चेहरे से तिल हटाने के 20 घरेलू उपाय इस लेख में चेहरे से तिल हटाने के पांच घरेलू उपाय बताए गए। इस उपाय से चेहरे के किसी भी हिस्से से तिल को आसानी से हटाया जा सकता है। इस पांच उपाय से चेहरे के तिल को हटाने के बाद उस जगह पर कभी तिल नहीं होता है। उपाय जानने के लिए इस लेख को पूरा पढ़ें।
Til Hatane ke Upay : Chehre par til(mole) aur masse(black warts) ek dark black spot jaise dikhate hai jo koi dard ya takleef nhi dete par ye face ki khubsurati ko kharab karte hai. Kuch til janam se hi shareer par hote hai aur kuch umar badhne ke sath ho jate hai. Ye kale aur bhure rang ke hote hai. Jab face par hotho ke pass til ho to ye chehre ki sundarta badha dete hai, par jab ye til jarurat se jada ho jaye to chehre ki khubsurati bigad bhi dete hai.
Shareer par til, masse aur daag dhabe kisi bhi jagah ho sakte hai. Vese to hum masse hatane ke liye doctor se surgery bhi karwa sakte hai, ya koi allopathy treatment bhi le sakte hai. Par hum kuch gharelu nuskhe apna kar tilo aur masso ka ilaj kar sakte hai. Is leekh mein hum masse aur til ka ilaj karne ke kuch aasan upay bata rahe hai.
Til Hone Ke Kaaran
- Skin par til aur masse hone ka kaaran hai pepiloma virus, jisse tvacha par til aur masse ban jaate hai. Pahle masso ki samasya jada umar ke logo mein hoti thi par aajkal masso ki samasya kam umar mein bhi hone lagi hai.
- Kuch logo ko til janam se bhi hote hai.
- Sugar, motapa, pregnancy aur steroids ka jada isteemaal til aur masse hone ke parmukh kaaran hai.
Face se Masse, Til hatane ke upay: 20 Gharelu Nuskhe in Hindi
Niche bataye gaye kisi bhi homeremedies aur gharelu upay ko aajmane se pehle apne face ko ache se dhoye.
- Agar kisi ke chehare par massa jada bada hai to ghode ki punch(horse) ka baal masse par bandhane se massa apne aap kat kar kuch hi dino mein gir jata hai.
- Chehare ka til khatam karne ke liye ek agarbatti jalaye fir uske jale hue hisse ko masse par lagaye aur lagate hi turant hata le. Is pryog ko 8 se 10 baar karne par massa sukh kar jhad jayega. Dhyaan rahe ki agarbatti sirf masse par hi lagni chahiye.
- Til aur masse jaldi nikalne ke liye aloevera gel ka istemaal bhi kar sakte hai.
- Rui(cotton) ke fahe ko sirke mein bhigo kar masso par lagaye aur 15 minute bad halke garam paani se chehre ko dho le. Kuch dino mein masse apne aap gir jayenge.
- Gulab jal(rose water) ki ek bottle surj ki dhoop mein rakhe aur thoda garam hone par rui ke faahe se gulaab jal face par lagaye. Gulaab jal chehare par lagane se chehare ke romchidaro se chiknayi bahar nikal jaati hai aur skin saaf ho jaati hai. Jin logo ko bar bar masse hone ki shikayat hoti hai unke liye dadi maa ka ye gharelu nuskha bhut hi faydemand hai. Gulaab jal ko face par 15 se 20 minute tak lagaye rakhe fir taaje paani se muh dho le.
- Lehsun ki kaali ko cheel kar use kaat le fir til, masse par ragade. Lagatar kuch din lehsun ke is gharelu nuskhe ke isteemaal se chehre ke bhure aur kaale til aur dark spot gayab ho jayenge.
- Ek aaloo le use kaat kar uski faank ko masse par ragade. Din mein 4 se 5 baar is upay ko karne se kuch dino mein hi masse jhadne lagenge.
- Taja kata hua ananaas(pineapple) lekar use face ke til par lagane se jald hi fayda milta hai.
- Bargad ke patto ka ras til, masso ke upchaar ke liye bhut faydemand hota hai. Is ras ko tavacha par lagane se skin soft ho jati hai aur masse apne aap jhad jaate hai.
- Aalsi ke beejo ko pees kar isme aalsi ka tel aur shahad mila kar masse par lagaye. 4 se 5 din is upay ke isteemaal se massa khatam hone lagega.
- Hare dhaniya ko pees kar ek paist bana le aur masso par lagaye, isse masse naram ho jayenge aur girne lagenge.
- Taaza anjeer masal kar use aadhe ghante ke liye masso par lagaye fir mgungune paani se dho le. Kuch din tak ye upay karne se masse apne aap gir jayenge.
- Face se Til hatane ke upay me pyaaj bhut gunkari hai. Pyaaj ka ras se aap apne face se til aur masse hatta sakte hai. Pyaaj cheel kar use kaat kar pyaaj ka ras nikal le, uske baad rui ko pyaaj ke ras mein dubo kar chehre ke til par lagaye. Aadhe ghante tak rui ko til par hi rehne de fir rui hata kar chehare ko thande paani se dho le. Rojana 2 se 3 baar is gharelu upchaar ko karne se kuch dino mein til gayab ho jayega.
- Rojana raat ko baking soda aur arandi ka tel(castor oil) mix karke chehre ke kaale til par lagane se masse dhere dhere gayab hone lagte hai.
- Khati lassi bhi til ka ilaj karne mein fayda karti hai. Khatti lassi se face ko 10 se 15 minute tak massage karne ke baad chahre ko dho kar sukga le ab gulab jal ko glisreen ke sath barabar matra mein milakar face par kuch der tak massage kare aur ek ghante baad chehre ko dho le. Aisa karne se kuch dino meinface ka til, masse aur pimples gayab ho jayenge.
- Masso par nail polish laga kar thodi der baad saaf kar le. Din mein 2 se 3 bar aisa karne se masse jhad jayenge.
- Raat ko sone se pahle aur subah uthane ke baad face ke kaale masse par shahad lagane se masse jaldi hi gir jayenge.
- Kele ke chilke ka bhitari hissa masse par ragadne se bhi fayda milta hai.
- Asprine ki 1 goli paani mein pees kar ek paist bana le aur masso par lagaye. Isse masse kuch dino mein jhad jayenge.
- Khatte seb(apple) le kar unka juice nikale fi ris juice ko din mein 3 se 4 baar face ke til par lagane se kuch dino mein til,masse jhadne lagenge.
Jane Chehre se Jhaiya Hatane ke Upay
Nimbu aur shahad mein vitamin C aur antioxidents ki maatra adhik hoti hai. Nimbu aur shahad ko mila kar chehre par lagaye aur halki massage kare. Kuch der baad chehra dho le. Is upay se face par glow aayega aur chehre ke nishaan mitane lagenge.
Til aur masse nikalne ke liye ye tips bahut kargar hai. Lekin achanak aap ko kisi shaadi ya kisi function mein jana hai to aap chehre ke til ko kuch der ke liye makeup se chupa sakte hai. Aajkal market mein herbel makeup products bhi mil jate hai isliye hamesha yahi koshish kare ki chemical wale cosmetic items lene ki bajay herbel product le.
Kuch til, masse aur daag aise hote hai jo kuch dino mein khud hi gayab ho jaate hai par kuch masse aise bhi hote hai jinhe khatam karne ke liye kisi ilaj ki jarurat hoti hai. Tilo ko katane aur chilane se kai baar iska infection shareer par ho jata hai jisse body ke dusre hisso par bhi masse nikalne lagte hai. Upar bataye hue homeremedies ke isteemaal se aap til aur masse aasani se remove kar sakenge.
- Rang Gora Kaise Kare
- Ayurvedic Face Pack for Glowing Skin
- Face Se Pimples Door Karne Ke Aasan Tarike
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe in Hindi
Dosto face se til hatane ke upay aur masse hatane ke gharelu upchaar in hindi ka ye leekh kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass bhi koi sujhaav ya anubhav hai to hamare sath share kare. Agar aapke pass chehre ke til, masse nikalne ke gharelu tarike aur desi nuskhe hai to hamare sath share kare.
Yes its great idea
meri age 24 hai..
meri aankho ke niche kaale ghere bahut h..bahut se upay kiye lkin koi frk nhi pada..
mai dubli bhi bahut kya iss wajah se…
or mere lips ke side side kalapan wo kaise jayega..plzz koi upay btaye jisse mera bhi face glowing dikhe..
Navya aap sabse pahle apne mind mein kisi parkar ka stress mat rakhiye tension free aur khush rahe, iske ilava aap achi neend le aur healthy diet khaye taki aapki skin ko nutritions mil sake aur bejan tavacha mein fir se jaan aa sake. Agar aapko pet se judi koi bimari hai to uska bhi upchar kare.
Navya First of all Aap proper soye. Coz Ye problem Kam Soney se Jyda hoti hai. Aur din me Kam se Kam 8glass water pipe. Aur aalu ko giss kr us ka ras lgaye. Aap ko jrur fayda hoga.
Maine lahsun lgta par pure jagah jal gya hai face PE ab bahut kharb dihk Ra.. Mai kya kru ?,til bhi Ni khtm Hua..
Ranjana ji til nikalne ke upay karne par us jagah nishan ban jata hai jo samay ke sath thik ho jata hai agar aapka til nahi nikla to aap kisi ayurveda vaid se mile aur upay karne ka sahi tarika jane.
sir ji,
meri age 28ys h mere face par chick (galo) par black dag (jhaiya) h mane kai type ki cream use ki oar koi effect nahi hua h,balki area badh gya h 5-6 years ho gaye h in dago ko,plzzzzzz koi gharelu upchar ya koi treatment ho to bataye plzzz sir ji me bahut pareshan hu.
thanking you,
Param singh
Param daag dhabbe saaf karne ke liye ye leekh padhe aur upay kare :: http://sehatdoctor.com/face-se-daag-dhabe-door-karne-ke-gharelu-nuskhe-in-hindi/ aur chahre se jhaiya hatane ke liye yha likhe upay kare :: http://sehatdoctor.com/chehre-ki-jhuriyan-ke-gharelu-upay-wrinkles-beauty-tips-in-hindi/
yr Maine lahsun wala formula kraa the til ke paas kala padd gyaa help me or bekaar.dikh rhaa h
Rajat lehsun ki sirf chehre par ragdne se kala nahi pad sakta, aap ise thik se dekhe ho sakta hai ye sukh kar jhadne wala ho.
meyre chere pr til bhut jayda h inko htaney ka koi asa nuska btaye jissey meyrey chere key til saf ho jaye, jo upaye btaye gye h jasey pyaj ka rs mey cotan dal kr til br rkh dey , pr meyrey chere pr til jayda h usmey koi asa upaye btaye jiska use asani sey kiya jaye.
Dost aap ek baar ye lekh ache se padhe yha bataye hue nuskhe karne mein aasan hai, aapko jo sahi lage vo kare.
Mere chehre me til the kisi ne kaha chuna or sabau ko mila kr uspe rakh ke kat do bd me gaddhe bhar jayenge 2 gaddhe bhar gye but do gaddhe nai bhar rahe kya kare unko bharne ke liye.. Plz help me..
Saniya agar kisi upay se aapko fayda mil rha hai to aap use hi kare, iske ilava aap upar likhe upay bhi kar sakte hai.
Maine lahsun wala tarika apnaya tha or till hatt bhi gya…..magar mujhe darr hai ki kya ye till dobara ayenge ya nhi…..???
Plz mujhe bataiye ki till hatne k baf ayega ya bhi….??
Mere face par small small mushe h Jo ki bhut sare h koi solution h unke lia
Mukesh aap ye lekh padhe, yha masse door karne ke gharelu upay bataye gye hai.
Mera naam shashi hai 28 year mere chehare par bareek chote kale til hai . Saaf karne ki koi cream bataye thx
Sashi hame aesi kisi creame ki jankari nahi jo til hata sake, aap upar likhe hue nuskhe apna sakte hai.
Sir, Mere face pe chhote chhote bhut sare til h..kuchh til nikla huaa..mai kisi ke samne Jane se mai sarminda masus krta hu. .Sir app mujhe kuchh upaye btaye ki til bilkul trah khatm ho jaye. .mai apka bhut bara avari rhunga. .
Dost aap ye lekh padhe aur jo upay aasan lage vo kare.
sir mera naam farhan hai mai16 saal ka hu mere face par bahut dana hai aur do teen til v mai kya karu jaise mera face acchaa lage
Farhan aap ye lekh padhe aur bataye hue nuskhe kare.
sir ye nailpaint wala treatment kitne din tk krna h ….I try to do that for two days ….isse lgate hi jalan hoti h…so isse ur kitne din tk lgana h ..plZ say
Khushboo ji kuch dino mein farak mehsus hone lagega fir aap ise band kar sakti hai.
Sir mujhe under eye par bhut sare white dane hai bhut chote chote aur masse jaise ho rhe hai eye par mai kya kru bhut pareshan hu pls sir kuch bata dijiye
Nisha ji aap is article ko padhe aur follow kare.
sir mene lehsun bala formula use kiya tha but til k pas kala bada dhabba pad gaya he sir pls help me
Ronny ye dhere dhere apne apna thik ho jayega, aap upar likhe upay bhi padhe.
sir lehsun ko kebal ek do bar lagana he ya rat ko laga kar sona he
Dost upar article padhe sab jankari detail mein di gyi hai.
Sir Maine Lahsun Wala formula try kiya hai lekin til ke aaspaas kala dhabba pad gaya hai,Kya ye permanent rahega,Help me sir mai bahut pareshan hu.
Sonu ye permanent nhi rahenge thik ho jayenge.
Sir formula use karn nal kine time ch til theek ho jange.
Jass time to paryog karne wale par depend karta hai ki vo kis parkar upay kar rhe hai.
Sir meri age 24 hai jab me 5 saal Ki thi mere chechak Ki bimari Ki vjh se mere face par kale dag rhe gye mene bhut Kuch kiya but ye thi nhi hote ak nishan bhut gahra kala h ise thik karne ke liye kya karu sir please help me in dag Ki vjh se koi mujhe pasand nhi karta meri shadi nhi ho rhi please help me sir.u are my last hope.
Priyanka ji aap is lekh ko padhe aur upay kare :: http://sehatdoctor.com/face-se-daag-dhabe-door-karne-ke-gharelu-nuskhe-in-hindi/
Mai Rahul Jaykar mere chare par til bahut hai isako hatane me upay bataiye
Rahul aap lekh padhe isme sabhi upay btaye gye hai.
Sir aalu ko kitani der ragadana hai
payal 5 se 7 minute tak aap ise kar sakti hai.
Hello sir,
Mere chere par ek chotisi funsi huyi fir vo thodi badi huyi par bohot din hogaye vo ab ek mattar ke dane ke barabar hogayu tab mene use masal diya usmese bohot khun nikla koe pulse nahi nikla…abhi sab keh rahe hai ki voh massa hai to kya karu…?
Pls help me out
Dost agar vo massa hai to aap yha likhe masse nikalne ke upay kar sakte hai.
Sir mai 24 yr ka hu or mere face me bhut se Chotte Chotte black color ka massa hai, massa itna jada hai ki agarbatti se Jalana possible nhi hai or massa itna Chotte hai ki horse k baal bahandna bhi possible nhi hai,
Mere pure face me 50 percent chotte Chotte massa nikal geya hai,
Aapne jo 20 upai Btai hai unme se mai kon sa formula use kru jo mere face k leya suitable hoga , kyunki mere pure face me massa hai , please help me .
Mujhe smjh nhi aa raha hai ki kon sa formula use kru mai so please help me.
Dost aap kisi ayurvedic vaid se mile aur yha likhe hue upay unse discuss kare, vo aapko dekh kar bta sakenge ki aapke liye kon sa upay behtar hoga.
hello mere lips ke niche ek kala massa h uska size kafi bada h sath hi ye kafi purana bhi h kya use bhi ye nushke hata sakte h
Dost yha btaye hue nuskhe massa hatane mein asardar hai, aap inhe padhe aur kisi ayurvedic chikitsak ki salah le aur janne aapke liye kon sa upay behtar hoga.
Sir mere chehre p kbhi kch ni hua… Abi achank se bhoot sare kil muhase or dag ho gye h… Abi 13 din bd meri sadi h or ye thik hi ni ho rhe alovera try kiya… Sahad or hldi bhi try kiya.. Plzz aesa koi upay btaye ki sadi se phle chehre ekdum saf ho jaye plzzzzz aap personally likh k bta de kyuki inme se konsa try kru smjh nhi aa rha or tension bhoot h sadi ki.. Plz help me sir
Monika ji aap ye article padhe aur upay kare :: http://sehatdoctor.com/chehre-se-pimples-keel-muhase-hatane-ke-gharelu-nuskhe-in-hindi/
Aloevera gel se til jaldi nikal sakte hai.???
Ashraf alovera gel skin ke liye bhi acha hota hai aur ye til nikalne mein bhi madad karta hai.
sir mere sir me hai msa .or me takriban sabi elaj kar ke dekh liye jo apne btaye hai bt muje koi fark nhi pad rha kya karu me plz help me muje sir ke back said hai msa
Dost agar aapko in upayo se farak nahi pda to aap kisi doctor ya ayurvedic chikitsak ki salah le.
sir hamare chehare par Ella ho gya hai kya kare
sir mere face pr 2 se 3 til hi mujhe isko remove krne ka asan tareeka bataye aur jisse daag bhi na pade aur sur mujhe til nikalne ka upay batayega masa ka ni
Ashish upay upar lekh mein btaye gye hai aur ek bar til nikalne ke bad daag padta hi hai.
Sir Maine skin doctor ko dikhaya to WO bole ki iska koi illaj nhi hai
Shreen ji ayurveda nuskhe se skin problem ke upay ho sakte hai aap kisi ayurvedic chikitsak se mile aur apni samasya discuss kare.
Sir hand ka colourbhut dull ho gya h pls suggess me some lotion
sir meray face par til bhout hai mujhe aasa nuskha bataye jaldi khatam hojaye koi aazmaiya nuskah
Dost til nikalne ke gharelu tips upar likhe hue hai aap inhe padhe.
sir meri leg per aik mota massa hai kaise khatam karun
Zeeshan aap upar likhe hue upay padhe.
Hello sir mene lahsun vala tarika apnaya tha par us se side effect ho rhe he so sir help me or vaha kala gera ban gaya he or til to hat gaya par vo til vapis ho gaya
Dost til nikalne ke baad wha kuch nishan ya gadha ban jata hai jo dhere dhere thik ho jata hai agar aap ko lag rha hai ki til wapis aa gya hai to aap kisi ayurvedic vaid se salah le aur jane kya upay karna chahiye.
Meri Age 15 years hain aur Mere chehre par kabhi kabar kil muhase ho jaate he to unhe kaise rokhe
Dost kil muhase hatane ke gharelu nuskhe yha padhe :: http://sehatdoctor.com/chehre-se-pimples-keel-muhase-hatane-ke-gharelu-nuskhe-in-hindi/
chehre ke baal hatane ka upay batao plzz mujhe laiser treatment nai krani
Poonam ji chehre ke baal saaf karne ke upay ke liye hum jald hi ek article share karenge.
Mere chehre pan chote chote hair he jate hi nau he permantnly koi upay batao mujhe laiser treatment nai krnai
sir mujhe only ek til hai face par use kaise hataye vo mujhe chote se sir plzzz help me
Rohit til hatane ke upay upar lekh mein likhe hai aap inhe padhe.
Sir mere chehre pe til jaise dag aagye hai muje Kay karna chahiye pure chehre pe aaye hai plezz help me sir
Chetan i til hatane ke ghrelu nuskhe upar lekh mein batayev gaye hai aap inhe padhe.
sir je sare upay ek br me kre ja ..enme se ek hi kre
Sapna ji sab upay nahi karne hai aapko jo aasan lge vo upay kare.
kya ek baar til jaane se dubara vahi pe aa jata h
Ranjan kuch logo ke sath aesa ho jata hai ki ek baar til hatane ke baad fir se nikal aata hai.
Sir meri age 25 h or meri nak par chote chote til 10-12 sal se h. Bahut chote chote or bhure rang k h. But bahut sare h. Koi upay batae
अदिति जी चेहरे के टिल निकलने के घरेलू नुस्खे और उपाय ऊपर लेख में लिखे है आप इन्हें पढ़े और आयुर्वेदिक वैद की सलाह से जाने आप के लिए कौन से उपाय जादा बेहतर होंगे.
Sir muh ka massa hatane ka sabse asan aur fast tareka bataiye n plzzzz sir
Sir my name kusum mere chehre par halke black teel lagbhag 50 se jyada hai to esa konsa jyada asardar upay apanau jo inko khatm kar sake or kitna time tak use karu plzzzz
Kusum ji upar btaye hue upay til nikalne mein madad karte hai kyuki aapke til bahut jada hai to kisi ayurvedic vaid se milkar salah le aur jane kon sa upay aapke liye behtar hoga.
Hello sir.
My name heer .
Sir mere face pr or all body PR chote 2 masse hone lage the mein masse hatane ki cream lagi or vo chune ki bani thi.
Sir usse mere face pr jaln or lal lal nishan pdne lage hai .. Or uske nishan b ho rhe hai sir plz mujhe koi ek achaa upay batiye m kya kru plz plz sir mere face PR koi nishan na reh jaye . plz sir help me jaldi reply kriyega
Thanku
Heer kyuki kuch logo ki skin jada senstive hoti hai isliye koi bhi cream ya dawa ke istemal se pahle uske bare mein puri jankari lena chahiye, til hatane ke upay karne par wha ek bar nishan ban jata hai, aap upar likhe upay padhe aur kisi ayurvedik chikitsak ki salah se jane aapke liye kon sa upay jada behtar hoga.
Sir Meri me 20 years ka hu mere chahre par pimple ke Karan kale dhabbe ho Gaye he uhe ke se nikale usko nikale ne ke gharelu upay batao muje ye dhabbe ko 5 din me mitana he
Mere face per 4 masse hai and iski wajah se mera chehra bahut Bura lagta hai Mai aloevera gel use kar Raha hoon ye kitne din me thik ho jaega please reply
Sir mere chehre par til niklata ja raha hai .ese kaise hataya jai.Plz suggest me
Sir kya in upayon se til hatane par gaddhe ya dag ho jayenge..masse hatane par ye samasya hoti hai..par kya til hatane par ye samasya hogi?
तिल और मस्से हटाने के बाद एक बार उस जगह दाग जरूर रह जाता है जो समय के साथ ठीक होने लगता है.
Thil ko htane ke liye kya kre sir
तिल हटाने के उपाय और घरेलू तरीके आप ऊपर लेख में पढ़े.
Alovera gel se be till nikalta hai kya or mera pahela till tha wo till tu koi chemical se nikal gaya but waha khada ho gaya wo khada kaisa bhara or nishan kaisa sahi kara
Agar til se baal nikalna shuru ho jaye to bhi ye nuskhe istemal kar sakte hai.