More

    माँ का दूध बढ़ाने के 10 आसान उपाय – Breast Milk Increase in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेमाँ का दूध बढ़ाने के 10 आसान उपाय - Breast Milk Increase in Hindi

    Maa ka doodh badhane ke liye gharelu upay aur nuskhe in hindi: Navjaat bacche ke liye maa ka dudh amrit hota hai. Maa ka pahla doodh shishu ko kai bimariyo se ladne ki takat deta hai. Aksar kuch mahilao ko delivery ke bad stano se doodh nahi aane ya fir kam aane ki samasya hoti hai. Maa ke sharir me doodh na banne ke kai karan ho sakte hai. Kuch ladies breast milk ko badhane ke liye medicine leti hai jo maa aur bacche ke liye thik nahi hai. Dawa ke bina kuch desi gharelu nuskhe aur ayurvedic upay se breast milk bdhaya ja sakta hai. Aaj is lekh me hum janenge delivery ke baad maa ka doodh kaise badhaye kya kare aur kya khana chahiye, natural home remedies to increase breast milk in hindi.

     

     

    स्तनों में दूध ना बनने के कारण – Maa Ka Doodh Na Banna

    • Mahila ke sharir me harmons ki kami hona.
    • Aahar me jaruri poshak tatav na lena.
    • Garbh nirodhak dawao ka jada sevan karna.
    • Kisi bimari ki wajah se doodh na banna.
    • Sharir me kamjori hona.

     

    माँ का दूध बढ़ाने के उपाय और घरेलू नुस्खे

    Maa Ka Doodh Badhane Ke Upay in Hindi

     

    1. Jeere me aese aushdhi gun hote hai jo nayi maa ke sharir me doodh bdha sakte hai aur sharir ko takat dete hai. Jeera powder chini ke sath brabar matra me mila kar iska ek chammach gungune paani ke sath le.

    2. Bacche ko doodh pilane wali mahila agar soyabean ka doodh piye to isse stano me doodh ki vridhi hoti hai.

    3. Doodh pilane wali maa ko bukha nahi rehna chahiye aur bhojan me jo, gehu, chawal, til, daliya, doodh aur mausami fal ka sevan karna chahiye.

    4. Mishri makhan ke sath chane khaye. Is gharelu nuskhe se bhi maa ke sharir me doodh badhta hai.

    5. Bacche ko stanpan karate waqt stan ko brabar badalte rehna chahiye. Isse sharir me doodh ki vridhi hogi aur baccha bhi aaram se doodh pi sakega. Ek bar stanpaan karate waqt 2 se 3 bar stan badle.

    6. Stanpan karate samay maa apne stan ko aaram se dabaye, isse stan puri tarah khali ho jayenge aur jada doodh banega.

    7. Badam, pista aur kaju jese dry fruits mahila ka breast milk increase karne me mdad karte hai. Inhe kacha ya fir doodh ke sath khaye.

    8. Tension jada lene se doodh banane wale harmons me rukawat aati hai jisse dudh kam banne lagta hai isliye khud ko tanav mukt rakhe.

    9. Lehsun se nayi maa me doodh badhne lagta hai. Khana banate samay lehsun ki 2 kali sabji me dalne se fayda milta hai.

    10. Agar khoon ki kami se stano me doodh kam banta hai to paka hua papita 20 din tak khali pet khaye.

     

    ब्रेस्ट मिल्क बढ़ाने के आयुर्वेदिक उपाय – Breast Milk Badhane Ke Ayurvedic Upay in Hindi

    • Shatavri churan 10 gram le aur doodh ke sath sevan kare. Isse mahila ke stano me doodh badhne lagta hai aur shatavri ko gaay ke doodh me pees kar iska sevan karne se maa ka doodh poshtik aur meetha hota hai.
    • Dalchini se doodh me swad badh jata hai jisse bacche ko doodh pite samay mahak nahi aati. Chutki bhar dalchini powder 1 chammach shahad me mila kar gungune pani ke sath le.
    • Meethi ke beej khane se doodh badhta hai. Dhyan rahe isse gas ki samasya ho sakti hai isliye jada matra me na khaye.
    • Tulsi me vitamin K paya jata hai jisse breast milk badhta hai. Shahad ke sath ise kha sakti hai.
    • Maa ka doodh badhane ke liye aajkal bajar me kai parakar ki dawa aur powder maujood hai, bina doctor ki salah ke inka sevan nahi karna chahiye.

     

    माँ का दूध बढ़ाने के लिए क्या खाना चाहिए – Breast Milk Badhane Ke Liye Kya Khaye

    • Makhan, doodh, khahur, ghi, khopra, shtavri aur amrita khane se doodh badhta hai.
    • Doodh me chawal paka kar khaye, iske ilava din me 2 bar 1-1 tola saunf khana chahiye.
    • Gajar ka juice peene se bhi maa ko fayda milta hai.
    • Khane ke sath kaccha pyaj ka sevan kare, isse breast milk badhne lagega.
    • Matar ki sabji ya fir matar ki kacchi faliya khaye is upay se bhi doodh badhta hai.
    • Udad ki daal me thoda ghi mila kar khane se maa ke stano me doodh ki vridhi hoti hai.
    • Pani me kesar ghis kar breast par lagane se breast me doodh badhne lagta hai.

     

    Dosto maa ka doodh badhane ke liye upay, how to increase breast milk in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass delivery ke baad stan me doodh badhane ka tarika aur gharelu nuskhe se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles