More

    पेट फूलने और भारीपन के आसान घरेलू उपाय – Pet Fulne Ka ilaj in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेपेट फूलने और भारीपन के आसान घरेलू उपाय - Pet Fulne Ka ilaj in Hindi

    Pet fulne bharipan ka ilaj gharelu upay aur nuskhe in hindi: Pet ka bhari hona, pet fulna, marod uthna aur dard rehna in sab ka parmukh karan pet me gas ki samasya hona hai. Aksar kuch logo ka kehna hota hai ki unhe khana khane ke bad pet me bharipan mehsus hota hai jis wajah se unhe sara din becheni hoti hai aur pet ke alag alag hisse me dard mahsoos hota hai. Dosto kai bar dakar na aana aur pet se gas na nikalne ki wajah se gas pet ki aanto me jama hone lagti hai aur stomach heaviness aur tightness ki pareshani hone lagti hai. Pet fulne ki bimari ka upchar karne aur bharipan dur karne ke liye kuch log gas ki dawa ka sahara lete hai par medicine lene ke baad bhi samasya se chutkara nahi milta. Aaj is lekh me hum janenge pet fulne ka ilaj aur pet me bharipan kaise dur kare, home remedies and ayurvedic treatment for stomach bloating in hindi.

     

     

    पेट में भारीपन और फूलने का कारण – Pet Fulne Ka Reason

    • Pet me healthy bacteria kam hona
    • Pet thik se saaf na hona aur kabj banna
    • Aanto me gas jama hona
    • Khane peene ka tarika sahi na hona
    • Jaldi jaldi khana khana
    • Bhojan karte waqt jada paani peena
    • Lambe samay take ek hi jagah baithe rehna

     

    पेट फूलने के लक्षण – Pet Fulne Ke Lakshan

    • Gas pass na hona aur dakar aana band hona
    • Kabhi pet ke right hisse to kabhi left hisse me dard hona
    • Pet tight hona aur heaviness mehsoos karna
    • Kuch bhi khane ke baad pet bhari hona
    • Pet me sujan aur garmi ki samasya

     

    पेट फूलने का इलाज घरेलू उपाय और नुस्खे

    Pet Fulne Ka ilaj Aur Gharelu Upay in Hindi

     

    1. Hamare pet me kai acche bacteria hote hai jo khane ko digest karne me mdad karte hai, par kai bar galat khan paan, kisi gambhir bimari aur antibiotic dawao ka jada sevan karne ke karan pet me healthy bacteria kam ho jate hai jisse khana thik se nahi pachta aur pet fulna bhari hona jesi bimari hone lagti hai.

    2. Dahi me pet ko swasth rakhne ke liye acche bacteria maujood hote hai. Vese to aap apne aahar me dahi le sakte hai par subah khali pet dahi khane se ye aasani se badi aant tak pahuch jati hai aur pet ko aaram milta hai.

    3. Seb ka sirka, gajar ki kanji, fruits me bhi ache bacteria hote hai, inhe kuch din apni dincharya me shamil kare aap ko aaram mahsus hone lagega.

    4. Pet fulna upchar ke liye ghar par churan bhi bana sakte hai. Ajwaine, saunth, kali mirch aur kala namak ye sab barabar matra me le aur pees kar churan ban le. Is churan ko garam pani ke sath le ya fir chaach me mila kar piye. Is gharelu nuskhe se pet fulne ki samasya ka samadhan hone lagega.

    5. Gas na nikalne ki wajah se bhi pet bhari rehna aur fulne ki samasya hoti hai. Halka garam nimbu paani peene se gas pass hone lagegi aur pet me gas ka banna band hoga.

    6. Pudeena pet ki gas dur karne ka sabse acha upay hai. Ise aap chai me mila kar bhi le sakte hai.

    7. Khana khane ke baad pet fulne ka ilaj ke liye ek gilass paani me thoda nimbu ka ras aur sendha namak mila kar dhire dhire piye, is upay se pet ke afara se chutkara milne lagega.

    8. Pet fulne ke upay me adarak ki chai, saunf ke beej, pudeena, adarak, ajwaine, jeera, kaddu, kela, papita, palak, nimbu paani ye kuch choti choti gharelu chije hai jo pet ka fulna dur karne me kargar hai.

    9. Khane me lahsun aur adarak ka paryog kare. Adarak ki chai piye ya fir adarak pees kar aahar me iska sevan karne se 2 se 3 din me pet fulne ki samasya door hone lagegi.

    10. Bhojan karte samay apni daal aur sabj me 1 chammach desi ghee mila le isse mal aanto me nahi chipkega.

     

    पेट में भारीपन हो तो क्या करे – Pet Me Bharipan Kaise Dur Kare in Hindi

    • Khana khane ke baad turant chai peena ya fir khane ke samay jada paani peena kuch aese karan hai jo pet me bharipan aur marod ka karan bante hai. Chai peena hai to khane ke 1 ghanta baad hi peena chahiye.
    • Aksar hum bhojan karte samay cold drink peete hai jo ki bahut galat aadat hai. Isse pet me gas banti hai aur khana bhi thik se nahi pachta.
    • Shadi ya kisi function me jana aur bina soche samjhe ek ke bad ek bemal khana khane se bhi pet kharab hone lagta hai. Chahe aap mahine me 1 din hi jate ho iski shuruat wahi se hoti hai.
    • Pet me bharipan kabj ki vajah se ho to hafte me 1 bar trifla churan ka sevan kare ye pet saaf karne me ramban upay hai.
    • Ek sabse badi galti jo aksar hum karte hai ki jese seb, badam pet ke liye acha hota hai to hum din bhar seb hi khate rehte hai. Dosto jada matra me kisi chij ka sevan kiya jaye to usse vo fayda nahi milega aur pet me gas hone lagegi.
    • Fiber wali chije pet ke liye achi hoti hai par adhik matra me fiber wale food khane se pet me gas banne lagti hai. Isliye achi chijo ka sevan bhi jarurat se adhik nahi karna chahiye.
    • Pet ka bharipan kaise dur kare, sham ko gunguna paani piye aur ho sake to thande paani se dur rahe.
    • Pet me chipakne wali chije khane se parhej kare jese maida se bani hui chije, fast food. Inhe pachne me adhik samay lagta hai aur aanto me jama hone lagta hai.
    • Jada namak aur jada meetha khane se bhi bachna chahiye.
    • Apne din ki shuruat yoga aur exercise se kare, Lambe samay take k jagah na baithe rahe aur raat ko khane ke baad tuant sone na jaye.

     

    पेट से गैस ना निकलना उपाय – Pet Ki Gas Pass Na Hona

    • Apne aahar me lahsun ka paryog kare.
    • Pudeene ki chai ka sevan kare.
    • Gunguna nimbu pani piye.
    • Masaledar aur tej mirch wale khane se parhej karna chahiye.
    • Hing ko pani me pees kar nabhi ke pass lep karne se gas nikalne lagegi.

     

    Dosto pet fulne ka ilaj aur pet me bharipan ke gharelu upay nuskhe in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass pet ka bhari hona aur fulna ka treatment se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles