
    • Hotho ki dekhbhal kare, agar hotho par rukhapan aaye ya fir hoth fatne lage to samay rehte hi iske upay kare.
    • Aap gharelu upay ke ilava makeup se bhi lips ko pink aur beautiful dikha sakte hai par cosmetic wale beauty products kai bar nuksan pahuncha sakte hai, agar aapki skin sensitive hai to herbal products paryog kar sakte hai.

    Upar bataye gye gulabi hoth pane ke upay aapki jankari ke liye hai agar aapki skin jada sensitive hai to koi bhi cream ya gharelu upchar karne se pahle inhe apni body ke kisi aur hisse par lga kar dekhe.

    Rang Gora Karne ke Gharelu Nuskhe

    Oily aur Dry Skin ka ilaj Kaise Kare

    Dosto Hotho ka Kalapan Kaise Dur Kare, Gharelu Nuskhe for Pink Lips in Hindi ka ye article aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass kale hoth gulabi karne ke upay se jude anubhav ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    3 COMMENTS

    1. Sir mere hontho ke fatne ki problem kafi purani lekin kuchh lape Vaseline patanjali lip care lagane se sahi ho jaati thi Maine ek hafte pahle kuchh din race lagayi h tab se ye problem lape se sahi nhi ho rhi poore din shoes pahnne par bhi andar skin dry rahti h constipation ki problem kafi rahti h dawa leta hu to mujhe aisa lagta h ki dawa ko meri body absorve nhi karti h kafi doctors ko dikha chuka hu ab mujhe kya karna chahiye

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles