More

    Pollution ke Asar se Bachne ke 5 Aasan Upay Hindi Mein

    UncategorizedPollution ke Asar se Bachne ke 5 Aasan Upay Hindi Mein

    Pollution se Bachne ke liye Kya Kare: Hawa (Air) mein maujood chemicals hamari sehat ko kafi nuksan pahunchate hai. Hamare sharir ko hone wali kai bimariyo ka karan badhta hua pradushan bhi hai. Kuch chote chote upay kar ke hum pollution ko kam kar sakte hai par ye tabhi sambhav hai jab sab log is bare mein jagruk ho aur mil kar paryas kare. Upay karne ke bawjood bhi pradushan ek dum se kam nahi hoga isliye jaruri hai ki hum kuch aese upay bhi apnaye jisse pardushan se hamari health par bura asar na pade.

    Sardiyo ke mausam mein hawa mein maujood ye chemicals aur jada nuksan karte hai. Aajkal smog kafi charcha mein hai jiska matlab hai smoke + fog (dhundh aur dhuye ka mishran).

    Pollution Se Hone Wali Bimariya

    Hawa mein badhti jeharili gaso ke karan saans lene mein taklif hona, aankho mein khujli aur aankho mein jalan hona jesi pareshaniya hone lagti hai. Iske ilava kuch aur pareshaniya bhi ho sakti hai.

    • Jukam hona.
    • Khansi, T.B aur throat infection
    • Sinus, Asthma
    • Fefdo (lungs) par bura asar padta hai.

     

    Pradushan ke Asar ko Kam Karne ke liye Kya Khaye

    Hamare ghar ki rasoi (kitchen) mein kuch aesi cheeje hai jinke paryog se hum apne parivar ki health ko pollution ke bure asar se bacha sakte hai.

    1. Purane samay mein shahad aur gud ka paryog sharir ko bimariyo se bachane ke liye kiya jata tha. Pradushan se sehat ko hone wale side effects se bachne ke liye gud aur shahad ko apni diet mein shamil kare.

    2. Lehsun ek natural antibiotic hai. Lehsun ki kuch kaliya le aur ise 1 chammach makhan mein ache se paka kar khaye, ise khane se aadha ghanta pahle aur baad mein kuch aur khaye piye nahi. Pardushan ki wajah se hone wali cough ko dur karne mein is gharelu nuskhe ka paryog kafi asardar hai.

    3. Agar air pollution ke karan aapko bar bar jukam ya koi infection ho rha hai to adarak ka sevan karna utam upay hai. Adarak ke ras ko gunguna kare aur isme 1 chammach shahad mila kar din mein 2 se 3 bar pine se is samasya se chutkara milta hai.

    4. Agar chaati mein cough jama ho gya ho to kali mirch ko pees kar powder bana le aur thoda sa kali mirch powder 1 chammach shahad mein mila kar le. Is upay ko karne se fefde (lungs) bhi saaf rehte hai.

    5. Har roj ajwaine ki pattiyo ko khane se khoon saaf hota hai. Iske ilava fal aur sabjiyan jada khaye aur paani adhik matra mein piye.

     

    Air Pollution se Bachne ke Upay

    Vayu Pradushan se Kaise Bache

    1. Mask ka paryog air pollution se bachne ka acha tarika hai. Jaha industries, factories ya dhua jada ho aur jab bhi aapko kisi aesi jagah jana ho apne chehre par anti pollution mask aur aankho par chashma lagaye. Ek bar mask lagane ke bad ise bar bar chuye nahi aur ek bar paryog kiya gya mask dubara paryog na kare. Mask ke istemal se aap virus aur kai parkar ke infection se bach sakte hai.

    2.  Pregnant lady aur chote bacho ko vayu pradushan ke bura asar se bachane ke liye ghar mein air saaf karne wali machine ka paryog kare aur agar aap saans se judi kisi bimari se parbhavit hai to aese samay ghar se bahar nikalne se bache jis samay pardushan ka satar adhik ho.

    3. Agar aapke pass koi bike car ya koi vehical hai to uska pollution check karwaye.

    4. Bahar se ghar aane ke bad face aur eyes ko saaf paani se dhoye.

    5. Ghar mein kude kachre ko na jalaye.

     

    Vayu pardushan kam karne ke sath sath jal aur dhavni pradushan kam karne ke tarike bhi karne chahiye.

     

    Pollution ki samasya se bachne ke liye jaruri hai ki jada se jada ped podhe (trees, plants) lagaye kyuki trees carbon dioxide atmosphere se khichte hai aur shudh oxygen chodte hai, isliye jaruri hai ki hum infrastructure ki development ke sath sath nature ki growth ke bare mein bhi soche. Aaj ke yug mein pradushan ek gambhir samasya banti jar hi hai isliye jaruri hai ki ped podho aur vano ke katav par bhi rok lagayi jaye.

     

    Dosto Air Pollution se Bachne ke Upay aur Tarike Hindi Mein ye article aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aap jante hai ki vayu pradushan se kaise bache, to apne anubhav hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles