More

    अंजीर खाने के फायदे नुकसान और तरीका – Anjeer Benefits in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेअंजीर खाने के फायदे नुकसान और तरीका - Anjeer Benefits in Hindi

    Anjeer Benefits in Hindi : Angreji me anjeer ko fig ke naam se jante hai jo aksar dry fruit ki tarah khaya jata hai. Anjeer fal ka upyog kai rogo ke ilaj me bhi kiya jata hai. Isme kai parkar ke vitamins, minerals aur anti oxidents maujood hote hai jo na sirf rogo ko dur rakhte hai balki swasth aur achi sehat pane me bhi upyogi hai. Anjir ka taja fal bhi kha sakte hai aur sukh jane ke baad bhi ise khaya ja sakta hai. Sukhne ke baad iska swad aur badh jata hai. Agar anjeer kaise khaye iska tarika aur sahi samay malum ho to ye kai parkar se aapko fayda kar sakti hai. Aaiye jane anjeer health benefits uses and side effects in hindi.

    Anjeer Benefits in Hindi

     

    अंजीर खाने का सही समय – Anjeer Khane Ka Samay

    • Vese to anjeer ka upyog aap fruit ki tarah kabhi bhi kar sakte hai par ise khane ka sahi time subah ka mana jata hai.
    • Subah ke samay anjeer khane se jada labh milta hai.
    • Agar kisi rog ke ilaj me iska sevan karna hai to rog ke anusar ise khane ka tarika aur samay bhi alag ho sakta hai.

     

    अंजीर खाने के क्या फायदे है

    Anjeer Benefits in Hindi

     

    1. Anjeer me fiber ki matra adhik hoti hai, iske upyog se pachan tantr majbut hota hai. Jisse kabj se chutkara milta hai aur pet saaf hota hai. Anjeer ka upyog aap sidhe bhi kar sakte hai ya raat ko ise bhigo kar rakhe aur subah iska sevan kare.

    2. Piles (bawasir) ke rogi ko bhi ise khane se labh milta hai. Piles hone ka parmukh karan kabj hota hai aur kabj se rahat pane me anjir kafi upyogi hai.

    3. Haddiyo ke vikas aur inhe majbut bnane ke liye calcium sabse jaruri hota hai jo anjeer me bharpur hota hai. Anjeer khane se haddiya majbut hoti hai.

    4. Sharir ki kamjori dur karne me bhi anjeer ke benefits achuk hai. Anjeer me kai jaruri poshak tatv hote hai jo takat bdhane me mdad karte hai. Kamjori dur karne ke liye taaje anjir ka sevan kare aur sath hi doodh ke sath sukhe anjeer ka sevan kare.

    5. Skin se judi pareshani dur karne me bhi ye kafi asardar hai. Anjeer me maujood poshak tatv skin ko healthy rakhne me mdad karte hai jisse pimples, fode funsi aur chehre par daag dhabbe jesi samasya dur hoti hai.

    6. Isme omega 3 bhi hota hai jo dil ko swasth rakhne me upyogi hai. Dil ke rog dur karne aur cholesterol kam karne ke liye anjeer kafi kargar hai.

    7. Anjeer khane ke upay high blood pressure me bhi kar sakte hai. High BP ko kam karne ke liye anjeer kafi faydemand hai.

    8. Fiber kam hone ke sath sath isme calorie ki matra bhi kam hoti hai jo weight loss karne me jaruri hai. Vajan ghatane ke liye sukhe anjeer ka sevan karne se mdad milti hai.

    9. Weight gain karne me bhi ye labh karti hai. Vajan badhana hai to anjeer ko doodh ke sath khaye.

    10. Isme iron ki matra bhi adhik hoti hai jo khoon ki kami ko pura karne me upyogi hai. Khoon ki kami dur karne ke liye milk aur anjeer ka sevan karna chahiye.

    11. Diabetes me bhi fig khane se fayda hota hai. Anjeer khane se blood sugar ka level kam karne me mdad milti hai.

     

    अंजीर खाने का सही तरीका – Anjeer Khane Ka Tarika in Hindi

    • Anjeer ko kaise khaya jata hai iski jankari ho to jaldi hi iske fayde dikhne lagte hai. Anjeer ko dono tarike se khaya ja sakta hai, taaja anjeer aur sukha kar.
    • Ise kaise khaye ye is baat par bhi nirbhar karta hai ki aap kon se rog ko dur karne ke liye iska sevan kar rhe hai.
    • Taaja anjeer me kam calorie hoti hai aur iske sukh jane ke baad sukhe anjeer me sugar adhik matra me hoti hai.
    • Agar aap sukhe hue anjeer ka upyog kar rahe hai to 2 se 3 anjeer raat ko paani me bhigo kar rakhe aur subah in bhige hue anjeer ko khaye.
    • Agar aap taja anjeer kha rahe hai to ise kam khaye.
    • Sardi ke mausam me anjeer doodh me bhigo kar bhi kha sakte hai. Bhige anjeer khana sehat ko kafi labh karta hai.

     

    अंजीर खाने के नुकसान – Anjeer Ke Nuksan

    • Jarurat se jada anjeer ka sevan karne se fayde ki jagah iske side effects bhi ho sakte hai.
    • Anjeer ki taseer garam hoti hai iska sevan adhik karne se sharir me garmi badhne lagti hai jisse naak se khoon aane ki samasya ho sakti hai.
    • Isme fiber adhik matra me hote hai jis karan iska sevan adhik karne se dast ki samasya ho sakti hai.
    • Anjeer jada khane se pet me dard, aanto me dard jesi samasya ho sakti hai.
    • Iska sevan adhik matra me karne se liver ko bhi nuksan ho sakta hai.
    • Sukhe anjeer me sugar adhik hoti hai isliye sugar ke rogi iske sevan se pahle doctor ki salah jarur le.

     

    Dosto anjeer khane ke fayde aur nuksan in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass anjeer khane ka tarika iske health benefits side effects aur uses se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles