More

    राजीव दीक्षित के 5 घरेलू नुस्खे: Rajeev Dixit Home Remedies in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेराजीव दीक्षित के 5 घरेलू नुस्खे: Rajeev Dixit Home Remedies in Hindi

    राजीव दीक्षित एक ऐसा नाम है जिसे स्वदेशी उपाय के नाम से जाना जाता है। राजीव दीक्षित न केवल सर्दी, खांसी, जुकाम के देसी तरीके बताते हैं बल्कि कैंसर, हार्ट अटैक जैसी बड़ी बीमारियों का देसी इलाज भी बताते हैं। आज हम इस लेख में राजीव दीक्षित के ऐसे स्वदेशी उपचार के बारे में बताने जा रहे हैं, इसलिए इस लेख को अंत तक पढ़ें।

    Rajiv Dixit ke Gharelu Nuskhe in Hindi: Shri Rajiv dixit ji bharat ke sache aur mahan nagrik the jinhone logo ko hazaro saal purane ayurvedic treament ke baare mein yaad dilaya aur bataya kisi tarah purane samay mein log gharelu nuskhe apna kar ghar par hi apni bimariyo ka ilaj karne ke liye dawa bana lete the. Rajiv dixit ji ne bataya kaise avurvedic vaid jadi butiyo se gambhir bimariyo ka upchar karte the.

    Rajiv dixit ji ko ayurveda expert bhi kaha ja sakta hai. Iske ilaava health diseases treatment aur health care ke liye kon si ayurvedic, homeopathy aur natural remedies ka paryog kare iske baare mein logo ko batate the. Is leekh mein hum Rajiv Dixit ji ke bataye hue desi gharelu nuskhe janenge.

    Rajiv Dixit ke Gharelu Nuskhe: Natural Home Remedies in Hindi

    1. Rojana subh aawle ka 1 murabba khali pet khane se yadaashat badhti hai.

    2. Saatwik bhojan man aur dimag ko shanti pardan karta hai aur isse aatam vikas hota hai. Satwik bhojan mein saag, daale, sabji, doodh, aanaj, fal, sukhe meve, paneer aur makhan khaye.

    3. Khane ko kabhi aluminium ke bartan mein na banaye, agar khaana banane ke liye mitti ke bartan ka upyog kare to bhojan mein maujood poshak tatav khatam nahi hote.

    4. Ankurit aanaj khane se khoon saaf hota hai aur shareer swasth hota hai. Ankureet aanaj mein protein bharpur maatra mein hota hai jisse shareer majboot hota hai aur rogo se ladne ki shamta badhti hai.

    5. Tambe ke bartan mein rakhe paani mein antioxident hote hai, jo umar ka asar kam karne aur cancer se ladne mein madadgaar hote hai. Body ko fit rakhne aur charbi kam karne ke liye subh sham tambe ke bartan mein rakha paani piye. Isse heart healthy rehta hai, skin problem bhi door hoti hai or chehre ka nikhar badhta hai.

    6. Agar chote bache ne mitti kha li ho to pakke hue kele (banana) ko pees kar usme thoda shahad mila kar bache ko khilaye. Is gharelu nuskhe ke paryog se bache ke pet ki mitti nikal jayegi.

    7. Koi chot lagne ya fir ghaav hone par agar khoon nikal raha ho to ghaav ko fitkari ke paani se dho kar uske upar fitkari ka churan bana kar lagane se khoon ka behna band ho jata hai.

    8. Pyaaj ke ras ko gunguna karke kaan mein daalne se kaan ka dard thik hota hai.

    9. Bukhar hone par 1 laung pees kar gungune paani se faank le. Din mein 2 baar is upay ko karne se bukhaar mein laabh milta hai.

    10.Gale mein chaale aur tonsil hone par 1/2 litre paani mein 20 graam meethi daana daal kar dhimi aanch par pakaye. Paani achi tarah ubalne par ise thoda thanda karke chaan le aur fir is paani mein namak daal kar garare kare. Gale mein tonsils hone par is upay ko din mein 2 se 3 baar kare.

    11. Mishri aur kali mirch brabar maatra mein le kar pees le aur isme thoda desi ghee mila kar choti choti goliya bna le. Ye goli din mein 2 se 3 baar chusne se sukhi khansi mein fayda milta hai.

    12. Thode se besan mein 2 chote chammach nimbu ka ras aur thodi si malayi daal kar achi tarah mila le. Is leep ko aadhe ghante tak chehre par laga kar rakhe aur fir dho le. Is upay se chehre ki jhuriya saaf hoti hai, chamak aati hai aur chehre ki khushki bhi door hoti hai.

    13. Rojana 2 khubaani 3 se 4 ghante paani mein bhigokar nshte se pahle khaaye. Iske reshe pet ke liye ache hote hai aur iske upyog se cholesterol bhi control hota hai.

    14. Sugar ke marij ko rojana amrud khana chahiye. Amrud par kali mirch aur seendha namak laga kar khaaye. Isse aapki sugar control mein rahegi.

    15. Mahilao ko hone wale rogo mein gajjar aur chakundar ka ras peene se benefit milta hai. Har roj 250 graam gajjar ke ras mein 50 graam chakundar ka ras mila kar piye. Periods mein bhi iske sevan se fayda milta hai.

    16. Aadha glass panni mein 4 se 5 munake ek ghante ke liye bhigo de. Ab in munako ko isi paani mein pees le. Is paani ko pine se chakar aane band ho jate hai.

    17. Pet fulne par thodi si heeng ko garam paani mein ghol kar paste bana le aur naabhi par lagaye. Aesa karne se pet fulne mein jaldi aaram milega.

    18. Chaati mein jami kuf (cough) nikalne ke liye raat ko sone se pahle 1 glass doodh mein thodi adrak ubaal kar piye. Jab tak cough ki samasya se chutkara na mile aap is upay ko har roj kare.

    19. Pahle se gunthe hue aate ki roti kabhi na khaye. Kuch log subh hi aata gunth kar rakh dete hai aur shaam ko usi se bani roti khaate hai jo sehat ke liye thik nahi hai.

    20. Sardiyo mein bimariyo se bachne aur swasth rehne ke liye khaan paan ka dhyaan rakhna bahut jaruri hai. Sardiyo ke mausam mein adarak, kali mirch, lehsun, kesar, til aur gud jesi cheeje khaye. Sardiyo mein vitamin C ke liye Anrud, santra aur nimbu ka sevan jarur kare.

    21. Tamatar ke sevan se chidchidapan aur maansik kamjori door hoti hai. Maansik thakan ko door karne aur mastishk ko santulit banaye rakhne mein tamatar khane se fayda milta hai.

    22. Jeere ko barik pees le aur churan bana le. Ab is churan ki 3 graam maatra le aur garam paani ke sath din mein 2 baar peene se badan dard aur pet dard se rahat milti hai.

    23. Neem ki pattiyo ko pees kar churan bnaye aur isme katha milakar muh ke chalo par lagaye aur muh ki laar bahar tapakne de isse muh ke chale thik ho jayenge.

    24. Tanav kam karne ke liye har roj kela khaye. Kele mein triptofan namak amino acid hota hai jo tanav kam karne mein madad karta hai.

    25. Memory badhane ke liye 7 badam giri raat ko bhigo kar rakh de aur subh inhe cheel kar chba chba kar khaye aur 1 glass garam doodh piye. Rajiv dixit ke bataye hue is gharelu upay se yaadasht badhne ke sath sath aankho ki roshni bhi tej hoti hai.

    26. Tulsi ke patto ko chaaya mein sukha kar churan bna le. Subh shaam is churan ko shahad ke sath chatne se aadhacici matlab migraine ke dard mein aaram milta hai.

    27. Tamatar aur pyaaj mein thoda sa sendha namak aur thodi si pisi hui kali kirch daal kar khane se pahle salad ke roop mein le, isse bhukh kam lagti hai aur ye motapa kam karne ka acha aur aasan upay hai.

    28. Rajiv dixit ke gharelu nuskhe kidney ke liye: Hamare shareer mein kidney ek filter ka kaam karti hai jo khoon ki gandagi saaf karke shareer se vishale padarath bahar nikalti hai. Magar har filter ki tarah kidney ko bhi saaf karne ki jarurat hoti hai taaki ye sahi tarike se kaam karti rahe. Iske liye thodi hari dhaniya le aur ise chote chote tukdo mein kaat le aur ache se dho le. Ab ek bartan mein 1 litre paani daal kar 10 minute ke liye dhaniya ke tukdo ko dhimi aanch par pakne de aur chaan kar thanda kar le. Ab is paani ka 1 glass har roj subh khaali pet piye. Aap dekhenge ki peshaab ke sath saari gandgi bahar nikal gyi hai. Paani mein thoda ajwaine daal kar pine se jada fayda milega.

    29. Neend na aane ki samasya matlab anidra (insomnia) mein raat ko sone se aadha ghante pahle 1 glass garam doodh ke sath aadha chota chammach haldi ka sevan kare.

    30. Chote bacho ke dant (teeth) niklte hai to kafi peeda hoti hai aur bukhar, ulti – dast jesi pareshaniya bhi hoti hai. Is samay bacho ko santre ka ras dene se becheni door hoti hai aur pachan shakti bhi badhti hai. Ek baar mein 2 se 3 chamach ras hi de aur din mein 3 se 4 baad aap bache ko santre ka ras pila sakte hai.

    31. Neem ke patto ko pees kar ras nikal le. Ab 2 chamach ras ko shahad ke sath milakar chehre par lagaye. Rojana ye upay karne se tvacha ke rog door hote hai.

    32. Dead skin hatane aur tvacha ko nikharne ke liye imli ka ras bahut labhkaari hai.

    33. Paan ke hare patto ke aadhe chammach ras mein 2 chammach paani milakar har roj nashte ke baad pine se pet ke ghaav, alsar aur dard mein aaram milta hai.

    34. Aankho ki roshni badhane aur nazar ka chashma hatane ke liye hara dhaniya ka sevan jada karna chahiye. Hare dhaniya mein vitamin A ki maatra adhik hoti hai. Aap dhaniya ki chatani bna kar khane ke sath bhi kha sakte hai.

    35. Ek gilass paani mein 8 se 10 pattiya pudeene ki pees kar milaye, isme aadha nimbu nichode aur thoda kala namak mila kar pi le. Pudeene ki pattiyo ke sevan se pachan tantar thik hota hai aur pet ki bimariyo se nijaat milti hai.

    36. Moong daal sabut ho ya dhuli hui, poshak tatvo se bharpur hoti hai aur ankurit hone ke baad to isme iron, protein, calcium, carbohydrates aur vitamins ki maatra aur badh jaati hai. Bukhar aur kabz ke rogiyo ke liye ankurit ki hui moong daal ka sevan bahut fayda deta hai.

    37. Dahi mein calcium aur protein bharpur maatra mein hota hai jo haddiyo ke vikaas aur majbooti ke liye bahut jaruri hai. Dahi ke sevan se dant bhi majboot hote hai. Dahi mein bacteria hota hai jo hamari tavacha ko naram banata hai.

    38. Dahi ko achi aur jaldi jamane ke liye, dahi jamate samay doodh mein hari mirch ka danthal tod kar daal de.

    39. Dengu bukhar ka ilaj karne ke liye giloy ki bail ko kaat kar chote chote tukde kar le aur 8 se 10 tukde 2 glass paani mein ubaal le aur jab paani aadha reh jaaye tab thanda hone par rogi ko pilaye. Thodi hi der mein body ke cell badhna shuru ho jayenge. Dengu bukhar ke ayurvedic upchar ke liye isse acha koi upay nahi.

    40. Kisi chinimitti ke bartan mei 20 se 25 kishmish ke daane bhigo kar rakh de aur subh chba chba kar khaye. Low blood pressure ki samasya mein ye upay raamban ilaj ka kaam karta hai.

    41. Bache ka pet dard dur karne ke liye kisi barik saaf kapde mein ajwaine rakhe aur bache ko ungali se dhere dhere chataye.

    42. Fate hotho ka upchar karne ke liye sone se pahle naabhi par sarso ka tel lagaye. Isse hoth fatne ki samasya door ho jaati hai.

    43. Haldi, saunth aur methi dana 100-100 graam le aur inhe mila kar pees le. Ab subha ka nashta aur raat ke khaane ke baad 1-1 chamach ye churan lene se jodo ke dard, kamar dard aur gathiya mein fayda milta hai.

    44. Dark under arms ke upay ke liye bagal par nimbu ragde ya fir badam ke tel ya jaitun ke tel se under arms ki massage kare.

    45. Garmi aur dhoop se hue kaalepan ko dur karne ke liye lassi aur nimbu ka ras mix karke skin par lagaye.

    46. Thodi si haldi mein chutki bhar heeng milakar usme thoda paani daal kar goli bna le. Jis dant mein dard ho uske niche is goli ko rakhne se dant dard mein bahut laabh milega.

    47. Rojana raat ko 2 chuhare khakar garam doodh piye, is natural home remedy se shareer mein calcium ki kami nahi hoti aur danto ki kamjoori, haddiyo ki kamjoori dur hoti hai.

    48. Shaam ko sone se bache, shaam ko neend lene se shareer mein apach ki samasya, aalas, mansik tanav aur motapa jesi bimariya hone ki aashanka hoti hai.

    49. Khane mein poshak tatvo ki kami ke kaaran bhi baal jhadte hai. Is liye bhojan mein doodh, daale, fal, hari sabjiya aur doodh se bani cheeje jada le.

    50. Sugar ke patient ke liye gehu ke aate mein thoda chane ka aata mila kar gunth le aur iski rotiya bnaye.

    51. 20 graam tulsi ke beej aur 10 graam sendha namak ko pees kar churan bna le. Ab 2-2 chutki churan subh shaam le isse gale ki sujan mein rahat milegi.

    52. Shareer ke kisi hisse par katne ya jalne par pisi hui haldi lagane se khoon behna band ho jata hai aur jale mein fafole bhi nhi bante.

    53. Shareer ke kisi hisse par lakwa ho gya ho to dahi mein tulsi ke patto ko pees kar usme thoda seendha namak mila kar ek mishran bana kar iska leep lakwa grast ang par kare. Iske ilava tulsi ke paani ki bhaap de. Tulsi ke is upchar ko kuch din lagatar karne se lakwa grast ang mein jaan aane lagti hai.

    54. Hari mirch mein antioxident hota hai jo shareer ki rogo se ladne ki shakti ko badhata hai aur cancer se ladne mein bhi madad karta hai. Hari mirch mein vitamin C bharpur maatra mein hota hai jo bimariyo se bachaav karne mei upyogi hai.

    55. Naariyal khaane se yadasht badhti hai. Naariyal ke 1 tukde ke sath 5 badam, 1 akhroat ki giri aur aadha chamach mishri milakar rojana khane se memory achi hoti hai. Bacho ko rojana nariyal khilana chahiye isse unka dimagi vikas hota hai.

    56. Mishri aur moti saunf ko barabar maatra mein pees le aur subh sham 1-1 chammach paani ke sath le. In home remedies se aankho ki kamjoori door hoti hai aur roshni badhti hai.

    57. Aanto ki sujan door karne ke liye dahi ka sevan karne se labh milta hai. Aanto ki sujan ka treatment karne ke liye roti ka sevan kam kar de aur dahi jada khaye.

    58. Sardi jukam mein band naak ki shikayat hone par thodi si ajwaine pees kar baarike kapde mein baandh le aur thodi thodi der mein ise sunghne se naak khul jaati hai.

    59. Girte baalo ko rokne ke liye dahi bahut asardar gharelu nuskha hai. Dahi se baalo ko poshan milta hai. Iske liye baalo ko dhone se 30 minute pahle baalo mein dahi lagaye aur baalo ko dho le. 1 hafte mein 2 se 3 baar is upay ko karne se hairs sundar aur healthy hote hai.

    60. Nakhun (nails) par nimbu ke chilko ko ragdne se nakhun chamakdar hote hai, iske ilava kohni aur ghutno par nimbu ke chilke ragdne se unki kaalikh door hoti hai.

    61. Garam paani pine ki aadat daale. Isse wajan kam karne, blood circulation aur chehre ko healthy banaye rakhne mein fayda hota hai.

    62. Dant dard, masudho mein dard aur sujan ki samasya se nijaat paane ke liye ek glass paani mein 3 se 4 patte amrud ke ubaal le aur gunguna hone par chaan le fir namak milakar kula kare.

    63. Malaria ke treatment ke liye sabhi home remedies mein se ajwaine ka paryog karne se bukhar jaldi utarne lagta hai. Raat ko 1 gilass paani mein 2 chammach ajwaine bhigo kar rakhe aur subh ajwaine ko masalkar paanimko chaan kar piye. Is nuskhe ko 2-3 din tak karne se malaria bukhar mein aaram milta hai.

    64. Cancer jesi gambhir bimari mein haldi ka sevan bahut laabhkari hai. Haldi mein polyfenol curkumin hota hai jo cancer cells ko badhne se rokta hai.

    65. Dahi, besan aur thoda shahad mila kar ek leep bana le ab ise chehre aur gardan par aadha ghante ke liye lagaye fir chehre ko dho le. Is gharelu nuskhe ke istemaal se tavacha mein nikhaar aata hai aur rang khil uthata hai.

    66. Badi ilaychi ke daano ko pees kar subh shaam shahad ke sath chatne se gabhrahat aur ji ka machalna door hota hai. Isse pachan shakti badthi hai aur bhukh khul kar lagti hai.

    67. Agar aapko mal ke sath aanw aata hai to neem ki pattiyo ko dho kar chaaya mein sukha le aur pees kar churan bna le. Ab subh sham khane ke baad aadha chammach churan thande paani ke sath le. Is gharelu upay se mal mein aanw aana band ho jayega.

    68. Muh ki badboo ko dur karne ke liye har roj thoda sukha dhaniya chabaye.

    69. Haldi aur kale til brabar maatra mein mila kar pees le. Is paist ko aadhe ghante ke liye chehre par lga kar dho le. Hafte mein 3 bar ye upay karne se chehre ke daag dhabbe gayab ho jayenge.

    70. Adrak aur pudeena ka ras 1-1 chammach ki maatra mein le aur isme thoda sendha namak mila le. Ise pine se pet dard mein turant laabh milta hai.

    71. Chot lagne par agar khoon nikal rha ho to tulsi ke 15 se 20 patte pees kar shahad ke sath chat le, blood nikalna band ho jata hai.

    72. Agar aap ko jada neend aati hai to aadha litre paani mein 10 graam moti saunf daal kar ubaale jad paani ek chauthayi reh jaaye to isme sendha namak mila kar piye.

    73. Shahad ek ayurveda aushadhi hai jis mein antiseptic gun hote hai jo ghaav bharne aur ghaav ke nishaan saaf karne mein kargar hai.

    74. Neem aur pipal ki chaal barabar maatra mein le kar alag alag pees le. Ab 400 graam paani mein 1-1 chammach neem aur pipal ka churan milakar ubaal le aur jab paani 100 graam reh jaaye to use chaan le. Subh sham khana khane se pahle is paani ko pine se uria aur creatinin kam hota hai.

    75. Garmiyo ke mausam mein agar loo lag jaye to aadhe chammach pyaajj ke ras mein shahd mila kar turant pi jaye aur pyaas lagne par nimbu ki shikanji bna kar piye.

    76. Agar aapki aankho se paani nikalta hai to neem ke patto ko pees kar paist bna le, ab is paist ko aankhe band karke aankho ke upar lagaye aur patti bandh le. Is paryog ko rojana 1/2 se 1 ghante tak karne se kuch dino mein aankho se paani nikalna band ho jayega.

    77. Agar koi vyakti behosh ho jaye to tulsi ke ras mein thoda namak mila kar naak mein daale, isse behosh vyakti hosh mein aa jata hai.

    78. Laung ko halka bhun kar usko chuste rehne se khansi ka ilaaj karne mein fayda hita hai.

    79. Aalu ko beech se kaat kar chehre par ragadne se dead skin khatam ho jati hai aur iske sath sath naak aur chehre se blackheads bhi remove ho jate hai.

    80. Agar koi vyakti depression ka shikar hai to use kabhi akela na chode aur dhyaan rahe ki kahi vo depression ka ilaj karne ke liye kisi parkar ke drugs na lene lage, kyu,i hye drugs ilaj karne ki bajay is bimari ko badhava dete hai.

    81. Sharir par koi ghav (jakham) ho gya ho to aloe vera ke patto ka paryog kare is desi nuskhe se ghav jaldi thik hoga aur sujan bhi khatam ho jayegi.

    82. Body se free toxins bahar nikalne ho ya fir khoon ki kami ho giloy ke jiuce ka sevan karne se benefit milta hai.

    83. Agar body mein cholestrol badh gaya hai to ise control karne ke liye ankureet dale khaye.

    84. Haddi tutne par ise jodne ke liye sharir mein calcium banana bahut jaruri hai. Tuti haddi jodne ka upay karne ke liye calcium badhane wali cheejo ka sevan kare jese doodh aur doodh se bane products.

    85. Chote bacho ke pet mein aksar kide ho jate hai jiski wajah se pet dard, dast aur kharab pachan jesi samasya hone lagti hai. Pet ke kide marne ke liye pyaaj ka ras aadha chammach roj le.

    86. Periods mein hone wale dard ko kam karne ke liye garam paani ki bottle se pet ke niche wale hisse par kuch der sikayi kare, aesa karne se sharir se nikalne wali gandagi aasani se bahar aa jati hai aur dard kam hota hai. Mahwari ke samay paani adhik pine se bhi fayda milta hai.

    87. Sharir mein hemoglobin level kam ho to khoon badhane ke liye palak ka sevan karna utam upay hai. Palak mein sabhi parkar ke poshak tatav maujood hote hai. Palak ka soup, juice ya fir sabji bana kar kha sakte hai.

    88. Appendix ki wajah se pet dard ya fir pet ki koi pareshani ho to methi dane ka paryog kare. 1 glass paani mein 1 se 2 chamach methi dana daal kar ubaal le aur paani ko piye, is upay se appendix ke rog mein aaram milega.

    89. Gale mein sujan, khansi, dard, kharash ua koi infection ho gya ho to kachi haldi ka 1/2 chammach ras gale mein dale aur ras  ko laar ke sath gale ke niche jane de. Ye ayurvedic upchar tonsils ke treatment bhi asardar hai.

    90. Masudo mein sujan ho ya payriya namak mein thodi si haldi aur kuch bunde sarso ke tel ki mila kar masudo ki malish kare. Is nuskhe se danto se khoon nikalna band hoga aur muh ke rog khatam honge.

    91. Typhoid bukhar ho to thodi thodi der mein pyaj ke ras ka sevan kare, isse bukhar utarne lagega aur agar kabz ki pareshani ho to usse bhi relief milega.

    92. Oily skin ka ilaj karne ke liye dahi ka paryog kar sakte hai, dahi chehre se oil sokh leti hai. 15 minute ke liye dahi ko face par lgane ke bad dho le. Agar skin dry ho to nahane se kuch samay par skin par sarso ka tel lagaye aur agar aap sawlepan ka ilaj chahte hai to doodh ki malayi mein thodi haldi mila kar face  par lagaye, isse chehra saaf hone lagega aur rang gora hoga.

    93. Pet ka fat kam karna ho ya puri body ka weight loss, jeera paani ka paryog asardar hai. Raat ko sone se kuch der pahle 1 chammach jeera 1 glass pani mein bhigo de aur subh paani mein se jeera nikal le aur chba chba ke khaye aur paani ko gunguna kar le fir aadha nimbu ka ras daal kar chai ki tarah piye. Ye upay teji si sharir ki charbi aur motapa kam karta hai.

    94. Peshab mein dard, jalan ya urine infection ho gya ho, 1 glass paani mein ek nimbu nichod kar piye. Is upay ko din mein 2 se 3 bar karne par urine aur bladder se judi pareshaniyo mein aaram milta hai.

    95. Jaldi waan badhana ho to 5 se 6 sukhi anjeer aur 20 se 25 graam kishmish raat ko pani mein bhigo de aur subh khaye. Agar ek bar mein sab na khaya jaye to 2 baar mein khaye.

    96. Chikungunya ka ilaj ke liye raiv dixit ki tulsi, neem wali giloy, thodi si choti pipar aur saunth ko paani mein ubaal kar kadha bna le aur chaan kar gunguna piye. Is nuskhe ko dengu bukhar ke upchar mein bhi paryog kar sakte hai.

    97. Gathiya rog hone ka sabse bada karan sharir mein calcium ki kani hona hai, paneer ka sevan is rog se grast patients ke liye utam upay hai. Paneer mein calcim ke sath sath protein, vitamins aur minerals bhi pryapt matra mein hote hai jo gathiya ke ilaj mein upyogi hai. Iske sath sath paneer khane se body ki immunity badhti hai.

    98. Agar sharir mein kahi chot lagi hai aur sujan aa gyi hai to sendhe namak ki potli bna kar aur ise taave par garam kar ke sikayi kare.

    99. Aadha sir dard ke ilaj ke liye sir ke jis taraf dard ho rha ho usi side ki naak mein 3 se 4 boondesarso ke tel ki dalne se dard se chutkara milega.

    100. 3 se 4 badam ki giri raat ko sone se pahle paani mein bhogo kar rakhe aur subah iska chilka utar kar makhan aur mishri ke sath khane se low blood pressure thik hota hai.

    Rajiv dixit ki tarah ab baba ramdev natural home remedies aur yoga ke bare mein logo ko jaagruk kar rahe hai. Vese to gharelu nuskhe se upchar se kisi parkar ka nuksaan nahi hota fir bhi hum aapko yahi salah dete hai ki kisi bhi gharelu upay ko shuru karne se pahle kisi ayurveda vaid ya apne doctor se salah jarur kar le.

    और पढ़े-

    Dosto Rajiv Dixit ke Gharelu Nuskhe: Home Remedies in Hindi ka ye leekh kesa lga hame comment karke bataye aur agar aap ke pass kisi desi aur ayurvedic tarike se upchar ke koi sujhaav ya anubhaav ho to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    46 COMMENTS

    1. My daughter is 7 years old. She is getting black till on her face and body… really worried..is there any remedy?? Please help

    2. M 33year old last 4yesr im suffering from grahni (ibs) . Pain in stomach, constipation, accidity, vomiting, heartburn, weight lose, etc. Problem koi iss problem ko solve kar sakta hai

    3. I am a female of 44years suffering with cervical spondylosis with vertigo and dizziness. Doctor says I have c4toc7disk herniation as and bulging. Having allopathic treatment for last 11months. Very much worried please guide.

    4. Sir me sham ko khana khata eske baad acid banta he aur fir sardi khashi dama jesa ban jata he me kya karu plz i am vary sad.

    5. Mere ko sardi se chronic allergic rhinitis and sinusitis rahata he 20 salo de,naak band ho jata he thodi si thandi hawa / thandi chije khane se.kripaya upaye bataye

    6. sir mera naam prdeepmeri age 21 year but sir pata nhi hart main kya problem h dhode dpresan se hrt beat feel hoone lag jaati h pet. main acidity rehti h pentaprajole domiprajole Khali pet rojana khata hu lekin maine jaipur heart ki ECG karvaye to doctor bol rahe h heart to sahi kaam kr raha h thoda sa bp bada hua h kya karu kahi heart disease name ho jaye kuch pay batao liver ke sgpt or sgot bade huye h sir koi pay batao ink thee Karen k

      • प्रदीप आप ब्लड प्रेशर कंट्रोल करने के उपाय करे आपकी परेशानी कम होने लगेगी और अगर फिर भी फर्क न दिखे तो दूसरे डॉक्टर या आयुर्वेदिक चिकित्सक से मिलकर सलाह ले.

    7. Sir namaste maine colon ke ander 3bar opration karchuka hai bar bar ek meat badjaraha hai dr.ka kehna hai ki eh polytomy hai.tumor nahi ki cencer v nahi hai. Fir mai kya karu. Abhi v bleeding ho raha hai.pl.help me sir

    8. Respected sir, main Rajiv dixit g ka bada fan noon sir muje acha lagtA hai apki health tips padkar but sir mujhe safed dag ki samsya hai bahut treatment kiya hai PR koi aaram nhi hua plz sir guid me iska illaj bataye

    9. Ram Ram sir ji mera name arjun choudhary hai me rajasthan ka rahne wala hun .meri mataji ki age lagbhag 45 year hai unka problem yeh ki ghutane, hath me dard hota hai jo 5-6 sal se hai yeh gathiya rog(गठिया वादी) hai uska koi ilaj bataye please दवाई लेते है तो ठीक होता है नही तो दर्द होता हैं

    10. i m 43 years old, i m working lady, i m ok during the day in office, when i free after office, i feel uneasy [too much ghabrahat] and than increase my BP. i alwasy measure my BP, average daily BP is 130/95. please suggest

    11. sir apke ye upchar bahut ache hai lekin meri yek samsya hai ki mere bhai ke peth me har subhay pain hota hai eska ilaj batai

    12. Please sir meri dadi ma ke ghutano me dard h bahut treatment liya lekin abhi tak koi fayada nhi huaa. Plz koi gharelu nuskha bataye jisse unka dard thik ho sake

    13. Mere face par pimple the maine unhe fod diya sara muh pimple se bhar gya mere ghar shadi hai 1 hafte bad koi aram n aa rha please kuch help kare m meri di ki shadi hai please

    14. Sir Rajeev g dwara bataya gaya upay
      Long ke tel ki do boonde ek chamach garm Pani ke sath
      Kon sa samay uchit rahega…
      Subah Khali pet ya koi or time

    15. Sir liver sahi kaise Kare Mera kamjor ho gya hai khane mai pacha Nai pata hu pet saaf Nai hota constipation b hai Kuch b khata hu kitna b khata hu body ko lagta Nai hai

    16. Meri age 24 h mera tb ka ilaj chl rha h but course ko dwa krane k baad b muje aram nhi mil rha h ,muje kbhi kbhi fever seene m dard aur ab to mere pair m bht dard hota h jiski vjh s muje uthne bathne m bht dikkat hoti h mera blood leval 8 k pass h m bht week ho gai hu plz kuch batye

    17. mujhe sir back spine mein tuber cluses hai, meri six month se medicine chal bhi rahi h kya main daily chune ka upyog khane main kar sakti hu.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles