More

    Best 5 Piles Treatment at Home in Hindi – बवासीर का इलाज घरेलू नुस्खे

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेBest 5 Piles Treatment at Home in Hindi - बवासीर का इलाज घरेलू नुस्खे

    Piles treatment at home in hindi (पाइल्स ट्रीटमेंट): Piles ko hemorrhoids aur bawaseer ke naam se bhi jante hai, is rog me guda ke pass naso me sujan ho jati hai jisme se blood nikalne lagta hai. Piles starting symptoms me khoon ke halke dhabbe dikhna aur sath hi khujli, dard aur jalan mehsus hona aam hai. Bawasir ke masse khatm karne aur dard dur karne ke liye kuch log kai tarah ki tablet khate hai par bina medicine ke gharelu upchar aur ayurvedic dawa se bhi piles ka ilaj kiya ja sakta hai. Aaj is lekh me hum janenge natural home remedies (gharelu nuskhe), ayurvedic and homeopathy medicine for piles pain treatment in hindi at home for male and female.

    Bawaseer 2 parkar ki hoti hai internal aur external. Internal piles me masse guda ke andar ki side hote hai aur toilet karte samay inme tej dard hota hai aur khoon bhi nikalne lagta hai. External piles guda ke bahar ki taraf hote hai jinme khujli aur jalan hoti hai aur masso par khujli karne par inse khoon aane lagta hai. Agar shuruati lakshan pehchan kar jaruri upay kiye jaye to bawasir ko badhne se roka ja sakta hai aur iska jaruri upchar bhi kiya ja sakta hai.

     

    Symptoms of Piles in Hindi (पाइल्स के लक्षण )

    • Bawasir symptoms me starting days me guda ke aas pass dard hona, khujli hona aur jalan hoti hai, iske ilava kuch aur lakshan bhi hai jinse bawaseer ki pehchan ho sakti hai.
    • Guda ke pass andar ya fir bahar ki taraf masse ya ganthe dikhna.
    • Masso se khoon nikalna. Latering karte samay masse se khoon aana iska bada lakshan hai. Problem kam ho to blood thoda nikalta hai.
    • Latering karte waqt jab jor lagate hai tab guda se masse bahar nikal aate hai. Kai bar to ye masse khud hi andar chale jate hai par kai bar inhe hath se andar dhakelna padta hai.
    • Piles ke lakshan me bar bar toilet ke liye jana par toilet karte waqt naa aana bhi hai.

    Bawaseer Ke Karan (पाइल्स होने के कारण)

    1. Piles hone ka sabse bada karan kabj hai. Kabj hone ki wajah se latering karte waqt jada jor lagana padta hai jisse guda ke pass wali naso par dabav padta hai jisse inme sujan aa jati hai.
    2. Pregnancy ke dauran aksar mahilao ko bawaseer ho jati hai.
    3. Motapa bhi bawasir hone ka ek karan hai.
    4. Jada der bina hile ek hi jagah baith rehne se piles jaldi hoti hai.

    Piles Treatment At Home in Hindi

    पाइल्स का इलाज के घरेलू नुस्खे और उपाय

    Piles ke symptoms aur causes ki jankari ke baad hum piles ka treatment karne ke liye gharelu nuskhe, ayurvedic upchar baba ramdev patanjali medicine name aur homeopathy dawa ke bare me janenge.

    Piles Treatment Home Remedies in Hindi (बवासीर टीटमेंट के घरेलू नुस्खे)

    1. Piles ka ilaj ke liye nariyal ki jata ramban ka kaam karti hai. Nariyal ki jata ko jala kar raakh bana le aur is rakh ko 3 gram matra me le kar 1 cup dahi ya lassi me mila kar khaye. Din me 3 bar is upay ko karne par hi aap ko piles ki bleeding aur pain me relief milne lagega.

    2. Bawasir kesi bhi ho kachi muli khane ya fir iska ras pine se kafi aaram milta hai. Muli ka ras ek bar me 25 se 50 gram tak hi le.

    3. Kabj banne aur pet thik se saaf naa hone par isabgol ki bhusi ka sevan kare.

    4. Khooni aur baadi bawaseer treatment me anjeer bhi upyogi hai. 2 Sukhe anjeer raat ko sone se pahle paani me bhigo kar rakh de aur subh khaye. 10 se 12 din is home remedey ko karne par har tarike ki piles me aaram milta hai.

    5. Badi ilaychi 50 gram le aur tave par bhun kar iska churan bana le. Har roj khali pet subah paani ke sath ye churan lene se piles thik hote hai.

    6. Bawaseer ki samasya agar bar bar hoti hai to dopehar ke bhojan ke baad lassi ka sevan kare aur lassi me thodi ajwaine aur sendha namak mila le.

    7. Masse ka ilaj karne ke liye arandi ka tel 80 gram garam kar ke isme 10 gram kapur mila kar rakhe. Ab masso ko saaf paani se dho kar ache se saaf kar le aur is tel se masso par halke se malish kare. Din me 2 bar is desi nuskhe ko karne par masse ki sujan, khujli, jalan aur dard se aaram milega.

    Patanjali Ayurvedic Medicines For Piles in Hindi (बवासीर पतंजलि आयुर्वेदिक मेडिसिन)

    • Bawaseer treatment ke liye baba ramdev yoga ke sath sath ayurvedic nuskhe ke bare me bhi logo ko jankari dete hai. Agar aap ilaj ke liye patanjali ki bawasir medicine lena chahte hai to divya arshkalp vati le.
    • Divya Arshkalp Vati patanjali ki ayurvedic dawa hai, ye dawa din me do bar 1 se 2 tablet pani ya lassi ke sath le.

    Piles Homeopathy Treatment in Hindi (पाइल्स की दवा होम्योपैथिक ट्रीटमेंट)

    Homeopathic medicine bhi piles ke treatment me kafi upyogi hai. Yha hum aap ko bawasir ke ilaj ke liye 5 homeopathic dawa ke name bata rhe hai. Ye naa sirf aapki jankri ke liye hai inhe shuru karne se pahle homeopathy doctor se salah jarur le.

    1. Ratanhia – Piles ke sath pain hone par dawa
    2. Hamamelis – Khooni bawasir ke liye piles medicine
    3. Graphites – Kabj ke sath bawaseer ki homeopathy dawa
    4. Aesculus – Peeth dard ke sath bawasir ke liye medicine name
    5. Nux Vomica – Lambe samay tak baithe rehne se hone wali piles ke liye dawa

    Piles Ka Treatment Yoga Se Kaise Kare (बवासीर में योग)

    • Achi sehat pane aur rogo ka upchar karne me yoga karne se kafi fayda milta hai, bawasir ke rog me bhi yoga karna acha upay hai.
    • Baba ramdev yoga for piles in hindi me anulom vilom aur kapalbhati pranayam din me 2 bar karna chahiye.

    Bawasir Me Kya Khana Chahiye (बवासीर में क्या खाना चाहिए और क्या नहीं)

    • Paani adhik piye, lassi aur karele ka ras bhi piles me benefit karta hai.
    • Dahi chawal, mung daal ki khichdi, daliya, desi ghee.
    • Khane ke baad amrud khaye.
    • Falo me kaccha nariyal, kela, papita, aanar, anjeer, aawla khaye.
    • Sabjiyo me chukundar, muli, jimikand, gajar, palak, tamatar.
    • Bawasir me kya nhi khana chahiye me sab se jaruri hai smoking aur sharab se parhej kare.
    • Jada chai aur coffee ka sevan naa kare.
    • Tej mirch aur masaledar khane se bache.
    • Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe
    • Baba Ramdev Ayurvedic Upchar

    Dosto Piles Treatment At Home in Hindi, Bawasir Ke Masse Ka ilaj Gharelu Nuskhe ka ye lekh aap ko kaisa laga hame bataaye aur agar aapke pass piles ka ilaj upchar aur upay ke liye ayurvedic medicine homeopathy treatment se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles