More

    शरीर की कमजोरी दूर करने के 10 आसान उपाय और घरेलू नुस्खे

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेशरीर की कमजोरी दूर करने के 10 आसान उपाय और घरेलू नुस्खे

    Sharir ki kamjori dur karne ke upay in hindi: Hamare khan paan aur lifestyle ke karan mansik sharirik aur mardana kamjori aana aajkal aam samasya ho gayi hai. Body mein weakness aane se vyakti kisi kaam mein thik se dhyan lga pata hai aur sath mein bimar bhi dikhne lagta hai. Kuch log body ki kamjori door karne ke liye tablet, powder aur supplements ka sahara lete hai par kisi medicine ki bajay gharelu upay aur desi ayurvedic nuskhe apna kar ghar par sharir ki kamjori dur karne ka ilaj kar sakte hai. Aaiye jane natural treatment and home remedies for body weakness, tips in hindi.

    Kai bar kisi bimari ki wajah se body mein kamjori aane lagti hai to kuch log tension aur depression ke karan bhi kamjor dikhne kagte hai. Iske ilava kuch logo ka ye bhi kehna hai ki ve khate pite to bahut hai par unke sharir ko nahi lagta aur sharir dubla patla kamjor dikhta hai, iska karan kharab pacchan tantar ho sakta hai.

    Sharirik kamjori ke lakshan: Symptoms

    Jada paseena aana, bhukh kam lagna, kisi kaam mein man na lagna, mardana kamjori mehsus karna, neend na aana, chakkar aana sharir mein kamjori aane ke kuch normal lakshan hai.

     

    Sharir ki Kamjori Dur Karne ke Gharelu Upay

    Home Remedies for Weakness in Hindi

     

    1. Mardana kamjori dur karne, viray bdhane aur khoon bdhane ke liye har roj 8 se 10 khajoor khane chahiye aur upar se 1 glass doodh piye.

    2. Desi khajoor khane se bhi sharir mein takat aati hai. Khajoor ke beej nikal kar isme makkhan bhar kar khane se aap body mein bharpur energy aur stamina mehsus karenge.

    3. Gajar ka halwa khane se bhi sharir mein takat aati hai. Jin logo ka sharir dubla patla hai aur kamjor dikhta hai unhe niyamit roop se gajar ka sevan karna chahiye. Har roj gajar ka juice pina bhi acha upay hai.

    4. Sharirik kamjori dur karne aur viray badhane ke liye har roj subah meetha aam khaye aur upar se sonth wala doodh piye.

    5. Ankurit kiye hue chane, daal aur soyabean daal khane se body ko jaruri nutritions aur protein milta hai. Isse sharir mein power aane ke sath sath body ka digestion bhi acha rehta hai.

    6. Kamjori kaise door kare, doodh mein calcium, vitamin aur dusre kai nutritions hote hai jo sharir ko takat dete hai. Har roj kam se kam 1 glass doodh peena chahiye, isse haddiya majboot hoti hai aur sharir mein power aati hai.

    7. Body mein energy badhane ke liye apni diet mein kela (banana) khana shuru kare. Kela natural sugar ka acha source hai jo body mein jaldi energy chodta hai. Aap har roj kam se kam 2 kele jarur khaye.

    8. Har roj subah doodh ke sath 1 kela khane se sharir mein charbi aur takat badhti hai. Duble patle vyakti ke liye vajan bdhane ka ye aasan upay hai.

    9. Doodh ki tarah dahi bhi kamjori dur karne aur sharir mein takat bdhane ka acha upay hai. Agar gala kharab ho ya fir jukham hua ho to dahi khane se bache.

    10. Tamatar ka soup har roj pine se khoon ki kami dur hoti hai, bhukh badhti hai aur chehre par glow aane lagta hai aur badam mein magnesium, vitamin E bharpur hote hai aur isse body ko energy milti hai.

     

    Sharirik Kamjori Kaise Dur Kare: Ayurvedic Nuskhe

    • Aanar ke chilke sukha kar pees le aur subah sham 1 chammach churan khaye. Is upay ko regular karne par kamjori dur hone lagegi.
    • Sharir mein takat badhane ke liye har roj awale ka muraba khana chahiye.
    • Naso ki kamjori dur karne ke liye paani mein thoda namak mila kar is ghol se sharir ki malish kare. Is upay se manspeshiyon ko aaram milega.
    • Javitri aur jayfal 10-10 graam le aur isme 50 graam ashwgandha milaye. Is deshi dawa ko subah sham 1-1 chammach doodh ke sath lene se body ki weakness dur hoti hai aur sharir mein khoon ki kami ka ilaj karne mein mdad milti hai.
    • Yon shakti bdhane aur mardana kamjori door karne ke liye har roj makhane ki kheer khaye.

     

    Upar bataye gye upay aur nuskhe aapki jankari ke liye hai. Agar sharirik mardana aur naso ki kamjori dur karne ka ka ilaj karne ke liye aap koi desi dawa lena chahte hai to use shuru karne se pahle us dawa ko lene ka sahi tarika vistar mein jane.

     

    Dosto Sharir ki Kamjori Dur Karne ke Upay, Home Remedies for Body Weakness in Hindi ka ye article aapko kaisa lga comment kar ke bataye aur agar aapke pass sharirik, mansik, mardana aur naso ki kamjori ka ilaj ke gharelu nuskhe ya dusre koi desi tarike hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles