बदलते मौसम में बुखार होना बहुत आम बात है इसलिए लोगों को इसके घरेलू उपायों के बारे में जानने की जरूरत है। आज इस लेख में हम वायरल फीवर के पांच उपायों के बारे में बताने जा रहे हैं जो वायरल फीवर में तुरंत राहत देते हैं। इलाज के बारे में जानने के लिए इस लेख को अंत तक पढ़ें।
Viral Fever ke Gharelu Upay : Bukhar ka ilaj hamesha iske lakshano ke aadhar par kiya jata hai. Mausam badlne ke sath ya kai baar kisi infection ke karan bukhar (fever) aa jata hai, agar hume bukhar ke lakshan pahle hi pta lag jaye to bukhar se bachaav kiya ja sakta hai aur jarurat padne par bukhar ka treatment bhi kar sakte hai. Bukhar kasi parkar ke ho sakte hai jesi dimagi bukhar, andaruni bukhar, viral fever, typhoid aur malaria.
Jab bhi hame ya hamare ghar mein kisi bache ko bukhar aata hai tab sabse pahle hum ghar par hi crocin ya aspirin ya koi antibiotic se bukhar ka ilaj karne ki koshish karte hai. In medicines se bukhar to thik ho jata hai par ye allopathy dawa hamare liver par bura asar dalti hai. Dosto is leekh mein hum janenge bukhar ke karan aur lakshan kya hai, bukhar mein kya parhej karna chahiye aur bukhar ke gharelu upchar ki home remedies kon si hai.
- Jane Sardi Jukam ke upay
- Jane Sir Dard ka Raambaan ilaj
Viral Fever ke Gharelu Upay
- Viral bukhar mein body ka temprature 100 se 103 digree ya isse bhi jada ho jata hai.
- Kisi parkar ke virus ke infection se hone wale bukhar ko viral fever kehte hai. Friz ka thanda paani, cold drinks aur thand lagne ki wajah se viral bukhaar hone ki aashanka hoti hai.
- Viral fever ek vyakti se dusre vyakti mein teji se failta hai. Viral fever mein virus saans ke dwara dusro mein pahunchta hai.
- Chote bacho ko viral fever hone se bacho ko kaafi pareshaniya hoti hai, jese ki ulti, dast, khansi, sir dard aur thand lagna.
- Viral fever aksar normal fever jesa hi lagta hai, isliye bukhar hone par ek bar doctor se checkup jarur karwaye taaki pta chal sake ki ye viral fever hai ya normal fever.
Bukhar Hone ke Karan (Causes)
Normal bukhar mausam badlne ki wajah se bhi ho jata hai par viral fever kisi virus ke karan failta hai aur body ki immunity kamjoor hone ki wajah se hota hai. Agar aapki body ka immune system majboot ho to viral fever jaldi nahi hota.
Bukhar ke Gharelu Upay: Viral Fever Home Remedies in Hindi
1. Bukhar tej ho to rogi ke sir par thande paani ki pattiya rakhe aur patiya tab tak rakhe jab tak body ka temprature kam na ho jaye. Patti rakhne ke baad garam ho jaati hai isliye tjodi der baad dubara bhigo kar lagaye.
2. Rogi ke shareer mein paani ki kami nahi honi chahiye isliye 3 se 4 litre paani piye. Aap paani mein glucose ya elecrtolyte powder ghol kar bhi pi sakte hai. Pine ke paani ko garam kar ke thanda hone ke liye rakh de, aur jab bhi paani pina ho ise hi piye. Gunguna paani piye to jada acha hai.
3. Agar bukhar sardi jukam ke karan hua hai to mulethi, tulsi, shahad aur mishri ko paani mein mila kar ek gaadha bna le aur rogi ko pilaye. Is natural home remedies se jukam thik ho jata hai aur bukhar mein bhi jaldi aaram milega.
4. Agar aap ko garmi mein loo lagne ki wajah se bukhar ya typhiod hua hai to kache aam ko paani mein pka kar iska ras paani mein mila kar piye.
5. Mausam mein aaye badlaav ki wajah se bukhar hone par tulsi ki chay peene se aaram milta hai.
6. Bukhar mein patient ko adhik aaram ki jarurat hoti hai aur ese mein bukh bhi kam lagti hai. Par rogi ke khaan paan ka dhyaan rakhe. Doodh, chay, saabudaana, mishri jesi halki cheeje khane peene ko de. Mausami ka ras aur nariyal paani pina acha hota hai.
7. Lehsun ki 5 se 10 kaliya kaat kar til ke tel ya fir ghee mein tal le aur sendha namak daal kar rogi ko khilaye. Is gharelu nuskhe se kisi bhi parkar ka bukhar ho utar jayega.
8. Adarak aur pudeene ka kaadha bna kar peene se bhi bukhar utar jata hai. Kadha pine ke bad bahar hawa mein na jaye aur aaram kare.
9. Sarso ke tel mein lehsun ki kuch kaliya tod kar daal le aur ise garam kare. Tel thanda hone par pairo ke talvo ki malish kare.
10. Ek cup garam paani mein 1 chammach sirka daal le ab isme aalu ki slice bhigo kar sir par rakhe. Bukhar mein jaldi aaram milega.
Bukhar ke Lakshan (Symptoms)
- Badan dard hona
- Sardi jukam lagna aur naak behna.
- Sir dard hona
- Shareer mein kamjoori mehsoos karna.
- Gale mein dard ya kharash hona.
Baba Ramdev Ayurveda Treatment
Agar typhoid fever ho to aap baba ramdev ki batayi kuch ayurvedic medicines ka paryog kar sakte hai.
- Jwarnashak Kwath
- Dashmoola Kwath
- Avipattikar Churan
- Sanjeevani Vati
Fever Mein Kya Parhej Kare
- Agar rogi ko viral fever ho to uski isteemaal ki hui cheejo ka paryog na kare aur marij ke aaspass saaf safayi ka dhyaan rakhe.
- Rogi aapne pass koi rumaal rakhe aur chink ya khaansi hone par rumal ka paryog kare taki virus ka sankraman dusre logo mein na faile.
- Bukhar mein dahi ka sevan na kare.
- Thandi cheeje khane se parhej kare.
- Halka bhojan hi kare.
Bukhar ke Upay: Agar bukhar 2 din tak nahi thik ho ya fir bukhar kisi serious infection ki karan ho to kisi doctor se jarur checkup karwaye.
Aur Padhe:
Dengu Bukhar ke Gharelu Nuskhe
Swine Flu Home Remedies in Hindi
Rajiv Dixit ke Ayurveda Nuskhe
Dosto Bukhar ke Gharelu Upay, Viral Fever Home Remedies in Hindi ka ye lekh kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aapmke pass koi sujhav, upay ya fir koi anubhav hai to hamare sath share kare, aapke dawara di gyi jankari se dusro ko bhi fayda mil sakega.
Dear Sir,
Mujhe kabj ho gya gya hai pichhle 3 days se aur under hi under fever bhi rahta hai sir bataye my kya karu
Nityananad ji aap kabz kholne ke upay janane ke liye ye article padhe aur bataye hue nuskhe sahi tarike se kare aapko aaram milega :: http://sehatdoctor.com/kabz-ke-gharelu-nuskhe-aur-upay-home-remedies-in-hindi/
sir,
pet ki samsyaon ke bare me kuch sujhav dein
jaise ki pachan shakti kamjor hona
pet mein marod hona
bhukh na lagna v khane ka pachan nhi hona.
jaisi samasyan se nijat pane ke liye
Pankaj agar aap in samasyao se pareshan hai to sabse pahle khane mein halka bhojan kare jo digest karna aasan ho, tale hue masaladear khane se parhej kare. Iske sath tambe ke bartan mein rakha hua paani piye, raat ko sone se pahle tambe ke jug mein paani rakhe aur subah khaali pet piye, ye pet ki bimariyo se bachne aur unke upchar mein kaafi madagar hai. Dost pet ki bimariyo ki jankari ke liye aap ye articles bhi padhe :: http://sehatdoctor.com/topics/pet/
Sir mujhe pet ke rt side me kidni ke pass ek gola type ka ho gya, mai kah medicine doctor ko dikhaye par thik nhi hua, eshse mujhe fiver bhi ho jata , mai kya kro….. Please give my answer…
Pankaj sabse pahle jaruri hai ki aap is samasya ke karno ka pta lagaye aur bimari ko sahi se diagnose kare, taki upchar sahi disha mein ho sake. Dost aap kisi dusre doctor se mile aur 2nd opinion le. Bukhar mein aaram ke liye aap upar likhe hue nuskhe apna sakte hai.
sir meri ek friend ko viral fever ho gaya hai…uski dava Cont…fever a raha hi..uski dava lgbhag..15 dino se conti..chal ri hi but…use koi fayda ni hiii..Kya aap koi achha sa upay bta sakte hiii..jisse mera friend jaldi se teek ho jay…plz….bhai…koi achhi si dava bta do Gharelu….Thank u
Akash bukhar ke gharelu upay is lekh mein likhe hai par aap se ye salah hai ki pahle doctor se mile aur sabhi jaruri test karwaye, bukhar bahut si bimariyo mein ho sakta hai isliye jaruri hai ki pahle bimari ko diagnose kiya jaye.
Mera beta 4saal ka hai usse 15 ya20 days ke baad hi fever ho jata hai iska kya kaaran hai or iska koi elaaz v btaye
Pooja aaj kal fever hone ke bahut se karn ho sakte hai, sahi karan janne ke liye aap doctor se mile aur jaruri test karwaye take sahi tarike se treatment ho sake.
Sir fever kam Jo jata aur bad jata 3 din se aisa ho raha h Dr se bhi treatment chal raha h sir plz suggest me
Ashish aaj kal viral fever bahut jada ho rha hai, agar pareshani badhe to test karwaye. Gharelu tarike se ilaj karne ke liye aap upar likhe hue upay kare aur apna treatment bhi chalne de. Dost paani ki maatra adhik le.
Sir mujhe cold rhta h meri cells increse ho rahi har bar dwai chalti h bad m fir problm ho jati h gale m b problem ho rahi h sare test kara liye bus dwai khate hue 1 saal s b jyada ho gya h m bahut preshan hu or poori body m pain rhta h nend aati rhti h poore din or pairo m sujan aa gai h dard h baht chala b nahi ja rha.
Reetu ye sabhi lakshan bahut se bimariyo ke hote hai, is doctor se aap ka ila chal rha hai usse agar aapko aaram nahi mil rha to kisi dusre doctor se salah le aur pahle ye anne ki koshish kare ki ye sab problems ka karan kya hai tabhi aap sahi disha mein ilaj kar sakti hai.
Mera 7 month ka beta hain use kal se bukhar hain koi achcha sa gharelu nuksa btao
Dev bukhar hone ke bhut se karan ho sakte hai isliye pahle bukhar hone ka karan pta kare taki upchar sahi tarike se ho sake.
Sir mera bukhar 3 Dino se nahi utra sir aacha se gharelu nuksa batya
Kanchan ji bukhar ke upchar ke nuskhe upar likhe hai aap unhe kar sakti hai, par aajkal bukhar dengu aur chikungunya ki wajah se bhi ho rha hai, isliye agar aapko kuch bhi doubt lage to ek bar test karwaye taki bimari ke karno ka pta chal sake.
Sar. Mujhe 3 din pahli tej. Bukhar. Aaya phir agle 2 din ki andar utar gya likin body pain had pain nhi ruk raha kamjori aarhi haikhana khane ka man nhi ho raha aaj pure 5 din ho gyi sar bataye plz esa kyo ho raha.
Dost aap ek bar doctor se checkup karwaye aur jaruri test bhi karwaye. Aajkal bukhar hone ke bahut se karan hai isliye sahi karan ka pta hona jaruri hai.
Sir muje kabaz hai iska ilaz btayiye
Pavi aap ye article padhe aur btaye hue upay kare :: http://sehatdoctor.com/kabz-ke-gharelu-nuskhe-aur-upay-home-remedies-in-hindi/
Sir muje 102 fever hai…fever k sath mere legs m pain h… Or koi problem nhi h… Ye kis typ ka fever h…or iska koi upchaar batiye
Sumit ye kis type ka fecer hai ye to test se hi confirm ho payega, aap bukhar se aaram ke liye upar btaye hue nuskhe kare.
Sir mene bhagandar ka char sutry karbane ke 3 den se bukhar a raha doctar ko dikhya par bukhar utar kar bapas a jata hai yesa 5 deno se raha hai me kya karu
Dost aapne jisse ilaj karwaya unse apne samasya share kare aur salah le kya karna hai, vo sahi se bta sakenge aesa kyu ho rha hai.
Sir main asthma ka mariz hu, 15 din pahle mujhe viral fiver hua medicine lene se Thik ho gya, phir 5 din se mujhe chest me pain ke saath saath pet me gas ban raha hai,sir eska karan kya hai aur upay bataye.
Ved iske karan to proper checkup ke baad hi pta chal sakega, kyuki jo pareshaniya aap bta rhe hai ye bahut si bimariyo ke lakshan hote hai, aap doctor se milke checkup karwaye aur bimari diagonse hone par upay kare. Asthma ke gharelu nuskhe janne ke liye aap ye lekh padhe :: http://sehatdoctor.com/asthma-ka-ilaj-ke-upay-home-remedies-treatment-in-hindi/
Sir mere papa ko kal Sham se 104.5degree fever hai dengu ya chikenguniya nahi hai but bukhar kam nahi ho raha kya kra ab Hum??
Dost aapko papa ji ka checkup karwana chahiye tabhi pta chalega ki ye bukhar viral hai ya kisi infection se hai. Iske ilava doctor se typhoid ur malyeria ki salah bhi le.
Chikungunia se mai 1 month se bimar tha avi bhi body me pain hota hai iska koi upachar bataye.
Aditya chkungunya mein jodo mein pain hota hai jiska asar der tak rehta hai, aap ye article padhe aur upay kare :: http://sehatdoctor.com/chikungunya-ka-ilaj-ke-gharelu-nuskhe-aur-upay-hindi-mein/
Sir mujhe uric acid ki kami hai koi gharelu nuskhe bataye.
Dost aap ye article padhe :: http://sehatdoctor.com/high-uric-acid-ke-gharelu-nuskhe-upay-tips-hindi-mein/
Gas ke problem se chest me dard kerta hai koi upachar bataye.
Prakash gas ke upchar ke liye aap ye lekh padhe aur upay kare aur agar aaram na mile to doctor se mile :: http://sehatdoctor.com/pet-mein-gas-ka-gharelu-upchaar-home-remedies-in-hindi/
Liver me sujan ki problem hai koi nuskhe bataye.aur khane me kya kya kha shakte hai.
Ravi aap ye lekh padhe aur upay kare :: http://sehatdoctor.com/liver-ke-upay-home-remedies-in-hindi/
Sir mera uric acid badh gaya hai aap kuch salah dein.
Sashi ji aap ye aarticle padhe aur upay kare :: http://sehatdoctor.com/high-uric-acid-ke-gharelu-nuskhe-upay-tips-hindi-mein/
Sir mere pair me kal se bahut dard ho raha hai kuch salah de
Sanjay pair mein dard ka karan pta hona jaruri hai, agar ye kisi thakan ki wajah se hai to aap aaram kare, aur agar ye neuro problem hai to kisi doctor se mile aur salah le.
Sr Mai Sanjay Kumar
Sr mujhe hidroshil problem hai
Mera hidroshil Ki do gotiyon ke alawa alag right side pr ek or koudi jaisi kuchh mahshus hota hai Sr or Mai ghr baalo ko btane me shrm mahshush krta Hu sr plzz u help me
Mai kafi din lag bhag 2 saal benasitefor khaya lekin koi sudhar nhi Hua Mai force join krna chahta Hu sr lekin ye baate mujhe kafi tension de rha h
Sanjay ji is bare mein hame jankari nahi aap kisi ayurvedic chikitsak se mile aur salah le.
Sir kidney k patient ko bukhar m kaunsi medicine de
Dost medicine ke bare mein to doctor hi behtar bta sakte hai, aap kisi doctor se milkar consult kare.
Sr body KO jb koi khurak nai lagti iska kya karn hai.jab ki hum mote hone k liye bohat kuch khate hai par kuch lagta nai shareer KO.jese ki koi thoda bi khana khata nai tb bi bohat mota hota hai.or koi pura din bi khata rahe tab wese ka wesa hi rehta hai ESA kyu hai sr
Dost pachan tantar thik se kaam na karna, pet se judi koi bimari hona aese kuch karan hai jin ki wajah se khaya piya nahi lagta, iske ilava khane pine ke sath sath ha;ka fulka vyayam bhi jaruri hai. Mota hone ke upay janne ke liye aap ye article padhe :: http://sehatdoctor.com/topics/weight-gain/
sr mere ko bukhar h apple sab trike istmal kr choke ho Lekin bukhar n chod ta please give me answer
Dost agar bukhar nahi utar rha hai to aap doctor se consult kare checkup karwaye taki pta lag sake bu7khar kis wajah se ho rha hai, tabhi ilaj sahi tarike se ho sakta hai.
hello sir!
me apse ye puchna chahta hun ki !
jb thand dekar bukhar ati h toh kya krna chahiye ! upay btaen ?
Rahul ye maleria aur typhoid ke lakshan ho sakte hai, aese mein test kara kar confirm kare kinye bukhar kis wajah se hua hai.
sir. Mera beta 5 shal ka ha. Usko 4 -5dino se din me bar bar bhukhar aata ha. Uske chehare par thoda sujan bhee ha. Doctor ki dava bhee chal rahi ha.lekin asar nahi ha
Shokat ji agar dawa se bhi aaram nahi mil rha aur bukhar bar bar ho rha hai to doctor se dubaea consult kare taki bimari ko sahi diagnose kiya ja sake aur sahi tarike se treatment ho sake.
Sir mere ser se bal gir rahe hai abi meri Umer 25 sal hai koi hal batai
बाल गिरने से रोकने के घरेलू उपाय यहाँ पढ़े :: http://sehatdoctor.com/baalo-ka-jhadna-roke-7-dino-mein-gharelu-upchaar-hindi-mein/
mere teeth mai pain but roots mai nhi hai teeth k upar hi hai or pani pee rha hon to dard ho rha hai or teeth par hawa (air) b lag rhi hai tb b pain ho rha h teeth mai.. 2 teeths mai down right side par.. plz mujhy koi guide kary? Thanks
दांत दर्द का घरेलू इलाज करने के तरीके यहाँ पढ़े :: http://sehatdoctor.com/dant-dard-ka-ilaj-5-minute-mein-desi-nuskhe-in-hindi/
Sir , mere mummy ko thanda lag gya hai.mere mummy ke umar 40 saal hai.mummy ko kal raat se fever hai.
kidney ki pathri ke karan bukhar badh gaya hai kya kare sir
Sir mujhe 1 mahine se bukhar aa raha h dawai khane par sahi ho jata h or dobara aa jata h jadatar raat ko hi aata h kya karu doctor ko dikhaya blood test bhu karwaya tb infection wala bukhar tha kuch din thik hua fir hogaya
Bukhar bar bar aa rha hai aur roj sham ke time teji se aata hai dawai khane se upar ho jata hai fir chad jata hai aur pero mai hat kal bhi hai is ke liye kya kara jaye.
Thanks bro apki post bahut achi lagi.