Baba ramdev beauty tips in hindi: Kisi rog ka ilaj karna ho ya fir sundar baal aur chehre ke liye upay karne ho swami ramdev kisi bhi parkar ki medicine lene ki bajay yoga, gharelu nuskhe aur ayurvedic tarike se upchar ke bare me logo ko jagruk karte hai. Isse pahle wale lekh me humne glowing face ke liye patanjali beauty cream ke bare me jana. Aaj hum sundar gora chehra aur hairs ke liye ghar par kiye jane wale nuskhe ke bare me janenge. Aaiye jane baba ramdev gharelu skin care beauty tips hindi me.
Skin aur Hair Care
Jaldi gora bedaag chehra aur sundar baal pane ke liye kuch log kai parkar ke beauty products istemal karte hai par kai bar inse skin ko side effect hone lagta hai.
- Baba ramdev ke bataye hue ye gharelu beauty tips turant asar to nhi dikhayenge par agar inhe saahi tarike aur niyamit roop se pryog me laye to fayda jarur milta hai.
Chehre ke Liye Baba Ramdev ke Nuskhe
Baba Ramdev Beauty Tips for Face in Hindi
Gharelu nuskhe se sundar aur gora chehra pane ke liye ghar par pryog hone wali chijo ka istemal kiya jata hai jinke side effect ki sambhavna na ke brabar hoti hai aur inse mile result lambe samay tak rehte hai.
1. Aloe vera
Skin care ke liye aloe vera ka pryog 2 tarike se kiya ja sakta hai. Pahla hai aloe vera ke patte se chehre ki massage se aur dusra hai aloe vera juice ke sevan se.
- Aloe vera juice face aur body ki skin ke liye kafi acha hota hai. Ise aap patanjali ke store se bhi le sakte hai.
- Chehre, gardan aur hatho par aloevera ke patte se massage karne se skin par glow aane lagta hai.
- Face ko clean karne me aloevera skin toner ka kam karta hai. Har roj aloe vera ke gudde ko chehre par ragdne se face ki skin par jama extra oil bahar nikalta hai jisse chehre ke pimples ki problem se bhi chutkara milta hai.
- Body par pregnancy aur motapa hone ke karan agar stretch marks pad gye ho to har roj aloe vera ke gudde ki malish kare. Is upay se stretch marks dhire dhire kam hone lagenge.
- Face ke daag dhabbe ka ilaj aur kil muhase hatane ke upay me aloevera ka paryog ramban hai.
2. Kaccha doodh
- Gora chehra pane aur jaldi nikhara lane ke liye har roj raat ko sone se pahle face par cotton ki mdad se kacha doodh lagaye. Is upay se face par jaldi glow aata hai.
3. Besan ka face pack
Besan chehre ke liye acha hota hai. Besan me thoda gulab jal mila kar ek gharelu face pack bana le aur face par lagaye. Kuch din lagatar is upay ko karne par chehre par nikhar aane lagega.
- Vese to bajar me kai tarah ke beauty face pack milte hai par baba ramdev natural aur ayurvedic tarike istemal karne ki salah dete hai. Aese me besan ka face pack lagana aasan hai aur asardar bhi.
4. Nimbu
- Chehre ke daag dhabbe, pimples hatane aur skin tone ke upay ke liye din me ek bar nimbu ko face par ragadna chahiye.
- Nimbu ragadne ke kuch der bad face ko gungune pani se wash kare. Kuch din lagatar is upay ko karne par chehre ka rang nikharne lagta hai.
5. Paani jada piye
- Skin ko healthy rakhne aur skin problems se bachne ke liye sab se best tarika hai din me 3 se 4 liter paani piye. Paani pine se chehre ki tvacha me glow aane lagta hai.
6. Fresh juice
- Cold drink pine ki bajay agar taja juice pine ki aadat apnaye to isse skin par glow aata hai. Cold drink body ke liye achi nhi hoti aur taja juice piye to sharir bhi swasth rehta hai.
- Dibba band juice ki bajay hamesha taja hi pina chahiye.
7. Yoga aur pranayam kare
Kapalbhati pranayam anek parkar ke rogo ke ilaj me madad karta hai. Har roj din me 2 bar agar 15 minute ke liye kapalbhati pranayam kare to 6 mahine me skin glowing dikhne lagegi.
- Skin care ke ilava kapalbhati karne se motapa, kabz aur kai taarah ki samasyao se chutkara milega.
- Rang gora karne ki gharelu cream
Balo ke Liye Gharelu Nuskhe – Baba Ramdev Beauty Tips for Hairs in Hindi
Sundar chehra achi personality me jitna jaruri hai utna h jaruri hai baal bhi sundar aur ghane ho. Aajkal bhut se logo ko baal jhadne, dandruff, ganjapan aur baal safed hone jesi samasya ho rhi hai. Aaiye jane gharelu upay aur nuskhe se kaise balo ki samasya ka ilaj kare.
1. Baal jhadne se rokne ke upay
- Baal jhadne aur tutne se rokne ke liye nariyal ka tel pryog kare. Nariyal ka tel apne baalo ki lambai ke anusar le aur isme thoda nimbu ka ras mila kar balo ki malish kare.
- Baal agar kamjor aur patle hai to pyaj ka ras lagaye. Isse baal majbut aur mote hone lagenge jisse balo ka jhadna kam hoga.
- Baal Jhadne se Kaise Roke
2. Baal ugane aur ganjapan ka ilaj
- Naye baal ugane ke liye sir ke jis hisse se baal ud rahe hai use jagah hare dhaniya ko pees kar iska paste lagaye.
- Ande se baal dhone se balo ko jaruri poshan milta hai aur baal chamakdar hote hai. Is upay se ganje sir par baal ugane me bhi fayda milta hai.
- Pyaaj ka ras baal ugane aur baal jhadne se rokne me bhi asardar hai. Pyaaj ka ras hairs ke liye ramban ilaj hai.
3. Dandruff hatane ka tarika
- Balo se russi hatane ke liye balo me nimbu ka ras lagaye aur 15 minute baad dho le.
- Shampoo lgana chahe to reetha ka shampoo pryog kare.
- Paani me neem ke paate ubaal le aur is paani se balo ko wash kare. Is upay se bhi hair dandruff se chutkara milega.
4. Safed baal kale kaise kare
Balo ko kala karne ke upay me aawla ek natural aur ayurvedic dawa hai. Aawle ko lambe samay se log hairs ke liye pryog karte aa rhe hai.
- Aawle ko paani me ubaal le aur iska paste bana le.
- Is paste ko ab balo ki jado par ache se lagaye aur ½ ghante tak ise laga rehne de.
- Hafte me 1 bar is upay ko jarur kare, kuch hi samay me baal ghane mulayam aur kale hone lagenge.
Baba Ramdev Skin Care Tips in Hindi
- Chehre ki tvacha sundar aur swasth dikhe iske liye jaruri hai ki aap achi neend le aur khud ko aaram de.
- Jada tanav lene se bache. Tension ki wajah se bhi tvacha murjha jati hai.
- Apne chehre par naye experiment na kare. Koi bhi beauty cream istemal karne se pahle uske bare me aur apni skin tone ke bare me ache se jaan le.
- Apni diet me healthy food shamil kare taki skin aur hairs ko jarurat ke anusar poshan milta rahe.
- Yoga aur exercise karna bhi jaruri hai. Isse body me blood ka circulation acha rehta hai.
Tags: बाबा रामदेव ब्यूटी टिप्स इन हिंदी, बाबा रामदेव के घरेलू नुस्खे, पतंजलि आयुर्वेदिक क्रीम, पतंजलि ब्यूटी टिप्स, बाबा रामदेव स्किन केयर टिप्स इन हिंदी, चेहरे और बालों के लिए घरेलू उपाय और नुस्खे, Chehre aur balo ke liye gharelu nuskhe aur upay, baba ramdev beauty tips for hairs in hindi, baba ramdev patanjali skin care tips in hindi, baba ramdev beauty tips in hindi for face.