More

    पेट को ठीक रखने के 10 आसान उपाय और घरेलू नुस्खे

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेपेट को ठीक रखने के 10 आसान उपाय और घरेलू नुस्खे

    Pet ko thik rakhne ke upay aur gharelu nuskhe in hindi: Mausam me achanak aaye badlav aur khane peene ka tarika sahi na hone ke karan aksar bhut se logomka pet kharab hojata hai. Khane peene me gadbadi hone se pet me infection, sujan, dard, dast aur gas jesi samasya ho jati hai. Kharab pet thik karne ke liye jadatar log dawa ka sahara lete hai. Par pet ki kuch bimariya aesi bhi hoti hai jo bina medicine ke gharelu upay se thik ki ja sakti hai. Aaj is lekh me hum stomach problems ke ilaj ke aasan desi tarike janege.

     

     

    Pet me kharabi ke karan

    1. Kamjor pachan shakti
    2. Pet saaf na hona aur kabj rehna
    3. Khane peene ki galat aadate
    4. Dast aur ulti ki shikayat hona
    5. Pet me dard aur marod rehna
    6. Jada acidity banna

     

    पेट को ठीक रखने के उपाय

    Pet ko thik rakhne ke upay in hindi

    1. Pet me kharabi hone ki wajah se bar bar bathroom jane ki jarurat padti hai jis karan baody se adhik matra me pani nikal jata hai aur kamjori aa jati hai. Isse bachne ke liye jaruri hai ki aap pryapt matra me paani piye.

    2. Dast lagne ki wajah se pet me kharabi hai to dhyan rahe sharir me pani ki kami na ho paye. Loose motion ki wajah se sharir me pani kam ho jata hai. Aese me nimbu pani, nariyal pani aur lassi piye isse sharir me pani ki kami nhi hogi aur dast bhi thik hone lagege.

    3. Gajar ka juice kharab pet ke ilaj me upyogi hai. Isme puddene ka ras milane se pet ko thandak milti hai.

    4. Adrak wali chai peene se pet ke aaram milta hai. Pet me kharabi ho to adarak ki chai piye.

    5. Gas aur pet me dard ki shikayat ho to saunf khane se aaram hota hai.

    6. Jeera pet ke liye acha hota hai. Aadha chammach jeera 1 gilass halke garam pani me mila kar peene se thodi der me hi pet ko aaram milne lagega.

    7. Adarak ka ek chota tukda muh me daal kar iske ras ka sevan karne se pet dard aur marod dur hote hai.

    8. Pet ki marod aur dard shant karne me seb ka sirka bhi upyogi hai. 1 gilass pani me 1 chammach seb ka sirka mila kar peene se pet ko aaram milta hai.

    9. Pet ke rogo ke gharelu ilaj me dahi bhi faydemand hai. Dahi me ache bacteria hote hai jo pet ke rog dur karne me mdd karte hai aur sath hi isse pet ki garmi bhi dur hoti hai.

    10. Agar aap ko dast bar bar hote hai to kela khaye. Kele me potassium ki matra adhik hoti hai jo pet ke liye acha mana jata hai.

    11. Pet me infection ki wajah se agar pareshani adhik ho rhi hai to doodh me 1 chammach adarak ka powder mila kar piye.

    12. Pet se judi koi bhi bimari ya dard ho agar gharelu upay karne ke baad bhi aaram nhi mil rha aur pareshani badh rhi hai to doctor ki salah se medicine le.

     

    Pet thik karne ke liye kya khaye

    • Pet agar kharab hai to bahar ka fast food khane se bache. Aesa khana khana chahiye jo aasani se pach jaye.
    • Pachan kamjor ho ya fir pet kharab ho to mung daal aur chawal se bani hui khichdi khana chahiye aur agar pet me gas ki shikayat ho to daal aur chawal brabar matra me le.
    • Kuch din raat ko bhojan me sirf khichdi ka sevan karne se pachan accha hone lagta hai aur pet ko bhi aaram milta hai.
    • Mung ki daal aur daliya ko digest karna bhi aasan hota hai. Khichdi ke ilava aap inka sevan bhi kar sakte hai.
    • Jo log kabj se pareshan hai, pachan kamjor hai aur subh pet thik se saaf nhi hota ve sham ko halka khana khaye aur jaldi khaye.
    • Raat ka khana deeri se khane se aur bhari khana khane se gas, kabj aur acidity ki samasya hone lagti hai.

     

    Dosto pet ko thik rakhne ke upay in hindi ka ye lekh aapko kais alga hame btaye aur agar aapke pass gas kabj acidity aur kamjor pachan thik karne ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles