More

    चेहरे से कील, मुहसे हटाने के 15 घरेलु नुस्खे

    Beauty Tips - ब्यूटी टिप्सचेहरे से कील, मुहसे हटाने के 15 घरेलु नुस्खे

    हमारे बीच शायद ही कोई ऐसा होगा जिसके चेहरे पर कभी पिंपल्स न हुआ हों। हमें सभी लोगों को चेहर पर कभी ना कभी पिंपल्स तो जरूर हुआ होगा। आज बाजार में मुंहासों को दूर करने के लिए हजारों दवाएं उपलब्ध हैं, इन दवाओं की कीमत एक सौ से हजारों रुपये तक है। हजारों रूपये खर्च करने के बाद भी चेहरे से पिंपल्स नही जाते हैं। कई घरेलू उपाय करने के बाद भी चेहरे से मुंहासे जल्दी खत्म नहीं होते हैं।

    लेकिन आज हम ऐसे घरेलू नुस्खों के बारे में बताने जा रहे हैं जो बहुत कम लोगों के लिए मामूली होते हैं। यह घरेलू उपाय न सिर्फ चेहरे से मुंहासों को दूर करता है बल्कि चेहरे पर एक अलग तरह की चमक भी लाता है। जो आपको सौ लोगों के बीच भी एक अलग पहचान बनाता है। इस घरेलू नुस्खे के बारे में जानने के लिए इस लेख को अंत तक पढ़ें।

    Chehre se Pimples Hatane ke Upay: Gore face par agar koi daag dhabba ya nishan ho jaye to ye chehre ki sundarta bigad dete hai. Chehre par pimples aur keel muhase nikalna aajkal normal ho gya hai, jadatar pimples oily skin par nikalte hai aur ye samasya nojawano mein adhik hoti hai. Agar pimples ko haath se fod de tab chehre par iske nishaan reh jaate hai.

    Khane ki galat aadto ki wajah se shareer ki garmi kai baar muhaso ke jariye bahar nikalti hai. Skin ko hydrate karne wali cheeje khaye aur junk food se door rahe to ye samsaya nahi hoti. Paani, fruits aur hari sabjiya skin ko healthy rakhne mein madad karte hai. Is leekh mein hum pimples aur daag dhabbe se bachne aur unka upchar karne ke kuch gharelu nuskhe(home remedies) bata rahe hai, aaiye jane pimples ka ilaj in hindi.

    Keel Muhase ke Kaaran

    Chehre par pimples hone ke bahut se kaaran ho sakte hai.

    • Harmon imbalance
    • Cosmetic beauty products ke side effects
    • Kisi cheej se allergy hone par
    • Pet ki bimariya hone par
    • Jada tala hua aur oily khana khane se
    • Oily skin hone ki wajah se

    Pimples se Bachne ke Parhej

    Khaane ki aadto ko sudhar kar aur kuch parheej kar ke hum pimples ki is samsaya se bach sakte hai. Ice cream, refined, coffee, tea, cold drink, junk food jesi cheejo se door rahe. Iske ilava agar aapki twacha oily hai to uska bhi upay kare.

    Chehre se Pimples hatane ke Gharelu Upay: 15 Home remedies

    Chehre se pimples, daag dhabbe aur jhuriya hatane ke liye hum bhut se cosmetic products isteemaal karne lagte hai jo mehnge to hote hi hai aur agar ye beauty products aapki skin ko suit na kare to side effect bhi ho sakte hai, kyuki inme chemicals hote hai. Aap ghar par hi kuch gharelu nuskhe isteemaal karke face pack bana sakte hai jo na to mehnge honge aur na hi unka koi side effect hota hai.

    1. Bhaap (Steam): Chehre se kil muhase nikalne ke liye sab se pahle jaruri hai face se dhool mitti ke kan bahar nikale. Iske liye aap garam paani se face ko bhaap de sakte hai. Agar garam paani mein thoda nembu ka ras mila kar bhaap lenge to aur bhi fayda milega.

    2. Neem: Oily skin ke liye neem ke patto ko paani mein ubaal kar us paani se chehre ko dhoye aur ubali hui pattiyo ko pees kar ek leep banaye aur face par lagaye. Neem ke sabun ke istemaal se bhi oily skin se nijaat milti hai.

    3. Aloevera: Aloevera skin ko healthy aur fresh rakhne mein bahut kaargar hai. Aap aloevera gel ko chehre par laga sakte hai, aloevera juice bhi fayda karta hai. Agar kahi aloevera ka podha mil jaye to iske patte ko beech se kaat kar chehre par male, is upay se chehre ki gandagi saaf hoti hai aur skin healthy rehti hai.

    4. Gulab Jal: Gulab jal chehre ko saaf karne mein kaafi asardaar hai. Kaali mirch ke 15 se 20 daane pees kar gulab jal mein mila le aur raat ko sone se pahle chehre par lagaye aur subh face ko garm paani se dho le. Is upay se chehre par glow aata hai aur keel munhase saaf hote hai. Gulab jal mein nimbu mila kar chehre par lagane se chehre ki gandagi saaf hoti hai.

    5. Amla: Raat ko sone se pahle aawle ke churan ko bhigo kar rakhe aur subh apne chehre par halke haatho se masle. 10 se 15 minute baad apne chehre ko paani se dho le. Ye upaay karne se chehre se jhuriya saaf hoti hai aur chehra chamakne lagta hai aur nikhaar aata hai.

    6. Chandan: Chehre se pimples, daag dhabe aur jhuriya dur rakhne mein chandan bhut hi upyogi hai. Chandan mein haldi ka powder aur doodh mila kar ek paste bana le. Is paste ko chehre par lagane se keel muhase aur skin ki jalan se nijaat milti hai.

    7. Besan: 3 se 4 chamach besan mein thoda sa kapoor, haldi powder aur nembu ka ras mila kar paste bana le aur face par lagaye. Jab ye paste sukh jaaye tab thande paani se chehre ko dho le. Besan ko dahi ya lassi mein mila kar chehre par lagane se bhi keel munhase aur jhaiya se chutkara milta hai.

    8. Pudeena: Pimples ko haath se fodne par daag dhabbe reh jaate hai. Chehre ke daag dhabbe aur pimples ke nishan saaf karne ke liye pudeene ko pees kar leep bana le aur isse har roj apne chehre par lagaye. Ek mahine tak is nuskho ko aajmaane se chehra saaf aur sunder ho jata hai.

    9. Nembu: Oily skin par nembu ko malne se chehre ki chiknayi gayab ho jaati hai aur keel muhase saaf ho jaate hai.  Neembu mein shahad mila kar leep banaye aur chehre par lagaye. 15 se 20 minute baad chehre ko dho le. Is upay se chehre mein jami dhool mitti bahar niklti hai, chehre mein glow aata hai aur pimples door hote hai.

    10. Tulsi: Tulsi ke taaja patto ko sukha kar pees le. Ab isme thoda sa paani mila kar ek leep banaye aur chehre par lagaye. Tulsi ke is leep se pimples aur jhuriya gayab hone lagti hai. Is upay ko 15 se 20 din lagatar karne par aapko farak dikhne lagega.

    11. Kapoor: Kapoor ko nariyal ke tel mein mila kar pimples aur daag dhabbo par lagaye. 10 se 15 minute tak ye leep lagane ke baad chehre ko saaf paani se dho le. Ise 8 se 10 din tak karne par keel muhase, jhuriya aur pimples ke nishan gayab ho ujaate hai.

    12. Pyaaj: Pyaaj kaat kar tel mein paka le aur thanda hone par kisi saaf kapde mein bandh kar chehre par ragde.

    13. Makhan: Tilo ko pees kar makhan mein ache se mila le aur ek paste bana le. Har roj is leep ko chehre par lagane se chehre mein nikhaar aata hai aur daag dhabbe bhi saaf ho jate hai.

    14. Karela: Agar aap ko bar bar keel muhase hote hai to 1 se 2 karele kaat kar paani mein ubaal le. Ab karele ke is paani ko piye. Isse pimples ka nikalna band ho jayega.

    15. Multani Mitti ka Face Pack: Multanni mitti chehre ke liye raamban ilaj hai. chehre par pimples, blackheads, jhuriya, daag shabbe ya koi nishan ho multani mitti ka face pack bana kar kuch dino tak chehre par lagane se sab saaf ho jayenge.

    Pimples se Bachne ke Important Tips in Hindi

    • Skin ko hydrate aur healthy rakhne ke liye din mein 3 se 4 litre paani piye.
    • Fast food aur bazaar mein milne wali cheejo se parhee kare.
    • Fruits aur salad jada khaye.
    • Chehre ko baar baar hath na lagaye.
    • Din mein 2 se 3 baar chehre ko paani se dhoye taaki face par dhool mitti ke kan jama na ho paaye.
    • Chemical wale beauty products ka isteemaal kam kare.

    Kai baar hame kisi shadi ya function mein jana hota hai aur chehre par pimples hone ki wajah se hum bahar nahi jate. Is samasya se bachne ke liye aap makeup ka sahara le sakte hai. Kuch beauty products aese hai jo aapke keel muhase aur daag dhabbe chupa dete hai.

    Lehsun mein powerful anti aging tatav hote hai, iske ilava lehsun natural steroid ka kaam bhi karta hai. Rojana lehsun ki kachi kaliya  chba kar khaye aur upar se paani piye. Is upay se skin, aant aur saans ke infection door hote hai aur skin hydrate hoti hai.

    Dosto Chehre se Pimples Hatane ke Gharelu Upay: Home Remedies in Hindi ka ye leekh aap ko kaisa laga hame bataye or agar aapke pass face ke kil muhase ka ilaj ke desi nuskhe ya fir beautiful aur glowing skin paane ke koi sujhaav ya anubhav hai to hmare saath share kare, aapke dwara share ki gayi information se dusro ko bhi fayda mil sakta hai.

    Recent Articles

    414 COMMENTS

      • Rahul agar aap ek upay bhi sahi tarike se kar lo to sabhi karne ki jarurat nahi, aapko ek se hi fayda mil jayega bas dekh le kon sa upay aap aasani se kar sakte hai.

      • Rahul vese ye remedies skin ke liye achi hoti hai par jada experiments na karte hue agar aap yha bataye gaye upayo ko sahi tarike se follow kar lenge tab bhi aap ko fayda mil jayega.

      • Pooja jesa is article mein bataya gya hai unhealthy khaane se parhej kare, tarah tarah ke beauty products ka istemal na kare aur jis cheej se skin ko allergy ho usse door rahe. Aap yha btaye hue upay bhi kare aapko fayda milega.

    1. sir pichhale month se mere face pe bhot jyade pimples nikal aaye h. bhot kosis Ki khatm hi nhi ho RHA h.
      kya are sir, jisase Ki ye presani dur ho jaye.

    2. Sir mera naam raj hain mere face par acne hota Ja raha hain thik hi nahi hota Sab kuch try kiya plz koi upay batay.

    3. Namaste sir mera naam raashid he sir kuch moth se mere face pr pimpals ho gaye he kafi gharelu upaye bhi kiye he thik nhi ho rahe ap kuch bataye…

      • Raashid aap agar koi beauty product isteemal kar rhe hai to use band kare, khane mein poshtik aahar le taki tavacha ko poshan mil sake aur sath hi bataye hue nuskhe sahi tarike se regularly follow kare aapko fayda milega.

    4. hello sir mere face pw bahut pimple nikal rhw hai and kuch ko maine pakne k baad nikal bhi diya and nikalne k bad uske daag nhi jw rhe koi ek raambaan upay btao jis se mere pimple niklne bnd ho jaye aur daag bhi na rhw nd rang gora ho jaye

    5. Sir mera Naam Kundan Hai Mai 16 years ka Hun sir mere face pr 2 Sal se pimples ho raha hai pimples ko Kisi bhi tarah se hatate hai aur 4-5 din ke bad phir aa jata hai Mai bahut paresan hun is pimples se me bahut rupya kharch kar chuka hun pimples hatane me par pimples hatne ka naam hi nahi le raha hai please sir. Help me

    6. hello sir, chehre par bade bade pimple aate hai iske liye chandan haldi powder milk kargar upay ho sakta hair aur iska istemal kitne din tak karna hoga

    7. Sir mere pure sarir ka rang gora hai lekin chehre aur hand ka thodasa savla hai.sir mera chera bahut tired jaisa hota yani boar to mai kya karu

    8. Kya apke pass eye sight dik krne ka koi easy or cm cost ka nushka hai Kya ppls btaye sir Meri eyes sight into week hai dur or pass ki or Kya apke dimaag tej krne ka nushka hai Jo jyada Mehga b Ni ho dono ka btay Dono k nushka.

    9. Sir main khane ne parhej bhi karta hu kisi prakar ki cream use ni karta hu
      Multani mitti 3 month se laga raha hu

      Pimples mit jate hai
      But
      3 to 4 days me dobara ajate hai

    10. hello sir,
      I am a type–diabetic.
      last 3 year se pimples and keels nikalna start hue,abhi bhi nikal rhe hai. kafi tretment kia but bilkul bhi fayda nhi hua.Ab to pura face khrab dikhta hai,dark spote and pimples dono hi hai.
      doctors bolte hai ki diabetes ke karan sahi nhi ho rhe.sir plz koi upay ho to bta dijiye.

      • Balwant ji ho diabetes ke karan ghavo ko bharne mein bahut samay lagta hai aur yahi pimples ke case mein bhi ho sakta hai, par esa nhi hai ki inhe thik nahi kiya ja sakta. Aap sugar ko control mein rakhne ke liye ye upay kare :: http://sehatdoctor.com/sugar-kam-kaise-kare-control-diabetes-in-hindi/ sath hi aese khane pine se door rahe jinke karan pimples nikalte hai. Agar aap koi chemical yukt beauty product istemal kar rhe hai to use bhi band kare aur upar bataye hue nuskhe kare. Paani bhi jada piye.

    11. sir mera nam rahul hai. mujhe 4 year se pimples hai. mere chehrepar dag hai aur chehra red
      ho gaya hai plz upay batavo

    12. Sir mere face pr or mathe pr chote chote dane h keel type plss koi upaye bataiye or or upaye kru tho kon sa best h…???

    13. Sir maine ulta savin kar liya tha aur uske bad mere chehre pe dana-dana sa pinpal nikal gya hai ulta saving karne se infection ho gya hai kya kare ki achha hoga koi upaye bataye.

      • Sunny sabhi upay nahi karne hai, aap ko jon aasan lage vo kare. Ayurvedic nuskhe ke side effect nahi hote hai agar aap ko kuch pblm lage to dusra nuskha apnaye.

    14. meri oily skin k liye ye upaye kaam kar paye ge kyu ki meri skin bhot jyada oily hai jab main subha uth ta hu to pura face oil se bhara hota hai plz koi upaye batao oily skin khtam krne k liye bhot pimples hote hai esi vajha se

    15. Sir mere face pe 3 4 saal se pimple hai..face bilkul bhdda sa hogya hai..mai,cosmetict medicine le rha hu ..but us se se koi frk nhi pd ta ..muje bhut tensn hoti hai..meri age only 19 hai..ap bray kya kru mai..pimple bhut hi mote hai..kya apke btaye nukso se pimple thik ho jayenge..ye nukse sare krne pdenge kya..?

    16. sir mere chehre me bahut pimple niklte h ek thik hota h dusra nikal ata h mai bahut lreshan hu sir plzzz ap hme btaeye mere liye esme lkoun sa upay accha rhega

      • Sonu upay sabhi behtar hai aapko jo aasan lage use kare. Iske ilava khane pine ka bhi dhyan rakhe tla hua masaledar fast food khane se parhej kare aur paani jada piye.

    17. hello sir mujhe ye jannaa ki Lehsun mein powerful anti aging tatav hote hai kya main ese khaa sakta hu daily.. lehsun ki tehsel to garam hoti hai kya eska seven karne se body main grmi k karan pimples to ni ho jye ge???

    18. 2 sal ho gye h mere chehre pr pimples ho rhe h kbi kbi chehra saph ho jata h phir kuch dino k bad vapis hone lgte h rang b savla hone LGA h

      • Dost aksar problem ka solution hone ke baad hum laparwah ho jate hai, aap aesa na kare. Khane pine mein healthy cheeje khaye aur paani ki maatra adhik le taki sharir ki gandagi peshab ke raste bahar nikal jaye. Iske sath yha bataye hue nuskhe kare fayda hoga.

    19. are mera pimples thik ho jane Ke baad phir se nikal jate h aur daag v bhuttt ho jate h aur avi v bhuttt sara pimples aur daag h plzzzz mujhe esse thik hone ka upaye btaiye??????

      • Suraj jitna jaruri sharir ko bahar sesundar dikhana hota hai utna hi jaruri sharir ko andar se swasth rakhna bhi hai. Healthy food khaye aur jada paani piye taki sharir mein jma vishale padarth bahar nikal sake, inke sath upar likhe hue nuskhe bhi kare fayda hoga.

      • Twinkal ye dark circles hai to kuch cheejo ka dhyaan dena jaruri hai, jese achi neend lena, jada paani pina, healthy food khana. Iske ilava dark circles se chutkara paane ke gharelu upay hum jaldi hi post karenge aap unhe bhi kar sakti hai.

    20. Sir mere face me pimple aate jate rhate h kbhi jyada ho jate h to kbhi 1bhi n rhte kya karn se esa hota hoga.. And iske upay btaeye..

      • Shani chati aur peeth par aksar ghamoriya aur pit nikalti hai, agar aap ko bhi wahi samasya hai to uske upay kare aur agar aap ko lagta hai ye dane bhi chehre ke dano jese hi h to yha bataye hue upay kare.

    21. sir…Mera Nam Rupesh h…mane aapke bataye huye tarike use kar raja hu magar mere pimples kam nahi ho rahe he…is liye me kya karu aap bataye…..please.

    22. sir mere chehre pr kafi salose pimpals h,, mane 2,3 doctor se elaj bhi kraya lekin thik nhi huye sir,, plz ab ap hi kuch bataiye sir,, ki jaldise thik ho jaye.. 2 mahine k bad meri shadi hone wali h,, plz khuch bataiye sir….

      • Asif sabun se skin dry hone lagti hai, agar chehre par pimples hai to aap gharelu cheeje istemal karke bhi muh dho sakte hai, aur agar sabun paryog karna hai to koi herbal kare.

    23. Sir… Mujhe 4-5 mnth se pimples ho rahe hai aur bich bich me thik bhi ho jate h fir waps hote hai mene multani mitti bhi try ki hai par asar nahi hua to mujhe sirf yahi janna he ke pet ki garmi ke wajhse bhi pimples ho sakte hai aur agr hote hai to pet ko garmi kese dur kare i mean kis typ ki chize khani chhahiye mujhe

    24. mera naam Bijendra Singh h or mere face pr four months se pimple h or ye thik ho jaate h but new ho jaate h plz give me best solution

      • Bijendra ji aap apne khan paan mein sudhar kare healthy cheeje khaye, adhik paani piye, tale aur masaledar cheejo se parhejj kare aur sath hi upar bataye hue nuskhe apnaye.

    25. Govind ji mrre face per bhoot pimples h or mne ye nuske bi ker k dekh liye lakin kuch din thik hoti h fir ho jati h ir jab thik hoti h to rang kala ho jata h m kya kru konsa face wash use kru

    26. Sir muge 3 saal se pimples a rahe hai bohat upay kiya lekin kuch asar nahi hota sir rang kala aur daag dabhe bi hogai hai kush logo ne kaha ke kuch mat karo kud calgae ge lekin har din 3,4 niKal a ate hai sir batao kya karoo

    27. sir mere face per 3 saal se pure face per pimple hogya hai or pimple k daag or gaada gaada hogya hai katam hi nhi hota sir aap hi kuch bataiye

    28. mere pimples bhtt ho ri h waise to mai chandan lga ri hu par agar ap ur kch upay btaye kyuki khtm to hte h par phir nikl aa ri h plzzz hlp m mera pura face p uske daag bhi pad ri h

    29. mere face me pimpal ho gya hai ky kre jo 10 din ke andar thik ho jaye plzzz kuch tips dijiye anda khane se hua tha abhi tk thik nhi hua

      • Ravi aap upar likhe hue upay kare kuch hi dino mein farak dikhne lagega, par puri tarah thik hone mein kitna samay lagega ye samasya ke karano aur upay paryog karne ke tarike par depend karta hai.

    30. Sir mera chehra puri tarah s muhasoo s bhar gaya h kafi medical ilaz bi karaya pr fayda nhi ho rha .sir in upayo m s jo best ho vo mujhe bataye kyoki ye bahut sare h .ek sath sb kaise ho paiynge.

      • Meena ji ayurverda upay se side effects na ke brabar hi hote hai aap fir bhi upay karne se pahle apni skin par dusri jagah lga kar check kare agar koi problem na ho to ise kare.

    31. Mere chehra puri tarh pimpls bad gaye he aur dag nahi ja rahe me patnjali ka lep lagata hu magar Kuch nahi huva aap Kuch batye ki mere pimpls thik ho jaye

      • Rohit aap apne khane pine mein healthy food shamil kare, pani adhik piye aur tale hue masaledar cheejo se parhej kare, iske sath upar likhe hue upay bhi kare fayda milega.

        • Mere chare par 7-8 mahine se pimpal Ho raha hai aor oil bhi Ata hai par mere pimpal kabhi bade bade hi hate hai aor dard bhi Karta hai to bataiye may keya Karun please may bahut paresan hun

    32. Mere chehre or til ho gya that mene uspr lehsun ki kali ragdi til to hat gya h but skin jal gai h ab skin vha se nikal gyi h or red red ho gyi h so is Nisan ko kese htaye plzzzz reply……

    33. Sir mere ko 7 sal se pimples ho rahe h or unke bhot sare dag dhabbe face par gehre gehre gadde bhi ho gye or meri skin oily h.. Sir me bhot kuch kar chuka 7 sal se natural ayurvedic sab kuch but kuch result ni mila.kuch ram ban treatment btao sir

    34. hello

      sal bhar SE mere face per pimple ho rahe hai
      kafi dag bhi pad gaye hai Mene kafi doctors ki salah Lee lekin theek nahi huye me kya karu
      please

      • Vikas ji aap kisi ayurvedic chiktsak se mile aur upar btaye hue nuskhe discuss kare vo aapko dekh kar salah de sakenge ki aapke liye kon sa upay behtar hoga.

    35. Sir maine duniya ke sabhi cream use kr chuka hu chote aur bade pimples hai mere chehre me thik toh ho jaate hai fir baad me fir aa jaate hai mere age 17 hai

    36. Hi
      Mere brother ki shadi 2 mahino me aa rahi hai or mere face pe pimples hue hai to please use thik krne k upay bataie please please please

    37. sir pimple ek jgh ka thik ho rha dusare jgh fir se ho ja rha jbki mai use touch bhi nhi kr rha
      plzzzz help and give some advice how to am prevent my pimples

    38. Sir mere chere par muhase he ja niii rhe multanii miti use kari to chera kala sa pad jata he batao kya karu sir thik ho jau jaldi

    39. Hello sir meri age 24 hai 5 saal Ki age me mujhe ak bimari ho gyi thi jis vjh se mere face par kale nishan ho gye ak nishan to bhut ghra or kala h ise kase hatau please help me. Me bhut pareshan hu.

    40. Sir i am ankush mere chehre par phunsi ho rahi h kabhi band bhi ho jati h aur nimbu se aur jyada nikal gayi h aap hi kuch bta do plz

    41. Mere face par dane hi jo kam jyada hote rehta hi app batao mai kya karu and mai tika lagata hu wha ka skin bhi thoda rough ho jata hi app batao kya kru mai pls

    42. Sir mere chehre me pimple huwa hai uspe khujli bhi hota hai sir mai aisa kya karu ki o ouri tarh se theek ho jaye please upay bataiye

    43. sar meri skin pele se kali or red red pimpal hore h or mere skin par nishan bhi h, me koi bhi crim skin par ni lagata hu mera face par kafi nishan h or meri fase sabon se dhone par ek dam rukhi shuki ho jati h plize muje prnal tips de sakte h ky plize…sir

    44. Sir, mera rang gora hai aur hmko bahut pimples hota hai ek thik hota nhi dusra nikl jata hai aur kbhi kbhi wo pimples kala padh jata hai jiske wajh se chehra khrab dikhta hai hm besan lgate hai aur sahed me nimbu v mila k lagate hai pr faida nhi krta hai hme koi shi upay btaye jisse aisa na ho plzzz….

    45. Sir mere maathe par jyada pimplels nikalte hain kabhi band ho jaate hain phir nikalne lagte hain jisse maathe par daag dhabbe jyada ho gaye hain koi upaye batao sir plesse main bahut pareshan hoon

    46. help me muje1 saal se
      pimple ho rahe aur mene homopaty patanjli aur bahut daawai ka di aap muje inse badhai koi dawai ya cream ka naam bataeye

    47. hello sir ji mere face par kil and muhse daag dabe hai 1 shl se mene dokter ko bhi dikh liye 4 mahine ka course bi leliya fir bhi thik nahi huhe ek pimple hota he fi bo thik hojata hai fir dush ra hota hai fir thik hojata hai or meri skin me oil bahut aata hai pliz sir ji help mi

    48. Sir mere chehre par pimples ho gaye hai lagghag 1 sal ho gya hai thik nahi ho rhe hai or dag bhi ho jate hai sir me bhut preshan hun koi sahi upaye batao

    49. Mere ko navdurga k time s sir p choti choti funsiyan nikl aayin hain kya y late night sone s huyi hain. … m kya karun….

      Jabki m alovera or multani mitti ka use lagatar karte aa raha hu pahle s hi. Y sahi kese hongi plz help me…

    50. mere chehre pe bahut jyadda keel muhase ho gaye hai lagbhag 3 sal se ho rahe mene treatment bhi karbaya lekin thik hone ki bajay our badte gaye our mere chehre bilkul puri tarah bekar sa ho gaya hai mujhe koi upay bataye

      • Jagat ji cosmetic products aur pimples hatane ki medicines kai bar benefit karne ki bjay side effect kar jati hai, aap ab apni skin par kisi bhi parkar ke experiment se bache aur koi bhi product ya upay karne se pahle doctor ya ayurvedic vaid ki salah le. Dost aap yha likhe hue nuskhe padhe aur kisi ayurvedic chikitsak ki salah le ki aap; ke liye kon se nuskhe karna thik hoga.

    51. Daag dhabbe kaise saaf kiya jae mere pehle bhot pimple nikhle but jab mene parhez kiya to wo chale gae magar wo apne red red dhabbe choir Gaye or gadde gadde hogae chote chote face per

    52. Hello sir mera Naam Rajendra h or m 21 yr.ka mere hands ,legs,and face pr wrinkles ki bahut jyada problem m !
      m in wrinkles ko remove karne ke liye kya kru mujhe koi upay bataye plz

    53. Mere face me white heads bhaut h….apke diye artical ko use kiya h..kapoor r coconut oil….bt face me kalapan aa gya h..r white heads v adhe nikle h r bht dikh v re h ab ap btao kya kre

    54. hello sir isme bola h ki garmi ki wajah se pimples niklte h as..computer ya smart phone bhi adhik use karne se ho sakta h .nind puri na hone pe bhiii…..

    55. sir mere bhout pimples hote hai meri age 19 sal hai orr bhout paresan hu pimpal se dag khul gye hai khede ho gye hai face prr in sab ko hatane kai liye ab me kya karu

    56. sir mera name vivek h – me mukh me pimple h aar uske dag bhi sir dag ke liye koi upay h ……………, aar jo uper tarika bataya h useme se koi ek use karna h

    57. hlw sir ji.. a sab upay maine prayog kiya hai lekin kuch faida nehi hua.. abhi mai kya karu aap bataiye plse.. iske bajese to mai bahat parisaan ho chuka hu.. plse sir

    58. Meri ege 24 year h i m a lady mujhe kbi b face pr koi dag dhabbe nii hue bt abi achanak se dag dhabbe nikal aye h kuchh b karu jate he nii plz mujhe iska ilaj btaiye isse mera face bohot kharab ho gya h

      • Shika ji aap pahle ye jane ki kya aap ki skin ko kisi cheej se alergy hai, kisi bhi pareshani se chutkara pane ke liye uske karno ka pta hona jarurin hai. Agar koi alergy hai to usse bache aur sath hi chemical wale beauty product ke istemal se bhi bache. Pimples ke ilaj ke gharelu upay aap upar padh sakti hai.

    59. Hello sir… meri screen bahut clean and clear hua krti thi par Abhi meri screen par bahut pimples hone lage h meri screen oily nhi h me konsa teap use kru ap plz help kro na

      • Harshita ji agar aap kisi parkar ka koi chemical yukt beauty product istemal karti hai to uska paryog band kare aur pimples se chutkara pane ke liye upar likhe hue tips padhe.

    60. Sir muje 1 sal se pimple ho rahe hai bahut dava ki bt jate hi nahi.. Or pimple white hote hai rat ko ho jate hai.. Bahut Oily skin hai meri..please aap ku6 A6a upay batavo.. Thanks

    61. Hello sir mere face pe kafi zyda Dane hoge hai pure mathe pe chote chote aur face pe kahi kahi kafi bade bade hai skin oily bhi bahut hai mere face pahle bahut saf Chikana aur fair tha but 6 months se idhr bahut kharab hogaya bahut ilaj bhi kiya koi fyda nhi hua kai upay bhi use kiye but abi tak sahi nhi plesse bataiye sir kya kare jis se acha taki interview mera acha ho sake thank you so much sir.

    62. Sir Maine kafi ghrelu nuskhe apnaye Jo bhi article aapne post kiye hai but koi dark nahi hai or blood test ka ige level 370 hai or kou medicare ho to pls btayen

    63. Sir mere face or gale par funsi ho rahi h or muhase bi h me kese apna face healty kru mere pimples 6-7 year se h plz inko dur krne ka koi soluttion btao

      • Akshey aap apne khane pine mein healthy food khaye adhik pani piye aur khane pine ki galat aadto se parhej kare, isse aap ki skin ko jaruri poshan milega aur bar bar pimples aane se chutkara milega.

    64. Sir mere Puri body per chote chote dane ho gye h aur cherhe per mote mote pimple ho gye h en se hmesha hmesha ke liye chutkara kese pa skte h
      plz sir btaie

    65. sir me 17 years ka hu or mere face par pimples or muhase hone lag gaye h to inko jaldi se jaldi thik kaise karu or rang ko gora kaise karu

      • Dost aap khane pine mein healthy food khaye aur buri aadte chode taki skin ko poshan milta rahe aur skin healthy rahe, pani bhi adhik piye aur pimples se chutkara paane ke liye upar likhe hue upay padhe.

    66. hlw sir mere face pr pimples kam hai but uske daag bahut hai maine har jagha doctor ko bataya uske ilaj se thik hota hai but fhir ho jata hai aur sir meri ek buri aadat hai so ushe aap smj jao me nahi cahata ye sab but ushe aadat nahi chut rahi hai meri age abhi 17 hai so plzzzz ab aap bataye me kya kru maine medical se alg alg cream use ki frk pda but fhir se ho jate h plzzz help me sir

    67. Sir meine 1 year phale body supplement liya tha uske kuch time baad face pr pimples hone start ho gaye.. 1 year se pimples ho rahe h.. pimples futne pr pas or blood bhi nikalta h. Doctor se bhi treatment karaya but kuch nhi hua please aap bataye ab kya krna chahiye meri age 21 hai… please sir koi treatment bataye.. please

    68. hi sir,mere skin adhi dry or adhi oily h or mere fase pe daily new new chhote chhote Dane paida hota h or kvi kvi bde bde pimples hojate h or mere daag dhabbe b bht h or m ye sare tips 1 month se jyada ki Hun or khane m v m vej jyada khati Hun or salad v samil krti hun so plz ap achhi wali tips btae taki jaldi thik ho sake

    69. Sir meri sis ki or20 din h Saadi or uska problem h ki wo 1year hogya wo nose chhendai h or usme ghao hogya h or wo Saadi m nathni pehen nhi paigi so ap accha wala tips btae taaki jaldi thik hosake plz help as…

    70. sir meri har saal m do bar lip k side m winter season m hota h ghao pehle fuski bht Sara hojaega then wo ghao hojata so m puchhna chahti ye q har saal m winter season m hi kyu hota h or plz tips v btae plz plz iski hone k wajah btae or thik honeka upae btae plz and me & help as…

      • Simran ji kuch logo ki skin kafi sensituve hoti hai aur mausam badlne par kai bar pimples kil muhase ki samasya aane lagti hai, aap upar likhe hue tips padhe aur khane pine mein tala hua khane se bache aur pani adhik piye.

    71. Govind sir mujhe bhi pimples howe h m kya kru aap btye 2saal hogye sab kucg kiya but jaate hi nhi multani miti bhi neem bhi or Dr. KO bhi sb ko. Dikha diya but koi sahi nhi howa aap btaye

    72. Sir maine sab kuch karke dekh liya lekin forehead se pimple khatam nhi ho rhe h ab m neem or pudeene ko milakar lga rha hu lekin muh dhine ke baad muh bilkul sukh jaata h or whhite dikhne lag jaata h

      • Rakesh agar aapne sab try kiya aur fayda nhi mil rha to aap ayurvedic vaid se milkar salah le, kyuki sab ki skin alag hoti hai aur kuch logo ki skin jada sensitive hoti hai isliye puri jankari aur salah ke sath upay kare.

      • स्वेता जी आप ऊपर लिखे हुए उपाय करे पिम्पल के गड्ढे और पिम्पल्स हटाने में ये घरेलू नुस्खे काफी असरदार है.

    73. Sir,, main shahad laga raha hoon apne chahre par 1 mahina 15 din ho gaye phir bhi dag dhabbe kam nhi ho rahe hain sir mein bahut pareshan hoon maine to ummid hi chhod di hai sir main kya karoo

      • अरुण पिम्पल्स के दाग धब्बे हटाने के आप दूसरे घरेलू तरीके कर के देखे इसके इलावा आप खाने पिने में हेल्थी फ़ूड खाये ताकि पिम्पल कील मुंहासे से बचा जाये.

      • कारण पिम्पल्स से छुटकारा पाने के घरेलू उपाय और देसी नुस्खे ऊपर लेख में लिखे हुए है आप इन्हें पढ़े और नियमित रूप से करे.

      • कपिल पिम्पल्स और दाग धब्बे दूर करने के लिए आप ऊपर लेख में बताये हुए नुस्खे पढ़े और यहाँ लिखे हुए कमेंट भी पढ़े आपको जवाब मिलेगा.

    74. face per pimple k marks kaise kam kare meri shadi h 15 din baad or yeh marks htane k liye mai kya karu sabse acha trika kon SA hoga

    75. Main 4-5saal se dawa kara raha hu par kuch aaram nhi mil raha hai
      Meri age 21 year hai lekin dikh raha hu 25 ka isi ke wajha se skin bhi sikud gaya hai
      Please koi upaye batao na

    76. Sir mere ek dost ko cream use karne se uski chehre ka skin fat gaya hai bahoot dard bhi karta to usko normal karne ka tarika bayaiye please

    77. Sir Mera aapse 1 question hai jab kisi k face pe daane ho jate hai tab kuchh log use fod dete hai jisase dhabbe ho hate hai, or fir Jaha tak meri think kehti hai ki WO dhabbo ka ilaj sirf plastic surgery se hi ho Sakta hai, kyuki jab hamare body par koi bhi gahari chot lagti hai tab doctors us chot par plastic surgery karte hai ya fir body ki kisi hisse ki skin us par laga dete hai. To jaha tak Mera manana hai ki gharelu ilaj se dhabbo ka koi ilaj nai ho sakta because than they all are the parts of our body. I hope you will be give me reply.
      Thank you sir.
      Prakash.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles