Garmi se bachne ke gharelu upay: Dosto garmi ka mausam(summer season) aa gaya hai. Suraj ki tej dhoop ke kaaran hawa mein rukhapan, jameen mein paani sukna aur temperature badhna jesi samasyao ka samana karna padta hai. Kai shaharo aur gaavo mein tapmaan 45 degree se bhi upar ho gaya hai aur paani ki kilaat itni badh gayi hai ki sukhe ke halat ban gaye hai. Garmi badhne ke sath shareer ko aaneko parkar ki bimariyo ki aashanka hone lagti hai.
Garmi ke Kaaran Hone wali Bimariya
Garmi ka mausam aate hi tej dhup aur humas(humidity) pareshaan karne lagti hai. Summers mein hamare shareer ko kai parkar ki bimariya hone ka khatra bana rehta hai.
- Loo lagna, Chakar aana aur gabrahat hona.
- Shareer mein paani ki kaami hona. (Dehydration)
- Sun burn, ghamoriya aur pit ki shikayat hona.
- Nakseer aana aur ulti-dast hona.
Garmi se Bachne ke Liye Kya Kare
Hum kuch choti choti baato ka dhyaan rakh kar garmi, dhoop aur loo se bache reh sakte hai.
- Rojana 2 se 3 litre taja paani piye.
- AC aur Cooler se nikal kar turant dhoop mein na jaye.
- Tej dhoop mein khaali pet ghar se bahar na nikale, aur jab bhi bahar jaye paani pi kar jaaye.
- Suti aur dheele kapde pehne.
- Garmi mein jada chay aur masale wali cheeje na khaye. Bidi, cigrate aur sharab ka sevan bhi kam kare.
- Tej dhoop mein nange sir, nange paanv aur khulle shareer bahar na nikale.
- Bahar dhoop se aa kar turant AC aur cooler ke aage na baithe aur thanda paani bhi na peeye.
- Garmi se bachne ke liye yoga ke kuch aasan bhi kar sakte hai. Sheetkari, sheetali, savasana aur chandra bhedan pranayam karne se garmi mein fayda hota hai.
Garmi se Bachne ke Gharelu Upay : 20 Summer Fighting Tips
Garmi ke mausam mein khane peene ka dhyaan rakhna jaruri hai. Kuch gharelu nuskhe apna kar hum garmi se bache reh sakte hai.
1. Belgiri ka Sharbat: Bel giri ka sharbat peena garmi mein bhut he utam hai. Ye garmi mein motapa kam karne mein bhi madad karta hai.
2. Lauki: Lauki mein paani ki maatra jada hoti hai aur iske sevan se body mein dehydration nahi hoti. Agar garmi mein thik se khana digest nahi hota to lauki ki sabzi, rayta ya lauki ka juice bana kar piye. Iske ilaava garmi ke mausam mein tauri, kadu, kheera, ubala hua aaloo aur dahi khana faydemand hota hai.
3. Paani: Jada garmi ki wajah se baar baar gala sukhne lagta hai aur shareer mein paani ki kami bhi hone lagti hai, isliye thodi thodi der mein paani piye. Sada paani skin ko fresh rakhta hai. Jada thakan hone par apne munh par paani ke cheentee mare, isse aap fresh mehsoos karenge.
4. Jaljeera: Garmi mein hone wali pet ki bimariya aur pit, ghamoriya se bachne ya inke upchaar karne mein jaljeera ka sevan faydemand hai.
5. Dhaniya: Dhaniya ko paani mein bhigo kar ache se masal le aur chaan kar usme thodi shakkar mila le. Is paani se garmi se rahat milti hai.
6. Pyaaj: Garmi se bachne ke gharelu upay aur loo se chutkara pane ki liye pyaaj ka istemaal bhut hi faydemand hota hai. Ek pyaaj le aur ise jeere ke saath bhun kar khaaye. Is upay se pachan kriya normal ho jaati hai aur shareer ka taapmaan samany ho jaata hai.
7. Imali: Imali ke beejo ko pees kar use paani mein ghol kar kisi kapde se chaan le. Imali ke is paani mein thoda shakkar mila kar piye, garmi se aaram milega.
8. Gaay ka Doodh: Gaay ke dudh(cow milk) mein peesi hui kaali mirch daal kar apne shareer par lagaye. Isse sharer ki garmi bahar nikal jaati hai.
9. Kheera: Kheera ek natural moisturiser ki tarah kaam karta hai, kheere ke juice ko chehre par lagane se chehre par thandak mehsoos hogi aur sunburn ki problem se bhi bache rahenge. Pisi hui chandan, khire ka juice, glycerine ki 2-3 bunde aur gulab jal ko milakar ek leep bana le aur face par lagane se rahat milti hai.
10. Multani Mitti: Dhoop se aane ke kuch ghanto baad multaani mitti aur chandan powder face par lagane se chehre ko thandak milti hai.
11. Vitamin: Garmiyo ke mausam mein aise fruits aur hari sabjiya khaye jisme vitamin A aur C bharpur maatra mein ho jaise ki black grapes, aam, nembu, santre. Aap inka juice bana kar bhi pi sakte hai.
12. Pudeena: Pudeena ek natural papermint hai jo garmi se nijaat paane ke liye bahut upyogi hai. Pudeena bukhar, pet mein jalan, loo aur gas ki samasya ko bhi dur rakhta hai.
13. Lassi: Garmi ke mausam(summer) mein dahi khana aur lassi peena pet ke liye bhut acha hota hai. Chaach mein thoda jeera aur kala namak daal kar piye. Garmi se bachne ke liye thandayi bhi pi sakte hai.
14. Naariyal Paani: Naariyal mein kaafi poshak tatav hote hai. Garmi mein loo se bachne ke liye naariyal paani piye aur naariyal khaye.
15. Neembu Paani: Nembu mein vitamin C bharpur maatra mein hota hai. Garmi se nijaat paane ke liye nembu ki shikanji bana kar piye.
16. Fruit Juice: Garmi mein taaje falo ka ras pine se bhi aaram milta hai. Strawberry, pappita, santra, angoor ka juice jaada piye. Ye juice healthy hone ke sath sath body ko andar se thanda rakhte hai.
17. Energy Drink: Garmi mein loo lagne par sharer mein paani ki kami ho jaati hai jisse dehydration hone lagti hai. Iska upay karne ke liye paani mein glucose ya electrolyte salt ya fir koi energy drink din mein 3 se 4 baar piye.
18. Ek bottle le aur usme perfume ki thodi si bunde dale aur fie bottle ko paani se bhar le. Ab is bottle ke paani ko face par spray kare. Is tarike se aap refresh mehsoos karenge.
19. Gulab ki pattiyo ko paani mein bhigo kar us paani se chehra dhone se garmi mein skin soft rehti hai.
20. Ghamoriya, pit ho jaane par neem aur tulsi ka paste lagana faydemand hota hai.
Loo Se bachne ke Gharelu Upay : Home Remedies in Hindi
Loo lagna matlab heat stroke mein dhoop aur garmi ki wajah se body ka temperature bhut jada badh jata hai. Kai baar shareer se bhut jada paseena nikalne se bhi body temperature badh jata hai. Loo lagne par sir dard hona, bhukh kam lagna, shareer mein paani ki kami hona, bhukhar aana aur chakar aane lagte hai. Kuch sawdhaniya apna kar hum loo se bache reh sakte hai aur agar kisi ko lag gayi hai to upar bataye gaye gharelu nuskhe apna kar iska ilaj bhi kar sakte hai.
Agar shareer mein jada garmi mehsus ho to gond katira ko paani mein bhigo kar mishri wale sharbat ke sath mila kar subh shaam lena chahiye. Gond katira thanda hota hai aur iske sevan se shareer ki garmi door hoti hai. Iske sevan se garmiyo mein adhik garmi aur loo se bacha ja sakta hai.
- Garmi Mein Khere Ke Paani ke Fayde
- Bhukh badhane ke Aasan Tarike
- Pet ki Bimariyo Ke Gharelu Nuskhe Hindi Mein
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay
Dosto Garmi se Bachne ke Gharelu Upay : Summer Home Remedies in Hindi ka lekh kaisa laga hame bataye aur agar aap ke pass garmi aur loo se bachaav ke liye koi sujhaav ya anubhav hai to hamare sath share kare. Aapke dawara di hui jankari se dusro ko bhi fayda milega.