More

    दांत दर्द दूर करने के 10 आसान घरेलू उपाय और नुस्खे

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेदांत दर्द दूर करने के 10 आसान घरेलू उपाय और नुस्खे

    Dant dard dur karne ke gharelu upay in hindi: Sharir me dard kesa aur kahi bhi ho vyakti pareshan ho jata hai par jab dard dant me hota hai to ye aksar bardasht karna bhi mushkil ho jata hai. Teeth me pain jadatar keeda lagane, jaadh me kuch fasane ya dant sadane se ho sakta hai. Kai bar danto ki thik se safai na hone to kai bar kuch galat khane peene se bhi jadh aur dant me kida lag jata hai jisse dant andar se khokhle ho jate hai. Teeth pain chahe kisi bhi wajah se ho bahut taklif bhra hota hai. Dard se turant rahat pane ke liye log dawa ka shara lete hai par hum kuch gharelu upay aur nuskhe apna kar bhi dant dard ka ilaj kar sakte hai.

    दांत दर्द का इलाज और उपाय, Dant dard dur karne ke upay in hindi

     

    Dant dard dur karne ke gharelu upay aur nuskhe in hindi

     

    1. Hing ke pryog se dant ke dard se turant rahat milti hai. Mausami k eras me thodi hing duba kar dard wali jagah par lagaye. Agar mausami ka mile to nimbu ka istemal bhi kar sakte hai. Is upay se teeth oain se jaldi aaram milta hai.

    2. Adarak ka ek tukda kar kar dard wale dant se dba le aur iske ras chuste rahe. Kuch hi der me aap ko dant dard se aaram milne lagega.

    3. Ek kadhai le aur isme pani aur fitkari daal kar ise gas par rakhe. Jab fitkari ubal jaye to kadhai ko gas se utar le aur fitkari ko pees kar churan bana le. Ab fitkari ke churan me uska ek chauthai chammach haldi powder mila ka rise dard wale dant par lagaye. Is nuskhe se kuch hi minute me dard se rahat milne lagegi.

    4. Jo log rojana kacha pyaj khate hai unhe danto se judi samasya kam hoti hai. Dant dard dur karne me pyaj ka pryog ramban upay hai. Pyaj me bacteria ko nast karne ki takat hoti hai. Dant me dard hai to pyaj ka ek tukda le aur danto ke beech dba le.

    5. Pani me jamfal ki chal ubal kar is pani se kulla kare. Is upay se har tarah ka dant dard dur hota hai.

    6. Jamun ke ped ki chalk o pani me ubal kar kadha bna le aur isse kulka kare. Isse hilted ant majbut hote hai aur masudho ki sujan kam hoti hai.

    7. Agar dant tut kar gir gya hai aur usme se lagatar khoon aa rha hai to namak wale pani se kulla kare.

    8. Lahsun ek parkar ki natural antibiotic hoti hai jo kai parkar ke infection dur karti hai. Lahsun ki kuch kaliya seendha namakj ke sath pees le aur dard wali jagah par lagaye.

    9. Agar dant me kida lag gya hai to ek tukda pyaj ka le aur kide wale dant se 10 minute tak dabaye.

    10. Payraia ki samasya ho to pyaj ka ek tukda garam kar ke danto ke beech dabaye aur iski laar muh me ghuma kar thuk de. Lagatar 10 din is upay ko karne par payria khatam ho jata hai.

     

     Danto ki dekhbhal kaise kare

    • Thandi chijo ke sevan ke turant baad kisi garam cheej ka sevan na kare aur koi garam cheej khane peene ke turant bad thandi cheej na khaye piye. Isse dant jaldi tut jate hai ya gir jate hai.
    • Brush hamesha halke hatho se kare. Kabhi bhi brush jor se danto par na ragde.
    • Kuch bhi khane peene ke baad kulla karne se muh aur danto me bacteria nhi hote.
    • Raat ko sone se pahle brush jar kare ya fir kulla kare.
    • Cold drink hamare danto ko kamjor karti hai isliye cold drink ke sevan se dur rahe.

     

    Dosto Dant dard dur karne ke gharelu upay aur nuskhe in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aap ke pass teeth pain ka ilaj ka tarika ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles