More

    अश्वगंधा के 10 फायदे और नुकसान : benefits of ashwagandha in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेअश्वगंधा के 10 फायदे और नुकसान : benefits of ashwagandha in Hindi

    Benefits of Ashwagandha in hindi: Ayurvedic tarike se ilaj me ashwagandha ek aesi ramban dawa hai jo kai rog dur karne me li jati hai. Ise Indian ginseng ke naam se bhi jante hai jo height badhane, weight loss karne, skin, hair, vajan badhane, body banane, diabetes, blood pressure, gathiya, cancer jese rogo ke upchar me upyogi hai. Ashwagandha churna (powder) aur capsule dono me milta hai jise aap patanjali ya pansari se le sakte hai. Aaj is lekh me hum ashwagandha ke fayde nuksan aur ashwagandha ke gharelu upay aur nuskhe ke bare me janege, ashwagandha powder capsules benefits and side effects in hindi for men and women.

    Fayde aur nuksan ke sath sath ashwagandha kya kaam aati hai aur ise kaise le iske bare me bhi hum janege. Agar aap kisi rog se pidit hai aur is dawa ka sevan karna chahte hai to kisi ayurvedic chikitsak ki salah se ise lene ki sahi matra aur sahi tarike ke bare me vistar se jane.

    Ashwagandha ke Fayde or Nuksan

    Ashwagandha Benefits and Side Effects in Hindi

    Ye ek parkar ka podha hota hai jis se anek ayurvedic dawaiya banai jati hai. Iske podhe se powder aur capsule bana kar pryog me laye jate hai. Aaiye jane ashwagandha ke gharelu upay aur nuskhe se rogo ka ilaj kaise kare.

    1. Ashwagandha Benefits for Diabetes

    Ashwagandha body me blood sugar level kam karne me asardar hai jisse diabetes control me rehti hai. Ashwagandha churna ke sevan se cholesterol bhi kam hota hai.

    2. Neend Naa Aana

    • Jo log anidra se pareshan hai aur jinhe gehri neend nahi aati unke liye ashwagandha ek utam dawa hai.

    3. Ashwagandha Powder Benefits for Women

    • Safed paani (liloria) ke rog ki wajah se mahila ke sharir me kamjori aane lagti hai aur prajnan shamta bhi kam hone lagti hai. Ashwgandha ke niymit sevan se is bimari me bahut aaram milta hai.

    4. Ashwagandha Powder Benefits for Men

    1. Iske sevan se prajnana shamta badhti hai.
    2. Sperm count badhte hai aur virya bhi achi matra me banta hai.
    3. Sharirik thakan aur kamjoti dur hoti hai aur sharir me josh aata hai.
    4. Sharir ki rog pratirodhak shmta badhti hai.

    5. Aankho Ke Liye Ashwagandha

    • Aawla, mulethi aur ashwgandha ko brabar matra me mila le. Is powder ka 1 chammach har roj lene se aankho ki roshni badhne lagti hai.

    6. Ashwagandha for High Blood Pressure

    • Iske sevan se body me blood pressure me kami aati hai. High bp ke liye ye achi dawa hai.
    • High bp ke rogi ko ashwagandha churna doodh ke sath sevan karna chahiye. Is upay se blood pressure normal ho jayega. Iske sevan se tanav bhi kam hota hai.Low bp ke rogi iska sevan naa kare.

    7. Fode Funsi Ka ilaj

    • Aswagandha ke patto me fode aur funsi thik karne ke gun hote hai.
    • Sharir par kahi bhi fode, funsi, jakham ya koi ghav ho jaye to iske patte pees kar ghaav par lagaye.

    8. Tension Dur Kare

    • Tension aur depression jese rogo ke ilaj me bhi ashwagandha ke sevan se fayda milta hai. Dimag ki kamjori dur karne me bhi ye ayurvedic dawa behad asardar hai.

    9. T.B Ka Rog Thik Kare

    • T.B ki bimari me ye ayurvedic dawai kafi faydemand hai. Iske pryog se body me iron ki matra badhti hai.
    • Saans se judi samasya dur karne ke liye ashwgandha shahad aur ghee ke sath sevan kare.
    • Khasi dur karne me bhi is dawa se aaram milta hai.

    10. Ashwagandha Se Height  Badhane Ke Tarike

    1. Ashwagandha se height badhti hai kya, agar aap ka bhi yahi sawal hai to jawab hai haa. Ashwagandha lambai bdhane ki ramban ayurvedic dawa hai.
    2. 1 chammach ashwagandha churna ko 1 glass doodh me mila kar isme thoda gud ya chini mila le aur iska sevan kare.
    3. Is upay ko 40 se 45 din niyamit roop se karne par height growth me mdad milti hai.
    • Jane Lambai badhane ki ayurvedic dawa

    Benefits of Ashwagandha in Hindi

    Upar bataye gye rogo ke ilava kuch aur bhi rog hai jinke upchar me ashwagandha ramban dawa ka kaam karti hai.

    1. Weight loss
    2. Cancer
    3. Body banana
    4. Cough, khansi, asthma
    5. Gathiya
    6. Vajan badhane
    7. Skin ke liye
    8. Hairs ke liye
    9. Liver ke rog
    10. Body immunity badhane

    Ashwagandha Ke Nuksan : Ashwagandha Side Effects in Hindi

    Ayurvedic dawa se nuksan naa ke brabar hi hote hai par jab in dawao ko sahi tarike se naa liya jaye aur jada matra me iska sevan kare to nuksan bhi ho sakta hai. Aaiye jane side effects of ashwagandha in hindi.

    1. Ashwagandha ka jada sevan karne se sharir me kai badlav aane lagte hai. Body ka temperature badhne lagta hai aur bukhar aane lagta hai. Agar aap ko ye samasya ho to is dawa ka sevan band kare aur agar pareshani badhne lge to doctor se mile.

    2. Lambe samay tak is desi dawa ke sevan karne se dusri medicine sharir par asar nahi kar paati, aese me dusre rog ke ilaj me li jane wali dawai se bhi laabh nahi milta.

    3. Diabetes, blood pressure aur gathiya jese rogo se bachne aur ilaj ke liye agar aap ashwgandha powder ka sevan karte hai to dhayan rahe is dawa ka sevan jada matra  me naa  kare.

    4. Neend naa aane ki samasya dur karne me ye dawa kafi upyogi hai par jab is dawa ka sevan jada hone lagta hai tab jada neend aana ya neend naa aana jesi problem aane lagti hai jo sehat ko nuksan karti hai.

    5. Pet ke liye ye dawa kaafi faydemand hai par iska jada sevan karne se ye fayda karne ki bajay nuksan bhi kar sakti hai. Jese ki pet me gas banna, dast lagna aur ulti aana.

    Ashwagandha Ka Sevan Kaise Kare

    Ashwagandha kya kaam karta hai aur is se kya labh hota hai ye aap ne jaan liya ab jante hai is dawa ko lene ka sahi tarika kya hai.

    • Ahwagandha kaise le ye sab se pahle is baat par nirbhar karta hai ki aap kis rog ke ilaj ke liye iska sevan kar rahe hai aur aap ki umar kya hai. Bachho ke liye iski matra bado ke mukable kam hoti hai.
    • Achi sehat ke liye is dawa ki 2 se 5 gram ki matra tak har roj le sakte hai. 100 gram ashwagandha aur 100 graam mishri mila kar rakh le aur iska 1 chammach raat ko sone se pahle doodh ke sath le.
    • Agar kisi rog ke upchar ke liye aap ashwagandha ka sevan karna chahte hai to ise lene ka sahi tarika rog se jude lekh me jane.
    • Ashawagandha powder aur capsule dono me milta hai jo aap pansari ya baba ramdev patanjali ke store se le sakte hai.
    • Agar aap kisi rog ke upchar ke liye koi medicine ya desi dawa le rahe hai to ashwagandhan ka sevan karne se pahle doctor ya ayurvedic chikitsak se salah jarur le.
    • Gas ki samasya, alsar aur pregnancy ke dauran ashwagandha powder aur capsules ka sevan nahi karna chahiye.
    • Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
    • Baba Ramdev Patanjali ki Dawa

    Dosto Ashwagandha ke fayde or nuksan, Ashwagandha benefits and side effects in hindi ka ye lekh kaisa lga hame bataye aur agar aapke pass gharelu upay, nuskhe aur patanjali ashwagandha (churna) powder capsules ke fayde kya hai se jude anubhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    3 COMMENTS

    1. sir, Aswagndha ka use body banane ke liye karne ja rha hu. plz mujhe bataye ki kitna din use karne ke baad mujhe iska prabhav dikhayie dega.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles