Sugar kam karne ke upay in hindi: Diabetes (madhumeh) hone ka sab se bada karan hai jagrukta na hona. Bahut se logo ko is rog ke bare mein tab pta chalta hai jab unka blood sugar level kafi badh jata hai. Agar sahi samay par is bimari ke lakshano ko pehchan kar upchar kiya jaye to ise badhne se roka ja sakta hai aur sugar se bachne ke upay bhi kiye ja sakte hai. Diabetes 2 tarike ki hoti hai type 1 aur type 2. Kuch log sugar control mein rakhne ke liye allopathy dawa (medicine) ka sahara lete hai par aap ghar par hi desi dawa aur ayurvedic upchar se sugar ki bimari ka ilaj kar sakte hai. Aaiye jane natural ayurveda home remedies tips for diabetes treatment in hindi.
Blood mein sugar ka level badhne se kai tarah ki health problem ho sakti hai. Agar sugar level lagatar badha rahe to type 2 diabetes ka khatra bad jata hai. Jin logo ko pahle se sugar problem hai unke liye sugar control mein rakhna behad jaruri hai.
Sugar Kaise Hota Hai
Adhiktar rogo ki tarah diabetes hone ka parmukh karan hai unbalanced lifestyle aur khane pine ki galat aadte jese samay par bhojan na karna, jada meetha khana, motapa, tambaco, smoking, aur stress.
Sugar ke Lakshan Kaise Pehchane : Diabetes Symptoms
Agar shuruat mein hi sugar ke lakshan pehchan kar sugar ka ilaj kiya jaye to is bimari ko badhne se rok sakte hai.
- Bar bar peshab aana
- Ghav jaldi thik na hona
- Jaldi thakan mehsus hona
- Bar bar skin infection hona
- Bhukh aur pyass jada lagna
Agar aap ko bhi ye sanket dikhe to turant sugar test karwaye.
Sugar Kam Karne ke Upay Ayurvedic Upchar
Diabetes Treatment Tips in Hindi
Jin logo ko high diabetes ki problem rehti hai unhe sugar control mein rakhne ke liye insulin ke injections lagane padte hai par ye koi treatment nahi hai. Sugar hone par ghabraye nahi, agar aap kuch baato ka dhyan rakhe aur sahi tarike se upchar kare to without medicine aur injection ke bhi aasani se diabetes ka ilaj kar sakte hai. Is lekh mein hum sugar problem solution ke liye gharelu nuskhe aur desi dawa ke bare mein janenge.
1. Karele ka juice diabetes control karne mein kafi asardar hai. Karele ke beej nikal kar uska ras subah khali pet peena chahiye, iske ilava aap karele ki sabji bhi apni diet mein shamil kar sakte hai.
2. Daalchini aur adarak body mein insulin ka level maintain rakhte hai, inhe apne khane mein shamil kar sakte hai aur chai mein bhi inka paryog kar sakte hai.
3. Jamun bhi blood mein sugar ke level ko control karne mein kafi madad karta hai. Jamun ki har cheej ka paryog kiya ja sakta hai jese jamun ke ped ke patte, jamun ke beej aur jamun.
4. Aawla ko ayurveda mein utam aushdhi mana jata hai. Aawla mein vitamin C hota hai, aap iska ras karele ke juice mein milakar bhi le sakte hai.
5. Genhu ka jwara (wheatgrass) ko dharti ki sanjeevani booti se bhi jante hai isme har parkar ke nutritions maujood hote hai. Diabetes ke patients ke liye wheatgrass juice peena kafi faydemand hai.
Sugar Normal Kitna Hona Chahiye
70 se 100 milligram normal vyakti ka sugar level hota hai par diabetic patient ka sugar level 180 tak ho sakta hai. 240 ka sugar level high mana jata hai aur jab ye level 300 se bhi adhik ho jaye to ye rog gambhir ho jata hai.
Sugar ka Desi ilaj Hindi me : Rajiv Dixit
Rajiv dixit ayurveda ke bare mein logo ko jagruk karte the aur ve kehte hai ki sugar kam karne ke upay aap ayurvedic upchar se aasani se kar sakte hai. Aap ghar par hi kuch chijo ka istemal kar ke sugar ki desi dawa bana sakte hai.
Methi ka dana 100 graam, tej patta 100 graam, jamun ki guthli 150 graam, bel patra ke patte 250 gram. In sab samagriyo ko sukha kar pees le aur powder bana le aur sab mix kar le aap ki dawa tyar hai.
Is gharelu dawa ko 1 se ½ chammach ki matra mein subah sham khali pet gungune paani se le. Subah aap pet saaf karne ke baad ye dawa le sakte hai aur sham ko khana khane se 1 ghanta pahle le sakte hai.
2 se 3 mahine niyamit roop se is dawa ka sevan kare. Agar aap ye powder sidhe na le paye to aadhe se bhi aadha gilass pani gunguna kar le aur isme ye powder mila kar ache se mix kare jisse ye syrp ke jesa ban jayega. Ab aap ye pi le aur iske baad upar se aadha gilass gunguna paani aur pi le.
Agar aap is dawa ke sath gomutra ka sevan bhi kare to dawa ka asar jaldi dikhne lagega. Desi gay ka hi mutar paryog kare. Subah subah aadha cup mutar aapko kai parkar ki bimariyo se dur rakhega.
Sugar Control Tips in Hindi
1. Yoga ke kuch aasan aese hai jo sugar kam karne mein madadgar hai. Pranayam, setubandhasan, vajrasana, halasana, sarvangasana, aur paschimottanasana. In yogasan ko karne se pahle inhe karne ka sahi tarika jarur sikhe. Aap kisi yog guru ya fir baba ramdev ki videos se bhi sikh sakte hai.
2. Green tea ka sevan bhi diabetes control karne mein asardar hai. Green tea mein antioxidant hote hai jo blood sugar level ko maintain karne mein mdad karte hai. Green tea bina chini ke piye.
3. Dahi, chaach, salad, oatmeal jese low calorie food apni diet mein shamil kare inse sharir mein insulin level control mein rehta hai aur body mein glucose nahi badhta.
4. White bread aur rice ke mukable brown bread aur brown rice mein fiber jada hote hai jisse digestion acha rehta hai.
5. Chini ka sevan kabhi na kare aur jitna ho sake sugar free tablet ke sevan se bhi parhej kare.
Sugar se Bachne ke Upay in Hindi
- Raat ka bhojan suryaast se pahle kar le.
- Normal tea aur coffee ke sevan se bache.
- Aesi chije adhik khaye jin mein fiber ki matra jada ho.
- Fast food khane se bache isme sugar, namak aur carbohydrates fat kafi jada hota hai.
- Paani adhik matra mein piye isse body hydrate rehti hai aur digestion bhi acha hota hai.
- Sharab smoking aur tambacoo jese hanikark chijo se dur rahe aur ek healthy lifestyle apnaye.
- Ek bar mein pet bhar khane ki bajay din mein 4 se 5 bar thoda thoda khaye aur subah ka breakfast jarur kare.
- Exercise aur yoga se body ka metabolism tej hota hai jisse calorie aur fat burn karne mein mdad milti hai aur blood circulation behtar hota hai.
- Jada stress na le. Tanav lene se sharir mein aese chemicals bante hai jisse insulin banne ke process par asar padta hai. Meditation aur yoga se stress kam karne mein madad milti hai.
Aur Padhe:
Baba Ramdev Ayurvedic Medicine
Dosto Sugar Kam Karne ke Upay aur Nuskhe, Diabetes Treatment Tips in Hindi ka ye article aapko kaisa lga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass sugar ki bimari ka ilaj ke liye ayurvedic upchar ya sugar ki desi dawa in hindi se jude anubhav ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.
Bhut aacha…..mujha bhut aacha laga