Thand se bachne ke Gharelu Upay: Sardiyo ka mausam aa gya hai aur kai jagaho par temperature 5 degree se bhi kam tak pahunch jata hai, aese mein thand ki maar se bachne ke liye hum kuch chote chote upay karke iske asar ko kam kar sakte hai. Winters mein log garam kapde pehnte hai aur aag jala kar aalap ka sahara lete hai, par sharir ko chahe kitne bhi kapdo se dhak le thand ke parbhav se bach nahi pate kyuki cold se ladne ke liye bahar ke sath sath body ka andar se garam rehna bhi jaruri hai. Is lekh mein hum padhenge thand se bachne ke liye kya kare aur janenge ki aese mausam mein kya khaye aur kya nahi khaye, home remedies tips for cold in hindi.
Agar mausam ke anusar hamari body andar se khud ko dhal le to hame na to jada thand lagegi aur na hi garmi jisse hum kai parkar ki bimariyo aur virus se bhi bache rahenge. Hum apne khane pine par dhyan de kar sharir ko andar se garam rakh sakte hai jisse sardi kam lagegi.
Thand se Bachne ke Gharelu Upay aur Desi Tarike
1. Soup Piye
Sardiyo mein soup sharir ko garam rakhta hai aur agar aap non vegetarian hai to chicken soup pine se cold mein kafi rahat milti hai aur agar aap non veg nahi khate to veg soup pi sakte hai, bas dhyan rahe jab bhi soup piye ise taaja bana kar piye.
2. Omega 3 Fatty Acid
Winters mein omega 3 ka sevan sabse badhiya food hai jo machliyo (fish) mein bharpur hota hai. Sardiyo mein machli khane se sharir mein garmi aati hai. Machliyo mein jink bhi hota hai jo immunity badhate hai aur body ko kai parkar ki health diseases se bhi door rakhte hai.
3. Shahad (Honey)
Ayurveda mein shahad ko amrit mana gya hai kyuki ye body ko healthy rakhne ke sath sath rogo se dur rakhta hai aur sharir ko energy deta hai. Sardi se bachne ke liye shahad ka sevan karna utam upay hai kyuki isse body ka immune system sahi rehta hai aur pachan kriya bhi sahi kaam karti hai.
Raat ko sone se pahle 1 glass halke garam doodh mein 1 chammach shahd lene se cough mein rahat milti hai.
4. Khajur
Khajur ki tasir garam hoti hai jo thand se bachane mein asardar hai. Thand mein garam doodh ke sath khajoor khane se sardi se turant rahat milti hai. Chote bacho se bade bujurgo tak iska sevan koi bhi kar sakta hai.
5. Adarak
Sardiyo mein adrak ke sevan se boody ko garmi milti hai aur digestion bhi acha rehta hai. Kisi bhi roop mein iska sevan sharir ko thand mein hone wali choti choti bimariyo se bachata hai.
Thand ke mausam mein adarak, tulsi, laung aur kali mirach ki bani chai pine se thand se dur rehne mein madad milti hai, iska sevan sardi jukam aur khansi ka upchar bhi karta hai.
6. Baajre ki Roti
Aapne aksar suna hoga roti khane se sharir mein garmi aa jati hai aur agar roti bazre ki ho to ye aur bhi asardsr hai. Baajre ke aate ki bani roti se sharir mein garmi aati hai iske sath isme protein ki matra bhi adhik hoti hai.
Gaanvo mein aksar gharo mein bajre se bani roti ko pasand kiya jata hai. Sardi ke mausam mein chote bacho ko thand se bachane ke liye aap unhe bhi bajre ki roti khila sakti hai. Protien ke sath sath isme calcium, magnees, vitamin B, antioxidant aur fibre hote hai jo sehat ke liye bhi ache hai.
7. Mungfali
Mungfali mein vitamin, minerals, anti oxidents aur bahut sare nutritions bharpur matra mein hote hai isliye thand ke mausam mein mungfali khana body ke liye kafi faydemand hai.
Purane samay mein til ka paryog tavacha ki khubsurati banaye rakhne ke liye karte the, mishri aur til ka kadha bana kar pine se thand mein hone wali cough nikal jati hai. Til ke tel ki malish se bhi sardi se bache reh sakte hai.
Thand se bachne ke liye kya nahi khaye
- Kuch aese fruits hai jo sharir ko thandak dete hai isliye winters mein aese fruits khane se bache jese santra aur mausmi, inhe khane se sardi jukam jesi bimariya hone ka dar hai.
Sardiyo mein kabz se kaise bache
Kabz (constipation) sardiyo mein aksar hame pareshan karti hai isliye hame aesi cheeje khani chahiye jisme fibre ki matra adhik ho taki sharir mein kabz na bane aur pet thik se saaf ho sake. Badam mein fibre aur vitamin E paryapt matra mein hota hai, iske ilava salad mein bhi fibres adhik hote hai.
Sardi Mein Thand se Bachne ke Tips
Sardiyo mein kai parkar ke virus jada sakriy ho jate hai iisliye jaruri hai ki hum khud ko kisi bhi parkar ke virus ke hamle se bachaye.
- Muflar, topi aur dastano ka paryog kare.
- Heater ki bajay aalap ya angithi ka paryog kare.
- Koi bimari ho to doctor ki salah ke bina koi medicine na le.
- Winters ke samay agar aap ko subh morning walk ya yoga ke liye ghar se bahar nikalna hai to suraj nikalne ke bad hi nikle aur sharir ko garam kapdo se puri tarah dhak le.
- Khan paaan mein thandi cheejo ke sevan se parhej kare aur adhik samay tak thand mein na rahe.
Dosto Sardiyo mein Thand se Bachne ke Gharelu Upay aur Desi Tarike, Tips for Cold in Hindi ka ye lekh aapko kesa lga hame comment karke btaye aur agar aapke pass sardi se bachne ke nuskhe hai to hamare sath share kare.
Very proud of you