More

    Wheatgrass Juice Ke Fayde: 15 Health Benefits in Hindi

    Recipe - रेसिपीWheatgrass Juice Ke Fayde: 15 Health Benefits in Hindi

    Wheatgrass Juice Ke Fayde: Gehu ke jaware ka ras amrit ke saman hai jo parkarti ki ek anmol den hai. Wheat grass ek parkar ka food supplement hai jis mein 17 amino acids, enzymes, vitamins aur protein hote hai jo body ke dead cells ko repair karte hai aur body ka ph balance bhi thik karta hai.

    Gehu ke javare ka ras kisi bhi veg aur non veg cheejo se kai guna jada fayda deeta hai. Wheatgrass ke sevan se shareer mein oxygen ki maatra badhti hai jisse body mein energy aati hai, kamjoori dur hoti hai aur stamina badhta hai.

    Wheatgrass Juice Ke Fayde, Wheat grass Benefits in Hindi

    Wheatgrass Juice Ke Fayde: 15 Health Benefits in Hindi

    Gehu ke javare ko prithvi ki sanjeevani booti bhi kaha jata hai. Jo rogi kisi bimari ki wajh se marne ki halat mein aa gye hai unhe din mein 3 se 4 glass wheatgrass juice dene se bhut fayda hota hai.

    1. Skin Problem: Wheatgrass mein natural nutritions aur antioxidant hote hai, jo aapka aging process slow kar dete hai. Rojana wheat grass juice ke sevan se skin hydrate hoti hai aur chehre se pimples, daag dhabbe aur jhuriya saaf hone lagti hai. Kisi cotton ko juice mein duba kar chehre par lagane se bhi chehra saaf hone lagta hai.

    2. Hair Problem: Rojana gehu ke javare ka ras peene se baal samay se pahle safed nhi hote. Agar aap ki baalo mein dandruff hai to ras se baalo ko dhoye aur 15 minute baad baalo ko shampoo se dhoye.

    3. Motapa Kam Kare: Jo log apna motapa kam karna chahte hai unke liye wheatgrass juice ka sevan bhut faydemand hota hai. Isse bhukh kam lagti hai jisse shareer ka motapa kam hota hai. Agar aap kaafi der tak kuch nahi khate to bhi shareer mein kamjoori nahi aati.

    4. Blood Circulation: Wheatgrass juice ko green blood bhi kaha jaata hai, jo shareer mein khoon ki maatra badhata hai jisse blood ka circulation acha hota hai. Ye shareer mein naya blood banana ke sath purane blood ko bhi saaf karta hai aur body mein haemoglobin ki maatra badhti hai.

    5. Sugar ka ilaj: Blood sugar(diabeties) ke rogiyo ke liye gehu ke jaware ka ras ka sevan bhut faydemand hota hai. Gehu ka javara shareer mein rakt sharkra ko control karne mein madad karta hai.

    6. Improve Immunity: Har roj wheatgrass ka sevan karne se sharer mein bimariyo se ladne aur bimariyo ka upchaar karne ki shamta badhti hai.  Wheatgrass ek parkar ka antioxidant hai jo shareer se vishale padarth(free radicals) bahar niklte hai jisse body detoxify hoti hai aur pachan kirya achi hoti hai, immunity badhti hai aur shareer hamesha healthy rehta hai.

    7. Cancer Ka ilaj: Cancer ke upchaar mein gehu ki ghas ka upyog raamban ka kaam karti hai. Wheatgrass mein maujood chlorofill body mein cancer ke parbhaav ko kam karta hai. Chemotherapy aur radiotherapy ke dauraan cancer ke rogiyo ko wheatgrass juice ka sevan karna chahiye.

    8. Danto ka Upchaar: Isse daant sadne se bachte hai aur jisse piyria ki bimari ho uske masudho se khoon aana band hota hai. Gehu ke javare ka ras muh mein rakhne se dant ka dard ho thik ho jaata hai. Wheatgrass powder se masudho ki maalish karne se bhi khoon aana band hota hai. Gehu ke javare ko chaba chaba kar bhi kha sakte hai. Isse dant aur masudhe majboot hote hai.

    9. Bawaseer ka ilaj: Wheatgrass ka sevan bawaseer(piles) ke upchaar mein ke liye natural aushdhi hai.  Isme chlorophyll, fibres ki maatra adhik hoti hai jo bawasir ke ilaj mein bhut kargar hai. 3 mahine tak rojana din mein 2 baar iska sevan karne se piles mein aaram milta hai.

    10. Kabz ka Upay: Kabz kholne ke liye wheatgrass juice bahut laabhkaari hai. Ye shareer ki pachan kirya ko darust karke peet saaf karta hai.

    11. Aankho ka Upchaar: Wheatgrass mein vitamin A ki maatra aadhik hoti hai jo aankho ke liye jaruri hai. Jin logo ki aankho ki roshani kam ho gyi hai aur door ka dekhne ke liye chashme ki jarurat padti hai unhe har roj din mein 2 baar gehu ke jaware ka ras peena chahiye.

    12. Antiseptic – Antioxidant: Gehu ke javare mein antiseptic gun hote hai jo shareer par jalne par, ghaav par aur kata hua thik karne mein raamban ka kaam karta hai.

    13. Gale ka Infection: Wheatgrass juice se garare karne se gale ka infection thik ho jata hai aur gale ki kharash bhi dur hoti hai.

    14. Muh ki Badboo: Muh se badboo aane par din mein 3 se 4 baar javare ko chabana chahiye.

    15. High Blood Pressure: Jin logo ka BP high rehta hai unhe wheat grass juice ko apni diet mein shaamil karna chahiye. isse blood pressure control mein rehta hai.

    Kisi bhi bimari ke ilaj mein bina dawa band kiye aap wheat grass juice pi sakte hai. Agar kisi rogi ko gehu ke javare ka ras itna fayda de sakta hai to nirogi vyakti ke liye ye ras bhut laabh deta hai.

    Wheatgrass Juice Kab Peena Chahiye

    • Vese to din mein juice kisi bhi samay piya ja sakta hai, bas dhyaan rahe ki juice peene se aadha ghanta pahle aur aadha ghanta baad kuch na khaye piye.
    • Subh khaali pet wheatgrass juice peene se jada fayda hota hai.
    • Gehu ke jaware ke ras ko shuru karne par sardi jukam, sir dard, bukhar,ulti, dast ya kabji ho sakti hai, par isme ghabrane ki jarurat nhi hai. Shareer se vishale padarht bahar nikalne par aise lakshan dekhe ko milte hai.

    Agar aap janana chahte hai ki ghar par gehu ke jaware kaise ugaye jaate hai, wheatgrass juice kaise banata hai, wheatgrass powder kya hai aur wheat grass juice kon kon kitni maatra mein pi sakta hai, ye sab jankari lene ke liye niche bataye hue leekh ko padhe.

    Dosto Wheatgrass Juice Ke Fayde: Health Benefits in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame bataye aur sath hi apne sujhaav(tips) aur anubhav bhi share kare.

    Recent Articles

    8 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles