Yoga Kaise Kare: Hum ne aksar ek baat suni hai upchaar se behtar hai bachav. Aajkal jis tarah hamara life style ho gya hai aur jis tarah khane pine ki cheejo mein milawat hone lagi hai, shareer ko lagne wali bimariyo ka ye sab se bada karan hai. Agar aap bhi kisi parkar ki health diseases se jujh rahe hai ya fir future mein apne parivar ki sehat ko le kar chintit hai to aap ko abhi se 2 upay shuru kar lene chahiye.
1. Healthy Food: Apni khane pine ki aadto mein badlaav laye aur junk food khane ki bajay nutritions se bharpur healthy khana khaye.
2. Yoga: Body ko andar – bahar se fit aur active rakhne ke liye rojana yoga kare. Yoga ek aesi kirya hai jo bimariyo se bachav aur unke upchar dono mein helpfull hai. Iske ilava yoga mansik roop se swasth rehne mein madad karta hai.
Yoga Kaise Kare – Yoga Health Tips in Hindi
Yoga ek parkar ka treatment hai jo sharrer, man aur dimag teeno ko sahi tarike se kaam karne ki energy deta hai aur body mein bimariyo se ladne ki taakat ko badhata hai. Niymit roop se yoga kare to kisi doctor aur vaid ki jarurat nahi padegi. Lekin agar yog ko sahi tarike se na kiya jaye to ye shareer ko benefit dene ki bajay nuksaan bhi pahuncha sakta hai.
Aap ye article padh rahe hai, iska matlab hai ki aap ko yoga ke fayde pta hai isliye is article mein hum janenge yoga kaise kare, yoga ke niyam, yoga health tips, yoga ke fayde aur nuksaan.
Yoga Ke Niyam : Yoga Rules
Agar aap yoga se puri tarah fayda lena chahte hai to yoga ke sabhi rules ka sahi se paalan karna jaruri hai.
- Yoga hamesha khali pet kare. Agar aap shaam ko yoga karna chahte hai to dhyaan rahe ki khana khaye hue 4 ghante se adhik ho gaye ho. Yoga karne se pahle aur yoga karne ke baad kuch der tak kuch khaye nahi.
- Yog ki kirya karte samay saans naak se le muh se nahi. Aap ko saans naak se lena hai aur muh se chodna hai.
- Yoga hamesha saaf – suthri aur khuli jagah par karna chahiye.
- Yoga karte samay baithne ka sahi tarika (sitting posture) pta hona jaruri hai. Siddhasana aur padmasana ki postion mein ek dum seedha baith kar yoga karna chahiye.
- Koi vyakti, mahila ya bacha bukhar mein ho to use yoga nahi karna chahiye.
Pregnant women aur koi gambhir bimari se garast vyakti ko yoga kisi expert ki advice se hi karna chahiye.
Yoga Karne ka Sahi Tarika : Yoga Tips in Hindi
- Vese to yoga kisi bhi samay kar sakte hai par subh ke samay yoga karne par pura din body mein energy rehti hai. Subh ke samay man shant hota hai aur vayu shudh hoti hai.
- Yoga karne ke liye tight kapde pahne ki bajay halke aur khule kapde pehne. Khule kapdo mein aap sabhi parkar ke yogasana kar sakenge aur agar aapne kisi parkar ki jewelry ya fir ghadi pahni hui hai to use utaar kar side mein rakhe.
- Yoga ko daily kare aur ise apni ek aadat bana le. Har roj yoga karne se aapka mansik vikas bhi hoga aur aap ka mind pahle se jada active aur sharp banega. Jis kaam ko karne mein pahle aap 1 se 2 ghante lete the ab rojana yoga practice ke baad aap us kaam ko pahle se aadhe samay mein kar sakenge, jisse aapke andar positivity badhegi.
- Agar aap yoga mein naye hai to sabhi aasan ek din mein karne ki kosish bilkul bhi na kare, aisa karne par aap pahle hi din bahut thak jayenge jisse ho sakta hai ki aap agle din yoga karne mein aalas kare. Aap dhere dhere yoga ke aasan badhaye to jada acha hai.
- Agar aap kisi park mein ya yoga center mein yoga sikhne jaate hai to waha kuch dost banaye, isse rojana yoga ke liye jaane mein aap aalas nahi karenge aur dosto ke sath yoga karne par aap ka man bhi lagega.
- Kuch log jaldi fayda paane ke liye yog kirya teji se aur jaldi jaldi karte hai. Yoga se fayda paane ka sirf ek hi tarika hai ki aap yoga ko sahi dhang se kare, tej tej yoga karne se jaldi fayda milega aisa bilkul nahi hai.
Yoga ke Fayde : Benefits of Yoga in Hindi
- Yoga mein hum kai parkar ke pranayam karte hai. Pranayam mein hame gahari aur halki saanse leni padti hai jis se breathing exercise ho jati hai aur hamare fefdo tak jada maatra mein oxygen pahunchti hai aur hame fefdo ki koi bimari nahi hoti.
- Yoga karne se body flexbile hoti hai jisse body mein hone wale pain kam ho jate hai.
- Niyamit roop se yoga karne par maansik tanav (stress) kam hota hai.
- Yoga mein body ke sabhi hisso ka paryog hota hai jisse shareer ki muscles ko strength milti hai.
- Yoga karne se body mein blood circulation aur acha hone lagta hai, jisse blood pressure aur blood sugar jesi health diseases ko control karne mein madad milti hai.
- Rojana yoga karne walo ka pachan tantar behtar hone lagta hai. Iske ilava pet se judi bimariyo se bhi chutkara milta hai.
- Jo vyakti ya mahila motapa kam karne ke liye yoga karte hai unka weight aasani se kam hone lagta hai aur jo weight badhane ke liye yoga karte hai unka wajan badhne lagta hai. Iska kaaran ye hai ki niyamit roop se yoga karne ki wajah se aap ka digestion acha hone lagta hai aur ye sabhi samasya kharab pachan tantr ke karan hi hoti hai.
- Agar aap koi aisa kaam karte hai jisme dimaag ka paryog jada hota hai to aap ko rojana yoga karna chahiye. Isse mastishk ko aaram milta hai aur brain ko power milti hai.
- Agar aap ko bhulne ki bimari hai to yoga karne se iska bhi upay milega.
- Rojana yoga karne se hamari body ki immunity badhti hai jisse hum kisi bhi infection ya virus se jaldi bimar nahi hote.
- Niyamit yoga karne se kai parkar ki bimariya khatam ho jaati hai aur bahut se khataranak bimariyo ka asar bhi kam ho jata hai.
- Bimariyo se bachaav aur upchar ke ilava yoga hamare baalo, skin aur eyes ke liye bhi bahut acha hota hai. Isse hamare chahre par jhuriya nahi aati, aankho ki roshni kam nahi hoti aur baal jhadne ruk jaate hai.
Jane Yoga karne ke 10 Adbut Fayde
Yoga ke Nuksaan : Side effects of Yoga
Aajkal ek afvaah chal rahi hai ki yoga karne se shareer ko nuksaan hota hai. Bahut se yoga experts ka kehna hai ki yoga ke side effects tabhi honge jab ise sahi tarike se nahi kiya jaye. Example ke liye – agar aap apne ghutno ya kamar ke yogasana galat tarike se kar rahe hai to aap ko ghutno mein aur kamar mein chot lag sakti hai ya haddiya tut sakti hai.
Agar aapne abhi yoga ki shuruaat ki hai ya fir aap yoga shuru karne ke baare mein soch rahe hai to hamari salah yahi hai ki shuruat mein kisi yoga expert ya yog guru ki dekh rekh mein hi yoga ki practice kare aur jab aap yog ke sabhi aasan ache se sikh le tabhi akele mein kare.
Agar aap ghar baithe yoga sikhna chahte hai to baba ramdev aur kuch yoga experts ke live program subh subh TV par aate hai jisme yoga kaise kare ke baare mein detail se jankari di jaati hai. Aap ghar baithe TV par ye progarm dekh kar bhi yoga ki practice kar sakte hai.
Dosto Yoga Kaise Kare, Yoga Karne ka Sahi Tarika, Yoga Health Tips in Hindi ka ye article kesa laga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass yoga karne ke sujhaav ya anubhav hai to hamare sath share kare.
babaji muje 2 din huye h yoga start kre but muje 2 din yoga krne ke bad vomate hui to kuch hoga to nhi na
Barkha ji sabse jaruri baat ki yoga ki shuruaat kisi yoga expert ki dekh rekh mein kare taki bina kisi sharirik nuksan kiye yoga sahi tarike se kar sake. Vomit hone ke aur bhi karan ho sakte hai aap doctor se consult kare aur checkup karwaye taki iske karan pta lage aur sahi upchar ho sake.
Very good post
And my question is ve when brackfast after yoga
Kush aadhe se ek ghante baad aap breakfast kar sakkte hai.
Mere gale m kuch prblm hai toh mujhe Kon SAA yog krna chahiye JIS se mera gala thik ho jaye
गले के रोग का इलाज घरेलू तरीके से करने के उपाय यहाँ पढ़े :: http://sehatdoctor.com/topics/gale-ki-bimariyo-ka-ilaj/
Mujhe ghabrahat hoti hai or har time mann me bure vichar aate hai kuch bhi kaam ya kisi se baat krne ka mann nhi krta mann har time ghabrata rehta hai m kya kru
Mujhe roj thoda thoda 3 se 4 baar letrin lagta he aur pet me bahot gas banti he to konsa yoga karu please bataiye
पेट की गैस का इलाज करने के उपाय और अन्य जानकारी आप यहां पढ़े :: http://sehatdoctor.com/pet-mein-gas-ka-gharelu-upchaar-home-remedies-in-hindi/
sir mai running pahle kru ya yoga kon sa achha hoga.
sir mujhe man shant karna hai kya karu maine bahut pareshan ho jata hu kuch bhi baat se konsa yoga karu.
ध्यान लगाना (मेडिटेशन) मन शांत करने का सब से अच्छा उपाय है इसके इलावा आप योग और एक्सरसाइज भी कर सकते है। ध्यान लगाने का सही तरीका से जुडी जानकारी का लेख हमने साँझा किया हुआ है आप वहां बताये टिप्स पढ़ सकते है.