More

    Bar Bar Muhase Nikalne ke Karan aur 5 Aasan Upay Hindi Mein

    UncategorizedBar Bar Muhase Nikalne ke Karan aur 5 Aasan Upay Hindi Mein

    Pimples ka ilaj aur upay hindi: Aajkal khane pine ki galat aadto aur tarah tarah ke cosmetics beauty cream ya koi dawa paryog karne ke karan logo ko muhase (acne) nikalne ki samasya se jujhana padta hai. Kuch logo ko pimples ka treatment karne par isse ek baar to chutkara mil jata hai par kuch samay baad pimples fir se nikal aate hai. Vese makeup ka sahara le kar bhi chehre ke muhase chupa sakte hai par ye koi solution nahi hai. Kya Kyu Kaise ke is lekh mein hum bar bar muhase nikalne ke karan aur kil muhase hatane ka gharelu ilaj ke upay aur nuskhe janenge, acne remove treatment tips in hindi.

     

    Muhase Hatane ka ilaj ke Gharelu Upay

    Pimples ka ilaj aur Upay in Hindi

    Kai bar face par ek pimple nikalta hai jo kuch samay baad apne aap thik ho jata hai par jab ye samasya bar bar ho aur ek se adhik muhase nikle tab ye chehre ki khubsurati bigad dete hai, kyuki kai bar pimples thik hone ke baad nishan reh jate hai jinhe hatane mein jada samay lagta hai.

    Gaalo ke ilava hamare maathe (forehead) ki skin bhi kaafi najuk hoti hai jahan sabse adhik muhase hote hai. Kai bar muhase skin ki bahari tvacha par nikalne ke sath sath bhitari satah par bhi nikalte hai jinhe rokna hamare liye mushkil bhara hota hai.

     

    Bar Bar Muhase Hone ke Karan

    Chehre ke pimples ka ilaj ke tarike aur gharelu nuskhe janne se pahle inke karno ko janna jaruri hai kyuki aesa nahi hai ki hamari galti ki wajah se hi bar bar pimples nikalte hai. Skin problem, tala hua masaledar khana, face par beauty products ke experiment kuch parmukh karan hai jinki wajah se muhase nikalte hai, par inke ilava kuch aur reasons bhi ho sakte hai jinki wajah se pimples hote hai.

    1. Maathe aur gaalon par bar bar kil muhase nikalna kharab pachan tantar ki wajah se bhi ho sakta hai. Isliye jaruri hai ki digestion acha rahe, iske liye paani adhik matra mein piye aur apni diet mein healthy food shamil kare. Iske ilava fast food, smoking aur sharab jesi chijo se dur rahe aur apne daily routine mein yoga, exercises shamil kare.
    2. Agar skin oily hai to tavcha mein jama oil ki wajah se rom chidar band ho jate hai jis wajah se bar bar muhase hone lagte hai. Tvacha ke rom chidar kholne ke liye moisturizing, skin toning aur cleansing ek aasan tarika hai. Iske ilava chehre ko bhaap dene se bhi rom chidar khulne lagte hai, par muhase wali skin par jada bhaap dene se bhi bache.
    3. Kuch medicines bhi hai jinke adhik paryog se bar bar acne problem hoti hai. Harmons ki samasya se related koi bhi dawa ke paryog se pahle doctor ki salah jarur le, jese garbh nirodhak dawaye. Kai bar body mein harmons mein changes aane ki wajah se bhi pimples ki samasya hone lagti hai jese ki girls ko periods ke baad chehre par muhase ho jate hai. Iske ilava genetic karno se bhi face par pimples ki problem ho jati hai.
    4. Hame hone wali bahut se sharirk aur mansik rogo ka mukhay karan hai jada stress lena. Isliye jaruri hai ki ek healthy lifestyle apnaye. Meditation aur yoga stress relief karne ka sabse behtar upay hai.
    5. Busy lifestyle ki wajah se aksar hum apne khane pine ka dhyan nahi rakh pate aur kabhi bhi kisi bhi samay hum kuch bhi kha pi lete hai. Is aadat ko jitna jaldi ho badle aur sahi samay par healthy bhojan kare.

     

    Ye kuch aese karan hai jinki wajah se face par bar bar pimples problem hoti hai. Agar aap bhi muhase niklne ki samasya se pareshan hai to in karno ko dhyan se padhe aur inka upchar kare kyuki jab karan khatam ho jayega to samasya apne aap hi khatam ho jayegi.

     

    Muhase Hatane ke Gharelu Tips in Hindi

      • Muhase se chutkara pane mein besan kafi upyogi hai. Besan mein doodh mila kar iska paste chehre par halke hatho se lagaye. Is gharelu tarike ko hafte mein 2 – 3 baar karne se pimples se nijat milti hai.

    • Bar bar muhase ki pareshani rokne ke liye nimbu ka pryog kar sakte hai. Nimbu mein antioxidant gun hote hai jo chehre ki dead skin hatane mein asardar hai. Nimbu ko beech se kaat kar face par ragad sakte hai ya fir nimbu ke ras ko cotton ki madad se bhi face par laga sakte hai. Hafte mein 3 – 4 din is upay ko karne se muhase aana band hote hai aur face par glow aata hai.
    • Kacche doodh ke paryog se bhi pimples hatane ke upay mein madad milti hai.
    • Papite ke gude ko pees kar iska face pack chehre par lagane se bhi muhaso se chutkara milta hai. Papite ke face pack mein shahad bhi mila sakte hai. Is upay se tvacha ki dead skin saaf hoti hai aur chehre par nikhar aata hai.
    • Skin acne problem ke upchar mein kheera aur tamatar ka istemal karna bhi faydemand hai. Kheere aur tamatar ka paste bana kar face par lagane se kuch hi dino mein bar bar muhaso ka nikalna band ho jayega aur face par glow badhega. Is upay ko aap chahe to har roj kar sakte hai.

     

    Dosto Muhase Hatane ka ilaj ke Gharelu Upay, Pimples ka ilaj in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass acne remove treatment tips, pimples hatane ke tarike aur gharelu nuskhe se jude koi sujhav ya anubhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    3 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles