More

    Sinus Se Chutkara Pane ke 10 Aasan Gharelu Upay Hindi Mein

    Disease - बीमारीSinus Se Chutkara Pane ke 10 Aasan Gharelu Upay Hindi Mein

    Sinus ka Upchar ke Gharelu Upay: Aksar logo ko naak band aur achanak se jukam ki shikayat hone lagti hai, agar aapko ye samasya bar bar hoti hai to ye sinus ka infection bhi ho sakta hai. Sinus saans se judi ek samasya hai jise sinusitis bhi kehte hai. Jadatar log sinus ka ilaj ke liye operation ka sahar lete hai jo mehnga to hota hi hai aur iske safal hone ke chances bhi kam hote hai, par gharelu tarike aur desi nuskhe se hum iska upchar kar sakte hai. Ye samasya badhne par asthma aur migraine jesi bimariyo ka roop le leti hai. Aaiye jane ayurvedic home remedies for sinus treatment in hindi.

    Sinus hone par naak (nose) band ho jata hai aur naak se cough behta rehta hai. Is bimari se judi ek dharna ye hai ki isme naak ki haddi badhne lagti hai ya fir uski shape tirchi ho jati hai, aesa hone par vyakti ko breathing problem hone lagti hai.

    Sinusitis ke Karan

    • Ye rog jada thandi cheeje khane, khuli hawa na milne,  kabz ya fir galat khan pan ki wajah se hoti hai.

     

    Sinus ke Lakshan : Symptoms

    Sinusitis ke lakshno ko aankho aaur mathe par mehsus kar sakte hai. Maathe aur gaalo par bharipan mehsus hona, aankho ka bhari hona, jaldi thakan lagna, naak se hare aur pile rang ke reshe girna, sardi ke sath naak band hona, sir mein dard hona, palko ke upar dard hona, halka bukhar aana aur chehre par sujan aana.

     

    Sinus ka Upchar ke Gharelu Upay aur Desi Nuskhe

    Home Remedies for Sinus Treatment in Hindi

     

    1. Nariyal pani mein potassium adhik matra mein hota hai jo sharir ki gandgi bahar nikalne ka kaam karta hai, iske sevan se sinus ki bimari bhi khatam hoti hai.

    2. Naak jada behti ho ya fir aankhe bhari ho rahi ho to naak ke upar aur aankho ke charo taraf jaitun ka tel lgane se rahat milti hai.

    3. Rojana gajar ke ras ke sevan se is rog mein kafi aaram milta hai, iske ilava palak aur chukundar ka ras bhi sinus ke ilaj mein kafi faydemand hai.

    4. Shahad mein tulsi ka ras mila kar lene se bhi sinus se rahat milti hai, iske ilava shahad mein adarak mila kar lene se bhi aaram milta hai.

    5. Kisi rabad ki bottle mein garam paani bhar kar sir, aankho aur chehre ki sikayi kare. Gale par bhi sikayi kar sakte hai, isse balgam se rahat milegi. Iske ilava aap steam bath bhi le sakte hai ya fir toliye ke jariye chehre ko bhap bhi de sakte hai.

    6. Kale jeere ke beej kisi kapde mein bandh kar iska istemal saans lene ke liye kare, is desi nuskhe se bhi kafi aaram milta hai.

    7. Sinus ka gharelu ilaj karne mein garam pani aur soup pine se bhi fayda milta hai, inke sevan se naak mein jami hui cough bahar nikalti hai jisse band naak ko kholne mein madad milti hai, agar aap non vegetarian hai to aap chicken soup ka sevan kar sakte hai.

    8. Naak se paani jada beh rha ho to pyaaj ke ras ki kuch boonde naak mein dale, is upay se naak ka behna rukega aur agar sir mein dard ho rha ho to use bhi chutkara milega.

    9. Laal mirach aur kali mirach ke sevan se band naak jaldi khul jati hai jisse sinus se jaldi rahat milti hai.

    10. Vegetable oil aur dry fruits mein vitamin E hota hai jo sinus se door rakhta hai.

     

    Ayurvedic Tarike se Sinus ka ilaj

    Ek cup pani mein ek chammach methi dana daal kar ise ubaal le aur thanda hone par ise chan kar pi le. Kuch din lagatar is upay ko karne se aapko kafi rahat milegi.

    Tulsi ke patte, adrak, choti saunf, mulethi, pudeena aur saunf ka bana kadha pine se sinus mein aaram milta hai.

     

    Bimari koi bhi ho usse ladne ke liye sharir ko takat ki jarurat hoti hai isliye khane pine mein aesi cheejo ka sevan kare jisse sharir ko bharpur poshak tatav mile.

     

    Sinus ka Upchar ke Ramban Upay

    Sinus ho ya naak ki koi aur bimari jese ki najla jukham, naak ki haddi ka badhna, chinke aana ya fir sir dard hona, in sabhi rogo ka ilaaj aap ghar par bina kisi medicine ke is ramban upay se kar sakte hai.

    • Desi gaay (cow) ke ghee ki 2 – 2 boonde raat ko sone se pahle gunguna kar ke apne naak (nose) ke dono taraf dale, pahle naak mein ghee dalte samay ek ungli se dusra naak band kar le aur ghee dalne ke baad use saanse ke jariye halka upar khiche, thik isi tarah dusre naak mein ghee dalne se pahle pahla naak band kare aur dusre naak mein ghee dalne ke bad ise upar ki aur kheeche.
    • Is upay ko karte samay takiye (pillow) ka paryog na kare aur na hi kisi se batcheet kare. Ghee dalne ke 15 minute baad aap takiye ka upyog kar sakte hai. Naak se judi bimari ho ya fir migraine ke karan sir dard ho is nuskhe ke nirantar paryog se kafi fayda milega.

     

    Baba Ramdev Yoga se Sinus ka ilaj Kaise Kare

    Sinus ka treatment yoga se bhi kiya ja sakta hai, yoga mein hum apni saanso ko alag alag tarike se control karte hai aur isse sharir mein shudh hawa bhi jati hai. Agar aap ko kisi bhi dawa ya upay se fayda nahi mil rha aur aap lambe samay se is bimari se pareshan hai to aap kisi yoga expert se mile aur yoga shuru kare. Regular yoga se aap is bimari se chutkara pa sakte hai.

    Pranayam mein bhramari, anulom vilom, kriyao mein sutra neti aur jal neti aur aasano mein brahma mudra asana aur singhasan. (In sab aasano aur kiryao ko karne se pahle ache se sikhe jiske liye yoga guru se mile, iske sath aap ghar baithe baba ramdev ki yoga videos dekh sakte hai.)

     

    Sinus Infection se Bachne ke Upay

    • Jin logo ko sinus ka infection aksar hota ho unhe dhool mitti se door rehna chahiye, dhool mitti se sinus ki pareshani aur badh sakti hai.
    • Sinus se parbhavit logo ko smoking nahi karni chahiye aur agar koi vyakti smoking kar rha ho uske pass bhi nahi  jana chahiye.
    • Naak mein gandagi jama na hone de jitna ho sake ise saaf rakhe aur pani adhik matra mein le.

     

    Dosto Sinus ka Upchar ke Gharelu Upay aur Nuskhe, Sinusitis Treatment in Hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame comment karke btaye aur agar aap ke pass naak ki bimriyo ke ilaj ke desi aur ayurvedic tarike hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles