Gehu ke Jaware ka Ras: Gehu ke javare aur ghas ko wheatgrass bhi kahte hai jo sirf aushadhi hi nahi ek utam aahar bhi hai jisme mein chlorophyll, vitamin, protein, carbohydrate, calcium ki maatra aadhik hoti hai. Har roj wheatgrass ka sevan karne se body mein energy aur stamina badhte hai.
Cancer jese rogo ke ilaj mein gehu ke javare ka upyog bhut fayda karta hai iske ilaava blood sugar, piyeria, pathri, gal bladder stone, dil ki bimari, piliya, lakwa, pachan kirya kharab hona, kabz, gas, bawaseer, baalo ki bimari, skin ki bimari, aankho ka rog ya fir koi chot aur ghaav hona jese aneko rogo mein wheatgrass ka upyog karne se chamatkari fayda hota hai.
Gehu ke Jaware Kese Ugaye : How to Grow Wheatgrass at Home
Gehu ka beej bone ke baad jo pattiya ankureet ho kar bahar aati hai use gehu ki ghas ya javara kehte hai. Gehu ki ghaas mein sabhi nutritions bharpur maatra mein hote hai jo shareer mein poshak tatvo ki kami puri karte hai.
- Wheatgrass ugane ke liye achi quality ka organic beej hi paryog mein laye.
- Gehu ke beejo ko kisi bartan mein 8 se 10 ghante ke liye paani mein bhigoye fir saaf paani mein ache se dhoye.
- Mitti ke kissi gamle mein khaad mili hui mitti(soil) dale.
- Gehu ka jawara ugane ke liye gamle mein itne beej dale ki saari mitti beejo se dhak jaye.
- Dhyaan rahe kisi beej ke upar dusra beej na aaye.
- Ab paani daal kar gamlo ko chhaya mein rakh de.
- Dusre din ek aur gamla lagaye aur usme gehu ke beej boye.
- Isi tarike se 7 din tak har roj ek gamle mein gehu bote rahe aur purane gamlo mein paani dete rahe.
- 7 din ke baad aap pahle din ugaye hue gehu ki ghas ki katayi kar sakte hai. Katayi karne ke baad javare ko dho le. Khaali hue gamle mein fir se gehu ka beej boye.
- Isi tarah har din ek gamle ke jaware kaate aur khaali gamle mein naye beej boye.
- Agar aapki wheatgrass ki khapat adhik hai to aap jarurat ke hisab se har roj 2 se 3 gamle bhi lga sakte hai.
- Agar 7 dino mein jaware kaatne layak nhi ho jaate to aap 9 se 10 din mein ise kaat sakte hai.
- Dhyaan rahe ki gamlo par suray ki sidhi dhoop nahi aani chahiye.
- Rojana gamlo mein paani dale.
- 18 se 20 degree temprature gehu ka jawara ugane ke liye utam hai.
- Wheatgrass ugane ke liye kisi chemical ya pesticide ka upyog na kare. Organic khaad se ugayi hui wheatgrass hi faydemand hoti hai.
- 7 se 8 din mein javare 6 se 7 inch tak badh jayenge, aur yahi sahi samay hai javaro ki katayi ka. Jese-jese javare aur lambe honge vese-vese iske poshak tatav kam hote jayenge.
- Agar aap bina mitti(without soil) ke wheatgrass ugana chahte hai to ye bhi mumkin hai par isme aapko kafi sawdahniya rakhni hogi aur sahi temperature maintain karna hoga.
Gehu ke Jaware ka Ras kaise Banaye
How to Make Wheatgrass Juice at Home
Gehu ke jaavare ki pattiyo ko chaba chaba kar khaa sakte hai aur iska juice bana kar bhi pi sakte hai. Agar aap ghar par wheat grass nhi uga sakte to bazaar se wheatgrass powder bhi le sakte hai jise paani, bana shake ya kisi juice mein mila kar pi sakte hai. Aaiye jante hai ghar par wheatgrass juice kaise banaye.
- 8 se 10 pattiya gehu ke javare ki jad se kat le aur uske baad ise ache se dhoo le aur ise 3 se 4 baar koot-koot ka iska ras nikale.
- Gehu kootne ke baad ise kisi saaf kapde mein daal kar ras nichod le.
- Juice nikalne wali kisi machine se bhi wheatgrass juice bana sakte hai.
- Juice nikalne ke baat foran isse pi le. Dhyaan rahe ki juice ko ek ghoont mein na piye isee sip sip kar ke piye.
- Juice banate samay shahad, adrak, neem, tulsi, giloy aur aawla bhi daal sakte hai. Isse iske gun badhte hai. Aap juice mein paani bhi jila sakte hai. Gehu ke jaware ka Ras mein namak ya nembu bilkul na daale.
Wheat grass Juice Kon Pi Sakta Hai
- 3 saal se jada umar ke bacho se lekar bade aur budhe log is ras ka sevan kar sakte hai.
- Kisi bhi bimari mein ya nirog vyakti bhi is juice ko pi sakta hai.
WheatGrass Juice ko Kitni Maatra le
- Agar aap kisi bimari se pidit hai to rojana 30 se 50 ml wheatgrass juice din mein 3 se 4 baar le.
- Shuruaat mein gehu ke jaware ka ras ki maatra kam le fir dhere dhere iski maatra badhaye.
- Hafte mein kam se kam 5 din iska sevan jarur kare.
Dosto is leekh mein hum ne jana ki ghar par wheatgrass juice kaise banaye. Agar aap abhi tak wheat grass juice ya wheatgrass powder peene ke benefits se anjaan hai to niche bataye hue leekh ko padhe aur jane kyu ise prithvi ki sanjeevani booti kehte hai aur kon kon si bimari mein ye raamban ka kaam karta hai.
- Wheatgrass Juice Ke Peene ke 15 Fayde in Hindi
- Swasth Aur Sehatmand Rahne Ka Raaj
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay
Dosto How to Make Wheat grass Juice at Home in Hindi ka ye lekh aap ko kaisa laga hame bataye aur aur agar aapke pass wheatgrass juice ke sujhaav(tips) aur anubhav hai to vo bhi hamare sath share kare, aapke dawara di gyi jankari se dusro ko bhi fayda mil sakta hai.