Safed daag ka ilaj in hindi: Sharir par dikhne wale safed daag ko leukoderma kehte hai jis mein skin par safed rang ke chakte dikhne lagte hai. Chehre, hotho, gale, hatho aur pairo par white spots kahi bhi ho sakte hai. Shuruaat mein ye chote hote hai par dhire dhire ye daag bade hone lagte hai. Safed daag ko badhne se rokne aur iske upchar ke liye log kai parkar ki cream aur medicine (dawa) paryog karte hai, par gharelu nuskhe aur ayurvedic upay se white patches khatam kiye ja sakte hai. Aaiye jane safed daag hatane ke upay kaise kare, natural home remedies tips for safed daag treatment in hindi.
Bahut se log safed daag ki samasya ko ek gambhir bimari samjhte hai par agar doctors ki mane to ye ek tarah ki cosmetic problem hai. Safed daag se parbhavit vyakti bhi aam logo ki hi tarah normal hota hai.
Safed Daag Kaise Hota Hai : Reason of White Spots
Body immunity kharab hone ki wajah se body mein tvacha ka rang banane wali koshikaye marne lagti hai jisse sharir par jagah jagah safed daag ban jate hai. Iske sath sath safed daag hone ke karan ye bhi hai.
- Liver ki bimari
- Genetic problem
- Calcium ki kami hona
- Auto immune disorder
- Jalne ya fir chot lagne se
- Pachan tantar mein gadbadi hona
- Bemel khana khane se jese machli aur doodh ka sevan ek sath karna.
Safed Daag Ke Lakshan
- Jab tvacha ka rang halka fika padne lage aur us jagah ke baal bhi safed hone lage to ye safed daag ke sanket hai.
- Agar sharir par kisi jagah safed daag ho gya hai aur iske baad kahi aur chot lagne par vo jagah bhi safed ho jaye to samjh jaye ki ye smasya sharir mein teji se badh rhi hai.
Leukoderma koi na thik hone wali bimari nahi hai aur na hi ye chune se failti hai. Ayurvedic upay karke ise thik kiya ja sakta hai.
Safed Daag Ka ilaj Ke Gharelu Nuskhe
Safed Daag Treatment in Hindi
1. Raat ko tambe ke bartan mein paani bhar kar rakhe aur subah piye. Khane mein safed til ka paryog kare. Gay ka ghee, palak, khajur ka paryog karte rahe. Lauki, gajar, daal ka sevan adhik kare.
2. Har roj 30 se 50 graam bhige hue kaale chane khaye aur 3 se 4 badam khaye.
3. Gungune doodh mein pisi hui haldi daal kar piye. Din mein 2 baar is upay se 5 se 6 mahine mein safed daag se chutkara milega.
4. Harad ko ghees le aur lehsun ke ras mein milaye aur iska paste safed daag par lagaye. Is gharelu upchar ko niyamit karne ke safed daag ki bimari ka ilaj kar sakte hai.
5. 2 chammach akhroat ka powder le aur isme thoda paani mila kar ek paste bana le aur ise 15 se 20 minute ke liye daag par laga kar chod de. Is white spots home remedy ko din mein 2 se 3 baar kare.
6. Neem ke patte pees kar iske ras mein 1 chammach shahad milakar din mein 3 bar ise piye.
7. 1 chammach haldi ke powder ko 2 chammach sarson ke tel mein mila kar iska paste safed chakto par lagaye aur 15 minute baad dho le. Is desi nuskhe ko din mein 2 se 3 baar kuch mahine lagatar kare aap ko leukoderma mein farak dikhne lagega.
8. Giloy ka ras aur aelovera juice ke sevan se bhi immunity badhti hai.
9. Din mein 2 – 3 bar nariyal tel se parbhavit tvacha ki massage karne se bhi fayda milta hai.
10. Seb ka sirka paani mein milakar white spots skin par lagane se bhi fayda milta hai. Iske ilava 1 gilass paani le aur isme 1 chammach seb ka sirka mila kar pine se fayda milta hai.
Safed Daag ka Homeopathic ilaj
Homeopathic dawao se bhi safed daag ka treatment kar sakte hai. Agar safed daag ki samasya auto immune disorder ki wajah se hui hai to ye medicine lene ki salah di jati hai.
- Ignatia-30
- Pulsatilla-30
- Nux vomica-30
- Natrum mur-30
Agar safed daag chemical exposure se hua ho to ye dawa le.
- Sulphur-30
- Arsenic album-30
Genetic reason se hone wali safed daag ki samasya ke liye ye dawa le.
- Syphllinum-200
- Arsenic sulph Flevum-6
Is lekh mein bataye gaye ayurvedic nuskhe aur homeopathic medicine aapki jankari ke liye hai. Koi bhi upay shuru karne se pahle us dawa se sambandhit doctor se mil kar dawa lene ka sahi tarika aur dawa ki matra ki jankari jarur le.
White Spots Tips in Hindi
- Safed daag dur karne ke liye sabse pahle apne khane pine mein kuch badlav karna jaruri hai. Jese ki namak kam khana, khatta khane se bache, karele ki sabji jada khana, dahi aur machli khane se bachna.
- White patches hone par chemical wale sabun aur diterjent paryog karne se bache aur iske ilava hair dryer, deodorant aur perfume ko bhi skin par seedha lagane se bache.
- Mulli, machli aur maans ke sath doodh ka sevan na kare.
- 6 se 8 ghante ki acchi neend jarur le.
Dosto Safed Daag Ka ilaj Ke Upay, Safed Daag Treatment in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass safed daag ka gharelu upchar ke nuskhe, white spots hatane ki desi dawa ya koi anubhav hai to hamare sath share kare.