More

    Ghar Par Makeup Karne ke Tarika – 5 Makeup Tips in Hindi

    UncategorizedGhar Par Makeup Karne ke Tarika - 5 Makeup Tips in Hindi

    Makeup Karne ke Tarika : Har ladki sundar dikhana chahti hai aur yahi karan hai ki makeup karna har ladki ko pasand hota hai. Bahut si ladkiya makeup karwane ke liye beauty parlour jati hai lekin beauty parlour par makeup karwane mein bahut paise kharch hote hai is mehangayi mein har bar makeup karwane ke liye beauty parlour jana aasan nahi. Agar aap makeup kaise kare iske sahi tarike jaan le to aap ghar par khud manchaha makeup kar sakti hai. Is article main hum janenge bridal makeup tips in hindi aur step by step ye bhi janenge ki makeup karne ke tarike kya hai.

    Apni shaadi mein khubsurat dikhna har dulhan ka sapna hota hai. Agar kisi wajah se aap bridal makeup ke liye beauty parlour nahi ja sakti to aap ye tips ghar par khud bhi kar sakti hai. Aaiye jante hai sahi tarike se ghar par makeup kaise kare.

    MakeUp Karne ke Tarike – Bridal Makeup Tips in Hindi

    1. Mouth Wash

    Makeup kisi bhi type ka ho sab se pahla step mouth wash hai. Isse aapke chehre ki dust nikal jayegi. Chehra dhone ke liye aap face wash ya kisi moisturizing cream ka paryog bhi kar sakte hai.

    2. Makeup Base Kaise Banaye

    Makeup base banana ache makeup ke liye sabse important part hota hai, jisse chehre ke keel muhase, daag dhabbe, pimples aur kisi parkar ka nishan ko chipaya jata hai. Aajkal market mein naye naye beauty products available hai jinka paryog hum makeup base banane mein kar sakte hai. Jane Bina makeup sundar kaise dikhe.

    (a) Foundation

    • Makeup ka base banane ka ye pahla tarika hai jo pahle paryog kiya jata tha. Foundation mein koi beauty cream mila kar chehre aur gurdan par halke hatho se thapthapa kar lagaye.
    • Garmiyo mein foundation based makeup karne se paseena jada aata hai jisse makeup jaldi kharab ho jata hai, iske ilava foundation ke paryog se chehre par pimples nikalne lagte hai. Foundation ka paryog 35 saal se adhik umar ki mahilao ke liye jada acha hai.

    (b) Concealer

    • Makeup base banane ka latest aur best tarika hai ki aap concealer ka paryog kare. Concealer kafi tarah ke hote hai, brush type, cream type jo kisi dabbi mein sponj ke sath aata hai aur tube type.
    • Agar aap cream wala concealer paryog kar rahe hai to spaunj ki madad se chehre aur gardan par halke hatho se thapthapaye.
    • Naak(Nose) patla dikhana ho to naak ki dono taraf halke rang ka concealer lagaye aur naak ki lambayi tak highlighter lagaye.

    Foundation ho ya concealer, dono chehre ke rang ke anusar hi lagaye. Example ke liye – Agar aapki skin ka color dark hai to use light color base lagaye. Makeup ka base banane ke liye skin tone se milta hua color hi chune.

    3. First Touchup Kare

    • Makup base banane ke baad next step hai face ko first touchup dene ka, jisme hum blusher ka isteemaal karte hai.
    • Dhyaan rahe ki blush ko faila kar aur daba kar gehra karke na lagaye. Blusher mein bhi skin ke rang ke anusaar color aate hai, isliye aap apne chehre ke rang ke anusar hi blush select kare. Sanwali tavacha ke liye brown colour aur gore rang ke liye pink color ka paryog kare.
    • Makeup ki sahi tarike se finishing karna bahut jaruri hai. Aap ko eyes ka makeup shuru karne se pahle ye dhyaan dena hoga ki aapka makeup base achi se blund ho jaye.

    4. Eyes Makeup Kaise Kare

    • Ab agla step hai eyes ko beautiful kaise banaye. Eyes badi aur sundar dikhane ke liye bari bari se eyeliner, maskara aur eyeshadow ka istemaal kare.
    • Sabse pahle eyeshadow lagaye, ise aap apni dress ke according select kar sakte hai. Aankho ko jada attractive dikhane ke liye dark color use kare.
    • Eyes makeup ke dusre step mein eyeliner ka paryog kare. Agar aap ankho ko gehra dikhana chahte hai to aankho ke niche bhi eyeliner lagaye, isse aankhe badi badi lagegi aur aapko kajal bhi nahi lagana padega.
    • Ab baari hai maskara lagane ki. Maskara behad dhyaan se paryog kare, jaldbaji mein kiya gya to ye aapki eyes ka makeup kharab kar sakta hai.
    • Agar aapki eyebrow ki shape sahi nahi hai to aap eyebrow pencil se eyebrow ko shape de sakte hai.
    • Jane Nose se Blackheads Kaise Remove Kare
    • Jane Aankho ke Neeche Dark Circles Kaise Hataye

    5. Lips ka Makeup Karne ke Tarike

    • Lips ke makeup ke liye lipstick ka paryog kare. Lipstick bhi kafi colors mein aati hai isliye aap apni skin ke according hi lipstick ka color chune.
    • Jis tarah makeup lagane se pahle aapne makeup base banaya thik vese hi lipstick lagane se pahle aap hotho ka base banaye jiske liye aap primer ka paryog kare. Isse hotho ki darare chip jati hai. Iske baad lip liner se hotho ki outline banye aur uske baad hotho par lipstick lagaye.
    • Lipstick lagate samay lip line ka dhyaan rakhe. Aapki lipstick lip line se bahar na jaye.
    • Lips ki shinning ke liye aap lip glow ka paryog bhi kar sakte hai.
    • Jane Gharelu Nuskhe for Pink Lips in Hindi.

    Quick Makeup Tips in Hindi

    MakeUp Karne ke Tarike, Bridal Makeup Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaise laga hame comment kar ke bataye. Ghar par makeup kaise kare ka ye article hamara ek paryas hai beauty tips sahi se samjhane ka, aur agar is koshish mein humne koi mistake ki hai ya fir kuch add karna bhul gaye to niche commemt kar ke jarur bataye. Makeup karne se sundar kaise dikhe, agar is topic par aapke pass koi sujhav ya tips ho to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    22 COMMENTS

    1. Mere paas kiss beauty makeup fixer spray he usko kab lagana makup lagane k baad ya makup se pehle aur mujhe isla sahi tareeka batade kitni der lagana he aur aur spray karke ponchna he k sukhana he

    2. Chehre se paseena bahot aata he mackup nahi lag paata na sunscreen lagti he sab beh jaata he koi upay bataye k mackup na bahe aur koi bhi cream na bahe

      • Seema ji aajkal kai parkar ki creams aati hai jinke paryog se makeup lambe samay tak rehta hai aur paseene se kharab nahi hota, aap kisi beauty expert se mil kar aesi creames ke bare mein jankari le.

    3. mere face pr bahut se pimple ho rhe and next month meri sister ki shadi h to kuch upaye btaye jisse mera face achha dikhe.
      thank u

    4. Maira Baal bahut girta hai, or lamba bhe nahi hota, 2 saal pahle, Maine jara Sa hair katwaya tha, us k baad jra se bhe hair me growth ni aaya, kya karu Mai, plzzzzzz hlp me

    5. NYC tips dear but parlour m jao to vo to face ka base banane ke liye bhut kuch use karti h but ap na just 2 product sa he face ka base bana dya vo kasa Dear tell me

      • आजकल बाजार में कई प्रकार की ब्यूटी क्रीम आ रही है, मेकअप करने का तरीका सब का अलग अलग होता है, हमने कुछ कॉमन तरीके शेयर करने का प्रयास किया है।

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles