Muh ki badbu (Bad breath) kaise dur kare: Munh mein badboo aane ki wajah se kai baar hame logo ke samane sharminda hona padta hai aur aksar jis vyakti ke muh se saans ki badboo aati hai log usse baat karna pasand nahi karte aur dur bhagate hai. Jadatar log khud nahi jaante ki unke muh se badbu aa rahi hai, agar aap ko ye janana hai to apne muh ke samne haath rakh kar jor se saans baahar ko chode aur fir us haath ko sunghe, agar aap ke hath se badbu(bad smell) aa rahi hai to aap samajh jaye ki aap ki saanso se badboo aati hai.
Vese to bazaar mein kafi mouth freshners aate hai jinke isteemaal se kuch samay ke liye muh ki badbu khatam ho jaati hai, par ye product bhut mehange hote hai. Aap ghar mein isteemaal hone wali cheejo ke paryog se bad breath problem ka treatment kar sakte hai, ye cheeje sasti hone ke sath sath aasani se mil jaati hai.
Munh Ki Badboo Ke Kaaran
- Kabz(constipation) hona
- Khana khane ke baad thik tarike se munh saaf na karna.
- Brush na karna
- Munh mein infection ya koi bimari hona.
- Paani kam peena
- Pet ki koi bimari hona
Muh ki Badbu Dur Karne ke Gharelu Upay: Bad Breath Home Remedies in Hindi
Is leekh mein bataye gaye aasan aur safal gharelu nuskhe aapna kar aap muh aur saans ki badbu ka ilaj kar sakte hai.
- Ek gilass paani garam karke usme 2 chamach nembu ka ras milaye fir gungune paani se din mein 2 baar kulla kare. Is upay se kuch dino mein hi muh se badboo aani band ho jayegi.
- Muh se badboo aane par daanto ko achi tarah saaf kare aur kulla kare.
- Subh uthane ke baad aur raat ko sone se pahle achi tarah teeth brush karne chahiye.
- Neem ka ya keekar ke daatun se daant saaf kare. Muh ki badbu dur karne ke liye babul ka daatun bhi kar sakte hai.
- Sarso ke tel mein namak milakar masudho aur daanto ki maalish karne se mooh saaf hota hai aur badboo aani band ho jaati hai.
- Green tea peene se munh ki sabhi parkar ki bimariyo se bache reh sakte hai, isse munh saaf rahta hai aur bad smell bhi nahi aati.
- Wheatgrass juice(gehu ke javare ka ras) peene se muh saaf rehata hai , isse payriya tak ki problem ka treatment ho sakta hai.
- Kam paani peene ke kaaran bhi kai baar bad breath problem hone lagti hai, agar aap is samasya se pareshaan hai to din mein 3 se 4 litre paani jarur piye.
- Ek Laung munh mein rakh kar ise choosane se bhi badboo aani ruk jaati hai.
- Jaamun aur tulsi ke patto ke isteemaal se saans ki durgandh ko khatam kiya ja sakta hai. 4 se 5 jamun ke chote hare patte aur 3 se 4 tulsi ke patto muh mein daal kar dhere dhere chabane se muh se bad smell nahi aayegi.
- Pudina aur ilayachi ka bana hua paan khane se bhi munh ki badbu dur hoti hai.
- Ek bartan mein thoda paani le aur usme aanaar ke ped ki chaal ko ubaale. Pani thoda thanda hone par chaan le aur is paani se kulla aur garare kare, is gharelu nuskhe(home remedies) ke isteermaal se muh mein se badbu aana band ho jayega.
- Rojana thodi si mulethi aur 2 choti ilaaychi chabane se bhi muh ki durgandh ko dur kiya ja sakta hai.
- Khane ke baad saunf khaane se muh ki durgandh ka ilaj ho sakta hai. Saunf khaane se gale ko bhi thandak milti hai.
- Munh ki badboo ka desi upchaar daalcheenee ke isteemaal se bhi ho sakta hai.
- Kabz Ka Ayurvedic Upchaar
- Pet Mein Gas Ka Desi ilaj Hindi Mein
- Daant Dard Ka Desi ilaj in Hindi
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay
Dosto Muh ki Badbu Dur Karne ke Gharelu Upay: Bad Breath Homeremedies in Hindi ka ye leekh kaisa laga hme bhi bataye aur agar aap ke pass saans ki badboo dur karne ka koi ilaj, sujhaav ya anubhav ho to hamare sath share kare.
mast idea hai. dil khus ho gya.
Muh se badbu dur karne ka upay
Manoj aap ye article padhe aur follow kare.
Meri age 19 ki hai or mai 5 feet ka Hu kya Meri height ab bd skti hai
Sunny height badhane ke tips janne ke liye aap ye article padhe :: http://sehatdoctor.com/height-kaise-badhaye-tips-10-aasan-tarike-hindi-mein/
3 sal ke bacche ke muh ki durgandhi kaise hataye?
Yogesh kai bar chote bacho ke muh se durgandh aati hai, aap ko abhi koi upay karne ki bajay bache ko kulla karna sikhaye aur agar kuch upay karna hai to dentist ki salah ke bina na kare.
Sir meri eyes hamesa redness hoti h
Sazid ek bar doctor se checkup karwaye taki iska karan pta chal sake. Dost aankho ke rogo ka upchar aane ke liye aap ye lekh padhe :: http://sehatdoctor.com/topics/eye-care-tips-in-hindi/
Sir mery munh se bohat buri badboo ati h ye jo ap ne nuskhy btaye hn in se zra b frq ni prta mn daily try krti hu plzzzz koi. Aisa opay btayen k mery munh ki badboo bilkul thk ho jaye
Nisa ji sabse pahle to aapko is badbu ka karan janna hoga tabhi isse chutkara pa sakengi, pet ki bimari khaskar kabz rehne se bhi muh mein badbu aane lagti hai. Agar aapko pet se judi koi bimari hai to uska ilaj kare aur munh ki badbu dur karne ke liye upar likhe hue nuskhe sahi tarike se nirantar kare.
Stomach problem ki wjha se…. kiu k thory dino bad herpes complex ban jaty hn munh pr
Nisa pet se judi bimariyo ke gharelu nuskhe aap yha padh sakti hai :: http://sehatdoctor.com/topics/pet/
mukh ki badboo ko dur karna hai
Dost aap upar likhe hue gharelu upay padhe.
Aisa kuch btao jis s mu ki badbu ana hmesha k lye band ho jai…plzzz
दोस्त आप ऊपर लिखे उपाय नियमित रूप से करे मुँह से बदबू आना बंद होगा.
Thx govind m try krta hu..
muh se badbu aay to apne muh me long rakhe. dosto agar aap essa karege to muh se badabu aana band ho jayega.
Long rkne s mu s badbu ana band to ho jaigy lkn kb tk long k istemal krna hoga …..hmesha krna hoga ???
Me bahut patla hu mote ho ne ka koi upaye batiye
Shyam ji mota hone ke tarike yha pdhe :: http://sehatdoctor.com/topics/weight-gain/
mere danto se khun bahta hai aur badbu bhi aati hai kya karu?
sir ji namashkar, main kapil kaneriya hu mere ek relative ka road accident hua jisme uski spinal cord kat gayi hai jiske karan unko kamar ke niche koi sensation hi nahi aa raha urine or nitya karya ka bhi unko pata nahi hota evan wo mahila hai to masik dharm ka bhi pata nahi chalta hai kya ese me koi ilaj ki ya thik hone ki sthiti banti hai ya kya kiya ja sakta hai unki aarthik sthiti bhi thik nahi hai.
Dost spinal cord injury ka abhi tak koi ilaj nhi hai, isse judi jada jnkari aap yha padh sakte hai :: http://sehatdoctor.com/spinal-cord-injury-information-reedh-ki-haddi-me-chot-hindi-mein/
Aap ke munh se badbu aati hai to aap neem garam pani me neemo ka ras nichod kar kulla kare.