आज से बीस साल पहले जब डॉक्टरों की कमी थी तब ज्यादातर बीमारियों का इलाज घर पर ही किया जाता था। अगर आप भी दादी मां के इन पांच नुस्खे के बारे में जान जाते हैं तो आपको कभी डॉक्टर की जरूरत नहीं पड़ेगी। दादी मां के इन पांच नुस्खे के बारे में जनने के लिए इस आर्टिकल को अंत तक पढ़ें।
Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay in Hindi: Purane jamane mein doctor nhi vedh hua karte the aur vo kisi bimari ke liye kabhi allopathy dawa (medicine) nhi dete the. Tab hakim vedh ayurvedic upchar ka istemal kiya karte the. Log ghar mein istemaal hone wali chejo se hi apni bimariyo ka ilaj kar lete the jiske koi side effects nhi hote aur ilaj bhi sasta aur asardar hota hai iske sath sath ye desi nuskhe aur gharelu upay jo ki ayurveda se prerit hote hai karne me bhi aasan hote hai.
Saalo se apnayi jane wale gharelu nuskho(Home Remedies) ka paryog aap aasani se kar sakte hai. Desi gharelu nuskho ka istemaal sirf bimariyo mein hi nhi balki achi sehat ke liye bhi kiya jata hai. Rang ko gora karne se lekar balo ko sundar banane tak ke liye desi gharelu upay apnaye jate hai. Is leekh mein hum aap se dadi maa ke gharelu nuskhe aur desi gharelu upchar share kar rhe hai.
Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe
Home Remedies in Hindi
1. Ek gram sukha dhaniya, 1 gram sarpgandha, 2 gram mishri mein pees kar taaja paani ke sath khane se high blood pressure control ho jata hai. High blood pressure control karne ke gharelu nuskhe.
2. Balo ke girne ya tutne par sir mein nimbu ke ras mein nariyal ka tail mila kar halke haatho se sir ki maalish karne se baal jhadne band ho jayenge. Sath hi baal mulayam ho jayenge aur sir se dandruf bhi nikal jayegi.
3. Agar kaan me kida chla jaye to kaan me sarso ka tail bhar de. Kida bahar aa jayega.
4. Aankh me machar chla gya ho to ulte paanv piche chalna shuru kar de. Machar nikal jayega.
5. Daad par kachhe papite ka ras lagane se daad aur khujli kuch hi dino mein thik hone lagenge.
6. Agar body ka koi ang jal jaye to us par taarpin ka tail lagane se jalan kam ho jaati hai.
7. Gulukand khane se acidity me fayda hota hai. Acidity aur Pet mein Jalan ka ilaj.
8. 2 gram bhuni hui fitkari raat ko muh mein rakh kar sone se 3-4 mahine me tutlahat kam hone lagti hai.
9. Patharchatta ka 1 patta pees le aur sath mein 4 dane mishri bhi pees kar 1 cup paani ke sath khali pet piye. Pathri ka ilaaj Gharelu Nuskhe.
10. Garam doodh mein haldi daal kar peene se purani khansi thik ho jati hai.
11. Bacho ko dast lagne par thande paani mein jeyfal pees kar subh sham de.
12. Hotho par kacha doodh lagane se hotho ka kalapan door hoga.
13. Dil ki dhadkan badh jane par seb ka muraba subh khane se fayda hota hai.
14. Face par jhaiya hone par taarpin ka tail lga kar kuch der baad dho le. 30 Minute Me Apne Chehre ko Nikhare.
15. Bramhi ki patto ko pees kar subh shaam doodh ke sath lene se swapan dosh thik hota hai aur peshab bhi khool kar aata hai. Jane Swapandosh Rokne ke Upay.
16. Naak mein koi cheej fas jaye to tambacoo pees kar sunghne se chink ke sath vo chej bhi bahr aa jati hai.
17. Agar bacha raat mein bistar par peshab karta hai to ek akhrot ki giri aur kishmish raat ko sone se phle 10 din tak khilaye ya ek sukha chwara subh khali pet de.
18. Papite ki jad 6 gram pees kar 10 gram paani me ghol kar chaan le. Iss paani ko roj peene se pathri 2 din me gal kar bahar aa jayegi.
19. Santre ke ras mein namak aur kaali mirch daal kar har roj peene se najar ki kamjori door ho jati hai.
20. Face Se Daag Dhabe (Pimples) Door Karne Ke Gharelu Nuskhe In Hindi.
21. Ek gilass mithe doodh mein 5 gram beelgiri ka churan mila kar peene se khoon badhta hai aur body mein khoon ki kami door hone lagti hai.
22. Raat ko sone se phle kaali mirch pees kar muhanso par lgane se muhase thik ho jate hai.
23. Agar galti se kisi ne kaanch khaa liya ho to use uble hue aaloo khilao.
24. Hichki band na ho to pudeene ke patte ya nimbu ka ras chusiye.
25. Chote bacho ko hone wale hare peele dast mein maa ke doodh mein jayfal ghees kar dene se fayda hota hai.
26. Khooni bavaaseer mein khoon ko rokne ke liye 10-12 gram dhule hue kaale til ko taaja makkhan ke sath le. Ise lene se bhi bawaseer mein khoon aana band ho jata hai. Bawasir ke ilaaj ke gharelu nuskhe aur upay.
27. Pilli mitti ko pees kar paani ke sath leep bna kar pedu par lagane se peshaab khool kar aata hai.
28. Bacho ki saans chalne, pasli mein dard hone par sarso ke tail ko halka garm kar ke paan ke patte par lgaye aur dard wali jagah par bandhe.
29. Aanar ke chilke ko pees kar paani ke sath lene se swapan dosh thik hota hai.
30. Nimbu ke ras me ek jayfal ghees kar lene se dast khool kar hota hai.
31. Tamatar ke ras ko chehre par lagane se face ke daag dhabbe door hone lagte hai.
32. Peet mein kisi bhi tarah ka jehar chla gya ho to 1 gram rayi ka churan paani me ghol kar peene se ulti dwara jehar bahar aa jata hai.
33. Neem aur beer ke patte pees kar sir mein ragdne se kuch der baad dhone se baal lambe aur sunder hote hai. Baal sundar banane ke gharelu nuskhe.
34. Gulaab ke itar ki 1-2 boond kaan(ear) me dalne se kaan ka dard door hata hai.
35. Aankh ki funsi par loong ghees kar lagane se funsi dab jati hai.
36. Kache aam ke chilko ka kadha bana kar rakh le. Peeth me kide hone par do din tak 1 chamach peene se pet ke kide mar jaate hai.
37. Karele ke juice ko subh subh khaali pet peena chahiye. Sab se pehle do se teen karele ke beej nikaal de aur unka ras nikale. Fir usme thoda paani dale aur piye. Kam se kam 2 mahine tak ye juice subh khaali pet piye. Sugar Kam Karne Ke Gharelu Nuskhe.
38. 3 gram kalonji pees kar 1 gram makhan me mila kar chatne se hichki door ho jati hai.
39. Ek maasha khadiya mitti subh sham khane se pit ka nikalna ruk jata hai.
40. Aag se jal jaane par uss jagah par shahad lagane se fafole nhi nikalte.
41. Adrak ka ras aur shahad mila kar lagane se daant ka dard thik hota hai. Daant Dard Ka Ilaj 5 Minute Mein.
42. Pet ki charbi aur motapa kam karne ke liye har roj subh uthte hi khaali pet 1 glass gungune paani me 1 nimbu nichod kar piye aur din me ek bar nimbu ki chai piye. Motapa Kam Karne ke Gharelu Nuskhe Aur Upay.
43. Subh shoch jane se phle taanbe ke bartan me rakha hua raat ka baasi paani rojana piya jaye to kabj door hoti hai aur swapan dosh mein bhi fayda hota hai.
44. Roj subh kisi cheej ko pakad kar kuch der latakne se kad lamba hota. Kam se kam 1 saal tak ise rojana karna chahiye. Height Badhane Ke 10 Aasaan Tarike.
45. Machli ka kaanta agar gale me fans jaye to kela khana chahiye.
46. Hara dhaniya pees kar uska paani nichod kar peene se ulti ruk jati hai.
47. Asli shahad 50 gram aur dahi 100 gram mila kar roj subh khane se sehat banti hai aur sharer mein motapa aata hai. Isse ek saal tak lagatar kare. Isse dimag ki kamjori door hoti hai, face ke pimples door hote hai aur chehre ka rang saaf hota hai. Weight Badhane Ke Gharelu Nuskhe.
48. Loong ka ubla hua paani peene se bar bar lagne wali pyaas kam ho jati hai.
49. Agar bache ko peeshab na aaye to 6 gram kalmi shora thode paani mein ghole aur usme ek ruyi bhigo kar bache ke msane par rakh de. 5 minute baad bacha peshab kar dega.
50. Mor ke pank bache ke gale mein bandhne se bache ka daant chbana band hota hai aur bacha raat ko darta nhi.
51. Aam ki lakdi ka koyla barik pees 100 gram, 10 gram lahori namak, 10 gram ilaychi ka tail le aur sab ko mila kar shishi mein bhar kar rakh le. Ise ek baar daanto par lgane se daant safed hone lagte hai. Peele Dant Safed Kaise Kare.
52. D.D.T powder ko paani mein gholkar charpaiyo me dalne se khatmal mar jate hai.
53. Hazme ke liye churan – Ajwayen, kaali mirch, namak lahori, sonth, jeera-safed, moti ilaychi, dhaniya, pudeena, nosadar aur kala namak. Ye sab 10-10 gram le aur 3 gram loong le. Sab ko mila kar barik pees le. Har roj 3 gram paani ke saath lene se pet ki gas pet ka dard thik hta hai aur khana thik se hazam hota hai. Pet Mein Gas Ka Upchaar.
54. Piyeria ka gharelu ilaaj – Pilli patti wala tambacoo 100 gram le aur taave par daal kar halki aag par chamach se hilate rhe. Jab dhua nikalna band ho jaye to taave se hata baarik pees le. 15 gram lahori namak aur 5 gram kaali mirch mila kar pees le. Rojana isse apne daato par malne se khoona aana band ho jata hai. Har roj wheatgrass juice peene se bhi piyeria ki problem se rahat milti hai.
55. Face sunder bnao – Gajar ka ras, tamatar ka ras aur chukundar ka ras mila kar rojana 1 gilass 2 mahine tak peene se jhaiya, daag, muhanse door hote hai aur chehra sunder aur saaf hone lagta hai. Rang gora karne ke gharelu nuskhe.
56. Height Increase Tips in Hindi – Kabhi bhi jhuk kar na baithe aur na hi jhuk kar chale. Chalte aur baithte samay apni kamar ko seedha rakhe. Sahi tarike se bethana aur chalna lambayi badhane ke liye sab se jaruri hai. Janiye Height Kaise Badhaye.
57. Dengu Bukhar Ka Ramban Upchar – 1 gilaas paani mein thodi si giloy ko pees le aur usme 5-6 pattiya tulsi ki mila kar ubaal le aur ek kadha bana kar piye. Iske sath 3 chamacah aloevera ka ras paani mein mila kar har roj piye to kabhi koi bimari nhi hogi, isme papite ke 3-4 patto ka ras mila kar din me 3 se 4 baar peene se platelet ki matra jaldi se badhti hai. Ye dava dengu, swine flu aur chikanguniya me raambaan ka kam karti hai.Dengu Bukhar Mein Kya Kare.
58. Ganjapan se chutkara pane ke liye 5 chamach dahi mein 1 chammach nembu ka ras aur 2 chamach kaale chane ka paudar mila kar ise 1 ghante tak sir par laga kar rakhe. Fir uske baad sir dho le. Ise hafte mein 2 se 3 baar kare. Ganjapan Kaise Door Kare.
59. Ghutno aur jodo ka dard hone par Ashvagandha, aamalaki aur shataavari ka churan ache se mila le aur har roj subah paani ke saath le. Isse dard mein fayda milta hai, jodo ko majabooti milti hai aur agar gathiya(arthritis) ki shikayat ho to vo bhi thik hota hai. Gathiya Ka Desi Ilaj.
60. Sardi jukam mein turant aaraam ke liye din mein 2 bar shahad ke saath adarak khaye.
61. Garbhwati mahilao ke liye dadi maa ke best pregnancy care tips.
62. Agar aapko bhukh kam lagti hai to pakka hua tamatar kacha hi khaye. Bhukh badhane ke upay.
63. Agar aapke shahar ya ghar ke aaspass swine flu ki bimari badh rahi hai to apne vghar aur office ko swine flu se surakshit rakhne ke upay jarur kare. Swine flu se dur rahane ke upay.
64. Agar kisi ko lakwa(paralysis) ka attack pade to use turant 50-100 garam til ka tel halka garam kar ke pilaye aur lahasun chabane ko de. Lakwa ka Desi ilaj.
65. Mota hone aur vajan badhane ke liye diet plan ke sath excersises aur yoga rojana kare. Jane 1 mahine mein Vajan badhane ke upay hindi mein.
66. Kaale hooth(lips) gulabi karne ke liye makhan mein kesar milakar har roj hootho par lagaye. Hootho ki dekhbhaal ke liye ye gharelu nuskhe bhut asardar hai.
67. Agar motapa kam karna chahte hai to apni diet mein mirach, green tea, dry fruits, haldi shaamil kare. Jane aur kon se foods hai jinhe apne diet chart mein shaamil karke aap apna wajan 30 din mein kam kar sakte hai. 15 Weight loss food.
68. Dil ki bimariyo ka ilaj gharelu nuskhe se karne ke liye 40 gram awale ke ras mein 20 gram gajar ka ras milakar piye. Is upay se blood pressure bhi control hota hai.
69. Chehre se til aur masse saaf karne ke liye rojana aloevera gel ka sevan kare. Face se til aur masse nikalne ke gharelu nuskhe.
70. Pet mein kide hone par lassi mein ajwaine ka churan mila kar piye, isse pet ke kide mar jayenge.
71. Agar kisi ko migraine ki bimari ho to use adha sir dard hota hai jo sehan ke bahar ho jata hai, migraine mein sir ke jiss hisse mein jada dard ho us taraf ki naak mein gaay ka shudh desi ghee daalne se fayda hota hai. Jane migraine ke ilaj ke liye dadi maa ke gharelu nuskhe.
72. Khansi aur cough ka upchaar home remedies se karne ke liye ajwaine ki bhaap(steam) le.
73. Gardan(neck), cervical ke dard mein ek potali mein ajwaine daal kar use taave par garam kare fir gardan par seek kare. Neck pain ke treatment ke gharelu upay.
74. Kala piliya(jaundice) ke upchaar ke liye mulli ke patto ka ras nikal kar piye. Piliya ka Desi ilaj.
75.Rojana khana khane ke baad thoda sa gud khane se kai tarah ki bimariya door hoti hai.
76. Dil ki bimariyo(heart problem) se bache rehne ke liye apne khane ko refined tel ki bajay sarso ke tel mein banaye. Dil ki bimariyo se bachne ke upay.
77. Jodo ka dard door karne ke liye lehsun ke tel mein hing aur ajwain mila kar paka le aur jodo ki maalis kare.
78. Wheatgrass juice jise hum gehu ka jvara bhi kehte hai, cancer se bachaav aur upchaar mein kafi faydemand ayurvedic nuskha hai. Cancer se Bachaav aur ilaj ke Upay.
79. Gale ka infection ya gale ki koi bimari ka ilaj karne ke liye shahad ka sevan kare.
80. Heart attack se dur rehne ke liye lauki ka juice piye aur lauki ki sabji khaye. Baba ramdev aur rajiv dixit ke bataye hue ayurveda se dil ke daure ka ilaj.
81. Amla ke ras mein shahad mila kar chatne se aankho ki roshani badhti hai.
82. Munh(mouth) se saans ki badboo aane par neem, kikar ya babul ke datun se daanto aur masudo ki safayi kare. Muh ki badboo dur karne ke gharelu upay.
83. Chamdi ke rog(skin diseases) ke treatment ke liye ajwain pees kar ek gaadha leep bana le aur skin par lagaye.
84. Nimbu ki chay(lemon tea) peene se kabz, pet ki gas aur motapa jesi samasyao se nijaat milti hai. Health Benefits of Lemon Tea in Hindi.
85. Aajkal chote bacho ki aankho par chashma lag jaata hai, aankho ki roshni tej karne ke liye akhroat ke tel se aankho ke aas pass massage kare. Is nuskhe ko aajmane se aankho ke sanraman door hote hai aur aankho ki khujli khtam hoti hai. Najar Tej karne ke Upay.
86. Har roj subh shaam ek gilass paani mein 1 chamacg seb ka sirka aur1 chamacha shahar mila kar peene se liver(jigar) ki kamjoori aur garmi dur hoti hai. Liver ko takat dene mein ye upay raambaan ka kaam karta hai. Liver ki sujan thik karne ke upay hindi mein.
87. Foode aur funsi ke ilaj ke liye ajwaine pees kar usme nimbu ka ras mila kar lagaye.
88. Chehre se kil muahnse aur pimples hatane ki liye neem ki pattiyo ko pani mein ubaal kar paani se chehre ko dhoye aur pattiyo ko pees kar ek lep bnaye aur apne chehre par lagaye. Chehre se Pimples hatane ke Gharelu Upay.
89. Per ki bimariyo se bachne aur ilaaj ke liye mulli par kala namak aur pisi hui kaoli mirch daal kar khaye.
90. Garmi mein sir dard hone par nariyal tel sir sir ki malish kare, isse sir ko thandak milegi jisse sir ke dard mein aaram milne lagega. Sir Dard ke Upchar ke Dadi Maa ke Nuskhe.
91. Aam ke patto ko pees kar ras nikal le aur halka garam kar le. Ab is ras ki 2 se 3 boonde kaan mein daale, aapki kaan dard mein foran aaram milega. Kaan Dard ka Aasan Upay.
92. Aankho mein koi infection ya fir koi sujan ho jaaye to ek catori paani me ek chammach seb ka sirka daal kar rui se aankhe saaf kare. Aankho ke Rogo ka Aasan aur Safal ilaj.
93. Pregnant women ko Normal delivery ke liye chalna firna bahut jaruri hai aur shaaririk roop se active rehna chahiye. Pregnancy Tips For Normal Delivery in Hindi.
94. Kamar dard, slip disc hone par 1/2 chammach googal gram paani ke sath din mein 2 baar le. Googal back pain se chutkara pane ka accha upay hai. Back Pain Home Remedies in Hindi.
95. Garmi se bachne ke liye Kheere ka Paani, Aam ka Panna aur Mattha ya Lassi ya Chaach (Butter Milk) ka sevan kare. Garmi Se Bachne Ke Upay.
96. Pregnant mahila ko shareer ki maaspeshiya majboot rakhne ke liye exercise, yoga aur niyamit vyayam karna jaruri hai. Isse delivery ke time bache ko pusk karne me fayda milta hai. Pregnancy Mein Baba Ramdev ke 3 Aasan Yoga Tips.
97. Bhindi mein antioxident ki maatra adhik hoti hai aur ye cancer se bachav ke liye bahut upyogi hai. Bhindi body mein cancer ki koshikao ko badhne se rokti hai.
98. Agar aap bina exercise kiye motapa kam karne ke upay karna chahte hai to green coffee ka sevan kare. Isse 1 mahine me 2 se 3 killo vajan kam kar sakenge. Green Coffee se Weight Loss ke Upay.
99. Agar aapko raat mein neend nahi aati to sone se pahle 1 glass garam doodh mein shahad mila kar piye isse anidra ka rog dur hoga. Insomnia se bachne ke upay karne bhi bahut jaruri hai isliye sone se pahle chay ya coffee ka sevan na kare.
100. Gurde (Kidney) ki bimariyo se bachne aur kidney ke upay karne ke liye har ek ghante mein paani piye. Paani pine se kidney mein maujood vishale pdarath bahar nikal jate hai. Aap nimbu paani bhi pi sakte hai isse body ko vitamine C bhi milega.
101. Malaria bukhar ke treatment ke liye nimbu garam paani mein nichod kar pine se benefit milta hai. Jane Malaria ka Ayurvedic ilaj.
102. Gas, jodo ka dard aur sharir ke tutne par giloy ke 1 chammach churan ko ghee ke sath lena chahiye.
103. Typhoid aur viral fever (Bukhar) ke ilaaj ke liye baba ramdev ki ayurvedic medicine lene se bhi aaram milta hai. Jane Viral Fever ka ilaj.
104. Agar aapko yatra karte samay ulti aati hai to yatra shuru karne se pahle 1 chammach adarak aur 1 chammach pyaaj ka ras mila kar piye.
105. Swapandosh (Nightfall) ke side effect se bachne aur swapandosh rokne ke liye rojana lehsun ki 2 kalliya lene se fayda milega. Jane Nightfall treatment in hindi.
106. Body ko healthy, fit aur active rakhne ke liye rojana subh khali pet yoga kare. Yoga shareer ko andar aur bahar dono aur se swasth rakhta hai. Health diseases aur health care ke liye daily yoga karna sab se utam hai. Jane Yoga karne ke fayde aur yoga kaise kare.
107. Gunguna paani pine se gas aur kabz jesi bimariya door hoti hai aur bhukh bhi badhti hai. Garam paani pine se shareer ke hanikarak padarath bahar nikal jate hai aur blood circulation thik rehta hai.
108. Bhukh kam karne ke liye dadi maa ke nuskhe kehte hai ki aap khane mein hari aur kali mirch ka sevan kare. Mirch bhukkh kam karti hai aur isse motapa kam karne ke upay bhi ho jate hai.
109. Man ko kabu karne aur dimag ko shant rakhne ke liye subh kuch samay meditation kare aur yoga mein pranayam kare. Kuch din mein hi aapko acha feel hone lagega.
110. Agar aap ko neend nahi aane ki problem ho rahi hai to ye bhi ho sakta hai ki aap kisi tension ki wajah se na so pa rhe ho ya fir anidra ka rog hua ho. Dono hi conditions mein aap neend aane ke upay kar sakte hai.
111. Mardana kamjori ho ya napunsakta, iska ilaj ayurveda se karne ke liye 1 cahmmach shahad mein 1 chammach aawla churan aur 2 chammach aawle ka ras mila kar din mein 2 bar le. Is nuskhe se yonshakti badhti hai aur napunsakta ka upchar karne mein madad milti hai.
112. Dimag tej karne aur yaddasht badhane ke liye raat ki bhigi hui daal ka paste bna kar isme mishri mila de aur doodh ke sath khaye. Jin students ko mpadhai mein yaad karne mein problem hoti hai unhe ye upay rojana karna chahiye.
113. Jada tanav ke karan agar koi vyakti depression mein aa gya ho to use kabhi akela na chode aur koi bhi dawa bina doctor ki salah ke na de.
114. Thyroid ka ilaj gharelu tarike se karne ke liye hara dhaniya pees kar chatni banaye aur ek chammach chatni ek gilass paani mein mila kar piye.
115. Tulsi ke patte pees kar shahad ke sath khane se asthma ke treatment mein fayda milta hai.
116. Sharir ko swasth aur sehatmand rakhna ho to jjaruri hai body ko detox karne wale food khaye aur adhik paani piye.
117. Koi chot lag gyi ho aur ghav ho gya ho to use pahle gomutra se saaf kare aur uske baad haldi ka lep lagaye. Haldi mein antiseptic gun hote hai jo jakham ko jaldi bharne mein madad karte hai.
118. Tuti haddi jaldi jodne ke liye jaruri hai sharir mein calcium banta rahe. Calcium badhane ke liye doodh piye, doodh se bani chije khaye aur hari sabjiyo ka sevan kare.
119. Cholesterol kam karne ke liye dadi maa ke nuskhe kehte hai ki ankurit ki hui daale khaye.
120. Pet ke kide marne matlab krimi rog ka gharelu treatment karna ho to 1/2 chamach haldi ko tave par bhun kar sone se pahle khaye. Chote bacho ke pet mein keede ho to unhe pyaaj ka ras pilaye.
121. Kidney (gurde) ki bimariyo se bachne ke liye baking soda ka sevan kafi upyogi hai, isse khoon mein hone wali amalta (acidity) khatam hoti hai jo kidney ki bimariyo ki ek badi waah hai.
122. Masik dharam jise hum periods bhi kehte hai, isme mahilayo ko kafi dard jhelna padta hai, periods mein hone wale dard ko kam karne ke liye haldi wala doodh pine se aaram milta hai. Haldi ke sevan se sharir mein garmi aane lagti hai jisse mahwari mein hone wale pain mein relief milta hai.
123. Do chammach methi daana 1 glass pani mein daal ke ubaal le aur chan kar gunguna pine se appendix mein hone wale dard aur suan mein aaram milta hai.
124. Gale (throat) mein tonsils, khansi, kharash ya koi infection hua ho to iska ramban ilaj hai kachi haldi. Gale ki koi bhi pareshani ho 1/2 chammach kachi haldi ka ras gale mein dale aur kuch der muh band rakhe. Muh ki laar ke sath ye ras gale se niche chla jayega aur kuch der mein hi aaram milne lagega. Agar aap ko tonsils hue hai aur aap operation nahi karwana chahte to ye upay kar ke dekhe.
125. High uric acid control karne ke liye aawle ke ras mein thoda aloevera juice mila kar sevan kare. Nariyal paani ka sevan bhi uric acid ko kam karne mein asardar hai.
126. Bargad ki chaal 10 graam, 2 graam kali mirch aur thoda katha mila kar barik pees le aur powder bana le. Is powder se danto ko manjan karne se danto ka hilna, danto mein sadan aur badbu dur hoti hai aur dant safed hote hai. Dadi maa ke gharelu nuskhe ke is paryog se teeths ki bimariyo se bache reh sakte hai.
127. Hamare sharir ko hone wali adhiktar bimariya pet se shuru hoti hai jese pet mein kide hona, gas, acidity, kabz aur pet mein jalan. In sab mein sabse jaruri hai ki kabz (constipation) se door rahe aur pet saaf rahe, isliye aesi diet le jisse aap kabz se bache rahe.
128. Hichki rokne ke liye 10 graam raayi ko 1 glass paani mein ubaal kar ise chaan le aur gunguna rehne par piye.
129. Bawaseer ke masse par raayi ka tel nirantar paryog karne se masse murjhane lagte hai.
130. Mahilao ke dhele stano (breast) par bargad ki chaal ke barike resho ko pees kar uska lep bna le aur rojana raat ko sone se pahle is lep se apne stano par malish kare. Is ayurvedic tarike ke nirantar paryog se kuch hafto mein breast ka dhelapan door hota hai.
Ayurvedic Upchar Mein Kuch Jaruri Baate
- Baasi maas na khaye.
- Budhi aaurat ke sath sehwaas na kare.
- Garbhwati aurat ke sath sehwaas na kare.
- Raat ko faal na khaye.
- Suray ki aur muh kar ke peshaab na kare.
- Khana khate samay ghussa na kare.
- Dahi aur muli ek sath na khaye.
- Looki aur udad ki daal ek sath na khaye.
- Machli aur doodh ek sath na khaye.
- Bachho ke samne ashlil baate na kare.
- Roog aur dushman ko chota na samjhe.
- Subh jaldi uthna chahiye, jaldi uthne se sharer aur dimag dono swasth rehte hai aur umar lambi hoti hai.
- Subh sham ghumne jarure jaye. Ghumne se sharir ki kasrat hoti hai.
- Khana samay par hi khaye aur Bhukh se thoda kam hi khaye.
- Bhojan me jada tar hari sabjiya aur daalo ka paryog kare.
- Kabz se bache kyuki Kabz hone se pachan shakti kam hoti hai.
- Taale hue bhojan se bache ye deer se pachte hai.
- Garam doodh, chaye ya coffee pee kar turant na soyie.
Jaaniye
Dosto aap ko Desi Gharelu Nuskhe – Home Remedies in Hindi ka ye lekh kaisa laga hame jarur btaye aur sath hi apne anubhav bhi hamare sath share kare. Aur agar aap ke pass bhi dadi maa ke gharelu nuskhe aur ayurvedic upay hai to yha hmare sath share kare, aapke dawara di gayi jankari se auro ko bhi madad mil sakti hai.
Hello Mera face per brown spot hai. Like til… Ishe clear karna k upay bataye
Dost aap is upay ke liye niche link par click kare aur til, masse aur dark spot hatane ka pura leekh padhe.
http://sehatdoctor.com/face-se-masse-aur-til-hatane-ke-upay-in-hindi/
Amla ke churan m tulsi k beej ka use kre daily khaya kre nirogi rahenge sat sat naman tat sat hare ram ram sanvare sabhi kaaam
Your blog is really good…..
My problem is ki main chahta hoon ki subah uthe hi fresh ho jau…..but aisa hota nhi….mere fresh hone ka koi fix time hi nhi…. so what I have to do? ?
Thanks Aaron, So nice of you
Aaron ye problem 2 wajah se hoti hai. Ya to hamare khane peene ki aadte galat hai, ya fir hamari pachan kirya kamjoor ho aur pet se judi koi bimari ho. Agar aap ko pet se judi koi diseases hai to sabse pahle iska treatment kare. Aur agar aapka lifestyle busy hai aur khane peene ka koi niyamit samay nahi to aapko isme sudhar karna hoga. Iske ilava raat ko sone se pahle tambe ke jug mein paani bhar kar rakhe aur agle din subh khaali pet 3 se 4 glass paani piye. Ye upay niyamit roop se karne par kai parkar ki health diseases ka solution milta hai aur pet ki pachan shakti bhi badhti hai.
Pet ki bimariyo ke ilaj ke liye ye sab articles padhe. >> http://sehatdoctor.com/topics/pet/
Ere muh pe oily bhab jyada hai aur pimple hamesha hota rehta hai aga oily bhab vhal gaya to face rukha Sa lagta hai me kya laru
Subhajit aap ye sabhi articles padhe aur bataye gaye nuskhe sahi tarike se apnaye http://sehatdoctor.com/topics/skin/
namste sir muje chehre per safed daag(white spot) hai. iska koi desi illaj btaye sir plssssss…..
Vijay aap chehre ke daad dhabbe saaf karne ke liye ye article padhe http://sehatdoctor.com/chehre-se-pimples-keel-muhase-hatane-ke-gharelu-nuskhe-in-hindi/
Sir mera BP hmesha 150 hi rahta h km hi nahi hota tablet lene pr bhi nahi..
.
Anil sabse pahle to aapko ye salah hai ki jada tanav na le, gussa kam kare aur apne shareer ko aaram diya kare. Yoga aur meditation se apne din ki shuruaat kare aur blood pressure control karne ke liye yahan bataye hue upay apnaye.
Yoga karne ka sahi tarika >> http://sehatdoctor.com/yoga-kaise-kare-sahi-tarika-health-tips-in-hindi/
Meditation kaise kare >> http://sehatdoctor.com/meditation-kaise-kare-dhyan-lagane-ka-tarika-hindi-mein/
Mere face se pimples or daag kavi chutta nahi,, chutta h fir dubara nikal jaata h eske liye mujhe kya karna padega…
Mahesh pimples hatane ke liye ye article padhe aur bataye hue upayo ko sahi tarike se apnaye. Pimples aur daag dhabbe saaf hone ke baad bhi kuch din upay lagatar karte rahe aapko ye problem dubara nahi hogi :: http://sehatdoctor.com/chehre-se-pimples-keel-muhase-hatane-ke-gharelu-nuskhe-in-hindi/
Iske sath sath shareer se vishale padarat bahar nikalne ki bhi jarurat hai taaki khoon saaf ho. Body ko detox karne ke food khaye, jane ye food kon se hai :: http://sehatdoctor.com/body-ko-detox-kaise-kare-sharir-ki-gandgi-bahar-nikalne-ke-upay-hindi/
Veru useful . Effective sir i have ligamenat injury. My knee ligament is little bit tear . ACL ligament . Agr liagment ko theek karne ka koi uapay ho to mje btqeen please . Iss chot ki vajah se bht mushkil ho rahi hai . Koi upay btayen . Plz jaldi . Thankyu
Shubham sabse pahle to ye pta karna jaruri hai ki aapki injury ko surgery ki jarurat hai ya bina surggery ke hi ye thik ho sakti hai. Agar operation ki jarurat nahi hai to kisi ache physiothearpist se contact kare aur salah le.
Dear friend, I have little problem sometimes my heartbeat increases and there were also like vomiting or my eyes going to red while I drink beer. If any suggestions plz tell me
Krishan i suggest you to stop drinking beer and have proper diagnose from doctor.
Meri biwi ko thyroid ki sikayat
Achanak pair hath full gaya hai
Pls koi upay bayayen Thanks
Zahid thyriod ke ilaj ke liye aap ye article3 padhe aur bataye hue upay kare :: http://sehatdoctor.com/thyroid-ka-ilaj-ke-gharelu-upay-ayurvedic-treatment-in-hindi/
Pls send thriod medicine in herbal & home remedies Thanks
Dost aap article padhe, ye upay aap ghar par kar sakte hai.
Mere stano me doddh nhi nikal raha he koi upay bataye
Pooja ji aapko sab se pahle apne aahar par dhyan dena hoga, poshan se bahpur healthy diet le. Iske ilava saunf, badam, kaju, pista satno mein doodh ki matra badhate hai. Khane mein lehsun ka paryog kare.
mera baby 10 months ka hai or iska weight 7kgs hai or mera baby bht ptla hai iski seht bnane k liye m kya kru.
Sakshi 10 month ka baby ko maa hi feed karti hai, isliye jaruri hai ki aap health food khaye aur khane ki galat aadto ko chode taki bache ko sahi poshan mil sake.
mujhe aapke nukhse bbhut pasand aye
Very niace
Mujhe bhi aap ke nuskhe baht pasand aye
Rishika ji, agar aap ko ye nuskhe pasand aaye to apne dosto ke sath bhi share kare taki unhe bhi fayda mil sake.
Sir ek ladke age 22year hai bo mitte khate hai who mitte khana chood Dr upaye batye
Guddu aap apne najjdiki kisi ayurvedic vaid se mile vo ladke se mil ke aap ko sahi salah de sakenge.
Naseer (nose bleeding )lyi pls help me ?
Amol nakseer aane par kisi jagah baith kar naak ko apne haatho se band karke muh se saans le, 4 se 5 minute tak ise karne se naak se khoon nikalna ruk jayega. Iske ilava naak ke pass kta hua pyaaj rakhe, pyaaj ki gandh se bhi nose bleeding band ho jati hai.
Pet me marod ho rhi h bahut dard ho rha h koi upay bataye
Kailash aap ye sab articles padhe :: http://sehatdoctor.com/topics/pet/
male 24 (Meerut) u.p.
sone k baad muhh se boht raal girti h.. subha uthta hu toh pillow bht gila hua hota h..!! pet k kido ki dawa bhi khai but joi fark nai pdhaa bht preshaaan aa chuka hu please koi asardar ilaaz btaiyeee..!!
Sagar pet mein kide hona muh mein laar banne ka parmukh karan hai, aap ye article padhe aur upay kare aur agar farak na mile to doctor se mile aur checkup karwaye :: http://sehatdoctor.com/pet-ke-kide-marne-ke-upay-gharelu-ilaj-hindi-mein/
sir mere maa ka matia bindu hai kya karun gharelu upaya bataenge
Aap ye lekh padhe aur upay kare :: http://sehatdoctor.com/eye-care-tips-in-hindi-aankho-ke-rogo-ka-gharelu-ilaj/
Kya acne inversa yaa Hs k dano ka bhi gharelo ilaj Hai?
Kamran aap ye sabhi lekh padhe : http://sehatdoctor.com/topics/skin/
aankh par padhana kaise roka jaaye
Dost aap ye article padhe :: http://sehatdoctor.com/topics/eye-care-tips-in-hindi/
Sugar control nhi ho rhi.bahut desi aur high power english medicine le rha hun par phark nhi par rha hai.250 se 375 tak rahti hai sugar please suggest me .15 days me 5 kg weight loss ho gya hai. Age36
Satnam ji aap ye lekh padhe aur btaye hue upay kare aur agar aaram na mile to doctor se salah le :: http://sehatdoctor.com/sugar-kam-kaise-kare-control-diabetes-in-hindi/
Sir meri wife ka weight bahut kam hai or har samay weakness rahati hai to weight increase kArne ka upaye bataye
Mahesh ji wajan badhane ke tarike janne ke loye aap ye srticles padhe aur follow kare :: http://sehatdoctor.com/topics/weight-gain/
Hello sir meray husband kuch den sey heart mein pain hai docter ko dekha deya hai minor attack hai in future key ley na ho koi desi nuskey bataey plzzzzzzz age only 32
Jaspreet ji aap ye arrticles padhe aur follow kare :: http://sehatdoctor.com/topics/heart/
Mere bathroom vali jga se resha niklta hai kaise control hoga
Raman resha ke bare mein abhi hame jankari nahi, aap kisi ayurvedic chikitsak se mile aur salah le.
Mere bacha 5 month ka completed ho gya h uska Hoth kala h kya kre ki gulabi ho jaye..
Hemangi ji is bare mein hame koi jankari nahi hai, aur aap se yahi salah hai ki koi bhi upay karne se pahle uske bare mein puri jankari jarur le le taki bache ko kisi parkar ki koi pareshani na ho.
Meri sis ks weight bht jyda hai ….height k according she is overweight. ..
Do have any solution ??
Tanisha weight kam karne ke tarike janne ke liye aap ye articles padhe :: http://sehatdoctor.com/topics/weight-loss-tips-in-hindi
Mari wife ko bathroom me jalan rheti h…
Raj urine mein jalan ka upchar ke liye aap ye article padhe aur btaye hue upay kare :: http://sehatdoctor.com/urine-peshab-mein-jalan-dard-ke-gharelu-nuskhe-upay-hindi-mein/
Mera chhala theek nhi ho rha hai 4 mahine hogye sab doctor badal liye
Sahil chale ka upchar ke gharelu nuskhe janne ke liye aap ye lekh padhe :: http://sehatdoctor.com/muh-ke-chale-ka-gharelu-upay-home-remedies-for-mouth-ulcers/
Hi…mere hips par funsi or khujli ho rhi h or jab khujao tb blood bhi niklta h kya kru…..
Plz tell me
Dhiraz aap ek bar doctor se consult kare aur checkup karwaye.
mere hathelio aur pairo me hmesha pani aata rahta h, doctor ko btaya per koe fayda nhi hva, pl kuchh help kigiye
Vijay jab tak iska karan nahi pta lagega tab tak sahi tarike se upchar nahi ho sakta hai, aap kisi dusre doctor se consult kare aur checkup karwaye.
Mere gerdan ke pichhe ki skin thodi moti h Jaise mote loge ke hota h…… Ise kaise kam karu…..
Dost gardan ki charbi kam karne ke upay ki jada jankari hame nahi hai, aap motapa kam karne ke tips yha padh sakte hai :: http://sehatdoctor.com/topics/weight-loss-tips-in-hindi
Hello Sir,
Mera child abhi two years ka ho gya but bolta nhi h. Wo sirf Baba or Mama hi bol pata h. Me sab ki sunker ki bachche two saal m bolna shuru ker dete h, pareshan hoon. Plz kuch gharelu upay suggest kijiye.
Shaweta ji kuch bache deri se bolna aur chalna shuru karte hai, aap apne baby se baate kiya kare aur use chote bacho ke sath khelne de, iske sath badam ki kuch giriya bhi khilaye.
Dear Govend
Choty bacho ki balghmai khansi; pet dard aur east ka ilaj btaye.
Ejaz ji is site par khansi aur pet dard ke ilaj ke gharelu nuskhe ke articles aap padh sakte hai aur aap kisi ayurvedic chikitsak ki salah se jaane ki chote bacho ke liye unme se konse upay behtar hai. Hum paryas karenge ki chote bacho ko hone wali bimariyo ke gharelu upchar ke liye hum alag se lekh likhe.
Mere beta 3 year ka hai mere bete ko cereble palsy ki problem hai, vahe kese thik higi.
Mohit ji abhi hamare pass cereble plasy ke bare mein koi jankari nahi aap kisi ayurvedic chikitsak ya doctor se mil kar salah le.
chhota kancha ke aakar ka par kam ubhara hua mathe par right side me ek ganth jaisa hai usko dabane se bhi dard nahi hota hai aur dabane se idhar – udhar bas hota hai jyada teji se badh bhi nahi raha hai 2 saal ho gaya hai, please Sir/Madam ye kya hai kyu aise hua hai aur iske ilaaj kya honge bataye
Kamlesh ji iska pta to checkup se hi chalega ki ye kya hai, aap kisi ayurvedic chikitsak se mile aur salah le.
mere masude niche utrte jare hai.dant hilne lge hai masude shi apni jgh aa jae koi ilaj btao
Rajat aap masudho ke ilaj ke gharelu nuskhe yha padhe :: http://sehatdoctor.com/payria-ka-ilaj-masudo-ki-sujan-ke-gharelu-upay-hindi-mein/
Hair bht white ho rhe hai.plz black krne ka solution btaye sir
Komal ji white hair ko black karne ke gharelu nuskhe yha padhe :: http://sehatdoctor.com/safed-baal-kale-karne-ke-upay-white-hair-treatment-in-hindi/
Hi Govind
mere eyes ke nichi black circles hai un ko door karne ke liye kuch nuskha bataiye
Dost eyes ke dark cirles dur karne ke tips yha padhe :: http://sehatdoctor.com/kale-ghere-dark-circles-hatane-ke-upay-aur-gharelu-nuskhe/
Agr bachho ko tika lgne k baad sujan aajaye to kya krna chahiye
pet saaf karne ke kuch upay sir me dava se pareshan ho gya hu help .me.sir
Ramesh pet saaf karne ka gharelu ilaj yha padhe :: http://sehatdoctor.com/pet-saaf-kaise-kare-gharelu-upay-aur-nuskhe-hindi-mein/
Sir jab meri dadi ubasi leti hai to unke muh ki nash chad jati hai, or us bakt unhe sansh lene me bahut pareshni hoti hahi, or unka mih khula rhta h nash bahur der laghbhag 5 se 10 minute bad ati hai..ye pareshni unhe 8 din se shuru huyi hai……koi upay ho plz bataiye ki kese nash ko jaldi utara jaye ,,,,hame bada dar laga rhta hai
Shivam aap dadi ji ko doctor ya ayurvedic chikitsak se checkup karwaye taki is samasaya ke hone ki ajah pta chale tabhi iska upchar sahi tarike se kar sakenge.
Hello sir, sir per lips pe ball lag gyi hai and lips phool gye hai.. under se thoda kat gya hai.. lips phool gye the,, jaldi se jaldi kaise thik honge.. btaiye plz..
Devender ji aap doctor ya ayurvedic chikitsak se mil kar salah le.
Hallo sir, chest pr jo gath ban jaati h. meri gath to khatam ho gyi h lakin vah fuli rahti h humesha . uska koi ilaz batayiye.
Dushtant aap doctor ya ayurvedic chikitsak se checkup karwaye aur iski wajah jane.
Hello sir…
My kid is 4 yrs old and he is suffering frm little effect of bal dama…pls suggest sm effective and instant relief for him…sir pump start karne jitna problem nai hai…muje woh start bhi nai karna…m worried…pls help me…
Toral ji read this article to know home remedies for asthma relief :: http://sehatdoctor.com/asthma-ka-ilaj-ke-upay-home-remedies-treatment-in-hindi/
Daad khatam karne ka tareeka batein hamein 3 4 months se ha koi Medicans be nhe lagti ha.Medican khate hain to sahe ha or phr dubara hojati ha plz plz hamein batein a6a tareeka
दानिश दाद का घरेलू इलाज के देसी नुस्खे और उपाय यहाँ पढ़े :: http://sehatdoctor.com/daad-khaj-khujli-ka-gharelu-ilaj-upay-tarike-ayurvedic-nuskhe-hindi/
Sir i have very serious problem mera pet ( stomach ) kabhi bhi khul ke saaf nhi hota kabhii bhi or jab subah potty ( latreen ) jata hu too thdi si hi potty aati he pet too saf hota hi nhi kabhi or usii ke sth ek sabse badi problem ye bhi he jab potty kar leta hu uske bad meri susu se automatically sperm ki kuch boonde aa jati he …… sir ye mri regular prblm he……… kabhi kabhi apne aap sperm ki boonde nikal aati he. Sir give me solution please
रजत कब्ज़ की समस्या होने पर पेट ठीक से साफ़ नहीं होता और कब्ज़ के कारण दूसरी बीमारियां होने लगती है. आप कब्ज़ के इलाज के लिए आप दादी माँ के देसी घरेलू नुस्खे और उपाय पढ़े, इसके इलावा पेट साफ़ करने के उपाय यहाँ भी पढ़े :: http://sehatdoctor.com/kabz-ke-gharelu-nuskhe-aur-upay-home-remedies-in-hindi/
Sir mere kan me thora sa resha hai ,kam Sinai De RHA hai , card bilkul nai kea kru ki kan ki nshe khul jay
दोस्त कान से जुड़े रोगों के इलाज के लिए घरेलू नुस्खे आप यहाँ पढ़े और अगर उपाय करने के बाद भी आराम ना मिले तो डॉक्टर से मिले और जाँच करवाये :: http://sehatdoctor.com/kaan-dard-ka-upay-ear-pain-home-remedies-in-hindi/
Agar nose mein kuch ghoos jaye toh kaise nikale ….suppose a child inserted some food items what we can do…. we should go to the doctor and more
Khansi bahut jyada ho sath he bulgam ka v problem ho to kya karna chahiye.
sir blood sugar ki wajah se jo body par pimples nikal jate ha unka upchaar bataeye plz
Meri ldki ko safed daag ho gya hai bhot ilaj karai thik nhi ho raha h plz koi dwa btaeye na
घरेलू नुस्खे से सफ़ेद दाग का इलाज करने के लिए तरीके आप यहां पढ़े :: http://sehatdoctor.com/safed-daag-ka-ilaj-upay-nuskhe-white-spots-gharelu-upchar-hindi/