More

    Pati Patni ke Rishte Mein Pyar Bdhane ke Liye 10 Jaruri Baate

    UncategorizedPati Patni ke Rishte Mein Pyar Bdhane ke Liye 10 Jaruri Baate

    Pati aur patni mein pyar bdhane ke tarike in hindi: Jis family ke logo mein pyaar hota hai wha ladai jhagda, grah kalesh, tension nahi hoti sirf khushiya hoti hai, kyuki jis parivar mein pyaar hota hai wha sab milkar har problem ka solution aasani se nikal lete hai. Pati aur patni ke rishte mein prem ho to parivar mein bhi prem bdhta hai par jab pati patni ke beech jhagde aur tanav ho to iska bura asar family ke dusre members par padne lagta hai. Kuch log pati aur patni ka rishta sudharne ke liye vashikaran mantar aur totke karte hai par aaj is article mein hum kuch aese tarike janenge jisse pati patni mein anban ke upay karne aur marriage life mein pyar bdhane mein madad milegi.

    Husband wife jab ek dusre par bharosa karte hai aur ek dusre ka haath thaam kar aage badhte hai to unka rishta aur majboot hone lagta hai aur pyaar mein nikhar aata hai. Har pati patni chahte hai ki unke beech hamesha pyaar bana rahe par kai baar kuch misunderstanding ki wajah se ladai aur hagde hone lagte hai jisse ghar mein kalesh hote hai. In sabse se bachne ke liye aapsi sambandh sudharne ke liye kuch upay kar sakte hai.

     

    Pati patni ke beech jhagde ke karan

    Pati patni jab khud ko sahi sabit karne mein lage rehte hai, aese rishte jada majboot nahi ho pate jisse pati patni mein anban rehne lagti hai. Agar aap apne rishte ko bachana chahte hai to khud ko sahi saabit karne ki bajay ek dusre ko samhne ka pryas kare aur sath milkar har problem ka solution nikale.

    Arrange marriage mein shuru mein pati patni ek dusre ko jada jante nahi, unhe ek dusre ko smjhne mein thoda  time chahiye hota hai. Jab dono ek dusre ko samjhne lagte hai tab jaruri hai ki ve ek dusre ki respect kare, koi kisi ko niche na dikhaye aur feelings ki kadar kare.

     

    Pati Patni Mein Pyar Bdhane ke Tarike

    Pati aur Patni ka Rishta Maboot Karne ke Upay

     

    1. Ek dusre ko samay de taki ek dusre ko ache se samjh sake. Jab husband aur wife ek dusre ko time nahi dete tab dono ke beech ka communication gap badhne lagta hai jisse ek dusre ki pasand aur napasand ko nahi jaan pate aur anjane mein kuch aesa kaam kar dete hai jo aapke saathi ko pasand nahi aate. Ek dusre ko time dene se rishta majboot hota hai aur pyaar bdhta hai.

    2. Present mein jiye aur future ke liye plan kare. Pati aur patni ko kabhi ek dusre ke past ke bare mein jada detail mein discuss nahi karna chahiye. Aksar hamare past mein kuch aesi chije hui hoti hai jo pati patni ke beech jhagde aur tanav ka karan ban sakti hai. Isliye past ki aesi baate discuss na kare jiska bura asar aapke relation par pade.

    3. Apne sathi ki care kare aur use is baat ka ehsaas karwaye ki vo akele nahi hai aap har pal unke sath hai chahe dukh ho ya sukh aap hamesha unke sath rahenge. Isse aap dono ke rishte mein vishwas bdhega aur rishta aur bhi majboot hoga.

    4. Pati patni ko chahiye ki ve ek dusre ki pasand aur napasand ka khayal rakhe aur usi hisab se kaam kare. Isse aapke sathi ko khushi milegi aur pati patni ka pyar badhega.

    5. Apne sathi ko apne pyaar ka ijhaar karte rahe aur unhe ye ehsaas karaye ki ve aapke liye kitne khaas hai. Isse pati aur patni ke rishte mein prem aur gehra hota hai.

    6. Ek dusre ki respect kare, khud ko sahi sabit karne ke chakar mein apne partner ki insult na kare aur na hi apne sathi ko kabhi nicha dikhane ki koshish kare.

    7. Apne partner ki koshisho ko appreciate kare, unhe barabri ka darja de aur unki ichao ka samman kare.

    8. Kai bar aapke partner kuch aese decision leta hai jisse aap sehamat nahi hote. Aese mein galat tarike se react na kare aur dono baith kar baat kare aur jane ki aapke sathi ne aesa decision kyu liya aur aap bhi unhe pyar se samjhaye ki unke is decision se kya galat ho sakta hai. Ladai jhagde ki bajay shant dimag se baith kar ki hui baat se problem ka solution jarur milta hai.

    9. Agar financial problem ki wajah se aapas mein jhagda ho to mahine ki shuruat mein hi ek budget banaye aur budget mein reh kar hi apne kharche kare aur sath hi dono milkar apni financial condition ko sudharne ki koshish kare. Isse pati aur patni ka rishta aur majboot hoga.

    10. Kai bar hum apne gusse par control nahi kar pate aur gusse mein kuch aesi baate bol jate hai jo nahi bolni chahiye aur iska bura asar relation par padta hai. Ladai jhagde aur gusse se kisi baat ka solution nahi nikalta balki situation aur bhi kharab ho jati hai. Isliye gusse par control kare aur pyaar se kaam le.

     

    Dosto ye tarike apnane ke baad aesa nahi hai ki aapko ek dum se result mil jayega, isme kuch samay lag sakta hai isliye sabr rakhe aur dil se koshish karte rahe.

     

    Pati patni me prem ke upay in hindi

    • Ek dusre par shak na kare aur nahi hi ek dusre ka majak udaye.
    • Kisi aur ki baton mein aa kar kabhi apna rishta kharab nahi karna chahiye.
    • Pati patni ke rishte mein pyar hona chahiye aur sath hi physical relation mein bhi madhurta honi chahiye.

     

    Jesa humne shuru mein bataya kuch pati aur patni apne partner ko vash mein karne ke liye vashikaran mantar aur totke ka sahara lete hai. Agar aap chahte hai ki aapke rishte mein prem badhe aur rishta majboot ho to upar bataye hue upay aur tarike apnaye.

     

    Is lekh mein aapne jana pati aur patni ka rishta majboot kaise kare. Dosto pati aur patni ke rishte mein pyar kaise bdhaye is bare mein apne anubhav aur sujhav hamare sath share kare aur aapko ye article pati patni mein pyar bdhane ke tarike aur upay kaisa laga hame bataye.

    Recent Articles

    2 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles