More

    पेट की गर्मी दूर करने के 10 आसान उपाय – Pet Ki Garmi Ka ilaj

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेपेट की गर्मी दूर करने के 10 आसान उपाय - Pet Ki Garmi Ka ilaj

    Pet ki garmi ka ilaj aur upay in hindi: Aaj ke samay me hamare khane pine ki aadto aur badalte mausam ke karan hum jaldi hi pet ki bimari se grast ho jate hai fir chahe vo pait me gas, kabj ya acidity ki samasya ho. Pet me garmi hone par thik se pet saaf na hona aur jalan ki samasya hone lagti hai. Kuch log pet ki garmi dur karne ke liye dawa ka sahara lete hai par aap bina medicine ke gharelu upchar aur ayurvedic nuskhe apna kar ghar par hi aasani se ilaj kar sakte hai. Aaj is lekh me hum janenge pet me garmi kam karne ke upay kaise kare.

    Pet me garmi hone par pareshani tab badhti hai jab thik se ilaj na kiya jaye. Bahut se logo ki ye aadat hoti hai ki sharir me koi bhi rog ho jaye to jhat se dawa le lete hai. Baat baat par bina doctor ki salah ke dawa khane ki aadat sharir ko nuksan karti hai. Pet me garmi tab hoti hai jab hum khane pine me dhyan na de aur kuch bhi galat kha pi lete hai. Garmi hone ki wajah se aksar munh aur gale me chale nikal aate hai jisse khane pine me kafi pareshani hoti hai.

    Pet ki Garmi ka Karan

    • Jada masaledar chije khana
    • Sham ke baad jada khane se
    • Acidity hone ke karan
    • Dard nivarak dawao ka adhik sevan karna
    • Smoking aur sharab ka sevan karna

    Pet ki Garmi ke Symptoms in Hindi

    • Seene me jalan hona
    • Pet me jalan mehsus hona
    • Munh jeebh aur hotho par chale padna
    • Sharir par laal rang ke chote chote daane nikalna

    Pet ki Garmi ka ilaj in Hindi

    Pet ki Garmi Kam Karne ke Upay

    1. Ek chammach haldi ka powder 1 gilass halke garam pani me mila kar is se grare kare. Is gharelu nuskhe se pait ki garmi dur hoti hai.

    2. Pet ki garmi kaise dur kare, arhar ki daal ko barik pees kar pine se pet dard se rahat milti hai aur pet ki garmi bhi dur hoti hai.

    3. Har roj nariyal pani pine se pet ki garmi se rahat milti hai.

    4. Pait ke rog thik karne me neem bhut upyogi hai. Pet ki garmi dur karne ke liye har roj neem ka datun karna chahiye.

    5. Gud ka paani pine se gale ki sujan aur pet ki garmi me rahat milti hai.

    6. Babul ki chaal pees kar paani me ubaale aur isse kulla kare. Is gharelu upay se bhi pet ki garmi me aaram milta  hai.

    7. Pani me nimbu aur kala namak mila kar pine se pet ke rog khatam hhote hai aur pet ki samasya se bachne me mdad milti hai.

    8. Piliya hone ke karan pet aur liver ki garmi ki samasya hoti hai aese me ganne ka juice, chaach aur nariyal paani ramban ilaj ka kaam karte hai.

    9. Pet me garmi ke upay aur isse turant chutkara pane ke liye gungune pani me nimbu ka ras mila kar piye.

    10. Sharir ki garmi se bachne ke liye jitna ho sake thandi chijo ka sevan kare jese ki sharbat, nariyal ka pani, chaach aur nimbu paani. Shahad khane se bhi sharir ko thandak milti hai.

    Pet Me Garmi Hone Par Kya Khaye

    1. Pet ke rog dur karne me dahi aur lassi ka sevan karne se kaafi aaram milta hai. Pet ki garmi kam karne me bhi dahi aur lassi ka sevan faydemand hai. Inhe aap apne aahar me bhi shamil kar sakte hai.
    2. Chawal me thodi chini aur ghee mila kar khane se pait ki garmi ka ilaj karne me mdad milti hai.
    3. Hafte me 2 se 3 bar dahi aur chane ki daal ke sevan se kai parkar ke rog dur hote hai. Pet mein garmi ho jane par bhi isse aaram milta hai.

    Pet ke Rog se Bachne ke Upay in Hindi

    • Paani adhik matra me piye. Isse sharir ki gandagi bahar nikalti hai aur pachan thik rehta hai jisse pet ke rog nhi hote.
    • Sahi samay par khana khaye aur khana hamesha chba chba kar aaram se khaye.
    • Khana khane se 1 ghanta pahle 1 gilass paani jarur piye aur khane ke dauran aur khane ke baad kam se kam aadhe ghante tak paani nhi pina chahiye.
    • Tej masaledar khane aur bahar ke fast food se parhej kare.
    • Pet ke rogo se bachne ke liye paani gunguna kar ke piye.
    • Sharab aur smoking se sevan se dur rahe.
    • Baat baat par dard nivarak dawao ka sevan na kare.
    • Raat ko sone se pahle tambe ke bartan me paani bhar kar rakhe aur subah khali pet isi bartan se paani piye.
    • Yoga aur exercise se din ki shuruat karne par sharir kar tarah ke rogo se bacha rehta hai.
    • Rajiv Dixit ke Nuskhe
    • Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
    • Baba Ramdev ke Ayurvedic Upchar

    Dosto pet ki garmi ka ilaj in hindi, pet me garmi dur karne ke upay ka ye article kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass pait me jalan, garmi, acidity, kabj, gas aur dard ke ilaj ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles