More

    ब्रैस्ट में दर्द होने का कारण और इलाज के 5 घरेलू उपाय

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेब्रैस्ट में दर्द होने का कारण और इलाज के 5 घरेलू उपाय

    Breast me dard ka karan aur gharelu upay in hindi: Breast me dard sujan akdan aur bharipan mahsus hona kuch aesi problems hai jo aksar mahilao ko hoti rehti hai. Jadatar stano me dard hone ka koi gambhir karan ya koi bimari nahi hoti aur adhiktar samay ye kisi ilaj ke bina apne aap thik ho jati hai. Pregnancy ke shuruati lakshano me bhi stano me sujan aur dard ek aam lakshan hai par agar kisi ladki ya mahila ko jada samay tak ek ya dono breast me dard ho rha hao to ye breast cancer ke lakshan bhi ho sakte hai. Aese me breast pain me laparwahi nahi karni chahiye aur turant kisi doctor se mil kar treatmemt shuru karna chahiye. Aaj hum is lekh me janege stano me dard ka ilaj ke gharelu nuskhe.

    Breast me dard ka karan in hindi

    Kuch ladkiyo aur mahilao ko ek stan me dard hota hai to kuch ko dono stano me sujan aur dard ki samasya hoti hai. Kuch ko stano ke bagal wali jagah par bhi sujan aati hai. Stano me dard hona jadatar harmon me hone wale badlav ke karan se hota hai jo periods, pregnancy aur breastfeeding ke dauran dekhne ko milta hai.

     

    1. Breast me infection

    1. Badhe hue baal, bacteria aur breast se dudh aane me rukawat ki wajah se breast me infection ho jata hai jo dard aur sujan jese badlav me najar aata hai.

    2. Stan se khun aur pas nikalna aur bukhar aana infection badhne ke lakshan ho sakte hai.

    3. Aese me bina deri kiye turant kisi doctor se milkar test aur ilaj karana chahiye.

     

    2. Pregnancy

    • Garbhawastha ke shuruati dino me breast pain karna normal hai joki harmons me hone wale badlav ke karan hota hai.
    • Pregnant lady ke stan garbh me pal rahe bhrun se bhi adhik teji se badhte hai aur sath hi dudh wali nalikao me bhi badlav aane lagta hai jese ki aakar badhna aur isse stano me dard hone lagta hai.

     

    3. Stanpan karana

    1. Jo mahilaye bacche ko dudh pilati hai unke stan dard karna aam hai.

    2. Pregnancy ke samay stano ka size badhta hai aur inme dard bhi hota hai. Aese me jab maa navjat shishu ko stanpan karati hai tab dard aur badhne lagta hai.

     

    4. Breast cancer

    Kai dino tak stano me dard hona breast cancer ke lakshan bhi ho sakte hai. Iske ilava stano me gaanth panda aur sujan aana bhi kuch aese sanket hai jo cancer ke lakshan hai.

    • Agar ilaj karne ke baad bhi breast pain thik nahi ho rha to test jarur karaye.

     

    5. Garbh nirodhak dawa ka sevan

    1. Pregnancy rokne wali medicine ka adhik sevan karne se body me harmons me badlav aane lagta hai jisse stano me dard ki shikayat jesi problem aane lagti hai.
    2. In medicine ke sevan se mahila ki body me harmon ka star badhta hai jo is samasya ka ek karan hai.

     

    Stano me dard ka ilaj ke gharelu upay

    • Breast ki massage karne se sujan aur dard me aaram milta hai. Isliye halke hatho se stano ki malish kare.
    • Galat bra pahnne se bhi breast me dard rehne lagta hai. Agar aap ko har samay dard rehta hai to 1 bar apni bra ka size check kare aur ye jane ki aap sahi size ki bra use kar rahe hai ya nahi.
    • Bra nahi pehnna bhi breast me pain hone ka ek karan ho sakta hai kyoki bra ka pryog nahi karne se breast ko support nahi milta.
    • Burf ki sikai se bhi pain me aaram milne lagta hai. Is upay ko karne ke liye burf kisi kapde me lappet kar sikai kare.
    • Maa ke dudh me antiseptic gun maujood hote hai. Bacche ko doodh pilane ke baad thoda dudh apni breast par lagaye.
    • Stano me dard ki samasya me mahila ko sharab aur dhumarpan se dur rehna chahiye.

     

    Dosto Breast me dard ka karan aur gharelu upay in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aap ke pass stano me dard ka ilaj ke nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles