More

    Pregnancy Mein Kya Khaye Aur Kya Nahi – Diet Plan in Hindi

    Pregnancy - गर्भावस्थाPregnancy Mein Kya Khaye Aur Kya Nahi - Diet Plan in Hindi

    Pregnancy Diet in Hindi: Pregnancy mein bache ke pure vikas aur achi health ke liye jaruri hai ki garbhwati mahila ka aahar (food) balanced aur nutritions se bharpur ho. Garbhavastha mein mahila ko dusri mahilao se jada calorie ki jarurat hoti hai. Har pregnant lady yahi chahti hai ki vo ek swasth aur sehatmand bache ko janam de, iske liye bahut si baato ka dhyan rakhna padta hai aur poshtik aahar lena unme se ek hai. Bache ki growth uski maa ki khurak par depend karti hai isliye ye jaruri hai ki maa poshak tatvo se bharpur bhojan kare. Is article mein hum janenge pregnant woman diet plan for healthy delivery in hindi.

     

    Pregnancy ke 3rd month mein mahila ke sharer mein bahut adhik halchal hoti hai. Is dauran bache ki kidney, heart, aankhe, gupt ang ka banana shuru ho jata hai. Garbhavastha ke is samay mein mahila ko fast food aur dibbe wala khana se door rehna chahiye.

     

     

    Pregnancy Mein Kya Nahi Khana Chahiye

    Garbhwati mahila jo bhi khati hai uska sidha asar bache par padta hai isliye apni diet mein koi bhi food shamil karne se pahle apne doctor ki salah jarur le aur jitna ho sake ulta sidha khane se bache. Pregnancy mein maa ko kya khana chahiye isse pahle hum ye jante hai ki kya nahi khana chahiye.

     

    1. Samudri Bhojan (Sea Food)

    Samudri cheejo mein omega – 3 fatty acid hota hai jo bacho ki sehat ke liye acha hota hai. Lekin aese kuch samudari jeev hai jin mein mercury(para) ki matra adhik hoti hai. Aesa bhojan bache ke dimag ko nuksan pahuncha sakta hai. Salmon fish, kekda aur shark ka maans khane se parhej kare.

     

    2. Kacha Khana Na Khaye

    • Kache khane mein bacteria aur virus hote hai jo maa aur shishu ke liye hanikarak ho sakte hai. Hamesha achi tarah pakka hua bhojan hi kare. Fruits mein papita khane se bache. Papite ki tasir garam hoti hai jo bache ke liye thik nahi.

     

    3. Bina Dhule Hue Fal Aur Sabjiya

    Fruits aur vegetables khane ki kuch aesi cheeje hai jinhe kabhi bhi bina dhoye na khaye. Inhe khane se pahle taje pani mein achi tarah dho le.

     

    4. Sharab aur Smoking Se Door Rahe

    Pregnancy mein kabhi bhi smoking na kare aur sharab na piye, isse bache ko nuksan hoga aur inke jada sevan se garbhpat ka khatra bhi ho sakta hai. Chay aur coffee ka sevan bhi jitna ho sake kam hi kare.

     

    5. Medicine Salah Le Kar Khaye

    Agar aap kisi bimari ke ilaj ke liye ki dawa kha rahe hai to pahle apne doctor se is bare mein jaru baat kare. Kuch mahilao ki aadat hoti hai koi bhi dard ho to use thik karne ke liye pain killer khati hai. Apni is aadat ko pregnancy mein na dohraye. Kuch medicine bache ke liye hanikarak ho sakti hai.

     

    Pregnancy Diet Plan in Hindi – Garbhavastha Mein Kya Khaye

     

    1. Iron

    Sharir mein khoon ki kami na ho isliye garbhawastha ke shuruati dino se hi iron ki goli khaye aur khane mein machli(fish), ande ki jardi, brokli, masur, jamun, soyabean, palak khaye.

     

    2. Paani Jada Piye 

    • Sharir ko sahi poshan mile iske liye jaruri hai ki paani paryapat matra mein piye. Rojana 3 se 4 litre paani jarur piye aur garmi ka mausam ho to isse bhi jada piye.
    • Iske ilava nariyal paani, taje falo ka juice bhi le sakte hai. Paani ko hamesha ubaal kar hi piye.

     

    3. Fibers Adhik Le

    • Kabz (constipation) jesi bimariyo se bachne ke liye fiber wali cheeje apne diet chart mein shamil kare jese hari patedar sabjiya, fruits, brown bread, khajur, brown rice, ajwaine.
    • Bache ke shareer mein vitamin B, vitamin C, iron aur magnesium jese nutrition ki jarurat ko pura karne ke liye gehu ki roti, makka, chawal ko apne diet plan mein shamil kare.
    • Vitamin C se bharpur cheeje khaye jese ki khate fal, mausami, santra, aawla.

     

    4. Carbohydrates

    Bread, aaloo aur chawal mein paye jane wala carbohydrates body mein energy badhate hai jo sharer mein hone wale badlav ke liye behad jaruri hai. Dhyan rahe aese food adhik khane se weight badhne ke khatra bhi hota hai.

     

    5. Folic Acid

    Folic acid bache ke nural tube ke jokhim ko kam karne mein madad karta hai. Strawberry, fruits, hari sabjiya, santre mein folic acid adhik hota hai.

     

    6. Calcium

    • Pregnanat women ke liye calcium ki sahi matra lena bahut jaruri hai, isse haddiya majboot hogi aur normal delivery ke samay jada pareshani nahi hogi.
    • Rojana kam se kam 2 gilass doodh piye aur aesi cheeje bhi khaye jisse sharer mein calcium ki purti ho jese dahi, oats, saag, badam.

     

    7. Iodine

    Bache ke mansik vikas ke liye iodine jaruri hota hai. Iodine ki kami se garbhpat aur bache mein mansik rog jesi samasya ho sakti hai, isliye jaruri hai ki pregnant lady paryapt matra mein iodine le.

     

    8. Protein

    1. Protein hamari body mein muscles, skin aur ango ko badhne aur majboot rakhne mein madad karta hai. Protein ke karan hi mahila ke garbhashay aur stano ka vikas ho pata hai.
    2. Apne pregnancy diet chart mein ande, dry fruits, dale shamil kare. Agar aap non veg nahi khate to soyabean, paneer aur ubale chane khaye. In sab mein protein adhik matra mein hota hai.

     

    Pregnancy Diet Plan Tips in Hindi

    1. Garbhwati mahila ko har 4 ghante mein kuch na kuch khate rehna chahiye, bhukh na lagi ho tab bhi.
    2. Pregnancy mein kabhi bukhe na rahe aur upvass bhi na kare.
    3. Teekha aur masale wala khana khane se bache.
    4. Kisi bhi parkar ka nasha na kare.
    5. Doctor se regular checkup karwate rahe aur agar vo koi vitamin ya iron ki goli lene ki salah de to hi aap uska sevan kare.

     

    Dosto healthy aur safe delivery ke liye garbhavastha mein mahila kya food khaye aur kya nahi, Pregnancy Diet Plan in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass bhi koi pregnancy care diet tips hindi mein hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    32 COMMENTS

    1. Hlo sir meri gf ki 8 ko date hoti h aaj 18 h unhone is month boht grm chije khai h kahi is wjh se to unka period late to nhi ho gya qki unhe abhi tak period nhi hua dr. Ko dikhaya to dr. Ne dawai di h or tonic ap kuch btae ki kya kre ye normal h ya nhi qki last yr unke utrus me 2 khun ki ganth thi unka trtmnt bhi hua h unko period late aate h hmesha hi lekin is br boht jyda tym ho gya

    2. Sir meri pregnancy January ki 19 mai 2month hogi.or mai apni husband k sath bahor rehti hu avi January 9 ko ghor jana hai wo v 3 days ka sofor hai kiya mai treval kor sokti hu plz rply me sir

    3. Sir meri biwi ka 5 wa mahina chal raha hai me raat ko use Dudh ke saath kesor deta hu keya koi takleef to nahi aur sir me badam bhi khilata hu

    4. Sir mere wife ki 10 week chal raha hai or me ne doctor ko dekhaya doctor ne kha hai ki hemoglobin kam hai or thioride ki kuch matra hai to use dite me kya kya chej lena chahiye or kya nahi lena chahiye.

    5. Dear Sir… Mera wife pregnant hai 2 months ho chuka hai… Lekin Problem ye hai ki usko letrine yani paikhana pichle 5 dino se nahi ho raha hai kabj hai , kaya karu Plz advise kare ..kevak shaam me omitting ho jata hai khane me baad.

      • दोस्त प्रेगनेंसी के दौरान अक्सर महिलाओं को कब्ज़ की शिकायत रहती है और कब्ज़ एक ऐसा रोग है जिससे और भी कई प्रकार की परेशानियां होने लगती है, खाने में फाइबर वाली चीजें अधिक खाये और कोई भी इलाज करने से पहले डॉक्टर की सलाह जरूर ले.

      • दोस्त प्रेगनेंसी के दौरान शरीर में काफी बदलाव आते है जिसका असर गर्भवती महिला के सवभाव पर पड़ता है, कई बार उदास हो जाती है तो कई बार चिड़चिड़ापन आने लगता है।

    6. Mujhe 7 month chal raha hai main 3 time khana khati hu. Ya 2 time dudh peeti hu. Mere baby ka weight 741 gram hai. Aese mein mujhe kya karna chahiye.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles