More

    कैंसर के 15 घरेलू और आयुर्वेदिक उपचार हिंदी में

    Disease - बीमारीकैंसर के 15 घरेलू और आयुर्वेदिक उपचार हिंदी में

    हम सभी जानते हैं कि कैंसर का कोई इलाज नहीं है। लेकिन विज्ञान भी इस बात को मानता है कि इसे बढ़ने से रोका जा सकता है। आज इस लेख में हम बात करने जा रहे हैं कैंसर को बढ़ने से रोकने के 15 घरेलू और आयुर्वेदिक उपायों के बारे में। तो इस लेख को अंत तक पढ़ें।

    Cancer ka ilaj (Ayurvedic treatment) in hindi: Cancer ek asi bimari hai jo bacho se lekar bado tak kisi ko bhi ho sakti hai, cancer ki bimari ki shuruat shareer mein ek gaanth se hoti hai jo dekhne mein normal hi lagti hai. Agar sahi samay par cancer ke lakshan(symptoms) pehchaan mein aa jaye to is bimari ka treatment karna sambhav hai.

    Kisi bhi bimari ke ilaj se pahle ye janana jaruri hai ki is bimari ke kaaran aur lakshan kya hai aur is rog se bache rehne ke tarike kya hai.

    Cancer ka ilaj aur Rokane ke Upay: Ayurvedic Treatment

    Is leekh mein hum aap ko cancer ka ilaj aur bachaav ke gharelu nuskhe aur ayurvedic upay bata rahe hai, jinke paryog se hum cancer se bache reh sakte hai aur agar kisi ko cancer hua ho to is bimari ko control karke ise badhne se roka ja sakta hai aur iska upchaar bhi kar sakte hai.

    1. Haldi cancer se bachaav aur ilaj mein bhut upyogi upchaar hai.  Haldi ka apne khane mein sevan har roj kare. Haldi shareer mein thik cells ko chede bina bimar cells ki badhotari ko dheema karti hai.

    2. Desi gay ka Gomutra(gay ka peshaab) cancer ke treatment mein bhut hi faydemand upay hai. Din mein 2 se 3 baar gomutra peene se cancer ke rogi  ko chamatkari fayda milega.

    3. Green tea peene se skin cancer, mouth cancer, liver ka cancer, gale ka cancer, cervical cancer, pet ka cancer, lung cancer aur breast cancer ko rokane mein help milti hai.

    4. Soyabean ya usse bani cheeje khaye. Soya products khane se breast aur prostate cancer ki aashanka kam hoti hai.

    5. Rojana gehu ke javare ka ras(wheatgrass juice) jarur piye.

    6. Paani jada se jada piye, roj subh khaali pet raat ko tanbe ke jug mein rakha 3 se 4 gilass paani piye, isse cancer ke sath aur bhi kai bimariyo ke ilaj mein madad milti hai.

    7. Cancer ke mareej ko 2 kilo geehu, 1 kilo joo ke aate ko mix kar ke iski rotiya 40 din tak lagatar khana chahiye, iske saath bengan, aaloo aur arbi ka sevan karne se parheej kare.

    8. Cancer hone par aadha chamach kaloonji ke tel ko 1 gilass angoor ke ras mein milakar din mein 2 se 3 baar lene se cancer thik hoga.

    9. Jada se jada organic food ka isteemaal kare kyuki inko paida karne mein koi pesticide aur chemical ka paryog nahi hota. Sabjiyo mein patta gobhi, fullgobhi aur broccoli mein cancer ko khatam karne ke gun hote hai.

    10. Haldi aur desi gay ke mutra mein kurkemin naam ka chemical hota hai jo cancer ki koshikao ko maar sakta hai. Aadha cup desi gay ka mutar aur aadha chamach haldi milakar garam kar le aur rogi ko dhere dhere chay ki tarah pilaye. 3 mahine tak is upaay ko lagatar din mein 2 baar karne se cancer mein bhut laabh milega.

    11. Rojana 10 se 15 minute tak suraj ki halki roshani mein baithe.

    12. Rojana excersise aur yoga kare.

    13. Cancer ke rogi ko doodh ya doodh se bani cheejo ka sevan nahi karna chahiye. Doodh peene se cancer ke bacteria ko takat milati hai.

    14. Tulsi aur haldi se munh ke cancer ka ilaj sambhav hai. Inme cancer ko rokane wale kudrati gun maujud hai jo rog mein partirodhak shamta bdhata haai. Tulsi ghaav bharne mein bhi madad karti hai.

    15. Aanar ka paryog jada se jada kare. Aanar breast cancer ka upay karne mein bhut asardar mana gaya hai.

    Aajkal mahilao mein garbhasay aur satan cancer ka khatra bhut badh gaya ha. Ye pahle ek gaanth hoti hai jo baad mein cancer mein badal jaati hai. lekin agar mahilaye samay rehate dhyaan de to is gaanth ko galaya ja sakta hai. Iska sabse acha upay ye hai ki jaise hi aapko sharer mein kisi gaanth ya rasoli ka pata chale to aap paan mein khane wala chuna le aaye. Fir us chune ko gehu ke daane ke brabar paani mein ghol kar, dahi aur lassi ya fir daal aur sabzi mein milakar iska sevan kare. Aap ki body mein jaisi bhi gaanth hogi gal jayegi. Dhyaan rahe pathri ke rogi iska sevan bilkul bhi na kare.

    Dosto cancer ka ilaj ke gharelu aur ayurvedic nuskhe in hindi ka ye article aapko kaisa laga hame jarur bataye aur agar aap ke pass cancer ke treatment ke koi sujhaav ya anubhav hai to hame bataye.

    Gharelu Nuskhe (Home remedies) ke sath sath is website par hum  baba ramdev medicine, homeopathic treatment, yoga ke tips aur rajiv dixit ke ayurvedic upay hindi mein dalte hai.

    Recent Articles

    232 COMMENTS

    1. Mera name Sachin hai papa ko thyroid,chest back bone me nuts banti hai city scan ho gaya hai .bottom ne biyepsis ka liye kaha hai mager papa interest nahi karna chate hai.abhi in ke pero or aik Hathe me swalimg aa rahi hai kuche app bata sake to kahi help hogi.or ha suger bhut bada hua hai unka

      • Sachin agar koi bimari ho aur sath mein sugar ki bhi problem ho to isse bimari ke upchar mein bahut samay lagta hai. Jesa aapne bataya thyriod, sugar, swelling, back bone problem hai to meri salah hai ki aap kisi dusre doctor se checkup karwaye aur 2nd opinion le aur turant bina kisi deri se ilaj shuru kare. Agar aapki father allopathy treatment nahi lena chahte to aap ki ayurveda specialist se mile.

      • Rakesh agar ye cancer hota to ganth ke ilava aur bhi lakshan dikhne chahiye, agar koi aur lakshan nahi hai to ye gaanth kisi aur wajah se ho sakti hai. Agar aapko cancer ki aashanka hai to ek baar iska test jarur karwaye.

    2. PURE SHARIR MEIN KHUJLI HO RAHI HAI KAAFI DIN HO GAYA DAWAI LENE K BAWAJUD BHI KHATM NAHI HO RAHA HAI.
      KOI UPAY BATAIYE PLEASE.
      JISSE MERI KHUJLI KHATAM HO SAKE.

      • Mir Faujan Ji, khujali kisi allergy ya kisi infection ya kisi kide ke katne se ho sakti hai. Aap gungune paani se nahane ke baad apni body par halke haatho se naariyal ka tel lagaye aapko fayda milega.

    3. sir mere 4 month phele right wala ankosh badh gya tha per 15 din m chotha hua per normal size ka nahi hua us k bad ab left wale m nass p ganth h kya y koi badi problem ho sakti h

    4. Sir mere muh me 2 mahino se chale hi jo lal our orenj rang ka hi our mere jibh ke bana hi our o bahut hi bdhe hi our o fiil rha hi dono side me hi our kale rang bhi to a cancer hi kya

    5. Mere pitaji ko mouth cancer hai.Jo ki ab gale mein gaath ban kar aa gya hai.To kya unhe dhoodh ka sewan band kar dena chahiye aur gomutra mein haldi aur Tulsi Mila kar peene se kya laabh hoga.

      • Shivam cancer mein doodh ka parhej karna chahiye aur aap gomutar mein haldi wala upay kar sakte hai. Dost yha bataye hue sabhi upay cancer ke ilaj aur cancer se bachne mein kafi faydemand hai. Aap apne aas pass kisi ayurveda vaid se mile aur unse ye sabhi upay share kare, vo aapke father ki present condition dekh kar aapko sahi tarike se guide kar denge.

    6. Agar kisi ke brest mein gaanth hai to kya wo brest cancer ho sakta hai..
      Kya brest cancer 18 ki age mein sakta hai….

      • Shyam sahi problem to diagnose se hi malum ho sakti hai, brest mein ganth cancer bhi ho sakta hai aur kuch dusri bimari bhi. Turant doctor se mile aur checkup karwaye.

    7. Meri beti k age 4yr h. Us k gardan k dono side ganth jesa h. Takreeban 6 mnths h. Par vo normal h rehti h. Kya vo cancer k ganth ho sakti h

      • Chetan ji vese to ye ganth kisi aur wajah se bhi ho sakti hai par cancer mein bhi esi gaanthe dekhne ko milti hai. Bimari ka sahi pta pure diagnose se hi chal sakta hai. Meri yahi salah hai ki aap kisi doctor se mile aur iska test karwaye.

    8. Sir muje 8 din se mouth ke jaw me pain or dard hai or koi dava khass aram nhi dedi hai or kanpati se jade tak muje jan janhat or pain bhi hota hai or muh chlane muje awaz se adi hai ….. To kya muje jaw cancer hai or sir muje or muje jaw cancer ki detail bhi de de apki mahan krpiye hogi

      • Pooja ye bimariya kafi critical hoti hai aur diagnose hote hi turant treatment shuru karna chahiye. Aapke pass jo reports hai unhe kisi doctors ko dikhaye aur salah le agar ye problem bina kisi operation ke thik ho sakti hai to medicine ka course shuru kare aur chahe to kisi ayurveda vaid se mile. Vo patient ki present condition dekh kar aapko bta sakte hai ki kon se upay shuru karne chahiye.

    9. sir, mere dost ko liver cancer hain 1month he hua h, but 2nd satze hain, unka opreation v hua 2 bar or blod change hua or liver v or medcn chal rha h
      mujhe janna hain kiya wo thk ho sakte h

    10. Sir mery ammi ko breast cancer h 4th stage h aur chest me paani bhara hua h doctor kehte h ke phel gaya h to aap bataye ke me kya karu. Please sir meri ma ki zindagi ka sawal h please sir

      • Kashif aap doctor ke treatment ke sath sath ayurvedic nuskhe bhi apna sakte hai. Kyuki abhi samasya gambhir hai to aap kisi ayurveda vaid se mile aur yha bataye hue upay discuss kare, vo aapko bta sakte hai ki abhi kon kon se upay shuru karne chahiye jisse fayda mile.

    11. Mere father ko lung cancer(one side) btaya he jo ribs me fael gya he, please koi kaargar upaay btaye. waise unki chemo/radio start hone wali he/

        • Apke btaye upay kiye. Almost 5 bottles se upar go mutra ka sewan bhi kiya. Sath me chemo bhi chali. And yesterday I lost it. My question here for the purpose of other viewers…is there any efftect of any of above things when u are already on with chemo treatment. Qki mere father ki inse koi farak nhi pda. Mujhe aisa lagta he ye upay sirf rokne k liye hain … bchane k liye nhi

    12. Mere sasur ko lung cancer 3rd stage me hai kya cow urine therepy se rahat milegaya koi aur tarik apna ye ilaj k liy.suggest kare

      • Dhananajay cow urine cancer ke treatment mein ramban aushdhi hai. Jo treatment chal rha hai uske sath ye upay bhi shuru kar sakte hai.Iske ilava upay bataye hue nuskhe padhe aur apnaye.

    13. Sir mere arms,thigh aur pet me bhi 5-6 saal se ganthe hai.kuch nayi bhi ban rhi hai.Yeh kaun c bimari hai aur iskaaa kya ilaaz hai…plz mujhe bataye

    14. hi mera name mohit hai mere papa (age lagbhag,72 years) unke muh me lagbhag 2 month se chhala hai jo ki thik nahi horaha and woh abhi lal hochka hai uska ilaj bhi karwaya but thik nahi ho raha kahin ye cancer ke lakshan toh nahi hai.agar ye cancedr ke lakshan hai toh koi upay batayein kur parhej kya karna h ye bhi bataye.

    15. cancer ke sath piliya bhi hai to iska upchar kis tarah se kar sakte hai haldi ka sevan piliya me nahi kar sakte is liye confuj ho raha hu.

    16. Sir, mere jib par 2 sal se ek chal hai wo nahi kaam ho raha hai nahi badta hai, our mere jib ke niche 2 side me ulcer jaisa ho gaya hai , our jib me ekdam chotisi gaant jaisi hai Jo kabhi ekdam choti ho ti hai our kabhi thodisi badi hoti hai, Kay ye cancer ho Sakta hai Kay ,Maine cancer specialist ko dikhya le kin wo normal hai bolraha hai
      .please sir koe ilaj batay ….

    17. Hlw govind sir…..mera name sumit h…..mai u.p Bulandshahr se hu…
      Meri mom ko leaver cencer h…..unke lever m choti si gaanth h….apke pass uska koi ilazz h….

    18. HI GOVIND
      MAINE APNE PAPA KA TEST KARWAYA H UNKO CANCER NIKALA H REPORT ME FIRST STAGE H KYA AAP KOI BEHATAR UPAY BATA SAKTE H
      AUR SATH ME YE BHI BATAYEN KI UNKO KHANE PINE ME KIN KIN CHIJON KA PARHEJ KARNA UCHIT RAHEGA
      PLS REPLY

    19. Sir mere bhaiya ko mouth cancer h docter n surgery btai h kya ye thik upay h
      aur kya bhaiya ko haldi aur gomutra mikakr pila skte h

      • Deepak operation tab jaruri ho jata hai jab takleef bahut jada badh jati hai aur koi dusre tarike se ilaj smbhav na ho, iske ilava cancer ki stage ka bhi farak padta hai. Doctor se salah le aur agar abhi operation ke bina baat ban sakti hai to ayurvedic upchar kare. Cancer ke lakshan kam karne aur iska ilaj karne mein ayurveda ke upay bahut faydemand hote hai. Aur agar koi treatment chal rha hai to uske sath sath aap ye upay kar sakte hai.

    20. Hamare BHABHI JI ko ovarian cancer IIIrd stage bataya he , 1 keomotheripy abhi 12/08/2016 ko lagi he ,2 ganthe badi size ki he,

    21. sir mere dan’t k bagal ka chaw Jo h lgta h WO dant k upar ho gya kuch bhi kathor sman khane p dard krne lgta ur yah dard kuch din tk preshan krta h iska koi upchar btaye ur ye candor k lakshan to nhi h

    22. sir meri dadi 72 year ki ho Gai hai aur unka bachedani ka operation hua hai..unka cancer ho gaya tha bachedani me.ab doctor’s bol rahe ki inko sekaiya karana hoga..syed ye karane se bal jhadte hai & thoda mind pe problem ata hai..kya sekaiya karana thik rahega plz help kijiye ..plz plz

    23. Sir mujhe 3 mahine se gale mai dahine traf kuch fasa lagta hai aur cough jaisa lagta hai bt kuch niklta nahi aur baar baar dakar aati hai hame kya samsya ho sakti hai

    24. Meri mammi ko gale ka cancer 4 th stage me hai Aaur doctor ne operation me Bahot risk hai aaisa bataya hai unki umar 60 sal ki hai par wo sharir se bahot week hai to aabhi unka ilaj band hai kya gharelu ilaj se koi fayda Ho sakta hai?? Hame kya karna chahiye please bataiye

      • Deepak 4th stage mein koi ilaj na chalna thik nahi hai, aap kisi dusre doctor se ek bar 2nd opinion le. Dost cancer ke upchar mein ayurvedic upay bahut kargar sabit he hai. Dost aap ye lekh padhe aur yha btaye hue upay bhi kare.

    25. Hello sir mera name shivam hai sir hamari maa ko pet me cancer ho gya hai or doctors ne bhi operation karne se mna kr diya hai to sir koi upay bataye

    26. Sir mera nam santosh kumar hai 4-5 month pahale balgam se blood aaya tha usake bad khashi aya bukhar aaya ab gale me kharas aur dard sa mahsus hota hai kya cancer hone ka chance

      • Santosh ye lakshan kisi aur bhi bimari ke ho sakte hai, dost aap ek bar kisi doctor se mile aur checckup karwaye. Bimari ke sahi ilaj ke liye jaruri hai ki isse sahi se diagnose kiya jaye.

    27. Govind sir mere pitaji ko gale me ganth thi jo operation se nikal liya gaya tha 06/2016 me us waqat normal cancer ki shanka thi lekin aaj k din 06/09/2016 unko 2nd stage par cancer h to doctor kimo v shek kar raha h kya kimo v shek se cancer khatam ho sakta h reply. .. ? Cancer ki bimari KO dur bhagane ka sahi treatment bataye. .. ?? Thanks

      • Jasi ye sab treatment cancer mein diye jate hai, aap se ye salah hai ki ek bar kisi dusre doctor se 2nd opinion jarur le, taki ye pta chal sake ki bimari ko sahi diagnose kiya gya hai aur treatment sahi disha mein chal rha hai. Dost ayurvedic nuskhe cancer se recover karne mein kaafi helpfull hai, aap kisi ayurveda vaid se mil kar upar likhe hue upay discuss kare.

    28. sir mere gaal k andar 1ganth hai jo 2saal se jyade samay se hai lekin abhi wo dard karne laga hai baki koi or lakchan najar nahi aa raha hai kya ye mouth cancer hai?

      • Niranjan ye to checkup aur test se hi sahi pta chalega ki ye bimari kon si hai, aap kisi doctor se contact kar ke is gaanth ke karno ka pta kare taki ilaj sahi disha mein ho sake.

    29. sir blood cancer mrij se kisi aur person ko blood cancer kaise ho skta h mtlb kin kin cases me ho skta h kya sexual relationship se ho skta h

    30. hlo sir meri ave20 sal h aur mujhe dant ki lagne se chale ho jate h aur tablets aur injecsion se thik ho jate h lekin chale ki vajah se hot suje hue hi rah jate h mujhe 5 sal ho vaye h chale hote hue. koi ilaj bataye

    31. Sir mere jib par karib ek sal se white patches hai , Doctor ne B vitamin ki goli ghne ko kha hai per ,use muse koi khas fayda nahi mil raha hai…..thikha khane me bahuth tkhlif hoti hai … please koi upy batay ….

    32. me breast cancer ki marij hoon. pichle saal mera surgery .chemo aur radiation hua. apke dwara di gaye jankari mere liye bahut labhdayak hai. Thanks

    33. sir meri left breast k uper ek gaanth h 3-4 saal se phle usme dard nhi hota tha par ab thoda dard rahta h doctor ne FNAC test krane ki bola h kya FNAC test ka koi infction ho skta h ye test krwaye ya nhi agr nhi karwye to iska ilaj btaye thnks

    34. Mere muh me (talu) me pichhle ek sal se dana dana type ka niklta h. kafi dawai khaya lekin aaram nhi h. pura muh kholne m v dikkat hoti h.
      kya ye cancer h.
      koi upay btaye.

      • Dost is samasya ke aur bhi karan ho sakte hai aap bimari ke diagnose ke liye doctor se checkup karwaye taki bimari ke karno ka sahi pta chale aur proper ilaj ho sake.

    35. Sir mere father k liver and heart me cncr huye 4 month ho gaye hain. Unko dard bhut jyada ho rha hai aur rat din so nhi pate hain. Main kya kr skta hu.

      • Abhishek is situation mein aapke father ko doctor ki jarurat hai, aur jab dard mein aaram mile tab yha likhe hue upay kare, aur kyuki heart aur liver dono mein cander hai to ek bar kisi ayurvedic vaid se mil kar salah bhi le.

    36. sir mujhe 6 mahine se kuch bhi nighalne me taklif hai pehle pain tha fir dhire dhire pain kam ho gaya hai par sujan abhi bhi hai aur gaal k dono taraf ek ek chale hai kone me jo kabhi thik hote hai to kabhi aa jate hai jo thik hi nhi ho rahae hai aue kabhi kabhi halka sa kaan me dard sa hota hai kabhi kabhi ye cancer hai sir meri age 21 hai aur pehle mujhe sinus ki bhi problem thi par ab itni nhi hai ab sir jeebh me sujan hai aur gaal me ek ek chale hai dono taraf kone me please help me please

      • Piyush gale ki samasya tonsils ke karan bhi ho sakti hai ya koi or karan bhi ho saklta hai, dost aap ek bar doctor se checkup karwaye tabhi iske karano ka pta lagega aur sahi ilaj ho payega.

    37. hello sir,
      meri ma ko 2 sal se cancer hai, kimo chal rahe hai sikai ho chuki hai pet ke niche gathan hai jo bar bar badi ho jati hai jisse peshap ruk jati hai, abhi yuro bage laga hai, kya aap kuch bata sakte hai ki hum kya kare.

      • Mahi aap yha btaye hue nuskhe padhe aur apnaye, ayurveda nuskhe cancer ke upchar mein kafi faydemand hote hai, aur agar koi treatment chal rha hai to use bhi chalne de, aap ye upay sath mein kar sakte hai.

    38. sir mere galo me dono taraf chhote chhote daane ho rahe h v jeebh par andar ki taraf masur ki daal ke barabar lal lal 5-6 chakte ubhar aaye h ye kareeb 6 mahine se h
      plz upchar bataye

    39. Good.mrng sir…..
      sir mere papa ki age 53 h.unko intestine me cancer ki gaath h. unki chemotherapy chal rhi h pr fir bhi koi fayada nhi ho rha cancer bd rha h. Dr bol rhe h 4stage me agya h cancer.
      sir pls koi ilaz btaye hm bhut preshan h.

      • Pooja ji aap yha likhe hue upay padhe aur ho sake to kisi ayurvedic vaid se inhe discuss kare, aap in upayo ko allopathy treatment ke sath bhi kar sakte hai.

    40. thek h sir me ye sare tips follow krugi
      sir kya gomuter wala step lene se koi preshani to nhi hogi. papa ki general condition to thik h abhi pr cancer bd rha h usko rokna bhut jrruri h. pls advice dijye sir
      Thank u

      • Pooja go mutar cancer ke upchar mein ramban ka kam karta hai, par aap ek bar ayurveda vaid se mile aur ane ki is samay kon kon se upay kare aur kis tarah kare.

    41. sir,
      mere papa ko 2000 me jaban ka cancer ka ilaaj hua tha. jo fir wapas hua hai jiska ilaj tata memorial me hua tha. tata ke dr. ka kahna hai ki priwet hospital me opration karwa lo yanha 2 mahine bad hoga. main kya karun aap hi iska koi aaurvedik ilaj bataen jisse ise khatm kiya ja sake ya roka ja sake. please sir

      • Dost ayurvedic ilaj yha likha hai aap ise kar sakte hai par aap ek bar doctor se mile aur jane ki abhi operation ki kitni jarurat hai, agar abhi bimari ko medicines aur ayurvedic upchar kar ke control kiya ja sakta hai to aap kisi ayurveda chikitsak se mile aur yha likhe hue upay discuss kare.

    42. Sir mere gal me ek chota sa dana hai lagata hai danto cut gya ho kareeb 2 mahine ho gye hai thik nhi ho rha hai.E.N.T.DOCTOR ko bhi dikhaya bolte hai ignore kare kuch nhi hai.sir kuch salah de.

      • Niraj in sab bimriyo ke gharelu nuskhe aap ko is website par mil jayenge aur aap ko yahi salah hai ki kisi bhi upay ko karne se pahle doctor ya avyurveda xhikitsak ki salah le.

    43. Hlo sir mere father ko esophagus Cancer hua jiska treatment mane homeopathy se kia PR kuch din aram tha ab for se unko pain hone lga h kya aap bta skte iske liye kya treatment le or abhi present m fever or pain ho RHA h pain ko km krne ka upay batay jldi pls m apne father ko bachana chahta hu

    44. Mere papa ke gall blander me cancer ke lakchan doctor ne bataya hai aur ye bhi bataya hai ki cancer liver tak pahuch chuka hai. Plz koi treatment bataiye

      • Dost agar aap gharelu nuskhe se upchar karna chahte hai to yha btaye hue nuskhe padhe aur kisi ayurvedic vaid ki salah se jane ki kon se nuskhe karna acha hai.

    45. Sir mare chest may bahut dart karta hay chest left side may chest ke midle hartdi may v mayne doctor ko 2 ,3bar dakha suka hu or xry v kar suka hu altochunt kar suka hu normal hi mila sir hat ka movment karne se hi dart hota hay .sir mene past time bhut excecise kiya tha par avi nahi karta sir is prblm 2sal ho gaya sir is ka kiya karan ho sakta hay pls sir bataye

      • Dost agar reports sab normal hai aur fir bhi dard hota hai to iska koi karan to jarur hoga jo checkup se hi pta lagega, aap kisi doctor se mil kar 2nd opinion le.

    46. Hii sir mera naam tripta hai or muje 9 mahine se jiv mai problem hai meri jiv pr first mai ek choti chakti banti hai or wo puri jiv pr ho jati hai or jiv safed ho jati hai or jaln b hoti hai please koi ilaj btaye

      • Tripta ji ye samasya 9 mahine se hai to abhi jaruri hai ki is bimari ke karno ka pta chale taki bimari diagnose ho paye aur sahi tarike se upchar ho sake, isliye aap doctor se consult kare.

    47. sir mere lips pe 1 white chhala hain jisko 4 month ho gya hain but bo ja nhi rha hain main tambaku ka sevn bhi karta tha usi ke karan ho gya tha plz mujhe advice deejiye ki main kya kare jisase bo theek ho jaye

    48. Sir mere Dada g ko bone cancer hua hai doctor jawab de chuka hai unka rid ki haddi tooti hui hai sir pls koi solution fastly dijiye

      • Sonu cancer ke ilaj ke nuskhe is article mein btaye gye hai par aapke dada ji ki samasya gambhir hai to aap kisi ayurvedic chikitsak ki salah se jane ki is samay kya karna sahi hoga.

    49. Sir mere mom ke bagal mai gaat thi
      Jiska opresan hua
      Opresan ke baad kemo name ka madicen di gaye 3 war botal chadh gaye kuch farak nhi Aaya aur jaha opresan hua waha red color ki alarji ho gaye hai Ab other docter dikaya toh usne bataya ki dusri bagal mai b gaat ban rahe hai kuch ilaz hai aap ke pass

    50. Sir mere 2 mahine se ek side ka tonsile phoola h uska dard gardan ke bahar rehta h gardan ke bahar sujan nahi h doctor ko dikhya to bacteria infection aaya h 1 mahine se dawai le raha hu koi fayda nahi h to kya ye cancer h kya khana khane m bhi takhlif nahi h bac. Inf. Der se sahi hota h kya ye cancer to nahi please sir help me.

    51. Sir mere muh ke ander kone mai left sade mai dard hota hai hrdam hlka halka kone ke dat mai bhi kam ni hota hai jb so jata hu bhut relex malum pdata hai fir jgta hu fir whi problm ho jati hai eske liye kya krna chahiye ko upay btayiye plz sir meri umr 20 sal hai

    52. Gale ke side mai dard h doctor ne antibody cbc karwai h or keh rahe h ki sab thic h gale mai koi prblem nahi h to phir dard kyo ho raha h sir….or gale ke side dard ke liye mai kon sa test karwau bataye sir plz.

    53. Sir muja reactive hyperplasis aya hai or gle mai bahot kharsh hoti hai doctor ko dikhya tha koi frk nhi lga muja bhut tension hoti hai koi ilaz btai

    54. sir, mera muh me 3 4 saal se lagatar chhale ho raha hai jibh k upar niche dono side or kisi kisi mahina to gaal k ander side or honth k ander side v hota hai. khane pine thik se nahi kr pate hai jab ye bimari rahta hai to. doctor ko dikhate hai to balte hai garmi k wajah se aisa hota hai. pr jabtak dawai chalta hai tabtak thik rahta. dawai band kr dete hai to fir dusra jagah se nikalna shuru ho ja hai. sir main bahut preshan ho gya hun is bimari se. aisa koi upay bataiye jo humesa k liye thik ho jana chahiye.

      • अकमल कैंसर का घरेलू इलाज और आयुर्वेदिक नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    55. Hello sir,
      Meri ma ki umar 56 yrs hai, mere ma ko Brest Cancer hai. Unka LT Brest MRM ka operation ho gaya hai Dr. ne 8 chemotherapy karne ke liye bola hai. Unmese ek chemotherapy bhi ho gayi hai lekin unko chemotherapy me side effects bhi ho rahe hai to please sir unkeliye koi diet chart batavo our chemotherapy k vajay Ayurvedik upay bataye.

      • संतोष जी कैंसर के इलाज के घरेलू और देसी नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े और आयुर्वेदिक वैद की सलाह से जाने कौन से उपाय आप के लिए बेहतर है.

    56. Sir, me 21 sal ka hu. . . Me din me 3 segarats pita huuu. . . . Me us aadat ko chodnna chata hoo. . . Muze tikha jada lagta hai. . .. . . Muh ke andar kabhi kabhi pimples aate hai. . . Kya yah cancer ki shuruvat hai

    57. Sir kabhi kabhi yanne 2 week me 1 bar muzze pith me dard hota hai aur muh pura khulnne me dhikkat hoti he. . . . . Me rojanna Tulsi ke pan khatta hu. . . Our sigaret pinne ke bad muh dhutta hu. . . .

      • अमित तंबाकू खाने और सिगरेट पिने से कैंसर होने का खतरा होता है, सबसे पहले आप इनका सेवन बंद करे और अगर आप की परेशानी बढ़ती जा रही है तो तुरंत डॉक्टर से मिले और चेकअप करवाये ताकि समय रहते ही बीमारी का पता चले और सही तरीके से इसका इलाज हो सके.

    58. But sir. .. . Menne bahut try kiyya. . But sigaret pinne ke bad muze yad aata hai ki mene isse chodnna chahiyye. . . . Pls muze koi tarrika batao ki me esse chod sakku. . . .

      • अमित हम प्रयास करेंगे सिगरेट छोड़ने के उपाय के लिए एक लेख शेयर करे.

      • अंकित लास्ट स्टेज कैंसर के उपचार के लिए कोण से उपाय करे इसके जानकारी के लिए आप आयुर्वेद वैद से मिल कर सलाह ले.

    59. Hello sir.. You are really doing great Job..It is very helpful to everyone..
      Dear sir I am 23years old.and I want to leave to using tobacco because I am using tobacco since 7to 8 years..
      Please let me know how can I do it..

    60. pls help mere father in low ko bone me cancer hai , jisse unki puri body me pain hai. kisi ke par koi solution ho to bato pls

    61. Ser mere sister ko barest canser hoa tha 1 saal phele hoa tha 2016 me sargari hoi phir kimo hoi or ab unhe barin me 3 jagha gath batai hai or docter ne mana kar diya hai ki ab eska koi elaj nahi hai ser plz use bacane ka koi rasta bata do plz Ser uski umar 31 saal hai ser plz help me ser

      • Jatin aap kisi dusre doctor se 2nd opinion le sakte hai aur ayurvedic ilaj se bhi cancer ka upchar kar sakte hai iske liye aap kisi ayurveda chikitsak se mile aur slah le.

    62. Sir Meri mummy ko ek aurvedic vaidya ne brain cancer bataya hai aur bola hai Ki time lagega thik hone me aur ye bhi kaha hai Ki thoda late kr diya hai . aur wo blood purifier Ki dawa bhi de rahe hai to sir aap bataye Ki mummy thik to ho jayegi. Please reply sir

    63. Sir mujhe 7 sal se Brest me ganth ho gaya hai bhut ilaj ki par thik Nhi ho rha hai oppression se Dar lagta hai or ganth Chota hai to Dr bole operation Nhi ho payega mai bhut paresan hu koi upay bataiye

      • आप इसका इलाज आयुर्वेदिक तरीके से भी कर सकते है. आप की ये परेशानी काफी पुराणी है इसलिए आप किसी अच्छे आयुर्वेद वैद से मिल कर इसके उपचार के बारे में सलाह ले.

    64. Brest cancer 1st stage mai goumutra aur haldi se cancer thik ho sakta hai kya.
      ya kimo aur rediation dena hi thik rahega.

      • कैंसर का उपचार करने में आयुर्वेदिक नुस्खे काफी उपयोगी होते है, आप ऊपर लेख को पढ़े और आयुर्वेदिक चिकित्सक से मिल कर सलाह भी ले ताकि इलाज सही तरीके से और सही दिशा में हो सके.

    65. Govind ji meri mother ko aesa feel hota hai ki unki tongue me cut aa gya hai aur vo badh bhi rha hai dhire dhire throat me ulcer jaisa feel hota hai ye kis vajah se h…plz btaiye

    66. Govind ji mere mother in law ko tumor hai pet me unko backbone aur pet me bahut dard hota hai koi advice hai unke liye.

    67. Mere maa ke gale me side me gath hai aur checkup karwaya hu to ye normal gath hai, isko kam karne ke liye upay bataye.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles