More

    Pet Mein Gas Ka Gharelu Upchaar: 10 Home Remedies in Hindi

    Disease - बीमारीPet Mein Gas Ka Gharelu Upchaar: 10 Home Remedies in Hindi

    Pet Mein Gas Ka Gharelu Upchaar: Aksar jin logo ko jada gas banti hai, log unse door hi rehte hai aur peeth peeche unka majak bhi udate hai. Pet mein gas banane ki samasya se kai baar hame sharmindagi bhi uthani padti hai. Vese to gas har vyakti ke shareer me banti hai, lekin jinki paachan shakti kharab rehti hai ya jo log kabj aur acidity ke shikar rehte hai unme gas ki shikayat jaada hoti hai. Kafi lambe samay tak rehne wali gas ki samasya bawasir aur alsar mein badal sakti hai jisse aur bhi kai tarah ki pareshaniya ho sakti hai.

    Jab aant mein gas maujood hoti hai, tab kuch logo ko pet dard hota hai aur jab badi aant ke baayi or dard hota hai tab isse herday rog ka bhram hota hai lekin jab dard daayi aur hota hai to ye appendices bhi ho sakta hai.

    Pet Mein Gas Banane Ke Kaaran

    1. Hum jab bhi khana khate hai to ye dhyaan rakhne ki jarurat hai ki kuch bhi aisa nahi khaye jo bhojan ki prakarti ke anusaar bemel ho jaise ki khane ke baad tarbooj khana hame pet gas banata hai isliye is tarah ke bemel cheejo ke sevan se jitna ho sake bache.
    2. Jaldi jaldi aur bina chaba kar kiya gya bhojan bhi gas banati hai.
    3. Raajma, safed chane, fool gobhi, bhaari daale aur deer se pachne wale bhojan ko khane se bhi gas ki pareshani se hame jujhna padta hai.
    4. Sharab peene, tala hua khana khane, jada masaale wali cheeje khane se, udad ki daal, fast food khane se pet gas ki samasya hoti hai.
    5. Chaay aur coffee hamare pet ki gas banane ka parmukh kaaran hai. Agar chaay aur coffee ka sevan agar kam ho to itni pareshaani nahi hoti hai. Kyuki coffee amleey hoti hai isliye ye hamare pet mein gas ki samasya ko badha deti hai.
    6. Kisi-kisi ko doodh peene se aur bhukh se jada khana khane aur khane ke saath cold drink peene se gas banti hai.
    7. Hamare pet ki aante aur paachan ke ang tab bhi kaam karte hai jab hame bhukh lagti hai aur isliye jab hum lambe samay tak khaali pet rehte hai to pet mein acidity badh jaati hai aur hame pet mein gas hone lagti hai.
    8. Iske alaava liver mein sujan, gol bladder mein stone(pathri), fatty liver, motapa, sugar, asthama, ya aksar pain killer khane se, kabj rehne se, khana thik se na pachne ki vajah se bhi gas ban sakti hai.
    9. Umar badhne ke sath gas ki samasya ho jaati hai.
    10. Jane Pet Saaf Karne ke Gharelu Upay

    Pet Mein Gas Hone Ke Lakshan

    Pet mein jalan, pet mein dard, dakaare aana, pet se gas paas hona, chhaati me jalan, afaara, khana khane ke baad pet jada bhari lagna aur khana hajam na hona, bhukh kam lagna, pet bhari-bhari rehna aur pet saaf na hona ye sab pet mein gas banane ke lakshan hai.

    Pet Mein Gas Ka Ilaj Aur Parhej : Gas Home Remedies in Hindi

    Pet mein gas ki samasya hamari paachan parnaali ki samasyao mein se ek hai aur hum sabhi kabhi na kabhi is samasya se pareshan hote rahe hai. Aaiye is leekh mein hum pet mein banane wali gas ke liye kiye jaane wale kuch parhej aur gharelu nuskhe ke baare me jaankaari praapt karte hai.

    1. Lambe samay tak khali pet nahi rehna chahiye.
    2. Ayurveda ke anusaar trifala paudar ke sath alovera ka juice peene se gas ki samasya mein fayda milta hai.
    3. Khana khane ke baad gud ka ek tukda jarur khaye. Isse gas nahi banti aur pet ki aante bhi majboot rehati hai.
    4. Body ko hamesha active aur chust rakhe aur vyaayaam, yoga or excersise karte rahe.
    5. Khana khane ke baad 1 laung aur 1 ilaaychi lene se gas or acidity ki samasya door hi rehti hai.
    6. Gas ki samasya hone par nembu ki chaay(lemon tea bina doodh ki) peene se bahut fayda hota hai. Yaad rakhe ki nembu chaay banane ke baad dalani chahiye. Isme chini ki jagah halka sa kaala namak daale.
    7. Pet mein gas ke gharelu upay karne mein ajavaayan bhut faydemand rehti hai. Isliye har roj khana khane ke saath agar thodi si ajavaayan khaye to gas nahi banti paachan bhi badhiya rehta hai.
    8. Ajavaayan, jeera, choti harad aur kala namak barabar maatra me pees le. Ab ise khana khane ke baad gungune paani mein 2 se 6 gram le.
    9. 5 gram haldi ya ajvaayan aur 3 gram namak mila kar gungune paani ke sath le.
    10. Lehasun ki 2 se 3 kaliyo ke baarik tukde kaat kar uske upar thoda sa kaala namak aur nembu ka ras daal kar subah khali pet garm paani se nigal le. Isse gas ke sath sath cholesterol bhi theek hone mein madad milti hai. Garmiyo ke dino mein 1 se 2 kaliyaa hi le.
    11. Khana banane mein saada namak ke sath thoda kaala namak bhi istemaal kare.
    12. Aadha chamach daalcheenee ko paani mein ubaale aur thanda hone ke baad isme aadha chamach shahad mila kar subah khaali pet piye, pet se gas ki samasya door rahegi.
    13. Maide se bani rotiya jaldi pach nahi paati hai, isse bhi gas banati hai isliye multi grain aate ki roti khani chahiye.
    14. Jane Kharab pet ke upay kaise kare

    Pet Ki Gas Mein Foran Aaram Ke Liye Kya Kare

    • Jeera paachan tantar ki samasya door karta hai. Isliye gas ki samasya mein1 chamach jeera paudar thande paani mein ghol kar piye, isse gas se turant laabh milega.
    • Paani aur methi ke beejo se tayaar kadha aapke pet ki gas ko kaafi had tak kam kar sakta hai.
    • Adarak ka ek tukda daato se ache se chabaye aur uske baad garm paani ka ek glaas piye ya fir adarak ko paani mein ubaal kar piye.
    • 1 gilass garm paani mein thoda kaala namak mila kar penee se pet ki takleef mein jaldi fayda milta hai.
    • Pet ki gas ka ilaj karne ke liye 2 chote chammach nimbu ke ras aur thode se sendha namak ko gungune paani mein mila kar dhere dhere piye.
    • Acidity Ka ilaj – Ayurvedic aur Homeremedies
    • Ayurvedic Gharelu Upay Aur Upchaar
    • Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay

    Dosto Pet Mein Gas Ka Gharelu Upchaar: 10 Home Remedies in Hindi aap ko ye lekh kaisa laga hame bataye aur apne anubha bhi hamare sath share kare. Aur agar aap ke pass bhi pet gas ka ilaj karne ke gharelu upay ya desi nuskhe hai to yaha hamare sath share kare.

    Recent Articles

    35 COMMENTS

    1. Sir mera ko after 20 days se sir chakker ata he aur mera sas phulta he kabi khana kane kebade dhaker nhi ata he aur khana khane ke bade latrin lg jata he eska koi upai he kye plzzz sir me bhut paresan hu.. ..

    2. Mujhe 1 saal se bahut dakar ati hai jiski wajah se mujhe bahut pareshani hia
      Diagnose karane par fatty liver hai ….plss mujhe bhi koi ilaj bayaye

    3. Sir mera pet kafi dino se kharab rahta hai our bahut kamjori ho gayi hai khana hajam bhi nahi hota hai pet bhara bhara rahta hai our kachhi dakare bhi aati hai sir kya kare

    4. Sir Mera pet bhut tej se dard krta hai ar jb khana kha lete hai to dard nhi krta aur khana pachta bhi nhi hai aur bhuk v tej se lg jaati hai dawa khate hai to v asar nhi kra 7-8 dino tk yesa ho rha hai sir aur mera Exam v aane wala hai sir.
      So ,i Requested iska illaz btye sir plzz

      • Rahul ilaj se pahle ye janna jaruri hai ki aapko ye pareshani kin karno se ho rhi hai, bimari ka pta chalne par hi sahi tarike se ilaj ho sakega. Aap doctor se consult kare aur checkup karwaye.

    5. sir mera pet khana khane k baad phool jata aur khana pachta hi nhi agar m morning m breakfast ni krta to mujhe jb v bhook nhi lgti

    6. hello sir mera ulti jaisa man rehta hai aur pet mein dard bhi hota hai aur puri body mein dard rehta hai tango mein kuch jayda dard hota hai koi ilaj bataye

    7. mere 10 saal ka bachcha k pet me 3 saal se dard ho raha hai bahut ilaz karaya ayurbedic dawa v khilaya par koi fayda nahi hua aur ultra sound v karaya sab normal bata raha hai me bahut paresaan hu pls upaye bataye kya karu

    8. Mere father (65yrs) ko gas pass nahi hoti .. unko sir dard rehta h ..or chakker aate hain… Dawai se aram nahi hota. Upaay btaye..

      • पेट में गैस का घरेलू इलाज व आयुर्वेदिक नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप लेख पढ़े.

    9. Sir, mujhe kuch din se loose motion ho rhi thi. Med Khane k bad bathroom tight ho gya h. 3 din se pet bht dard kr rha h… But potty nhi ho rha. Is life bht dard ho rha h body me. Kuch solution dijiye

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles